Saahir....Sujal&Kashish.....Last Part...11/29 - Page 32

Created

Last reply

Replies

320

Views

95.4k

Users

29

Likes

157

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 16 years ago
kashish dear me here with the comments on "Saahir".. i hope you like the comments..😊 now coming to the comment... tho abhi sujal, kashish kii subaah ho hii jaathi hai... aur sujal ko dekhkar kashish ke chehre par muskaan, awww i know that smille.. kyunke main khud ek fanfic writer hoon, and when i write my fanfics mere dimaak mein yeh saari soch aathi hai.. and that smile of kashish i can very well imagine... that according to me is the sweetest smile a person who is in love can have... it is the smile of the marital bliss... that smile shows kii woh ladki kitni khush hai, apni shadd-shuda zindagi mein... it is a smile of happiness... woh muskurahat ke peeche ek nahii, do nahii balki kayii , kayii saare wajah hothe hai... woh wajah joh ek ladki kabhi bayaan nahii karr paayegi.. that smile on kashish's face shows her contentment which she has in her life... the happiness which sujal has given her.. the love that sujal has showered on her, her smile reflects that... us khushi kii parchayi hai, uske chehre kii muskaan... ab then the scene jahaan kashish taiyaar hokar aathi hai & she sees kii sujal abhi bhi so raha hai.. kashish sujal ko jagane kii bhi koshish karthi hai.. lekin yeh kya sujal tho uth hii nahii raha... now kashish is getting all panicky usse samaj nahii aa raha hai kii sujal ko kya hogaya hai.. well yeh tho zaahir si baat hai, obviously kashish tho tensed hogi na, aakhir sujal uska pati hai, uska better half hai, uska humsafar hai, humkadam hai... and as a wife uska pareshaan hona is perfectly lazmi... aur jab kashish ka tension reaches it's height, sujal ka utna aur kashish ko apni taraf kheench na.. yeh sujal na ek number ka shaitaan hai.. aur tho aur woh din par din aur bhi shaitaani karne laga hai... he was just seeing kashish's reactions.. well sujal yeh tho buri baat hai na, bechari kashish kitni darr gayi hai dekho... aur sujal hai kii usse tho bas mazaak sooj raha hai.. dekho ab kashish root gayii hai manao usse.. lekin haan ek baat tho hai yeh sujal bada shatir dimaak waala hai, woh yeh baat bohat hii achche tarike se jaantha hai kii kashish usse baat kiye bhi reh nahii sakthi, aur sujal usko gud gudi karne lagtha hai.. kashish ko manane ke tarike har kissi ko sujal se seekhna chahiye.. pehle sab tho kashish ka ghussa sirf chocolate se durr hotha tha, aur ab tho sujal ka pyaar , kashish ke ghusse ko durr bhagatha hai.. goo..good.. lage raho sujal.. waise bhi sujal is as sweet as the chocolate... actually chocolate se bhi zyada meeta agar kuch hai tho woh hai sujal ka kashish ke prati pyaar.. achcha hai sujal ne kashish ko mana liya... aur he even promised kashish kii agge se woh aisa mazaak nahii karega... good sujal.. ab phir the talk between sujal, kashish was soo cute... sujal ko tho subaah, subaah phir romance sooj raha hai.. aur kashish usse dhamki de rahii hai.. howwww cuteee.... un dono ka pyaar is increasing by each min, each secomd, each Milli-second of time they are spending with each other... tho kashish , sujal ko Church le jaathi hai.. woh Church jahaan woh pichli baar aayi thi... jab woh pichli baar wahaan aayi thi tho mujhe kashish ke haalat ko dekhkar bohat bura laga tha... lekin is baar tho me fulltoo khush.. aur woh is liye kyunke kashish is baar Church mein sujal ke saath aayi thi.. apne pyaar ke saath aayi hai... apne pati ke saath aayi hai, jiske saath ke liye kashish pichli baar bohat tarsithi... lekin aaj sujal ka saath, aur sujal ka pyaar uske saath hai... not only sujal's pyaar & saath but khud sujal bhi uske saath hai... this thought makes me really happy... and then jis tarah se sujal ne kashish ke mann ko padh liya & he told kashish kii usne Bhagwaan se kya maanga hoga.. this shows kii sujal kashish ko kitne achche se jaantha hai.. he really knows her very well.. sayad ab yeh keh sakthe hai kii sujal, kashish ko khud kashish se zyada jaane laga hai, pechaane laga hai.. and then kashish kii saari duayein are related to sujal, his happiness & his families well-being.. now this shows kii kashish bhi poori tarah se sujal ke rang mein rang chuki hai.. agar sujal, khush hai tho kashish bhi khush hai... it is like sujal kii khushi kashish kii khushi hai, sujal ke aankhon mein aasoo matlab kashish ko dard hona... sujal, kashish ek doosre se is hadh thak judh gaye hai, jahaan woh ek doosre ke bina apne jeevan ka ek bhi kadam agge nahii rakh sakthe... unki khushiyaan, unke ghum everything of those two are inter-related with each other... aur joh kashish ko chahiye, i think kashish wants a chottu sujal.. this is my guess...aur sujal bhi yeh baat jaantha bhi hai.. aur samaj tha bhi hai... aur kyun nahii samjega, aakhir uske dil ke mallika , kashish kii dil kii joh baat hai.... and then joh kashish ke liye sujal ne kiya.... that was really so shweeeettt of him... kitna pyaara hai sujal.. sujal ne Father se kaha kii he should get sujal, kashish married again.. aur is baar woh dono hii yeh shaddi poore dil se chahthe hai... woh dono yeh baat bohat achchi tarah se jaanthe hai kii un dono kii manzil ek hai... woh rahenge saath saath hamesha... and even before the blink of the eye sujal, kashish phir se shaddi kii woh kasmein le rahe hai.. aur is baar un dono ke dil mein koi negative bhaavna nahii hai.. bas kuch tha tho woh hai ek doosre ke liye bohat saara pyaar...and then sujal, kashish kii shaddi phir se ho jaathi hai.. yayyyyy.. yippeee.... i'am loving it.. seriously yaar this scene was like wowwwwwwwww...... and then sujal ka kissing his bride in a quick peck.. woh kashish kii sharam.. hyeee...hyee... main marr jawaa gudh khake..... and now sujal has one more surprise up his sleeve for kashish.... chalo dekhthe hai yeh surprise kya hai, lekin ab yeh surprise kya hai yeh jaan ne ke liye tho kashish ko apni aankhein bund karni hogi na... tho sujal kii farmaish par kashish ne apni aankhein bhi bund kar li... aur jab kashish ne apni aankhein kholi tho uske aankhon ke saamne ek khoobsurat sa ghar tha... and sujal ne jis simple andaaz mein kaha kii woh ghar kashish ka hai... yeh tho bas dil kii awaaz lagi mujhe... aur phir kashish ke woh aasoo.. sujal kii woh baatein... all this was too good.. sujal, kashish kii baaton ne meri aankhon mein aasoo laa diya... and then yeh sujal kya kabhi kashish ke kareeb rehne ka koi mouka gawayega nahii na, tho utta liya usne kashish ko apni baahon mein.. mere hisaab se tho woh riwaaz ko poori karne waali baat bas ek bahana hai, kyunke ab tho sujal mahashay har waqt bahane dhoondthe rehthe hai, apne pyaari biwi ko baahon mein uttana ka, apni pyaari biwi ke kareeb rehne ka.... and the surprises for kashish are not over yet, woh andar jaake dekhthi hai tho she sees all uski aur sujal kii tasveerein... and sujal surprises her even more saying kii kashish ke liye woh ghar pichle do mahine se taiyaar ho raha hai.. how sweet sujal... i liked sujal farmaish kii he wants to spend his every wedding anniversary with kashish us ghar mein.. and sirf sujal, kashish ho... is baat pe main sujal se kehna chahoongi, sujal idea bohat achcha hai.. ek dum mast... zabardast.. away from everyone sirf sujal and kashish & romance all the way... howww nicee.... and then kashish ke sawaal, kii agar woh izhaar nahii karthi tho.. kashish agar tum izhaar nahii karthi na tho sujal tumhe utta kar le aatha... sujal ka jawaab kii woh kashish ke dil kii baat ko pehle hii samaj gaya tha, and then talking about the bed sharing scene from Amritsar, and sujal telling kii yeh tho uski sharafat thi joh usne tab kuch nahii kiya... hahaha... aur kashish ka sujal ko chidana kii woh darrtha tha... hehe.. this was so funny.. yahii has-mazaak tho sujal , kashish kii zindagi ko aur rangeen banathe hai... and thenwhat continued this funny scene, the romantic scenes.. waahhh.. kya baat hai... main tho sharam se paani, paani hogayi thi reading the last bit.... it was sooo damn romantic... unka romance , unke passion... hyeee... jee tho karr raha hai main bhangda karoon... very well written kashish dear.. every element in this part was absolutely perfect... brilliantly written... i loved it completely.... keep up the good work going.... ☺️ now kashish dear coming to my guess on the next part.. well next part ke liye i think there will be many, many , many more, actually countless number of sweet, cute, romantic moments between sujal, kashish... they will be very happy together.. charon taraf bas khushiyaan hii khushiyaan hii hongi, khushiyaan hii dastak dengi unhe.... i think kii next part mein kashish ke diary ka zikar hoga. aur shayad sujal ke saamne kuch aisi baatein aayengi, which he had never known.. jahaan thak mujhe lagtha hai, joh baatein saamne aayengi they will all the good baatein, khushi kii baatein.. shayad un baaton ke saamne aa jaane se sujal, kashish ka rishtha aur bhi mazboot ho jaye, unka ek doosre ke liye pyaar aur bhi badh jaye.... i also think kii next part mein shayad yeh baat aajaye kii kashish is pregnant aur sujal, kashish ke khushiyon kii koi bhi seema hii naa rahe... now kashish this is my guess for the next part.. tho kya mera yeh guess sahii hai.. mujhe zaroor batana.. 😉kashish dear next part jaldi se post karna.. me waiting for the next part very damn eagerly..😊
Edited by sun_423 - 16 years ago
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
awesome part👏............................i m speechless 🤢...............................kya pyaar meri tu eyes mein aanso a rahy hai😭...........................khushi ky.....................dono ne phir se shaadi ki😳..............................pehli bar shaadi mein nafrat thi.........................lekin is bar pyaar tha....................sujal woh ghar 2 months se complete karwa raha tha.........................uss ka believe sach hoga..........................eagerly waiting 4 next part..........................
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago

Last Part

Ab Sujal aur Kashish ki zindagi che mahine aur aage badh chuki thi.......in che mahino me bahot kuch hua.......Sujal ki company satme aasmaan ko chu rahi thi ,,,,,,,,jaha dusri aur Kashish us ghadi me Sujal ke ghar aane ka intzaar karti........lekin Sujal intzaar se pehle hi aajata...........Garewal Mension me to khushiyaan jaise her khone se bahar aa rahi ho..........agar yeh mahol yaha ka hai to dusri aur Sinha mension me bhi khushiyaan piche nahi........Kripa ne ek bete ko janam diya hota hai.............aaj sabki zindagi bahot hi pyaar se chal rahi hai.........aisa lag raha hai ki kahi apno ke khushi ki hi nazar na lag jaye............ab chaliye dekhte hai ki subaah subaah hamare Sujal aur Kashish kaha hai..........subaah ke 11 baje dono wahi JUHU COFFEE HOUSE me aate hai...........in dono ko dekhkar sab log idhar se udhar bhagne lagte hai.......jaise sab log apni jaan bacha rahe ho...........Sujal aur Kashish aake ek table pe bethte hai.........

************************************************************************************

Kashish: Sujal...ab kitni behash karoge.........pichle do ghanto se tum kar rahe ho......kya tum thakte nahi.........

Sujal: Kashish.........baat ko tum nahi samaj rahi......maine ek bar keh diya to keh diya.........

Kashish: tumhare kehne se kya hota hai.......maine pehle bhi kaha tha ki jaisa main chahungi waisa hi is rishtey me hoga.......

Sujal; tumne kaha hoga lekin her bar tumhari marzi nahi chalegi..........khaas karke is mamle me.........

Kashish: ab tab meri marzi chali hai aur aage bhi aisa hi hoga..........

Sujal; jee nahi.........tum aisa kuch nahi karogi.........warna.........

Kashish: warna kya..........tum na dhamki dene ke alawa kuch aur kar bhi nahi sakte..........

Sujal: waise main kar to bahot kuch gaya hoon lekin abhi bhi tumhe aisa lagta hai to main bahot kuch kar sakta hoon........lekin hum us bare me baat nahi karte..........tum man lo ki maine jo kaha woh sahi hai......

Kashish: nahi main sahi hoon........

Sujal: nahi main sahi hoon.........

Kashish: main sahi hoon........

Sujal: main sahi hoon.........
Kashish: mainnnnnnnnn........

Sujal;mainnnnnnnnnnnnnnn.........

Kashish: chuppppppppppp..........

Sujal: tum bhi chupppppppppppppp............

Sujal aur Kashish dono ek dusre ki aur muh fulake beth jate hai........pure coffee shop me khamoshi cha jati hai..........sab saans lene se bhi darte hai jab coffee shop me Ranbir aur Kanya aate hai.........

Ranbir: waiter........yeh itna sannata kyun hai..........

Waiter: woh samne table number 3 pe.........

Ranbir aur Kanya waha jate hai..............

Kanya: tum dono.....

Sujal; tum dono........

Ranbir: abhi bhi tum dono ke beech pyaar nahi hua........

Sujal aur Kashish ek dusre ki aur dekhte hai aur phir zor se hasne lagte hai...................jise dekh ke sab hairan ho jate hai.........

Kanya; kahi in nafrat ne tum dono ko pagal to nahi bana diya..........tum dono has kyun rahe ho.......

Sujal; sahi kaha hum dono pagal ho gaye hai lekin...........nafart ki waje se nahi pyaar ki waje se..........

Ranbir: matlab tum dono ke beech.........

Kashish: haa hum dono ke beech sab kuch thik hai...........hum ek dusre se bahot pyaar karte hai...........

Kanya: to phir yeh ladai..........

Sujal; oh.....yeh ladai.......woh main kab se Kashish se keh raha hoon ki hume beti hogi.........

Kashish: nahi Sujal beta hoga...........

Sujal; beti hogi.........

Kashish: beta hoga.......

Ranbir; ladna bandh karoge to dono hi honge................maine kaha tha na ki pyaar sabkuch badal deta hai.........ab muj jaisa sandh pyaar kar sakta hai to tum to ........lekin tumne mujse pehle hi sixer mar diya...........

Sujal: main to sixer marke zindagi bhar ke liye not out ho gaya......

Kanya: enough guys............

Ranbir: sorry kanya..........

Kanya: tum bhi na.........waise congrets......aap dono ko chnad sa beta aur pari si beti ho.............

Ranbir: congrets............ab ladna nahi thik hai........hum chalte hai.........phir milenge to shayad saath me tumhare pyaar ko milne........bye.............

Kanya: bye........apna khayal rakhna....................

Ranbir aur Kanya waha se chale jate hai..............

Sujal; ab hum bhi ghar chale sabki yeh khushkhabri deni hai.........

Kashish: haa chalo..........sab kitne khush honge na......

Sujal; woh to jane ke bad hi pata chalega..........

Kashish: to chalo na...........

Kashish Sujal ka haath khich ke bahar le jati hai...............sab log hairani me dekhte hi rehte hai ki yeh kya se kya ho raha hai.................

************************************************************************************

ab Sujal aur Kashish ghar aate hai jaha pe sirf Anjali aur Prerna hote hai..........

Anjali; tum dono ko ho kya gaya hai.......subaah subaah gayab..............na naste pe aaye na kisi ko batake gaye...........tumhare bhaiyaa ka office se kam se kam dus bar phone aaya hoga..........

Sujal; pehle yeh to suno hum gaye kaha the ..........

Anjali; zahir si baat hai subaah subaah tum shopping pe to nahi gaye honge........ha ek jagah hai jagah pe sab subaah jate hai..........mandir ya to hospital.....lekin yeh dono tumhare kis kaam ki.........bhagwan me tum mante nahi aur hospital to khud tumhare naam se bhagti hai........haa yeh ho sakta hai ki Kashish ko hospital me..........

Prerna: Anjali...bas kar ab tum undono ko bhi kuch bolne dogi.........

Anjali; haa haa bolo........maine kab mana kiya hai............

Sujal; hum wake me hi hospital gaye the.............

Prerna; kya hua...........tum dono ki tabiyat to thik hai.......kuch bolte kyun nahi.........kya kaha doctor ne..........

Sujal; hum bilkul thik hai aur doctor ne kaha ki aap dadi bannewali hai.............

Prerna: kya kaha tune................

Sujal; Kashish is preganant.........

Anjali: sach Kashish............

Kashish; hmmmm.............

Prerna: main bahot bahot khush hoon........anjali zara jake puja ki thali to lana..........

Anjali; jee abhi layi..........

Anjali puja ki thali lati hai aur Prerna Kashish ki nazar utarti hai............Anjali aur Prerna dono Kashish ke gale lagti hai aur Kashish Prerna ka aashirwad leti hai...........

Prerna: aaj se tum koi kaam nahi karogi .......aaj se sirf aaram.........aur agar tumhe yeh Sujal pareshan kare to muje bata dena.........achche se khabar lungi..........

Anjali; mama ab to use chod dijiye.....khud ek bache ka baap banne wala hai.........

Prerna: to kya hua.......ise na mera sukhriya karna chahiye .........agar main na karti to yeh kabhi Kashish se shaadi nahi karta...........

Sujal hugged Prerna.........

Sujal; Thank you mama so much.............aap sahi keh rahi hai aap hi ki waje se Kashish muje mili hai...........i am so thankful to everyone............

Prerna: ab baatein banana bandh kar aur Kashish ko upper le ja.........woh bhi thak gayi hogi.........

Sujal; jee chale Kashish........

Anjali; Mama......ab aap apne is bete ko bhul jaiye ab to aapka beta pura Kashish ka ho gaya...........

Prerna: achcha hai Kashish ke pyaar ne hi ise sudhar diya..........

Kashish sharmake apni nazare juka deti hai aur Sujal bina kuch kahe use apne kamre me leke jata hai..........

************************************************************************************

Sujal Kashish ko bed pe bitatha hai lekin Kashish khadi hoke kahi aur jane ki koshish karti hai...........

Sujal; kaha ja rahi ho........tumhe aaram ki zaroorat hai.........

Kashish: nahi muje woh meri diari..............

Sujal: ab us diari ko to main............jitna waqt tum mere saath nahi bitati utna tum us diari ke saath...........waise aisa kya likhti ho..........aaj tumhe muje batana hi hoga.............

Kashish: Sujal kisi ki personal diari ko padhna buri baat hai..........

Sujal; ab hum dono me itna bhi kya personanl hai...........

Kashish: thik hai ..............khud hi dekh lo ki main usme kya likhti hoon.................

Sujal; sach...........

Kashish: hmmmmmm...........woh meri almari ke aakhri drawer me...........

Sujal jake woh diari kholke padhne lagta hai............Sujal pehla page kholti hai............

" Aaj main apne pehle din ki college ke liye gayi waha meri mulaqat ek ajnabee se huyi.........waise usme thi bahot akkad aur abhiman........lekin kehte hai na ki abhiman hi ek aisi pehchan hai jo dusro ko pasand aati hai........usme kuch to aisa tha kya tha muje pata nahi lekin woh baatein jo usne muje kahi woh main bhul nahi sakti......"

Sujal; yeh sab.......

Kashish: pehle aage padho...........

" her roz main kuch na kuch bahane banake zagde ki shuruaat karti hoon ........her bar main ilzam uspe lagati hoon lekin sach to yeh hai ki in sab me uski koi galti hi nahi........haa aap sab yeh sochenge ki main aisa kyun kar rahi hoon kyunki main chahti hoon ki woh mujse lade...........isi bahane woh mujse baatein kare kyunki muje yeh achcha lagta hai........"

Sujal; tumhe main pasand tha........

Kashish: shayad...........

" phir meri zindagi main koi aaya swayam........jise main pasand karti hoon kyunki woh bilkul waisa hi jaisa main chahti thi lekin phir bhi kyun main chahke swayam ke alawa Sujal se ladne me jyada waqt lagati hoon..........kyun meri sari saheliyaan muje Sujal ke naam se chedti hai aur muje gussa aane ke badle kuch hota hai........"

Sujal; muje to yakeen hi nahi hota........

Kashish: aage to padho......

" phir dheere dheeere Swayam ke aane se main Sujal se durr hoti gayi........hamare galatfemiyaan aur abhimaan ne hume itna durr kar diya ki hum ek dusre ki sakal bhi dekhna nahi chahte the.......aur meri nafrat tak hadd se bahar ho gayi jab Sujal ki waje se muje college se bahar nikala gaya.........aaj nahi to kal main apne is abhiman ka badla zaroor lungi........."

Sujal; I am sorry meri waje se........

Kashish: tum yeh sab mat socho.........aage padho........

" aaj swayam ne mere saath itna sab kuch kiya tabhi ehsaas hua ki jisse pyaar kiya usne yeh saza di........aur jisne dushmani ki thi woh to hamesha sahi tha ki Swayam sahi nahi........aaj khud pe gussa aata hai ki kyun maine Sujal ki baat nahi mani.......lekin ab to sab kuch samundar ki reth ki tarah chut gaya hai aur jise milne ki koi khwaish nahi........."

Sujal; itna sab kuch aur tum.........

Kashish: sehti rahi aur karti bhi kya.........

" aaj dekho kismat muje kaha le aayi.........aaj meri shaadi kisi aur ke alawa Sujal se tai ho rahi hai.........jise main pal nafrat karti thi kyunki uski waje se mera career tabah ho gaya..........lekin dusri aur main usse shaadi is liye nahi karna chahti kyunki use mujse bhi jyada achchi ladki mil sakti hai....."

Sujal: to yeh thi shaadi na karne ki waje.........

Kashish: haa thi to.........

" aaj main khud ko Sujal se durr karne ki koshish kar rahi hoon lekin takqir hai jo muje uske kareeb leke ja rahi hai.........aaj jab airport pe woh mera haath pakad ke muje texi me le gaya tab muje ehsaas hua ki mera ek pati hai jo mere liye parwaah karta hai.......lekin jab maine Sujal ko us amanda ke saath dekha to muje bahot jalan ho rahi thi........aur gussa bhi sujal aise kaise sabko hamare problem ke bare me bata sakta hai........"

Sujal; us din galti tumhari thi...........

Kashish: to main aur kya karti tum to the nahi madad karne...........

" aaj jis tarah Sujal muje party me dekh raha tha ek pal ke main bhul gayi ki main Sujal se nafrat karti hoon ........lekin jo halat hamare saath bane uske liye shayad bhagwan bhi yahi chahta hai ki hum ek dusre se jude rahe ........aur aaj pata chal gaya ki kahi na kahi Sujal me itni insaniyat to hai ki woh ek aurat ki izzat kare kyunki jis tarah se usne muje kiss kiya.....he was so kind......."

Sujal: i know........meri her kiss pe tumhe asar hoti hai,.....

Kashish: chup raho aur aage padho.........

" aaj Sujal ko jis baat me chupa rahi thi woh bhi pata chal gayi ki meri kamzori kya hai...........lekin muje khushi hai ki meri kamzori ko dekhne ke bad bhi woh mere liye pareshan tha .........shayad kahi na kahi usme insaniyat hai..........ek aisa insaan jo dusro ko taklif me dekhke use khud taklif hoti hai.............."

Sujal; us din to tumne muje dara hi diya tha.........

Kashish: janti hoon.........

" jab aaj pehli bar Sujal ne muje apni baahoin me uthaya to ek pal ke liye main uski aankhoin me jaise dub hi gayi thi..............pata nahi naam mera Kashish hai lekin main khichti chali ja rahi hoon uski aur....."

Sujal: waise tum sach me pehle bahot bhari thi.....

Kashish: shut up...........

'' aaj pata hai kya hua......jis tarah se Sujal mere aur us badmasho ke beech khada raha to aisa laga ki use meri izzat ki parwaah hai.........jis tarah se usne muje apne aap ke kareeb pakada tha to muje bhi achcha laga.........aur sabse jyada tab jab usne muje mere aanshu ki waje puchi ab main use kaise batati ki yeh aanshu aanewale kal ke toofan ke hai jo kabhi bhi meri zindagi me aa sakta hai ......"

Sujal: tumhe pata tha ki swayam zaroor aayega..........

Kashish: haa kyunki mujse jyada use kaun jan sakta hai.........

" Sujal aur main apne is jooth ki shaadi se bhag rahe hai lekin kismat bhi ajeeb khel khelti hai........aur kehte hai na ki aaj tak kaun sach se bhag saka hai........usi tarah aaj bhi na chutke bhi hum ek dor me bandhe hai........"

Sujal: jo ab kabhi nahi tutegi......

Kashish: janti hoon.............

" aaj ki party me Sujal ne muje woh tohfa diya jo koi kisi dusman ko bhi nahi deta...........aaj muje mere hi bhayanak kal se milvaya jise main bhag rahi thi..........Sujal maine tumhe achcha insaan mana tha lekin tum to..........lekin tumhari bhi galti nahi kyunki tum to sach jante hi nahi aur main sach bata nahi sakti............

Sujal; ek bar keh diya hota.........

Kashish: kaise kehti..........darr tha ki tum mujpe yakeen karoge ki nahi.............

" aaj Bhabhi se baat karke ehsaas hua ki galti to meri hi hai maine hi kabhi Patni nahi ban payi..........jab dosh kudme ho to dusro pe ungli nahi uthani chahiye........lekin kahi na kahi ab darr lagta hai Sujal se durr hone me.........kyunki Sujal se durr hoke muje mere us kal ka samna akele karna padega jo main nahi kar sakti..........aur shayad isi liye kahi na kahi muje Sujal jaise dost ki zaroorat hai......"

Sujal: shayad galti meri thi tumne muje bataya tha lekin main hi.........

Kashish: galti hum dono ki thi shayad.........

" aaj maine hamesha ke liye Shimla jane ka fisla kar liya hai........apne kal aur aaj se bahot durr .........shayad main apne kal ko chupane ke liye apne aaj ko khatam kar rahi hoon..........main to yeh bhi nahi janti ki main in sab ke bina jee paungi ki nahi................shayad jee bhi lungi lekin Sujal ke bina............shayad yeh sawaal sawaal hi reh jayega mere liye..........."

Sujal: aise kaise muje chod ke tum ja sakti ho..........

Kashish: gayi to nahi.......

" aaj main bahot khush hoon kyunki aaj muje aise Sujal ke saath dekhke mera pura parivar khush hai............aur sabse jyada Sujal ka vishwas mere saath hai.......aur muje ehsaas tab hua jab main darr ke mare Sujal ke gale lag gayi aur jis tarah usne muje saraha aisa laga ki muje mera pati sach me hosla de raha hai........"

Sujal: woh natak nahi tha.........

Kashish: janti hoon.........

" aaj Sujal ki isi galti ki waje se phir se main apne kal me chali gayi...........jo zakmo abhi bahre nahi use aaj phir se taaza kar diye............kyun Sujal kyun kiya tumne.........mana tum mujse pyaar nahi karte nahi tum is shaadi ko mante lekin aisa to koi dusman ke saath bhi nahi karta...........I hate you.........."

Sujal: tumhare nafrat ki waje jahiz thi..........

Kashish: janti hoo.........

" ab aaj Sujal ne mujse woh kaha jise main hamesha sunna chahti thi..........aaj usne mujse zindagi bhar saath dene ka vaada kiya......aaj Sujal ko dekh ke aisa laga ki muje meri zindagi jine ki waje mil gayi........lekin aaj phir se mere dil me ek sawaal hai kya main apne is aaj pe vishwas kar sakti hoon........."

Sujal: aaj karti ho mujpe vishwas........'

Kashish" na karti to aaj yeh mere saath nahi jaan nahi hoti............

" phir ek din Dadi ki aakhri khwaish ne hum dono ko hamesha ke liye jud diye...........aaj maine pehli bar Sujal ko tutte dekha.........shayad aanshu uske nikal rahe the lekin dard muje ho raha tha.......aaj jab Sujal ne kaha ki use darr hai ki kahi main use chodke na chali jau.......tab mera dil yeh janta hai ki yeh janam to kya agle saat janam tak ab Sujal ka saath nahi chod sakti kyunki aaj se maine dil se aatma se Sujal ko apna pati man liya hai......."

Sujal: pata nahi us waqt tum nahi hoti to..........

Kashish: main to hamesha tumhare saath hoon...............

" aaj jab maine Sujal ke zakhmo ko dekha to meri jaan hi nikal gayi thi,........kitna dard hua hoga jab use yeh chut..........lekin aaj main garv se keh sakti hoon ki Sujal mera pati hai.........aaj usne woh ladki ke liye kiya woh koi aam insaan nahi kar sakta.......i am so lucky to have sujal in my life...."

Sujal: i am lucky to have u........

Kashish: we both r lucky........

'' us raat us office me kuch na huye bhi bahot kuch ho gaya........hum log ek dusre ke itne kareeb aake bhi na aa paye........mere kampte hoth Sujal ko yeh nahi bata sake ki main bhi yahi chahti hoon jo woh chahta hai..........lekin muje bahot gussa aaya ki woh kaise apne aap ko kasoorwad manta hai.........use kya lagta hai ki main sirf uske saath Dadi ke liye reh rahi hoon to woh kitna galat hai.......main apni marzi se uske saath reh rahi hoon........."

Sujal; muje kya pata tha ki tum bhi warna........

Kashish: warna bahot dekh chuki...............

" aaj jab maine Sujal ke hoth se suna Mrs.Garewal to muje yakeen hi nahi ho raha tha.............lekin phir jab mandir me un aurat se suna ki Sujal mujse kitna pyar karta hai tab yakeen hone laga ki yeh sab pyaar hai..........aaj bahot bahot khushi huyi ki Sujal ko woh contract mil gaya........"

Sujal: tum janti thi to kyun nahi kaha ki tum bhi mujse...........

Kashish: main ladki hoke kaise kehti,,,,,,,,,

" aaj jab muje Sujal ne muje pehli bar kuch tohfa diya........woh mere liye sabse jyada anmol hai ..........lekin jis tarah se yeh chote chote lamhe hume kareeb la rahi hai hum dono kuch kahe bina hi ek pyaar bhari shaadi shuda zindagi jine lage hai............."

Sujal: tum us din us choli me kafi sexy lag rahi thi.......

Kashsih: thank you Mr. Garewal..............

" Amritsir ke safar ne hum dono ki zindagi ko puri tarah se badal diya............ya aisa bhi keh sakte hai ki yeh safar hamari zindagi ka ek ahem hissa tha............woh chote chote lamhe bhi kuch alag hi nasha tha.........aur jo Mumbai nahi kar saki woh Amritsir ki Jasmeet ne kar diya...............main aaj apne pyaar Sujal ki baahoin me............main labzo me baya nahi kar sakti ki main kitni khush hoon..........jab aankh khuli to ehsaas hua ki main to puri raat jannat ki baahoin me so rahi thi........"

Sujal: Jannat........

Kashish: ha jannat jiske bina ab main ek raat bhi nahi reh sakti............

'' aaj pata chala ki jo kuch bhi ho raha woh aise hi nahi balke upperwala yeh chahta tha tabhi to anjane me hi hum dono ne apne saat phere ke saat vachan nibhaye hai..........aur aaj jab Sujal ne meri mang me sindoor lagaya tab aaj main puri tarah se uski ho gayi........"

Sujal: anjane me hi hum to ek ho gaye the........

Kashish: aur rahenge.........

'' aaj jab meri Sujal se wapas aake phone pe baat huyi to aisa laga ki use meri kitni fikar hai........main khud jald se jald SUjal ke pass jana chahti thi kyunki main use aise dukhi nahi dekh sakti lekin kya hua jab kamre me pahonchi to kya hua.............Sujal ko khud ke liye main aise........nahi dekh sakti apne pyaar ko is tarah...........aaj jo bahot pehle ho jana chahiye tha woh ho gaya...........Sujal aur Kashish hamesha ke liye ek ho gaye...........hum is tarah se ek huye hai ki ab koi hume alag nahi kar sakta...........aaj main puri tarah se Sujal ki ardhangini ban gayi.........lekin ek darr tha to woh us papers ka lekin Sujal ne woh bhi fad diye..........aaj shaadi ki pehli saal girah pe isse achcha tohfa kya hoga ki Sujal mujse bahot bahot pyaar karta hai..............aur main bhi Sujal se beimtihaan pyaar karti hoon..........I Love you Sujal......"

Sujal: i love u too..........

Kashish: me too.......

" ab zindagi itni khubsurat lag rahi hai ki muje yakeen hi nahi hota ki hum dono is tarah pyaar me ho sakte hai..............itna pyaar muje aaj tak nahi mila kabhi kabhi darr lagta hai ki kahi meri hi nazar na lag jaye meri khushi ko............lekin Sujal ko dekhne ke baad muje darr nahi lagta..........kyunki sujal meri kamzori hai to wahi meri taqat hai...........main aaj Sujal se inta pyaar karti hoon ki ab ek pal bhi nahi reh sakti uske bina.............bahot bahot pyaar karti hoon main tumse.........."

Sujal: ab iske aage nahi likha............

Kashish: aaj likhungi na ki aaj tumne muje isi pyaar ka sabse anmol tohfa diya hai jo mere andar saans le raha hai..................Sujal thank you so much...........muje itna pyaar dene ke liye............

Sujal: thank you ki tum meri zindagi me aayi............

Kashish: ab tum jao aur muje meri diari likhne do........

Sujal: lekin isme sab kuch to mere bare me hi hai.........

Kashish: to aur kiske bare me hoga............

Sujal: matlab.......

Kashish: idiot........main tumhe pehle se hi pasand karti thi haa kabhi apne jasbat ko pehchan nahi saki.............

Sujal: pehle kaha hota.........

Kashish; ab to jan gaye na.............ab jao.........

Sujal: I love You.........

Kashish: I love you too..............

************************************************************************************

ab raat ko Sujal aur Kashish apne kamre me sone ki taiyariyaan kar rahe hote hai............

Kashish: Sujal kya kar rahe ho........light off karke so jao na........

Sujal: kuch nahi list bana raha hoon.........

Kashish: kiski.........

Sujal: kal hum meri beti ki shopping ke liye jayenge na.........

Kashish: beta bhi to ho sakta hai..........

Sujal: beti bhi ho sakti hai..........

Kashish: beta..........

Sujal: hum aisa karte hai......pehle beti......phir beta.........phir beti......beta.........beti.........beta........beti...........beta........beti.........beta........beti...........beta........

Kashish: chupp...........muje mar daloge kya itne bacho ke saath..........

Sujal: kyun 12 bahot jyada hai.............

Kashish: bahot nahi bahot bahot jayda hai.........ab tum yaha aao...........

Sujal comes and sleeps next to her...........she comes near him and sleep in his arms resting her head on his shoulder............

Kashish: hume sirf ek beta aur ek beti chahiye............

Sujal: haa pata hai agar hume beti hogi na to uska naam main Sahana rakhunga.........achcha hai na.......

Kashish: haa bahot........aur agar beta hua to uska naam Armaan hoga...........

Sujal: pehle to sahana hi aayegi........

Kashish: pehle Armaan..........

Sujal: pehle Sahana........

Kashish: Armaan.........

Sujal: aisa bhi ho sakta hai ki dono ek saath..........

Kashish: matlab twins...........

Sujal: haa........

Kashish: pata hai muje to intzaar bhi nahi hota.........woh kaise dikhenge...........

Sujal; woh bilkul tumhari tarah hoge........khubsurat..........

Kashish: aur jiska attitute hoga uske papa ki tarah..........

Sujal: waise kal hum kaha ja rahe hai........

Kashish: mall........

Sujal: to ab se to aath mahine ke liye sab kuch bandh..........

Kashish: aur infact.........aaj se teen mahine ke baad tum sofe pe soge kyunki tumpe bharosha nahi karte.........

Sujal: Kashishhhhhhh............

Kashish: thik hai do mahine bad......

Sujal; Kashish,,,,,,,,,,,,,

Kashish: abhi se........

Sujal: abhi ki bachi..........abhi dikhata hoon...........

Sujal Kashish ko gudgudi karta hai aru Kashish zor se muskurane lagti hai..........aur aise hi dono ki Zindagi khushi se chal rahi hai.,...........jab aakhir me dono wall ki aur dekhte hai jaha pe ab Sujal ki tasvir ki jaha dono ki bahot hi badi pic hoti hai......................

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
Hi Friends! i want to thank you all for your love ans support thorough out this ff. Without you, i wont be able to write this far. So, i am truly thankful for that. I appriciate everyone's comments. Your comments make me to write something better than last time. So thanks a lot.....
I want to Know
how you feel about the story?
which is ur most favorite romantic scene?
which is the scene that i made u cry?
which is the scene that i made u laugh?
what is the best thing u like about Sujal and Kashish?
ple write something that u want me to say something as we travelled so far togather
love
kashish
adventure_gurl thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
I loved all the scenes! really cute!😉
jyothi_cool thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 16 years ago
wow kashish gr8 stoy me loved it wish it did not have to end come up with ur new story soon
heena_mehta thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
res
hey kashu dear me very sorry i will definately post my comments later................
mystified thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago
nahhhhhhhhhhiiiiiiiiiiiiiiiiiiinnnnnnnnnnnnnn!!! u ended it already...i am so sad....it was goin so well...but i guess it is the writers call*sigh* the end was superb and the coffee shop scene is my favorite anytime😉....
coming to ur questions....
how you feel about the story?

yeh bhi koi poochne waali baat hai...it was too good especially coz i love dishum dishum bhari romantic story😆
which is ur most favorite romantic scene?

anytime the day at the coffee shop coz that place had a lot of significance in their relationship and also their first trip to newzealand and the party and then at amritsar...wow see too many😆....
which is the scene that i made u cry?

cry...hmmm i don know may be when she got hurt coz of swayam and o yes when sujal's dadi died and he was sad i was also feeling bad 😭that part was well written👏👏

which is the scene that i made u laugh?

laugh!! that is the only thing i have done from the beginning...right from the first scene🤣...i have enjoyed a lot as there are so many....

ple write something that u want me to say something as we travelled so far togather

dear kashish u r a gud writer and a wonderful person...i hope our friendship continues...there is a certain sincerity in ur writing which helps the readers to connect instantly with ur story...do keep writing😊...


luv
sofi😳

Edited by mystified - 16 years ago
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 16 years ago

awesome part kashish.................................lekin i feel bad itni achi fic khatam hogi.......................... 👏

how you feel about the story?


hhhhhhhhhhhhhmmmmmmmmm.............i think itzzzz superb story................aise khaani jis mein pyaar bhi tha aur larai bhi thi sujal kashish ki.............................and most important its 2 romantic................. 😳

which is ur most favorite romantic scene?


yeh choose karna buhat muskail kam hai........................all romantic scenes of sujal and kashish were good........................but most favorite scene........................woh raat jab sujal kashish ky liye pareshan hua tha...................aur woh dono eik hue the.................. 😳

which is the scene that i made u cry?


jab sujal ki dadi ki death hui thi.......................aur sujal ro raha tha.................. 😭

which is the scene that i made u laugh?


jab sujal kashish coffee shop mein the ............................aur sab log in dono ko dekh kar bagh rahe the..................... 😆

what is the best thing u like about Sujal and Kashish?

the best thing of sujal kashish hhmmmmm...........their internal love,chemistry and some about little little fight...............

ple write something that u want me to say something as we travelled so far togather

dear kashish, ur story was superb and fanastic .................u write very well stories................tm ab tek jitni bhi fic likhe hai sab buhat achi aur sab se alag hoti hai...................tm chemistry itni avhi rakh thi ho ky reading mein maza a tha hai.................... i hope tm buhat jald koi aur fic start karo gi..................best of luck for that................😉

love,

samrah


swetha10 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 16 years ago
Hey Kashish.. sorry for the late comment... Well wonderful ending to a beautiful FF... Luved it...
how you feel about the story?
Story was amazing.. different but gud.......
which is ur most favorite romantic scene?
Consumation scene...
which is the scene that i made u cry?
when Sujal lost his granny n kashish was consoling him..
which is the scene that i made u laugh?
their quarrel at the cafe abt the child..
what is the best thing u like about Sujal and Kashish?
just one thing.. They r MADE FOR EACH OTHER.....

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

3 months ago

Aradhana & Reyaansh SS : Na Jaane Kyun (last chp + epilogue pg 3)

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Rizz-ington

1 years ago

⭐Back⭐ Arhi FF | Iss Darr Ko Kya Naam Doon: Chapter 3 - Part 3/3

A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

8 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".