SaRa FF - Bandhan Chapter - 26 , Page - 147 - Page 67

Created

Last reply

Replies

824

Views

56k

Users

34

Likes

866

Frequent Posters

-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: Faria.


@bold- yup

accha ye SARA ki bitter relationship sweet main kab badlegi???????????


planning chal rahi hai
rimshazeb thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 11 years ago
Very nice update sweety...
Seriously indira n sameer kise bacha sa kam nhi h kasam sa..bilkul sahi kiya simi na...chalo ab maahi n indira yhi rhi ge...
N is kabir k kuch samjh nhi a rhi...yeh jitna sweet dekh rha hna otna he dangerous nikalna wala h mujhe shak h...I hope sameer kuch kara...n yar kuch to sara romantic scene lao..fight me he sahi...21 chap ho gya h per abi tk ek b dono ka pyar sa bt karta hua scne nhi dekha...
Continue soon
N sorry for late comment
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: rimshazeb

Very nice update sweety...
Seriously indira n sameer kise bacha sa kam nhi h kasam sa..bilkul sahi kiya simi na...chalo ab maahi n indira yhi rhi ge...
N is kabir k kuch samjh nhi a rhi...yeh jitna sweet dekh rha hna otna he dangerous nikalna wala h mujhe shak h...I hope sameer kuch kara...n yar kuch to sara romantic scene lao..fight me he sahi...21 chap ho gya h per abi tk ek b dono ka pyar sa bt karta hua scne nhi dekha...
Continue soon
N sorry for late comment


Ek to diya tha tu bhul gayi
wait thora late hoga
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

CHAPTER - 21

CHAPTER - 22

Indira slowly became very busy in her office work.She started taking less care of Maahi which upset her very much.One day,after Sameer returned from office,he found Maahi sitting in the hall,with a sad face.He asked,"Kya hua mera bachcha?Itna sad face banaakar kyu bethi ho?"Maahi replied,"Papa mummy ab mujhse pehle jitna pyar nehi karti hai."He was confused and asked,"Kyu kya kiya mummy ne?"She replied,"Pehle mummy mujhe roz school se laane jaati thi,ab vo nehi jaati.Ghar mein bhi kitna late aati hai.Pehle vo mujhe paraati bhi thi ab vo bhi nehi karti."Sameer said,"To mummy ke office mein zarur abhi kaam zyaada hoga isliye mummy thak jaati hai aane ke baad aur why do you worry papa hai na,main studies mein tumhaari help kar dunga."Maahi said,"Nehi papa pata hai aaj kal agar main mummy se kuch bhi kahu na to vo bohot jaldi gussa ho jaati hai.Kal maine mummy se kaha mujhe kahaani sunaao,to unhone kitni zor se daat diya.Ghar mein aane ke baad bhi vo sirf Kabir uncle se hi phone par baat karti rehti hai aur laptop mein kaam karti rehti hai.Mujhe vo Kabir uncle bilkul achche nehi lagte hai.Vo gande hai."Sameer said,"Beta dekho jaise papa ke paas bhi company hai vaise Kabir uncle ke paas bhi hai aur company mein bohot kaam hota hai."Maahi said,"Par papa aap bhi to office jaate ho,aap to mummy ke tarah mujhpar gussa nehi karte.Aapko main agar bolu to aap mere liye sab lekar aate hai,mujhe ghumaane bhi lekar jaate hai."Sameer made Maahi sit on his lap and said,"Vo isliye kyuki,meri jo company hai,main uska boss hu,mere upar koi nehi hai,par mummy ke upar unke boss hai aur mummy ko unki baat maanni parti hai.Agar vo kahenge ke aapko late tak kaam karna parega to kaam karna parega,kuch nehi kar sakte aur agar mummy ne unki baat nehi maani to unhe job se nikaal denge."Maahi said,"Nikaalna hai to nikaal de tab aap unko apni company mein job de dena aur phir jaldi ghar waapas bhej dena phir mummy mujhpar chilaayegi bhi nehi."Sameer laughed and said,"Mummy agar kabhi chilaaye na to mujhe aakar bolna.Main mummy ki class le lunga.Aise kaise vo meri beti ko daat sakti hai?Mazaak hai kya?"Maahi nodded her head.

After Indira returned from office,she went inside the washroom to take shower.Sameer came to Maahi's room and searched for Indira.He,by mistake turned the knob of the washroom,which Indira was about to close.Indira screamed and Sameer immediately leaved the knob.She closed the door and asked,"Sharam nehi aati tumhe aise hi koi kisike washroom mein aata hai kya?"Sameer replied,"Mujhe kaise pata hoga ke tumne washroom lock nehi kiya.Sharam to tumhe aani chahiye."Indira said,"Jaao abhi yaha se."He said,"Tum araam se nahalo,main yehi wait karta hu."He reluctantly sat on the bed and was watching TV.While turning the pages of the magazine,Sameer smiled naughtily and said,"Vaise Indira tum mujhse kaise sharma sakti ho.This is not the first time jab maine tumhe vaise dekha tha..."Indira,from inside gave a grin and said,"Apna muh bandh rakkho Sameer.Is ghar mein ek bachchi bhi hai."Sameer agreed,"Exactly hamaari ek beti bhi hai tabhi to keh raha hu you should not be ashamed of me."Indira understood the meaning and so she didn't reply.After sometime,she came out rubbing her hair with the towel.She was looking like a freshly bloomed flower and Samer could not stop himself but staring at her.He remembered the old days,the times he passed with her.He remembered that night,which may have changed many things in their lives but that night was indeed beautiful.He was noticing each and every movement of her.After combing her hair,when she turned towards him,they had an eye-lock.She asked,"Aise kya dekh rahe ho?"He,like being hypnotized replied,"Tum abhi bhi bilkul pehle jaisi ho.Vaisi hi khubsurat aakhe,vohi lambe kaale ghane baal jaise 9 saal pehle thi,vohi 20 saal ki Indira jisne mere dil par khaas jagah bana li thi."Indira asked,"Kya?"He came out of his dreams and said,"Uh...Main vo tumse vo...Maahi ke baare mein ek zaruri baat karna chahta tha."Indira asked,"Kya baat karni hai?"He replied,"Listen Indira.Tum job karti ho,usme tum successful ho rahi ho ye bohot achchi baat hai par iska matlab ye to nehi hai ke tum Maahi ko nazarandaaz karo.Bohot dino se dekh raha hu tumhaare bartaav ko,ye thik nehi hai.Maahi is really very upset.Usey uski ma chahiye Indira.Tum office se aati ho aur aakar apne kaam ko lekar busy ho jaati ho aur usko time hi nehi deti ho aur maine to ye tak suna hai ke tum Maahi par bohot chillati bhi ho.Ye sab kya hai?"Indira said,"Main Maahi par chillati nehi hu,vo kabhi kabhi aise zidd lekar beth jaati hai ke mera dimaag kharaab ho jaata hai.Itni thak kar aati hu ke uske baad mujhe ye sab achcha nehi lagta hai."Sameer said,"Yaad hai hamesha tum mujhe sunati thi ke main kabhi tum dono ke saath nehi tha aur sirf tumne akele usko paala hai isliye tumhaara uspar zyaada haq hai to Indira ab tum bhi to vohi kar rahi ho.Fark bas itna hi hai ke main tab tum dono ke paas nehi tha par tum to uske paas hokar bhi use dur ja rahi ho."Indira looked at him for sometime and then said,"Asli baat bolo na Sameer ke tumhe meri tarakki se jalan ho rahi hai.Tumhe ye dar lag raha hai ke agar main financially stable ho gayi to kahi main Maahi ko hamesha ke liye kanoonan tumse chinnkar na le jaaungi."On hearing this,Sameer looked at her with disbelief and open mouth.He said,"Are you sick Indira??Tumhe lagta hai ke main is vajah se tumse jalunga?Main yaha Maahi ki baat kar raha hu aur tumhe in sab ki pari hai?"Indira replied,"Mujhe pata hai apni beti ka khayaal kaise rakhna hai aur agar main itni hi galat lag rahi hu tumhe to tum raho na uske saath 24 ghante.Main ye sab apni beti ke liye hi kar rahi hu.Uske future ko secure karne ke liye.Iske liye mujhe bohot time office ko dena parega."Sameer said,"Tumpar paisa kamaane ka bhoot sawaar ho gaya hai."Indira said,"Tumhaare vajah se hi ho raha hai ye sab."Sameer decided to leave from there as it was of no use to argue with her.Before leaving,he said,"Maahi ke liye kar rahi ho main samajhta hu par Maahi nehi samajhti.Uske future ke liye aaj tum usey apne se dur kar rahi ho,dhyaan rakhna Indira kahi kabhi aisa din na aa jaaye jab tum uska haath pakar kar bhi usko apne paas na rok paao."Saying Sameer left.

Next morning,while Maahi was going to school,Indira promised that today she will come to school to pick her up.Maahi was very happy to hear this and she planned that today they wll go somewhere else to have lunch.After the school,Maahi was waiting and waiting for Indira but she didn't turn up.Maahi was very sad.She got inside the car alone and asked the driver to take her to Sameer.On reaching outside,Sameer's office,she went inside crying.She opened Sameer's cabin door and called him,"Papa!"Sameer looked at her with a jerk and called her inside.Maahi went to him and hugged him tightly.Sameer asked,"Kya hua Maahi?Tum yaha kya kar rahi ho?Aaj to mummy ke saath bahaar lunch par jaana tha na?"Maahi replied,"Mummy nehi aayi papa vo phir se bhul gayi."He was surprised.He asked,"Nehi aayi vo?Par unhone promise kiya tha na?"Maahi replied,"Ha par vo nehi aayi.Maine ap se kaha tha na ke mummy ab mujhse pyar nehi karti hai."Sameer said,"Aisi baat nehi hai.Achcha thik hai bolo kya khaaogi?Abhi to bhuk lagi hogi na?Maine bhi nehi khaaya chalo dono ek saath khaayenge."Sameer ordered lunch for both.When lunch was served,Maahi,on seeing the paraatha squeezed her nose and said,"Isme kitna saara butter hai,isey hataao main nehi khaaungi."Sameer was very amused to see that because he almost forgot that she too,like him doesn't like butter and since in home,no one applies ghee or butter,he felt very happy that his daughter is like him.After some time when the paraatha is replaced,Sameer fed Maahi and said,"Mummy par gussa mat karo beta.Dekh lena mummy aate waqt tumhaare liye pizza aur teddy lekar aayegi."Maahi said,"Aaye par main unse baat nehi karungi."Sameer said,"Arey baba ek galti to sabko maaf hoti hai na beta.Please apni mummy ko maaf kardo."Maahi said,"Mummy to aapse kitni gandi tareeke se baat karti hai,phir bhi aap unki side lete ho."He said,"Arey to isme kya hai?Har mummy papa mein jhagre hote hai,dadu aur dadi mein bhi hota hai to iska matlab ye thore hi hai ke dadu dadi ek dusre se pyar nehi karte?"Maahi asked,"To aap bhi mummy se bohot pyar karte ho na?"He remained silent.After sometime he replied,"I don't know mujhe nehi pata."Maahi asked,"Aise kaise nehi pata?Pata hona chahiye na?"Sameer said,"Kuch sawaal aise hote hai jinka answer kabhi kabhi hamaare paas nehi hota.Tum abhi bohot choti ho,tum abhi nehi samjhogi."Maahi asked,"Kyu?Aap to mujhse pyar karte ho na?"He replied,"Of course kyuki tum meri beti ho."Maahi said,"Agar aap mujhse pyar karte ho tab to aapko mummy se bhi pyar hai kyuki vo kehti hai main mummy jitni beautiful hu.Vo ye bhi kehti hai,ke meri aakhe bilkul aap jaisi hai."Sameer asked,"Achcha?To kya mummy tumhaare papa se pyar karti hai?"She replied,"Pata nehi unhone kabhi nehi bola.Bas vo mujhe hamesha aapke baare mein bolti thi,par main jab bhi aapka naam puchti thi vo taal jaati thi."He asked,"Kya vo meri bohot buraai karti thi?"She replied,"Nehi kabhi nehi.Vo hamesha aapke baare mein achchi achchi baate bolti thi.Kabhi aapki buraai nehi ki jaise aap nehi karte vaise par na kabhi kabhi jab main shaitaani karti thi tab vo bolti thi apni ma ko pareshaan karne mein tujhe bohot mazaa aata hai na aur karegi kyu nehi,apne baap par jo gayi hai'."The way Maahi described,made Sameer laugh like hell.He said,"Chalo abhi khaana bhi ho gaya.Abhi ghar jaao.Jaakar rest karo.Thik hai."Maahi nodded her head and then Sameer left her upto the car and she returned home.

On returning to his cabin,Sameer called Indira.After a long time,she picked up the call.The convo :-

I :- "Main abhi bohot busy hu Sameer.Baad mein baat karte hai."

S :- "Itni hi busy ho ke tumhe ye tak yaad nehi raha ke aaj tumne Maahi ko pick up karne ka aur uske baad lunch par le jaane ka promise bhi kiya tha?"

Indira looked at the time and closed her eyes in disappointment.

I :- "Oh shit!Main bilkul hi bhul gayi,pata nehi aaj to bohot gusse mein hogi."

S :- "Gusse mein nehi thi,bohot dukhi thi.Khair maine usko samjha diya hai aur ye bhi bola hai ke aaj tum aate waqt uske liye pizza aur teddy lekar jaaogi,isliye please ye mat bhulna."

Saying he cut the call.

While returning,Sameer again called Indira to bring those things,but she informed that she forgot again and she almost reached home.Sameer asked her not too enter the house,until he arrived.On behalf of Indira,Sameer purchased pizza and teddy for Maahi and returned home.On the gate,Indira was waiting for Sameer.He stopped the car and gave those things to Indira and said,"Hadh hoti hai har cheez ki Indira.Its really enough now!"Saying he entered inside the car and went inside the gate.Indira on getting home went to Maahi and said,"Iam so sorry beta mummy bilkul bhul gayi.Aaj pata hai vo to lunch lena bhi bhul gayi.Isiliye vo hum dono ke liye pizza laayi hai.Chalo ek saath beth kar khaayenge."Maahi removed the pizza and teddy and said,"Ye aap nehi laayi,ye papa laaye hai.Maine sab dekha hai,window se.Aap bilkul jhuti ho gayi ho.Ab aap mujhse nehi apne office se pyar karti ho.Main aapse baat nehi karungi.Katti!Katti!Katti!"Indira tried to stop her but she left from there.

Maahi went to Sameer and said,"Main ab mummy se kabhi baat nehi karungi.Ab aap unki side mat lena mujhe pata hai vo phir se mere liye teddy aur pizza laana bhul gayi aur ye sab aap lekar aaye ho."Sameer said,"Mujhe lagta hai you are right.Mummy sach mein badal gayi hai.Hai na?"Maahi nodded her head and said,"Vo mujhse dur ho gayi hai.Us Kabir uncle meri mummy ko achchi mummy se gandi mummy bana diya.Please unko meri pehli waali mummy bana do na papa,aap to magician ho,aapko to sab aata hai."Sameer held his hands and asked,"Do you trust me?"Maahi nodded his head.He said,"Then I promise you ke main tumhaari mummy ko bilkul pehli waali mummy bana dunga aur rahi baat tumhaare us Kabir uncle ki to ab dekho main kaise unki what lagaata hu.Meri beti ko rulaaya hai na unhone.So now just wait and watch."Maahi hugged her father in happiness.

Next day,Indira was as usual working in her office,when Kabir suddenly called her in his cabin.Indira,within 5 minutes,went to his cabin.The moment she entered,her legs got jammed when a pair of very well known eyes welcomed her with a lot of mockery and evilness in them.Kabir said,"Aaiye Miss Sharma,bethiye.Inse miliye,ye hai Diwan Builders ke MD Mr Sameer Diwan.Inki company Delhi ki best construction companies mein se ek hai aur hamaari khushkismati hai ke inhone hume apne saath kaam karne ke liye chuna."Sameer said,"No Mr Chaudhry,aapki company bhi bohot bari hai aur Delhi ke maximum achche malls aap hi ke hi to hai."Kabir asked,"Boliye aap kya proposal lekar aaye the?"Sameer said,"Actually maine tey kiya hai ke main yaha bachcho ke liye ek amusement park banaaunga.Jaha bachcho ke khelne ke liye sab kuch hoga."Kabir said,"Ye to bohot achcha plan hai.Aapka kya kehna hai Miss Sharma?"Indira was already not in the mood to talk,but still,in order to maintain official decency,she spoke up.She said,with a mixture of taunt in her voice,"Proposal bohot achcha hai.Par agar Mr Diwan bura na maane to main unse ek sawaal puchna chahungi.Ek rude aur heartless businessman jo market mein emotionless kehkar hi zyaada famous hai,achaanak bachcho ka amusement park banaane ke baare mein kya sujhi?"Sameer smiled and said,"Aapka sawaal achcha hai aur iska jawaab ye hai ke kuch mahino baad meri beti ka 9th birthday aur main usey ye amusement park as a gift dena chahta hu."Kabir asked,"Aapki beti bhi hai?"Sameer said,"Ha 8 saal ki jiski ma ke paas uske liye time nehi hai."The last words he used looking at Indira,making her angry as well as embarrassed.He said,"Well main chahta hu ke ye park Delhi ka best ho aur maine ye bhi suna hai aapke raw materials Delhi mein sabse best hai,to maine ye decide kiya hai ke ye park aapke yaha ke raw materials se bane aur iske liye mujhe aapke office ka ek efficient staff bhi chahiye.Mere company ke saare engineers dusre projects mein busy hai to agar aapke yaha ke best engineers mujhe mil jaaye to aur aur bhi achcha hai."Kabir said,"Well its our privilege to work with you Mr Diwan.Main ek kaam karta hu,Miss Sharma ko is kaam ke liye appoint karta hu aur unke under is company ke best engineers kaam karenge."Sameer said,"Is she trustworthy?Main actually is kaam mein kisi kisam ki kami nehi chahta."Kabir said,"Miss Sharma hamaare company ki one of the most efficient employees mein se ek hai.In short lucky charm.Jabse aayi hai hamaare company ko ek ke baad ek bare bare contract mil hi rahe hai."Sameer said,"Well jab aap itna bara certificate de hi rahe hai to thik hai.Main kuch hi dino mein contract papers bhijwa dunga."Saying Sameer got up from the chair and shook hands with Kabir.Sameer and Indira took leave together.After going out,Indira asked,"Tum yaha kyu aaye ho?"He,in turn asked,"Kyu business deals kya ab mujhe tumse puch kar karni paregi?"Indira said,"Dekho Sameer,mujhe ye job bohot mushkil se mili hai.Please yaha kisi kisam ki koi embarrassing harkat mat karna."Sameer said,"Mujhe aisa karne ka koi shaukh bhi nehi hai.Tumhe to khush hona chahiye ke main ye sab Maahi ke liye kar raha hu.Socho kitna achcha hoga ke uska gift uske mummy papa milkar banaayenge."Indira said,"Mujhe pata hai tum yaha kyu aayeho.Tum yaha mujhe har waqt neecha dikhaane ke liye hi aaye ho.Main tumhe achche se jaanti hu."Sameer replied,"Meri beti ki ma mujhe achche se nehi jaanegi to aur kaun jaanega?Aur tum jo neecha dikhaane ki baat kar rahi ho na,agar tum samajhti ho ke mere paas itna faltu time hai,then you are wrong par ha ek baat hai jo main tumhe openly bolunga,ke maine Maahi se promise kiya hai ke main usey uski ma waapas zarur dilaaunga and thats what Iam doing."Indira turned her face with disgust and Sameer with a wicked smile left from there.

CHAPTER - 23

Edited by -Paulomi- - 11 years ago
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

thanks
clementina thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 11 years ago
lovely update Dear 😊 ...
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: clementina

lovely update Dear 😊 ...


thanks
-Neha04- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail
Posted: 11 years ago
bohot bariya ab Dono milke kaam karngy matlab aur kutte bili wali larai hongi
-Paulomi- thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Originally posted by: -Neha04-

bohot bariya ab Dono milke kaam karngy matlab aur kutte bili wali larai hongi


😳
Surish thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 11 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".