Originally posted by: nim_var
CAPS - My comments in Red
Yeh hai kaun aur exactly kya bakwaas karne ki koshish kar raha hai?
Fierce Imlie as promised by STš
Dekhiye mujhe bade minnaton are mushkilon ke baad apni patni ko manane ka aur apni ex wife ko sunne ka mauka mila hai - please mujhse yeh khushi mat cheeniye.

My becargi face is back with a bang - main toh waise bhi naazuk pati hoon, ab tumhe hi phir se hero bankar meri family ko aur meri naukri ko is naye villian se bachaana padega - pretty please biwi

Why do I always get stuck in your family situations despite me telling you the truth of the person you want to get involved with - first you, now Rupi di. WHY don't you guys ever listen to me

Okay, here I want to write what I feel all the characters are thinking:
Nishant - Yaar mera hero banne ka chance phir se Adi lekar jaa raha hai - achcha hai, mujhe laga main agar aur thoda hero banta, toh Rupi aur Malini ke saath saath, mera bhi waapas dhadaam se girne ki baari aa jaati.
BKaka - Yaar yeh log aaj kal humesha mujhe yeh sadi hui shakal banane ko kehte hai - mujhe jaldi se Imlie ke saath patch up karna chahiye, taaki thodi toh mazzak masti wali feel waapas aaye. Aise chalta raha, toh meri bhi shakal Malini ki tarah humesha sadu ban jayegi
Malini - Mujhe is insaan main actually aisa kya dikhta hai jo main iske peeche intni paagal hoon - oh haan, main khud hi paagal hoon, toh shayad yeh bhi us pagaalpan ka ek phase hai
Pranav - Yaar mujhe laga yeh assignment aasaani se khatam ho gaya - ab is sadu family se deal karna padega aur Rupi se nicely baat karni padegi - iske liye Minister se double paise mangunga for all this extra hard work
Imlie - Mere ghar main ek sadu aur villian kam tha, jo ek aur tapak pada - ab yeh kaunsa naya syappa lekar aaya hai
Adi - FInally apni biwi ke saamne tujhe aur teri future partner in crime ko tell off karne ka mauka mila - thode time ke liye toh meri biwi mujhe Khajur nahi bulayegiš
