{ Anand Sagar's Ramayan AT #4 } - Page 107

Created

Last reply

Replies

1k

Views

92.9k

Users

21

Likes

905

Frequent Posters

Varnita. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
The Moon Song ❤️❤️


Siya mukh ka pratibimb samajh kar,
Apalak dekhe shashi ko raghuvar!!
Soch rahi sita sukumaari,
Bhaari rein ke shiv dhanu bhaari !!
Shashi ka roop nayan ka chhal hai,
Shashi sakalank siya nirmal hai!!
Tujh sa bhagya chandra kaha mera,
Ram ke naam me sthaan hai tera!!
Prem ki ganga hridayon me plaavit!
Dono ek duje se prabhaavit!!
Jo priya ram base hai mann me!
Siya unhe dekhe shashi darpan me!!
Varnita. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
Jaimala Song!



Rajiv nayan ko, swatah chayan ko,

Jaymala pahnao, jaymala pahnao

Sammukh hai Raghuvar, durlabh avsar

Yah avsar na gawao, jaymala pahnao

Rajiv Nayan ko...

Kyun lajja mandit charno se,

Badh jaane ka saahas na uthe,

Shiv-Dhanush Raam ne utha liya,

Sakhi Pushp-maalya tumse na uthe,

Sakhi Pushp-maalya tumse na uthe

Jay ka pratik jay maal daal kar,

Vijay Raam par pao, vijay Raam par pao

Rajiv nayan ko...


Nayano ke nikat nayan nidhi hai,

Nayano ko yah vishwas to ho,

Iss dirgh pratikshit madhu-kshan ko

Kinchit mujhko aabhaas to ho,

Sajni mujhko aabhaas to ho

Duvidha sankoch mein padkar Sitey,

Ab na vilamb lagao, ab na vilamb lagao

Rajiv nayan ko...

Jaymaala mein nij hriday goonth,

Siya rang-manch ki or chali,

Lakshmi chali Vishnu ke varan hetu,

Jyun Chandra ki or chakor chali,

Jyun Chandra ki or chakor chali

Maalyarpan ki shubh lagan aa gayi,

Mangal-geet sunao, mangal-geet sunao

Yah shashwat jodi nirakh-narakh kar,

Jeevan safal banao, jeevan safal banao ||

Varnita. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
Hanumanji SInging in Ashok Vatika!


Naman karo swikaar putra ka hey Maata Maharani,

Naman karo swikaar putra ka Raja Raam ki rani,

Ravan ki Lanka mein sunau tumko Raam-kahani,

Naman karo''..

Katha ye punya prasanga hai, Katha ye punya prasanga hai,

Tan man pawan karne wali bhagwat gun ganga hai,

Ram kaushalya ne jaaye, Maat Kaushalya ne jaaye,

Tribhuvan-pati teeno bhrata sang Dashrath ke ghar aaye,

Bhaye paragat kripala, dindayala anand jag chhaye,

Raam, Bharat, Shatrughna, Lakshman

Chaaro kumaro ne Guru Vashishth se alpakaal mein hi sari vidyayein sikh li

Maharaj Janak ki kanya bankar pragati Mahlakshmi Sita,

Aaradhya shambhu ka dhanush tod Sita ko Raghuvar ne jita,

Ban gaye Siya-var Ramchandra, Hui Siya Raam ki parineeta,

Mithila mein aur Ayodhya mein jivan kuchh din sukh se beeta,

Phir Shri Raam ke Rajtilak ki aayi tithi vardaani,

Phir Shri Raam ke Rajtilak ki aayi tithi vardaani,

Ravan ki Lanka mein sunau,tumko Raam-kahani,

Manthara kaikeyi ki daasi, Manthara kaikeyi ki daasi,

Uske kuchakra ne amavas me badli puran-maasi,

Tabhi var Kaikeyi ne maange, Ke do var Dasrath se maange,

Rakhne ko pita ka maan Raam ne Rajmahal tyaage,

Van chale Ram-Siya-Lakhan, Katha sunlo maata aage,

Chitrakut me Bharat-milaap hua,

Maata ki karni par putra pashchataap hua,

Chitrakut se aa gaye Godavari ke teer,

Ram, Lakhan, Siya aa gaye Godavari ke teer,

Maya-mrig ko dekh ke Sita hui adheer,

Raam mrig ke pichhe dhaaye, Swarn-mrig ke pichhe dhaaye,

Mareech ka tha shadyantra dur prabhuvar ko le jaaye,

Maya-mrig ka shadyantra dur Raghuvar ko le jaaye,

Laabh avsar se uthaya hai, Laabh avsar se uthaya hai,

Ravan kar Sita-haran unhe Lanka le laya hai

Chhal-bal se karke haran unhe Lanka le aaya hai

Shat-yojan sagar paar kar,

Sursa, Singhika, Lankini ko maar kar,

Ye Raam-dut

Raam ke paas se tum tak pohoch paya hai,

Shri Raam shighra sena lekar Lanka me aane wale hai,

Ravan ka vadh kar sur-nar-muni ke kasht mitane wale hai,

Ye divas pratiksha ke maata dhiraj se bitane wale hai,

Samman sahit Shri Raam sang tumko le jane wale hai,

Veji hai mudrika tumhari parichit aur pehchaani,

Veji hai mudrika tumhari parichit aur pehchaani,

Ravan ki Lanka mein sunau tumko Raam-kahani!!

RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 12 years ago

Originally posted by: Varnita.


I have shown my Youtube channel to him and he is shocked to see that 😆😆 He said that my strong love for Ramayan is forcing him to search out his pics related to the show 😉 He is saying that he has some documentry or somethiung related to ramayan and he is gonna edit it for me now! 😃 Lets hope for the best, i am just appreciating him a lottt as Indra Dev, lets see if I can extract some of the Valuable info from him 😆

Wow, that's really sweet of him! He sounds a bit crazy, lol, but he also sounds very sweet.😆 I hope he finds some unseen pics or videos, I'm so excited!😳
RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 12 years ago

Congratulations for finishing this AT, guys!

RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 12 years ago
Here's the link to the new AT, guys! I'll have my posts edited in about 2-3 hours, but Varnita will probably have hers done sooner. Either way you can start posting.👍🏼 https://www.indiaforums.com/forum/indian-mythology/3307239/anand-sagars-ramayan-appreciation-thread-5
Varnita. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
Janu, here are your songs from Marriage scenes!

Baraat enters the wedding hall


Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Tum atithi vishesh humare...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
kis aasan par tumko bithaaye..
palke bichhaye..ki hridaye bichhaye..
palke bichhaye..ki hridaye bichhaye..
kya tumhari seva mein laaye...
tumhe dekh ke hi mann haare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Humko Ram dulha ke kaaran...
Dashrath ji ke ho rahe darshan..
Dashrath ji ke ho rahe darshan..
Sang hai Lakhan, Bharat ,Ripushudhan
ho sabhi he prano se pyare...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
Shatt janamo ke punye phale hai...
tab yeh milan ke deep jale hai...
tab yeh milan ke deep jale hai...
hum toh gagan ko chhoone chale ..
aji udd kar sang tumhare ..
madhur abhivaadan tumhara...
madhur madhur abhivaadan tumhara...
Yahan leke baraat padhare ...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur abhivaadan tumhara...
madhur madhur abhivaadan tumhara...

Chahu-mukh deepak Ram ko..
arpit kar Mithilesh...
Chahu dishi mangal ki kare...
shubh kaamna vishesh..
pad pankaj par akshat da re..
Janak ka neh Ram svikaare..
Varnita. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago
Barat proceeds towards the seats


Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...
Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...
Bela panigrehan ki ..
sukhdaayi hai..
Bela panigrehan ki ..
sukhdaayi hai..
Tithi mangal mayi..
ghadi shubh ayi hai ...

Rakho maan humaro ji...
Lagan mandap mein padharo ji...
Jun pad pankaj Lakshmi sevit...
Un pe kare hum tandul arpit..
Baitho Kunwar ji paon pakhaare..
Paon pakhaar ke janm sudhare..
Pujniye var charo ji ...
Sab ko mangal humaro ji..

(Brides Enters)

Dharmsheel Gunvati Puneeta...
Jyoti lutati aa rahi Sita.
Tribhuvan ke swami se milan ko..
chali Tribhuvan Swamini.
Hai sang teeno bhagniya..
Siya panth ki anugaamini..

Kamneeye komal charan pankaj
lag rahe kitne bhale...
le charan choombam khil uthe hai .
pushp pushpon ke tale..
le charan choombam khil uthe hai ..
pushp pushpon ke tale..
Edited by Varnita. - 12 years ago
RamKiSeeta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Achiever Thumbnail + 6
Posted: 12 years ago
Thanks Varnita!🤗 I think you should continue the lyrics in the next thread honey, as we have completed this one.😉 Start editing your posts, okay? I'll do mine in 2-3 hours.
Varnita. thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 5
Posted: 12 years ago

Originally posted by: JanakiRaghunath

Thanks Varnita!🤗 I think you should continue the lyrics in the next thread honey, as we have completed this one.😉 Start editing your posts, okay? I'll do mine in 2-3 hours.


As You wish Madam 😉😆
I already have edited my Spots and have posted some songs! Now I am going to sleep, Byee Good Night 🤗

Related Topics

Indian Mythology Thumbnail

Posted by: Vibhishna

7 months ago

B R Chopra Ramayan

Dedicated to discussions on B R Chopra Ramayan. Comparisons with other series is strictly prohibited. For those who haven't watched it here's a...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".