Oops Sorry for late comment... U knw I was busy... Hai na... So I left reading from part 31 and now here I m with ur comment... Hope u like it... okiez... there will be two comment.. one for geet and one for maan...
Geet:
Kuch khawb sach to hote hai
Par dil ko tod ke rakh dete hai...
Aaryan ne mujhe aazad to kar diya
Par uske dil ka dard meine gehra kar diya...
Par apne pyaar ke liye usne jaane diya
Meine bhi maan ke liye use piche chod diya...
5 saal ke baad us sheher mein kadam rakha
Apnepan ke saath berukhi ka ehsaas bhi hua...
Us ghar me jab kadam rakha sab badal gaya
Dosti ka rishta shadi me badalne ka faisla hua
Darr rahi thi maan kya sochenge
Kya wo kabhi mujhe apna maanenge...
Mere angels ne mujhe unme khone pe majbur kiya
Dia aur namra ne mere chote jahan me pyaar bhar diya...
Par mere aur maan ke rishte main ye foramality aayi
Jo mujhe aur shayad use bhi kuch achi nahi lagi...
Par atit ke us insaan ke saamne aate hi mein darr gayi
Unke aate hi atit ke pano ki palatne ki shurwat huyi...
Unki baatein dil ko kaatein ki tarah chub rahi thi
par mein kuch nahi keh paa rahi thi...
Sorry or thank u ka khel humare beech shuru hua
Par use paas paake mere dil ko kuch hota tha...
Itna ehsaas ho ke bhi kuch keh nahi paa rah thi
Bas andar hi andar unhe chupaye ja rahi thi...
Kuch pal meethe kuch pal khatte bhi aaye
Bas aaye to roz ki tarah chal bhi diye...
Par maan ke accident se mein darr gayi
Use har wo help karni chahi par dard hi le aayi...
Kabhi kabhi paas hoke dur rehna acha hota hai
Dil ka dard fir jyada gehra to nahi hota hai...
Ek din fir anisha di ki ek cheez mili
Jisse uske dil baatein mere liye khulne lagi...
Kuch lamhe di maan aur mere yaad aane lage
Kuch dard to kuch khushi ke aasu dene lage...
Roops ka fir mere liye waha aana acha laga
use waha dekh kar mujhe bahaut acha laga...
Uska tease karna, mere liye fikar karna jayaz tha
par mera pyaar aur deewangi maan ke liye usse badkar tha...
Maan se fir ek taufa mila
laga jaise pyaase ko pani mila...
Khush thi mein par maa ki baatein asar kar rahi thi
Mujhe sochne pe majbur kar rahi thi...
Maan:
Dadima ke faisle se mein khush nahi tha
Anisha ki jagah mein kisi aur ko nahi dekh sakta tha...
Geet dost hai meri use dekh kar mein bahaut khush tha
Par is shadi se shayad is dosti ko kaafi hadd tak badal diya tha...
Mere angels ko geet ke saath dekh khush tha
Geet unhe sambhal legi itna bharosa uspe tha...
Anisha ki yaadein mujhe tadpa rahi thi
Uski wo yaadein hi dil ko sukun de rahi thi...
Mere accident ke din uski aankho me kuch dekha
par fir khayal samajh kar use bhula bhi diya...
mein is shadi ko nahi maanta aur nahi maanunga
Use kaise samjhau mein anisha ko nahi bhula sakta...
Roops ko waha dekh ke geet ke liye khush tha
uske mere prati rukhapan mein samajh nahi paa raha tha...
Sabke liye jab taufe liye to kuch chuta aise laga
Fir ek saare ko dekh ke geet ko usme paaaya...
Use kaise du samajh nahi aa raha
Mushkil se sahi use tease karte huye fir de diya...
Ye tha part 41 part tak... It was totally awesum.. and loved the evry update... It was best at its place... but then maan ko aise behave nahi karna chahiye tha accident ke waqt.. wo mujhe acha nahi laga... later after roops and maa came.. It was superb...
and part 42...
Hayeee geet to kitna khush thi yaar... par maa ki baaton se fir gumsum ho gayi...
My heart is crying for her... Gadha.. ullu ka patha maan.. kamina...
aise bhi kya berukhi... ke dosti bhi ab use kabul nahi...
Duffer.. idiot... I m hating him for behaving like this in party... Stupid. moron kahi ka...
Did he knw what is going thru geet seeing him turning from her...
Oyeee doll... tu jaldi kuch kar warna meine tere maan ka khoon kar jana hai...
Le ab khush ho jaa.. kar di hai comment...
1.2k