Inshi ff : Pyar to hona hi tha chapter 46 pg no 139 - Page 72

Created

Last reply

Replies

802

Views

71.6k

Users

33

Likes

767

Frequent Posters

ShivIka..Ketaki thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail
Posted: 11 years ago

Chapter 46

Indira ready hokar neeche jati hain. Thodi der bad wo Rishiko b'fast ke liye bulane aati hain, "Yeh kya ye abhi tak so raha hain. Rishi utho. Dekho 9 baje hain office nahi jana kya? Utho Rishi."

Rishi : Please Indira 5 minutes aur please.

Indira : Rishi koi 5 minutes nahi utho jaldi ab. Par Rishi nahi uthata. Indirako bahot gussa aata hain aur wo Rishi ke upar thanda pani dalti hain. Rishi jerkse uth jata hain, "Hey yeh kya kiya? Uth raha tha na me".

Indira : Kya khakh uth rahe the. Time dekho 9 baj gaye. Office nahi jana kya?

Rishi : Haan haan pata hain par pani dalneki koi jarurat nahi thi aur usse khasi aati hain. "Dekho mujhe sardi ho gayi. Ek toh kal rat bhiga aur uparse abhi tumne itna thanda pani dala ab me bimar padunga".

Indira : Ek bar kya bhige toh sardi ho gayi. Agar pata tha ki sardi hogi toh bhige kyun kal?

Rishi : Haan me khud jakar bhiga tha na. Tum toh mujhe mana kar rahi thi me hi jakar bhiga aur tumhe bhi khichke le gaya bhigne hain na?

Indira : Chalo ab jaldise ready ho jao. Rishi fresh hone jata hain. Indira bed saaf karne lagti hain. Rishi fresh hokar b'fast karne jata hain.

Sameer : Rishi tum abhi tak ready nahi huye? Office nahi aana? Rishi ko khasi aati hain ,"Sorry, haa bhai abhi ready ho kar aata hu" aur wo room me aata hain. "Indira please mera towel do na". Wo towel lekar washroom me jakar shower shuru karta hain par showermese pani nahi aata. "Indiraa dekho na showermese pani nahi aa raha".

Indira : Kya? Par subah toh aa raha tha.

Rishi : Par abhi nahi aa raha. Dekho na please.

Indira : Me kya karungi dekh kar me plumber thodi hu.

Rishi : Please dekho na please.

Indira : Haan ruko dekhti hu aur wo bathroom me aati hain aur shower ko dekhne lagti hain. Wo shower ko ghumati hain," Naa kuch nahi ho raha. Ye plumberka kam hain. Me maa se keh kar plumber ko bulalungi".

Rishi : Par abhi me kya karu? Mujhe late ho raha hain aur wapas khasta hain.

Indira : Aaj aisehi nahalo na Rishi.

Rishi : Ruko me wapas try karta hu aur wo shower ko dekhne lagta hain aur usse jorse ghumata hain iske wajahse shower ki cap uske hath me aati hain aur pipese pani aane lagta hain. Wo pipe ke upar hath rakhta hain aur iss wajahse pani Indirake upar girta hain aur wo bhi bhigg jati hain. "Rishi kya kar rahe ho yeh? Pura shower bigaad diya. Ab kya karenge hum? Dekho pani ruk nahi raha hain". Rishi turant door lagata hain. "Ab door kyun band kar rahe ho tum?"

Rishi : Shhh...please chillao mat na. Me toh sirf dekh raha tha na ab me kya karu wo cap mere hath me aa gayi na. Tum please isse pakdo na yaha me kuch karta hu aur wo cap Indirake hath me deta hain. Indira ek hathme cap pakadti hain. Rishi pani rokneki bahot koshish karta hain par usse nahi hota. Itneme Indirake hathse cap neeche bucketme girti hain. Wo cap uthane jati hain aur iss wajahse uska pipese hath nikalta hain aur pani wapas dono pe girta hain. Rishi chillata hain," Ye kya kar rahi ho Indira thikse karo na".

Indira : Maine kya kiya? Me sirf cap utha rahi thi na aur ye sab tumhari wajahse ho raha hain. Itna jor kyun lagaya?

Rishi : Sorry na par me kya karta ab maaf kardo na. Aao please ye idhar aise pakdo aur wo cap do mujhe. Indira usse cap deti hain. Rishi cap lagane lagta hain. "Aaaouchhh... dheere karo na Rishi. Kitne jorse laga mujhe. Dheerese nahi kar sakte kya? Ruko me batati hu aise karo..."aur wo usse batati hain. Finally dono showerko cap lagate hain. Indira door open karti hain aur shock hoti hain.

Rishi : Thank god Indira achhese ho gaya aur kisiko pata bhi nahi chala par sach me bahot maja aaya na iss sabse. Indira usse shant karneki koshish karti hain par wo boltehi jata hain. At last Indira usse bahar dekhneko kehti hain. Sameer, Priya , Payal teeno unke taraf dekh rahe the. InShi embrass hote hain.

Sameer : Ye sab...ho...ho gaya Rishi tumhara... InShi ek dusre ke taraf dekhte hain. Teeno jorse hasne lagte hain. "Rishi mujhe bata diya hota toh me tumhe bulane yaha nahi aata na..." Rishi ko kuch samaj nahi aata. "Aap log aise has kyun rahe ho? Jaise ki aap logonke saath aisa kabhi hua hi nahi hain. Wo hum bas shower..."

Payal : Bhai...bhai yeh sab...aur wo hasti hain.

Rishi : Ye aap aise has kyun rahe ho aur wo Indirake taraf dekhta hain," Indira yeh sab..." Indira usse chup rehneka ishara karti hain aur aankhose un dono ki taraf ishara karti hain. Rishi apne taraf dekhta hain aur wo samaj jata hain aur jerkse Indiraki taraf dekhta hain. Indira teeno ki taraf ishara karti hain. Rishi sab samaj jata hain. "Wo...wo bhai aap..aap jaise samaj rahe ho waisa kuch nahi hain...wo showerki cap nikal gayi thi ussi wajahse hum bhig gaye...hum...hum wahi thik kar rahe the...aap aisa waisa mat samjhiye...aap...aap please..."

Priya : Are...are thik hain. Humne kuch kaha kya jo tum itna sab bata rahe ho...wo toh bas Sameer ko late ho raha tha aur wo tumhe yaha bulane aaye fir Payal aur me dekhne aaye ki ab tak tum teeno neeche kyu nahi aaye. Yeh to tumhari room hain to jo chahe wo karo shower ki cap lagao ya fir... aur wapas wo teeno haste hain.

Sameer : Rishi me jata hu officeme tum aaramse aana haan...par please meetingse pehle aa jana. Wo kya hain na tumhara hona jaruri hain meetingme so please jaldi aana haan... aur wo teeno wahase chale jate hain. Indira turant jake roomka door lagati hain aur apne hath waistpe rakh kar gussese Rishi ke taraf dekhti hain. "Kya hua? Aise gussese kyun dekh rahi ho?"

Indira : Tum... tum chup nahi reh sakte the? Pagalonki tarah bak bak kiye jaa rahe the.

Rishi : Maine kya kiya? Sare log mujhehi datate hain. Tum bhi khamkha mujhpe gussa ho rahi ho.

Indira : Gussa na hu toh kya tumhari aarti utaru? Kitni bak bak kar rahe the tum. Jao ab jake apna huliyaa thik karo aur wo apne kapde lekar washroom me jati hain.

Kapde change karke Indira bahar aati hain aur Rishi ko sui dhaga lekar button stitch karte huye dekhti hain. Rishi sneez karta hain. Rishi ki aisi halat dekh kar Indirako hasi aati hain, "Yeh kya kar rahe ho tum?"

Rishi : Dekho na Indira yeh button tut gaya. Please stitch karke do na.

Indira : Toh dusra shirt pehenlo na.

Rishi : Naa mujhe yahi shirt pehnana hain aur meri ye favorite shirt hain aur mere liye lucky bhi hain aur aaj bahot important meeting hain isiliye mujhe yahi pehnani hain. Please do na stitch karke.

Indira : Ok. shirt do utarke.

Rishi : Please Indira aisehi dona. dekho na bahot late hua hain please. Indira man jati hain aur Rishi se sui dhaga leti hain aur button stitch karne lagti hain. "Dheerese karo haan warna mujhe chot lagegi".

Indira : Agar itnihi fikar hain toh khudhi stitch karo na.

Rishi : Sorry. Please kar do. Indira stitch karne lagti hain.

Dhage tod lao chandanee se nur ke

Ghunghat hee bana lo roshanee se nur ke

Indira button lagati hain aur scissors ke liye puchti hain.

Rishi : Ab scissors pata nahi...aisehi datse kardo na. Indira apna sar hilati hain aur dhaga todne lagti hain

Sharm aa gayee toh aaghosh me lo

Ho sanson se ulajhee raahe meree saanse

Rishi time dekhneke liye apna hath aage karta hain aur iss wajahse Indira ko wrap karta hain.

Bol na halke halke, bol na halke halke

Honth se halke halke, bol na halke

Indira uske taraf dekhti hain Rishi bhi dekhta hain.

Bol na halke halke, bol na halke halke

Honth se halke halke, bol na halke

Rishi apna hath nikalta hain ,"Wo...sorry...me chalta hu." Usse khasi aati hain.

Indira : Sambhalkar jana Rishi aur agar tabiyet jyada kharab hui toh jaldi wapas aana. Take care.

Rishi : Haan. Bye. aur wo chala jata hain.

Dopeherme Rishi ghar aata hain. Simmi usse puchti hain," Rishi tum itne jaldi? Tabiyet toh thik hain na Beta?"

Rishi : Haan maa wo jarasi khasi hui hain aur sarme dard ho raha hain isliye jaldi aa gaya.
Simmi : Kya? Ruko me abhi doctorko bulati hu.
Rishi : Nahi maa doctorki koi jarurat nahi mamulisi khasihi hui hain. Thodi der aaram karunga toh thik ho jayegi. Aap tension mat lo aur wo apne room me jata hain.

Sham ko Indira officese aati hain. Simmi usse Rishike bareme batati hain. Indira turant apne room me aati hain. Wo Rishi ke sarpe hath rakhti hain," Isse toh bahot tej bukar hain." Wo turant doctor ko bulati hain aur gharwalonko batati hain. Doctor aakar Rishi ko check karke kuch medicines dete hain. "Fikar karneki koi baat nahi hain. Ye jo medicines di hain ye Rishiko dijiye aur agar bukhar kum nahi hua to thande pani ki pattiyan rakh dijiye. Me subah aakar wapas check karunga." aur wo chale jate hain.

Dinnerke bad Simmi Rishike pass aakar uska bukhar dekhti hain ,"Hey bhagwaan iska bukhar abhi tak kum nahi hua."

Indira : Maa aap fikar mat kijiye. Meri abhi wapas doctorse baat hui hain unhone thande pani ki pattiyaan rakhneko kaha hain. Me abhi lae kar aati hu aur wo pattiyaan aur pani le aati hain. Simmi Rishi ke upar pattiyaan rakhti hain. Thori der bad Indira Simmike pass aati hain," Maa ab aap aaram kijiye. Me hu na aur dekhiye Rishika bukhar bhi kum hua hain."

Shekhar : Haan Simmi chalo ab chalkar aaram karo. Indira hain na Rishike pass chalo aao. Indira beta koi jarurat padi toh awaj jarur dena aur wo Simmi ke saath chala jata hain. Indira Rishike pass bethti hain aur patti change karti hain. Wo Rishi ke sarse hath ghumati hain, "I am sorry Rishi. Mujhe nahi pata tha bhignese tumhari tabiyet itni bigad jayegi. I am sorry" aur wo patti change karti hain. "Pata hain Rishi tum aise chup chap sote huye bilkul achhe nahi lagte. Ab jaldise thik ho jao fir dekhna me tumhe kabhi bimar nahi padne dungi. Me tumhara achhese khayal rakhungi aur tumhe kabhi bhigne nahi dungi." Thori der bad Indirako neend aane lagti hain aur wo apna sar Rishi ke chest pe rakhti hain.

Aa nind ka sauda kare, ik khwab de ik khwab le
Ik khwab toh aankho me hai, ik chand ke takiye tale
Rishi neendme Indirako apne pass khichta hain aur usse apne hathse wrap karta hain.

Kitane dino se yeh aasaman bhee soya nahee hai, isako sula de

Indirabhi achhese Rishike chestpe apna sar rakhti hain aur apne hathse Rishiko hug karke soti hain

Bol na halke halke, bol na halke halke
Honth se halke halke, bol na halke

Next Day

Indira Rishike liye chai lekar aati hain aur Rishiko sope pe bithati hain. Rishi Indirake taraf dekhta hain wo bar bar apna right eye rub kar rahi thi. "Kya hua Indira aankh ko? Aise bar bar rub kyun kar rahi ho?"

Indira : Pata nahi par aankhme jalan ho rahi hain shayad kuch chala gaya hain. Chhodo lo tum chai pilo aur wo Rishiko cup deti hain. Rishi uske taraf dekhta hain wo bar bar aankh rub kar rahi thi. Rishi cup tipoy pe rakhta hain aur Indirake samne ghutnope bethata hain ,"Ruko Indira me dekhta hu". Wo Indira ke aankhse uska hath hatata hain aur aankhpe foonk marne lagta hain aur iss wajahse Rishi Indirake bahot close aata hain.

Umare lagee kehate huve, do labj the ik bat thee

Indirako relief milta hain. Rishi Indira ke taraf dekhta hain.

Woh ik din sau sal ka, sau sal kee woh rat thee

Indira Rishike taraf dekhti hain.

Kaisa lage jo chup chap donoHo pal pal me puree sadiya bitaye

Donoko unki closeness realise hota hain. Rishi turant dusre chair pe bethta hain.

Bol na halke halke
Bol na halke halke
honth se halke halke
Bol na halke halke

Rishi : Abhi thik lag raha hain na? Jalan kum hui? Indira smile karti hain "Haan ab thik hain. Shayad kuch gaya tha wo nikal gaya. Ab tum bhi aaram karo Rishi." Rishi bed ki taraf jaane lagta hain par uske sar me bahot jorse dard hota hain. Indira uske pass aati hain, " Ruko Rishi aao me le chalti hu" aur wo apna hath aage karti hain. Rishi uska hath pakadta hain.

O dhage tod lao chandanee se nur ke

Rishi apna ek hath Indirake kandhepe rakhta hain.

O ghunghat hee bana lo roshanee se nur ke

Indira uske taraf dekh kar smile karti hain aur wo bhi apna hath Rishike kandhepe rakh kar usse support deti hain.

Sharm aa gayee toh aaghosh me lo
Ho saanso se ulajhee raahe meree saanse

Indira Rishiko bedpe sulati hain aur uske upar blanket dalne lagti hain, Rishi bhi blanket leta hain isme dono ke hath touch hote hain dono ek dusre ke taraf dekhte hain

Bol na halke halke,
bol na halke halke Honth se halke halke,
bol na halkeBol na halke halke, bol na halke halke
Honth se halke halke, bol na halke

Tabhi waha DF aati hain.

Sameer : Kaise ho Rishi?

Rishi : Ab thik hu bhai. Ab meri care lene ke liye aap sab jo ho aur specially aur wo Indira ke taraf dekhta hain. Indira sharmati hain.

Sameer : Haa bhai ab aisi care mile toh koi bhi jyada din kaise bimar reh sakta hain. Hain na Indira?

Indira : Ji haan sahi kaha bhaiya. Me abhi aati hu aur wo wahase chali jati hain. Sab log haste hain.

Edited by Ketaki19 - 11 years ago
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
dadi bahot chalu h. ab samjha Rishi itna jugadu kaise bana h 🤣 🤣 🤣
emotional blackmail karke rishi ko shadi ke liye majboor kiya aur wapas inshi ko riti riwajonke sath shadi karne ke liye majbur kiya 😆
bechare inshi 😆
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
Rishi bana sharmila 🤣 🤣 🤣
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
o bete ki jaan dono ne contract marriage ki 😆 😆
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
deepu bilkul apne chachu pe gaya h naughty 🤣
chachi bhi chachu ko gn8 kiss dengi jaise mummy papa ko deti h 🤣 🤣
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
engagement ke waqt emotional kar diya pura 😭
achha tha wo bhi update 😃
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
Hayee tune qb n as ka use kiya 🤗
faru kaha h tu? I miss you wo update padhkar 😭 😭
Dnyanu16 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 11 years ago
yess welcome bachha 🤗
itni choti umar me kitna kuch likhti h tu had h yaha ek hi story nahi sambhali jaa rahi mujhse 😆 😆 aur tu ek sath teen teen stories likh rahi h great 👏 👏
designersaini thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago
loved d update...full on Inshi...awesome...
Shower scene🤣 🤣 but is scene par i was listening aahatein😆 n aaj to bnhh bhi mil gaya...bechare inshikya kar rahe the aur sabne kya socha..but rishi ko fever hua 😔..now inshi r coming close dheere dheere
designersaini thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Dnyanu16


yess welcome bachha🤗
itni choti umar me kitna kuch likhti h tu had h yaha ek hi story nahi sambhali jaa rahi mujhse 😆😆aur tu ek sath teen teen stories likh rahi h great👏👏

dats true dhanno...yahan ek nahi samabhalti...well done dhum ketu

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".