🏏India vs Pakistan, Asia Cup-Super Four, Match 14 (A1 v A2) Dubai🏏
HONEYMOON🏩 20th and 21.9
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread- 22nd Sept 2025.
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
Let's Discuss Abhir
Saiyaaara spoof
👻😈😈😈Mask Of Zorro😈😈😈👻
Happy Birthday Kareena Kapoor 💐🎊
ENTRY INTO RESORT 22.9
Nine Nights of Devotion - Shubh Navratri
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
Mardaani 3 Rani Mukherjee 27 Feb 2026
Why is Deepika ALWAYS the victim?
Anurag Kashyap disliked Chhaava
Anupama bags some Star Pariwaar Awards
Complaint Against The Ba***ds Of Bollywood
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 23, 2025 Episode Discussion Thread
MOOH KHUL GAYA 23.9
waiting
Originally posted by: -Paulomi-
kal dungi😛
CHAPTER - 12
Sameer returned home unmindfully and in a very disturbed state of mind.Simi,on seeing him asked,"Kya hua Sameer tu bohot pareshaan lag raha hai?"Sameer replied,"Kuch nehi mom bas aise hi.Aap breakfast lagaaiye mujhe office jaana hai."Sameer had his breakfast quietly and left from office.A few days passed by but he was not having his peace of mind.All the time either he was unmindful or disturbed.One day,while,Sameer was sitting in his office,he got a call on his mobile.The convo :-
S :- "Hullo."
M :- "Hullo papa main Maahi bol rahi hu."
Sameer got all serious.
S :- "Maahi???TumkahaI mean kaisiI mean how are you baby?"
M :- "Papa main aapse mummy se chup kar baat kar rahi hu.Papa please hume aakar yaha se le jaao na papa.Aapko pata hai kal na phir se school mein meri class mein jo Naina hai na usne aur uski mummy ne phir se aakar mujhe aur meri mummy ko sunaaya.Maine aapka naam bola bhi par sab mere upar hase,kisine yakeen hi nehi kiya ulta meri mummy ki aur insult ki.Aap please yaha jaldi se aa jaao na papa aur phir jaakar sabko yakeen aayega."
S :- "MaahiII can't come.Mainmain nehi aa sakta."
M :- (angrily) "Kyu nehi aa sakte aap?Aapko aana hi hoga.Agar aap nehi aaye na to dekh lena main kya karti hu."
Saying she cut the phone.
Sameer just didn't know what he should do now.He was in a complete dilemma.He gave half day to everyone and returned home.On reaching home,while having shower,he thought and thought and finally came to the conclusion that since his passed had knocked his present in the form of Maahi,he would not be able to hide it for a very long time,because if it would have been Indira,he understood that day from her body language how much she hated him,so she wouldn't come,but now its his own daughter,whom he can't ignore or hide,so he decided to tell everything himself before they get to know from others.He went to his parents' cabin and said,"Mom dad mujhe aapse ek bohot important baat karni hai and this matter is related to Maahi."Simi surprisingly asked,"Maahi??Kya matlab?"He said,"Main jaanta hu ke main ab jo kuch bhi kehne waala hu vo aapke liye sunna ya sehna itna asaan nehi hoga par mujhe aap sabko ye baat bataani hogi."Rajshekhar asked,"Tu kehna kya chahta hai saaf saaf bol?"Sameer said,"MomDadMaahiMaahi meri beti hai.Main uska baap hu."Saying he closed his eyes for gathering the courage to face his parents.His parents were dumbstruck and open-mouthed.Simi asked,"Tu hosh mein to hai?Kya bol kya raha hai tu?"Sameer replied,"Main puri tarah se hosh mein hu mom aur jo keh raha hu bilkul sach hai."Rajshekhar asked,"Iska matlab hai ke tu ye baat pehle se jaanta tha?To hume ye baat bataayi kyu nehi?"On the last question,Rajshekhar yelled.Sameer replied,"Kyuki mujhe is baat ka pata khud hi kuch dino pehle chala hai."Simi said,"Iska matlab hai ke Maahi hamaari poti hai,vovo apne hi ghar mein itne dino se reh rahi thi.Vo itne dur se ghar se bhaag kar sirf tujhe dhundhne aayi thi.Iska matlab Indira ne jis aadmi ke baare mein bola vo tut ha?Hey bhagwaan!"Rajshekhar asked,"Iska matlab tum mili ho usse?"Simi nodded her head.She said,"Ha main mili hu usse aur usne mujhe sab bataaya tha sivaay us insaan ke naam ke.Aapko pata hai peechle 8 saalo se kitne taklifo se guzar rahi hai vo,bina baap k eek akeli bachchi ko single mother bankar paalna kitna mushkil hota hai ye maine uski aakho mein dekha hai.Jab usko pata chala ke vo hamaare Sameer ke bachche ki ma bannewaali hai,tab usne apna ghar parivaar sab kuch chor diya taaki vo us bachche ko janam de sake,yahatak ki usne Maahi ko iska naam diya bas isliye taaki koi usey naajaayaz kehkar gaali na de.Tab mujhe kya pata tha ke uski zindagi barbaad karnewaala mera apna beta hai."Simi said to Sameer,"Shukar maan ke usne kabhi bhi Maahi ko tere khilaaf bharkaaya nehi hai.Uske saath tune jo kiya hai na uske baad agar vo chahti to aisa kar sakti thi,par nehi kiya taaki ek beti apne baap se kabhi nafrat na kare.How could you do this Sameer?"Sameer sat on his knees in front of Simi and said,"Mujhe Indira ke pregnancy ke baare mein kuch bhi nehi pata tha ma aur maine uske saath koi zabardasti nehi ki,maine usko hamaari aakhri mulaakaat mein bas itna hi kaha tha ke,main usse shaadi nehi kar sakta kyuki main tab uske liye tayyar nehi tha."Simi looked at him with disgust.Sameer said,"Is tarah se meri taraf mat dekhiye mom.Please,aapko jo sazaa dena hai mujhe dijiye par please mujhse nafrat mat karna mom."Rajshekhar who was quiet for some time,said,"Agar tu sahi mein chahta hai ke hum tujhe maaf karde,to phir ja aur jaakar Indira aur Maahi ko yaha le aa."Sameer and Simi looked at him with jerk.He said,"Main jaanta hu Simi,tum kya soch rahi ho yahi na ke hamaare society mein reputation ka kya hoga?Main us baare mein nehi soch raha hu kyuki usse kahi zyaada kisiki zindagi important hai.Is baat ko hum nakaar nehi sakte ke Maahi is ghar ki bachchi hai,yaha rehne ka usko pura haq hai.Bichaari pata nehi kis daur se guzri hai peechle 8 saal se,pata nehi kaise din dekhe honge dono ne,ab jab main sachchai jaan chuka hu to main apni zimmedaari se,apne bete ki hui galti ki zimmedaari se bhaag nehi sakta.I can't keep two lives on stake for this bullshit reputation.Reputation apne zameer se bara nehi hota."Simi agreed to her husband.Sameer said,"Par main aisa nehi kar sakta kyukikyuki main kisi bachchi ka baap banne ke liye mentally prepared nehi hu."Rajshekhar replied,"Ok fine,to mujhe unka address de main jaaunga unhe lene."Sameer said,"NoAapko jaane ki koi zarurat nehi hai.Mujhe thora time dijiye sochne ke liye."Rajshekhar agreed to his condition.
Few more days passed by.One day,his manager from Manaali called him.The convo :-
A :- "Hullo sir main Ajay bol raha hu Manaali se."
S :- "Ha bolo Ajay."
A :- "Sir yaha bohot bari problem ho gayi hai."
S :- (confused) "Kaisi problem?"
A :- "Sir vo aapko yaad hai ek bachchi aati thi site ke paaswaale school se hamaare yaha resort dekhne."
Sameer's heart bumped.
S :- "Maahi???"
A :- "Yes sir.Aaj subhe se pata nehi us larki ko kya hua gate ke bahaar aakar khari ho gayi aur kisiko andar jaane nehi de rahi hai.Humne kitna samjhaaya hatne ko par nehi.Sir ek to kaam ruka hua hai,upar se bachchi hai isliye sakti bhi nehi kar pa rahe hai.Uska bas ek hi rat hai ke uske papa ko hum bulaaye varna vo yaha kisiko kaam nehi karne degi.Hum bachchi ke school gaye vaha shaayad uski ma teacher hai,usne bhi samjhaaya daat lagaayi phir bhi nehi maani.Yaha par bohot bheer jam gayi hai sir kuch kijiye.Aap kahe to police-"
S :- (screamed) "Don't you dare Ajay!" (he cooled down) "Give her the phone."
The manager handed over the phone to Maahi.The convo :-
M :- "Hullo papa.Mujhe kuch bhi nehi sunna,kuch bhi nehi samajhna,pehle aap bolo kab aa rahe ho,varna main yaha se nehi hatungi."
S :- "MaahiMaahi listen to me.Ye koi mazaak nehi hai.Mera aur yaha jitney log kaam karte hai unka bohot nuksaan ho raha hai.Tum ghar jaao mummy ke saath."
M :- "Nehi jaaungi main.Pehle aap bolo,aapko pata hai mera sab kitna mazaak ura rahe hai?Main nehi jaaungi aakhir meri bhi izzat ka sawaal hai.Chahe aaj kuch bhi ho jaaye jabtak aap mujhse promise nehi karte ke aap yaha aayenge,main yahase nehi jaaungi."
S :- (helplessly) "Ok fine.Main aaunga.Ab tum ghar jaao."
Maahi was very happy to hear it.
M :- "Kab aaoge papa?"
S :- "Jab agli flight milegi main aa jaaunga."
M :- "Ok bye.Main ghar jaati hu.I love you papa."
Maahi said to everyone,"Mere papa ko jab bhi agli flight milegi vo aayenge.Ab aap log kaam karo."Ajay asked,"Kaun hai tumhaare papa?"She replied,"Jinse abhi baat ki,Sameer Diwan.Vo mere papa hai.Hai na mummy?"Indira looked at everyone in an embarrassed way and all naturally were shocked.Indira angrily dragged Maahi back to home.
Sameer thought and thought about what to do.He was deeply sank in his own world when Simi entered his room with a box in his hand.She sat beside him.Sameer's chain of thoughts break and he asked,"Yes mom boliye?"She replied,"I know tere dimaag mein kya chal raha hai.Achaanak se itni bari responsibility ko apnaana asaan nehi hota par hum us sach se bhaag bhi to nehi sakte.Isiliye main tere liye kuch laayi hu."She gave him the box.He asked,"Ye kya hai mom?"Simi said,"Ye vo chitthiya hai jo Maahi ne peechle 8 saalo apne papa ko yaani tujhe likhi hai.Ye sirf uske papa ke liye hai isliye maine nehi para.Par le uske baad shaayad tere liye faisla lena asaan ho jaayega."She put her hand on his shoulder and then left.
During dinner time,Simi came to call Sameer for the dinner.He went to his room and found him crying with a letter in his hand.Simia asked,"Kya hua beta tu ro kyu raha hai?"Sameer hugged her and in a crying tone said,"Mujhe meri beti chahiye mom.More than her,I need her."He broke the hug and said,"Aapko pata hai mom,vo mujhse kitna pyar karti hai?Har ek letter mein usne apni taklifo ke baare mein likkha hai.Kitni taklifo se guzri hai meri bachchi,kitna dard saha hai,usne to ye bhi likkha ke sab usko aur Indira ko kitna taana maarte hai mere vajah se.Har choti se choti cheez ke liyeI want her mom,I want her back in my life.Main jaaunga Manaali aur usey waapas le aaunga and I don't care ke dunia kya kahegi.Main usko ghar waapas le aaunga mom.I'll bring her."Simi became very happy.He said,"Par usse pehle aapko meri thori madat karni paregi.After all,beti ke paas khaali haath thore hi ja sakta hu.You have to help me."Simi said,"Of course apni poti ke liye sab kuch karne ko tayyar hu."Sameer asked her to get ready and after that both went out.
He got tickets for Manaali after 2 days.Before leaving,he came to visit his parents.Simi said,"Par mujhe bohot dar lag raha hai.Jahatak main Indira ke baato ko samajh paayi hu,vo bohot swaabhimaani larki hai.Kahi agar usne aane se inkaar kar diya to?"Rajshekhar said,"To mera Sameer usey manaakar le aayega aur jabtak vo nehi maanegi,Sameer khud waapas nehi aayega.Maine apne bete ko haarna nehi sikhaaya hai."Sameer said,"Don't worry mom,vo aayegi aur zarur aayegi,chahe uske liye mujhe kuch bhi kyu na karna pare.I promise you.Indira aur Maahi dono is ghar mein waapas aayengi."Saying Sameer took their blessings and left for the airport.