Jaane kaisi vo inayat hai,
Koi kehta ye to zamanat hai,
To Kisi ke liye amaanat hai,
Aksar suna hai zamane se kuch
Aisi hi si to mohabbat hai,
Jo paaye ise uske liya badla
Zamaane ka har dhang hai,
Basi hai kayi rangon mein
Phir bhi kuch khaas iska rang hai,
Kisi ke liye puri duniya hai,
To kisi ki duniya ka hissa hai,
Heer Ranjha Romeo Juliet
Isi ka suna suna sa kissa hai,
Mashoor kahani to Jodha
Akbar ki bhi hai,
Par suna hai prem Radha
Krishna sa phir bhi kahin nahin hai,
Jo samjhe pyaar ko uski zindagi
To satrang si hai,
Jo na jaane uska jeene
Ka phika phika sa dhang hai!!