"Ammi, Zara kahan hai? Hum ne sab ko dekha par Zara Kahin nahin dikhai de rahi hai?"
Ammi held his hand and although she did not want to pretend, she held back her tears and steadied her voice and said, "Chali Gayi, hamesha ke liye"
"Hamesha ke liye? Par hum to Saath the, itne ache pal bitaye humne, aise Kaise chali Gayi, Hume is haal me chodke?"
"Theek usi tarah Jis tarah tum use chod aye the uske abba ke ghar. Theek usi Tarah, jis Tarah tumne use jane ko kaha apne function se. Aur ache pal? Kya inki aur Zara ki koi ehmiyat hai tumhare zindagi mein?
Tum apne usool Pakad ke baitho ab, Zara to ab nahin ane wali, pyaar aur farz ke tumhare is jung mein uska pyaar haar Gaya, ab tumhe apna farz nibhane ki koi zaroorat nahin, woh to chali Gayi, apna pyaar nibha ke, aur tum bhi haar Gaye Kabir Ahmed, kyunki jate jate woh tumhe pyaar Sikha Gayi!"