Sari galti maan ki hai ke usne geet ko ni bataya that he is dying
Agar vo bata deta to sab kehte ke kyu bataya khud to mar raha tha geet ki bi life kharab kar di
Bataya ni to bata deta aur geet faisla legi
Muje to samaj ni ata ke sab ko maan se problem hai ke Gc se problem hai
Han ni bataya maan ne as vo ni chahta ke geet apna career kharab kare uske karan jo mar raha
Jab usne apni maa and dadi ko ni bataya to geet kya hai
Kisi ne ye ni dekha ke us par kya beet rahi hai geet ka dard sab ko dikhta hai
Ye hi agar geet beemar hoti aur aisa karti to sab kehte ke geet sahi kar rahi hai she is so mahan
Aur ye kehte maan ne kyu pata ni kiya ke why geet is behaving like this aur aise curse kar diya
Geet ne again bina soche samje maan ko curse kiya
Pachtaye gi bahut jab sach pata chale ga
Maan use hi dard se bachane ke liye sare dard khud le raha hai
Ye kisi ko ni dikhta bas aa jate hai maan ko khosne
617