Maan Sir, main jaanti hoon ki aap aurauton ka viswaas nahin karke hain, par hum abhi ek pak jagah par hain. Isliye meri baat sau phisdi sach hai. Aap mere ateet ke kuch hisoon ko jaante hain. Aakhir agar main aaj saans bhi le rahi hoon toh woh aapki wajah se. Main jaanti hoon ki aap jaanna chahte thei ki eisa kya hua tha joh meri jaan par ban aayi thi.
Sir, ek darinde ne apni laalach aur hawas ke liye mera sab kuch chhin liya, mera parivaar, meri zameen, aur meri izzat. Mujhe aur mere parivaar ko dhokha diya usne. Mujhe insaaf chahiye uss vehshi ke khilaaf . Brij Vir ji ke khilaaf report Police mein darj kara kar main apni zindagi ki nayi shuruat karne aur uss darinde ko dhundhne Delhi aayi. Ussay dhundhne ke silsile mein main Canadian High Commission bhi gayi thi, jahaan aap se mulakaat huyi thi.
Aap darriye nahin Sir. Main aapko apni taraf nahin kheenchna chahti. Meri zindagi khud itni uljhi huyi hai ki mera saara waqt ussay hi suljhaane mein beet jaayega. Aur mere saath haalaat kuch eise huye hain joh main Pinky ke yahaan bhi nahin reh sakti. Isliye maine aapko pareshaan kiya tha, kyunki mere upar chhath nahin thi, koi aur wajah se nahin Sir. Eisa toh kabhi mere khaayaalon mein bhi nahin aaya. Par Sir, jinka koi nahin hota, unke liye Rab hota hai. Baba ji meri maddad kareinge. Agar aapse nahin bhi milti main, toh bhi koi na koi raasta dhundh hi leti na?
Sir, aapne har mushkil mein mera saath diya jab mere apnon ne bhi mujhe chhor diya tha. Aapne har waqt mere hosle ko buland kiya, aur sahi raasta dikhaya. Par Sir iska yeh matlab toh nahin ki aap mera dard bhara ateet sabke saamne bakhaan karein aur mere charitr par ungli uthain? Sir, har aurat ek jaisi nahin hoti. Agar meri zindagi ko tabah karne jaise raksh iss duniya mein hain, toh aap jaise nek-dil insaan bhi. Aapne kadve ateet se ab eisa toh nahin soch sakti ki har mard uss darinde jaisa hi hoga. Yeh toh galat hoga. Hai na Sir?
I think this should be enough to knock some senses into MSK!
12