Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 23 Aug 2025 EDT
First glimpse of Dua Padukone! Pics and video inside
CID episode 71 - 23rd August
SHAADI HOGAYI 23.8
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 24 Aug 2025 EDT
Rathores are here- Gen 5
ARMAN KI JOGAN 24.8
Ranbir is accused of secretly following Deepika in social media 😆
When you’re in love with ddp
Restrain order
Anupamaa 23 Aug 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Abhira: Life main problems ho chalega lekin Armaan na ho..
What’s next for Hrithik Roshan after a hat-trick of flops?
Just Casual EMA
Yeh Rishta kya Kehlata hai
Agastya's Ikkis to clash with Junaid's Ek din(Nov 7,2025)
Danger Song Copied From Pak Show
KSBKBT FF: The broken ties Part1 : The revenge Pg1
Part-32
aaj hamari kahani ek mahine aur aage badh gayi hai...........aaj Anurag ne sabhi ko apni Office yani Hotel Garewal me bulaya hota hai.............
Anurag: aap sab log soch rahe honge ki maine is tarah yaha aap sabko kyun bulaya hai...............lekin uski bhi ek waje hai......aaj maine ek faisla le liya hai..........jisme Prerna bhi mere saath hai...........aaj main apna woh faisla shunana chahta hoon........
Sujal: Papa.....aisi koi serious baat to nahi na.........
Anurag: nahi Sujal.........balke tum sab ko to khush hona chahiye.........
Kashish: papa hum kuch samje nahi............
Anurag: ab dekho ghar me teen teen bahu aanewali hai aur bete business ko sambhalne wale ho gaye hai to mere khayal se ab muje retire ho jana chahiye..........
Prem: retire........
Anurag: haa aaj se meri jagah Sujal yani aaj ke bad Garewal Hotels ka President Sujal hoga............aur aaj se Sujal ki jagah MD Rudra hoga...........aur Rudra ki jo business lawyer ki position hai woh aaj se Kashish sambhalegi...........Prem aaj bhi Financial Director rahega kyunki use yeh sab pata hai..........aur shaadi ke bad Mehek hamari Creative Director hogi.........aur Heer Marketing Director...............to yeh tha meri zindagi ka sabse bada faisla...............
Sujal: itna bada faisla.........aap ne ek bar bhi humse kuch pucha nahi...........
Prerna: kya tumhe tumhare Papa ke faisle sahi nahi lage..........
Sujal: nahi woh baat nahi.........Papa ne faisla kiya hai to sahi hi hoga............lekin Papa ki jagah main kaise le sakta hoon....yeh to Rudra ka hakk banta hai............
Anurag: Rudra ka kyun,.,.......yeh hakk to bade bete ka hota hai......aur Garewal ka sabse bada beta tum ho..........
Rudra: aur aapne kaise soch liya Bhai ke main aapki jagah...........main aapki jagah saat janam me bhi nahi le sakta kyunki aap ke jaisa koi ban hi nahi sakta..............
Prem: main bhi Rudrabhai ke faisle se sehmat hoon......jab hume koi aitraaz nahi to aap kyun bar bar aisa soch rahe hai...........
Sujal: lekin tum dono meri baat ko samaj nahi rahe........
Rudra: aur hume samajna bhi nahi...........
Prem: bhabhi aap hi kuch kahiyena.........
Kashish: nahi isme main bhi kuch nahi kar sakti......yeh faisla tumhare Bhai ko karna hai........Sujal jo bhi faisla karenge woh muje manzur hoga...........
Prerna: Sujal tu kabhi apni Mama ki baat nahi talta........aaj main keh rahi hoon.........Anurag ka faisla man lo........
Sujal: thik hai aap keh rahi hai to main aapko kaise mana kar sakta hoon............muje manzur hai Papa ka yeh faisla............
Rudra aur Prem Sujal ko lejake Anurag ki chair pe bithate hai..............sab log bahot khush hote hai lekin ek insaan jiske chehre pe jalan hoti hai........woh aur kaun ho sakta hai......hamari maya bua.......jo yeh faisle se kahi bhi sehmat nahi thi aur office se nikal ke ghar chali jati hai...............
****************************************************************************************
ab sirf office me Sujal,Kashish, Rudra, Mehek, Prem aur Heer hote hai..........Rudra dekhta hai ki abhi bhi Sujal aur Kashish kuch pareshan hote hai...........
Rudra: Prem........muje na aaj teri bahot fikar ho rahi hai...........
Prem: kyun muje kya honewala hai..............
Rudra: tu to patla ho jayega mere bhai..........
Prem: per kaise.....
Mehek: kya paheli buja rahe ho..............kaho na jo kehna hai............
Rudra: woh ab se Bhabhi office aayegi to tere lunch ka kya hoga.........kyunki jabse bhabhi aayi hai tu to uske haath ka khana hi khata hai............lekin ab to Bhabhi nahi bana payegi to,,,,,,,
Prem: Bhabhi..........
Kashish: kya Rudra..kyun bechare ko pareshan karta hai..............main na tere liye office se aane se pehle lunch bana dungi............ab khush..........
Prem: I love you bhabhi..u r the best bhabhi............
Sujal: aur main...........
Prem: aap to the best ho tabhi to itni achchi bhabhi mili hai.............
Sujal: waise Mehek maine suna hai.........ghar me hukum badi bahu chalati hai jo ab Kashish hogi aur choti bahu to sabki ladli hoti hai jo Heer hai.........to tuje to yeh dono milke pareshan kar denge............to kuch socha hai ki nahi..........
Mehek: nahi jiju.....lekin Dii mere saath aisa nahi kar sakti......is heer ka muje pata nahi..............
Heer: kya matlab hai ki main aapko pareshan karti hoon...........
Mehek: isme sochnewali kaun si baat hai.............
Kashish: ab tum dono phir se shuru mat hona.....ab tum dono woh panch saal ki bachi nahi rahi...........ab tum dono badi hoyi ho.........kuch hi dair me tum dono ki shaadi honewali hai aur tum dono aise...........agar tum dono aise hi ladte rahe to mujse baat mat karna..........
Mehek: dekh Heer teri waje se Dii naraz ho gayi..........Dii ab naraz nahi hote ..........main vaada karti hoon ki kabhi Heer se zagda nahi karungi............
Heer: aur main bhi.......dii ple man jaiyena............
Kashish: tum dono se koi naraz bhi nahi reh sakta...............
Rudra: ab tum sabka emotional drama khatam ho gaya............
Mehek: tum jaise emotionless insaan ko nahi samaj aayega..........
Sujal: nahi Mehek aisa nahi..........Rudra jitna shakt hai utna hi kamzor bhi........jab baat parivar ki ho to woh kuch bhi kar sakta hai yaha tak ki sab kuch dav pe laga sakta hai.........aur Rudra ko mujse jyada aur kaun jan sakta hai...........
Rudra: kyunki mere liye aap mera sabkuch ho........
Prem: ab yeh baat chodiye.......jaldi chaliye muje bhukh lag rahi hai..........
Sujal: ho gaya iska phir se shuru.........chal aaj main tuje khana khilata hoon.......today's lunch on me.......lets go............
sab log lunch ke liye jate hai..........
****************************************************************************************
ab shaam ko Sujal aur Kashish apne kamre me hote hai...........
kashish: aap khush to hai na is faisle se...........aaj aapne thik se baat bhi nahi ki.........
Sujal: nahi main khush hoon..........aur mere pass waje bhi nahi thi Papa ke faisle ko na manne ki...........
Kashish: to aap khush kyun nahi dikhai dete..........
Sujal: kyunki muje kahi na kahi aisa lagta hai ki maine Rudra aur Prem se kuch chin liya hai............aaj muje jo kuch bhi mila uspe mera hakk hi nahi banta..........
Kashish: aisa kyun keh rahe hai..........aap jante hai ki woh aapko apne sage bhai se bhi jyada mante hai..........woh aapko khush dekhna chahte hai aur woh aaj aapke liye bahot khush hai.......aap chliye mere saath kuch batati hoon main aap ko..........
Sujal: kya hai...........
Kashish: chaliye to.......
Kashish Sujal ko dheere se Rudra ke kamre me le jati hai jo so chuka hota hai...........
Kashish: dekhiye........Rudra ko.........kya aapne aaj se pehle yeh muskaan uske chehre pe dekhi thi ,,,,,,nahi na..........kyunki aaj woh dil se bahot khush hai...........
Sujal: main janta hoon Kashish lekin mera dil keh raha hai ki jo kuch bhi ho raha hai woh sahi nahi............
Kashish: chaliye main aapko Prem dikhati hoon........
Kashish Sujal ko Prem ke kamre me lati hai jo so chuka hota hai........
Kashish: dekha aapne aaj woh kitna khush hai.........itna khush hai ki aise hi kapde bhi nahi badale aur so gaya.........
Sujal Prem ke pass jata hai aur dekhta hai to Prem ek tasvir leke so raha hota hai.....Sujal woh tasvir ko haath me leke dekhta hai to woh Sujal aur Kashish ki hoti hai..........Sujal dheere se woh tasvir side table pe rakhta hai aur use thik se sulake uspe blanket dalke light off karke bahar chala jata hai............
Kashish: kya baat hai aap abhi bhi pareshan hai..........
Sujal: Kashish janti ho muje sabse jyada fikar kiski hoti hai.........Prem ki woh bahot nasamaj hai.........koi bhi kaam woh mere bigar nahi kar sakta.............aur abhi tumne dekha na woh sote huye bhi,,,,,,,,woh nahi janta ki yeh duniya kaisi hai.......woh duniya ko apni nazar se dekhta hai lekin use nahi pata ki yeh duniya me aise log bhi hote hai jo achche nahi.........woh sabko apni tarah achcha hi manta hai...........aur shayad isi liye muje bahot fikar hoti hai.......
yeh kehke Sujal apne kamre me wapas chala jata hai......aur uske piche Kashish...........jab Kashish dekhti hai to Sujal bed pe betha hua hota hai jiski nazar juki huyi hoti hai........Kashish jake uske pass bethti hai aur Sujal ke haath ko apne haath me leti hai............
Kashish: aap kyun Pareshan hote hai.......aapke hote huye Rudra aur Prem ke saath kabhi kuch bura ho hi nahi sakta.........aur sabse badi baat woh aap pe vishwas karte hai..........aur aap is tarah se tut gaye to unka vishwas bhi tut jayega...........
tabhi Maya aati hai..........
Kashish: buaji aap itni raat ko yaha.........
Maya: kyun nahi aana chahiye...........aur agar main nahi aati to muje pata kaise chalta ki yaha kya ho raha hai..........
Sujal: aap kehna kya chahte hai.........
Maya: dekh rahi hoon ki tum kitne besharam hote ja rahe ho.........jin logo ne tumhe pala bada kiya is kabil banaya tum isi ke bete se iska hakk chin rahe ho...........kuch to sharam karo...........sare gharwalo ke aankhoin pe tumne apne pyar ki pati bandh di hai lekin yeh Maya janti hai ki kya sahi hai aur kya galat........aur sahi yeh hai ki yeh hakk Rudra ka tha jo tumne chin liya.........
Kashish: lekin Buaji.......
Maya: Kashish tum hamare beech me na bolo to achcha hai..............yeh mere aur Sujal ke beech ki baat hai.............
Sujal; Kashish.........tum kuch nahi bologi.........
Maya: tum itne kaise gir sakte ho Sujal ki tum un bhaiyon se jisne tumhe itna pyaar diya unse tumne unka hakk chin liya.........main achchi tarah se janti hoon ki tum kya karnewale ho..........tumne sabka vishwas to jeet hi liya hai aur ek din tum usi vishwas ko todke sabko raste ki thokar khane pe mazbur kar donge...........yahi hai na tumhara irada..........
Sujal: aap kitne achche se muje janti hai.........aapko lagta hai ki main kabhi Rudra aur Prem ke saath aisa kar sakta hoon.........
Maya: tum kuch bhi kar sakte ho kyunki sach to yahi hai ki tum sotele ho..........aakhir kar tum apni asliyat pe aa hi gaye...........jis thali me khaya usi to thokar mari tumne...........ab bhi tum me thodi si bhi sharam baki ho to tum apni jagah Rudra ko de dena..........
Sujal: thik hai aap ko isse khushi milti hai to yahi sahi.........aap jake aaram se so jaiye main kal subaah sabse pehle Papa se baat karke yeh position Rudra ko de dunga........aur ghabraiye mat main aapka naam nahi lunga..............
Maya: thik hai lekin kal agar tumne koi chalaki ki to mujse bura koi nahi hoga.........
Sujal: jee.......
Maya waha se chali jati hai............
****************************************************************************************
Sujal waha se jane lagta hai lekin Kashish uska haath pakad ke use rokti hai..........
Kashish: Sujal......
Sujal: Kashish raat bahot ho chuki hai.............
Kashish: aapne aisa kyun kiya Sujal...........
Sujal: is bare me muje koi baat nahi karni..............
Kashish: lekin muje karni hai.........abhi aapka itna apman hua aur aap chup chap buaji ke lage sare iljam sunte rahe......aur aapne sabkuch bardast kar liya....kyun kuch nahi kaha.......aur aapne muje bhi kuch bolne nahi diya..........aap chup reh sakte hai main nahi............main nahi bardasht kar sakti ki koi mere samne mere pati pe itne joothe iljam lagaye.........main abhi jake Buaji se baat karti hoon.........
Sujal: tum aisa kuch nahi karogi.............main chup raha kyunki main mazbur hoon..........
Kashish: Sujal aapne hi kaha tha ki aap mujse kuch nahi chupayenge...........aap mujpe vishwas karte hai.....hamare rishtey ki buniyaad yeh vishwas hai to aap muje batate kyun nahi..........kaha gaya aapka woh vishwas........khushi me aap mera saath dete hai lekin jab dard batne ki bari aayi to akele hi sabkuch sehna chahte hai..........aapne sabkuch sun liya lekin ek bar bhi nahi socha ki isse aapki Kashish pe kya bitegi........aaj jab Buaji ne aapko galat kaha to unhone sirf aapko nahi muje bhi kaha...........aapke yeh aanshu se muje taklif hoti hai.........aur aapko kya lagta hai mujse aap apne aanshu chupa lenge to muje dard nahi hoga..........aaj aapne muje itna bhi apna nahi samja ki main aapka dard bat saku.........kyun kiya aapne aisa Sujal.............
Sujal: tum muje galat samaj rahi ho..........aisi koi baat nahi........
Kashish: to phir kaisi baat hai...........kaunsi baat hai jo aapko pareshan kar rahi hai........muje batao main aapki madad karungi.............kiske liye aap itna seh gaye........
Sujal: Rudra aur Prem ke liye...........
Kashish: Rudra aur Prem ke liye.........lekin kyun........
Sujal: aaj jo baat huyi agar woh main nahi manta to kal yahi baat Buaji sabke samne kehte aur usse sabse jyada dard Rudra aur Prem ko milta.............muje pehle se hi pata tha ki yeh sab hoga is liye main chup raha lekin maine apni aur se sari taiyariyaan kar li thi.......maine Mama aur Papa ki baat sun li thi ......maine aaj bahot koshish ki baat ko talne ki lekin nahi kar saka.........main khud bhi to chahtta hoon ki Rudra aur Prem ko bhi unka hakk mile.........Kashish is parivar se muje bahot pyaar mila aur main nahi chahta ki meri waje kabhi is ghar me koi pareshani ho...........main chup raha to sirf is ghar ki khushiyon ke liye.......aur buaji ne kuch galat bhi to nahi kaha..........mere liye Rudra aur Prem ki khushi sabse zaroori hai......aur isi liye maine apna sabkuch Rudra aur Prem ke naam kar diya hai......taki aage jake unhe koi taklif na ho........aanewali zindagi me kabhi unhe aisa na lage ki uske bade bhai ne kuch galat kiya..........Kashish yahi ek baat hai jo maine tumse chupayi..........kyunki muje darr tha ki kahi tum bhi muje........
Kashish: Sujal......main aapke saath hoon..........main to kal bhi aapke saath thi aur aaj bhi hoon aur hamesha rahungi.................
Sujal: lekin mere pass ab kuch bhi nahi......jis Sujal se tumne shaadi ki thi woh ab main nahi raha..........ab main tumhe woh khushiyaan kharid ke nahi de sakta...........
Kashish: kaun kehta hai ki aapke pass kuch nahi...........Sujal maine ek aise insaan se shaadi ki hai jiske pass ek aisa parivar hai jo usse bahot pyaar karta hai.........jiske pass bado ka aashirwad hai.......bhai ka pyaar hai..........aur apne khud ke haath ki banayi huyi pehchan hai..........ek aisa dil hai jisme puri duniya ke liye pyar hai........aur puri duniya ki nafrat is dil me sama jati hai lekin aap ke chehre pe lakeer tak nahi aati..........aap me woh hai jo apne parivar ke liye sab kuch chodne pe mazbur kar sakta hai........aap sahi aur galat ka faisla kar sakte hai.........mere liye mere Pati bhagwan hai...........ab aap hi bataiye muje duniya ki kaun si daulat chahiye jab ki muje bhagwan mile hai..........muje aur kuch nahi chahiye ........muje sirf aap aur aapka pyar aur saath chahiye...........
Sujal: bahot pyaar karti ho na mujse............to hume kal yeh ghar chodke jana hoga..........tumhe bahot taklif uthani padegi...........kuch nahi hoga hamare pass........shayad ghar bhi nahi...........
Kashish: Sujal ghar to insaan ko rehne ke liye sirf chahiye....lekin aapke pass aapki sachchai, imandari aur vishwas hai........hamara pyaar hai hamare saath.........muje apne pyaar pe vishwas hai ki woh mujpe koi aanch nahi aane dega...........Sujal aapne aaj apmaan ka jawab bhi pyaar se diya hai........aaj aapne muje pyaar ka ek anokha hi matlab sikhaya hai..........kyunki pyaar ke badle pyaar dena aasan hai lekin nafrat ke badle bhi pyaar dena bahot muskil jo aaj maine aapse sikha hai..........aur jo insaan yeh kar sakta hai uske pass duniya ki sabse badi daulat hoti hai..........aur main khusnaseeb hoon ki aap mere saath hai...........ab muje kuch aur nahi chahiye.....muje sirf aap chahiye..........
Sujal: lekin main tumse kuch chahta hoon.........ek vaada..........vaada karo ki yeh baat ghar ke kisi ko pata nahi chalni chahiye.........main janta hoon ki Buaji ko main pasand nahi lekin woh bhi to apni jagah sahi hai.........hum dono hi to sabki khushiyaan chahte hai.......aur Buaji bhi to isi parivar ka hissa hai.......unki khushi ko dekhna bhi mera farz hai..........
kashish: thik hai aap chahte hai to main chup rahungi.............i am really pround ki aap mere pati hai.........thik hai hum aaj ke bad is bare me koi baat nahi karenge..........
Sujal: i love u........
Kashish: i love u too............
****************************************************************************************
ab agli Subaah Sujal kamre me aata hai jaha pe Kashish Sujal ki tie leke khadi hoti hai...........
Sujal: Kashish........
Kashish: kaha chale gaye the kabse aapki tie ko leke main intzaar kar rahi thi.........
Sujal: Kashish..........ab us tie ki koi zaroorat nahi...........
Kashish: haa main bhul gayi..........Sujal main kuch nahi kahungi lekin kya aap kabhi in yaadoin ko bhul payenge.........
Sujal: nahi koi apne ghar ko kaise bhul sakta hai aur muje maff karna ki meri waje se tum bhi...........
Kashish: aap muje apna mante ho aur maafi bhi.........main aapka sath nahi dungi to.........
Sujal: to chale.........
Kashish: chaliye jaha aap le chale..........
Sujal aur Kashish neeche aate hai jaha pe Prerna milti hai........
Prerna: tum dono subaah subaah taiyaar hoke kaha ja rahe ho...........
Kashish: woh Mama.....hum na.........
Prerna: haa bol na kaha ja rahe ho...........Sujal main tujse baat kar rahi hoon...........
Prerna ki aawaz sunke sabhi log bahar aate hai.........
Sujal: hum to sirf Mandir ja rahe the..........
Prerna: to phir Kashish ki puja ki thali kaha hai.........
Rudra: mama aap yeh Bhabhi se kis tarah ke sawal kar rahe hai........kya aapko unpe vishwas nahi.........
Prerna: nahi aisi koi baat nahi..........thik hai tu mandir ja raha hai to main bhi tere saath chalti hoon............
Kashish: Mama aap.......
Prerna: haa kyun muje nahi le jayega.........
Sujal: mere liye to aap muje jaha le jane ko kahenge waha main le jaunga lekin........
Prerna: lekin kya........main tuje jawab deti hoon..........kyun ki tu koi mandir nahi ja raha...........tu sabse jooth bol sakta hai lekin apni maa se nahi.........tu mandir nahi balke yeh ghar ko chod ke ja raha hai..........ab kuch bolta kyun nahi........bata yeh sach hai ki jooth..........
Sujal: aap sach keh rahi hai..........main hamesha ke liye is ghar ko aur aap sabko chod ke ja raha hoon..........
sab loh hairan hoke Sujal ki aur dekhte hai................
Anurag: Sujal.....yeh main kya sun raha hoon.......tu ghar chod ke ja raha hai........
Sujal: haa Papa aapne sahi suna............
Anurag: lekin kyun..........kya mujse koi galti ho gayi..........
Sujal; aisa mat kahiye.......aapse koi galti nahi huyi........galti to mujse huyi hai.....Rudra aur Prem se uska hakk chinne ki............
Rudra: kis hakk ki baat kar rahe hai aap.........maine aapse kal bhi kaha tha ki mere hote huye aapki jagah koi nahi le sakta..........jab muje koi aitrazz nahi Prem ko koi nahi........to aap aisa kyun soch rahe hai.........
Sujal: Rudra........tu hum bado ke mamlo me na bol to achcha hai......aur tere liye yeh hi achcha hai ki tu apne bade bhai ki baat man le..........
Prem: lekin Bhai.......
Sujal: maine faisla kar liya hai..........ab use koi nahi badal sakta..........
Prerna: mera bhi tere pe hakk nahi banta............tu muje so bar kehle lekin sach yahi hai ki tu mera beta hai aur mera tujpe hakk banta hai.........aur maine keh diya na ki tu kahi nahi jayega..........
Sujal: mama..........aap muje jane de isi me is ghar ki bhalai hai.......main nahi janta ki kal phir se isi baat pe ghar me kal koi baat ho..........aur main aap sabse dur ja raha hoon iska yeh matlab to nahi ki main aapko bhul jaunga..........
Prerna: tuje maine apne sine se lagake pala kyunki muje laga ki tu bada hoke hamara sahara banega lekin tu to khud apne faiyde ko leke ja raha hai........aaj tune sirf apne bare me soch ke faisla kar liya lekin ek bar bhi nahi socha ki tere is faisle se teri maa pe kya bitegi.........tu apne bhai ki tarki dekhna chahta hai aur main apne bete ki tarki dekhna chahti hoon..........aaj tuje apne bhai ya apni maa me se kisi ek ko chunna hai...........tu muje bata tu yeh kar kyun raha hai aur kiske kehne pe............
Sujal: main kisi ke kehne pe nahi kar raha hoon......yeh mera khud ka faisla hai.........
Anurag: lekin kal tak sab thik tha to ek raat me kya ho gaya...........
Sujal: Papa maine kaha na kuch nahi..........aur aapko kisne kaha ki main khush nahi.........main bahot khush hoon..........main aapke saath nahi to kya hua.......Rudra aur Prem to aapke saath hai.........ple Papa samajne ki koshish kariye.......
Prerna: thik hai tu jana chahta hai chale jana.............lekin meri ek baat ka jawab dete ja............tu hamesha wahi karta hai na jo muje achcha lagta hai...........aaj main tujse puch rahi hoon ki tera dil kya chahta hai.........kya tu apne parivar ke bigar reh payega..............kya tu apni is maa ke bigar reh payega............bol jawab de muje...............
Sujal: sahi kaha aapne ...........aaj pehli bar muje kuch batane ka moka mila hai..........mama main is paiso ke bigar bhi reh sakta hoon...........main sabko chod sakta hoon lekin aapko kaise..........aapne muje zindagi di hai...........nahi reh paunga main aapke bigar..............muje kuch nahi chahiye zindagi me.........muje sirf aap chahiye ..........aapki khushi chahiye...nahi reh sakta main aapke bina.....
Prerna: dekha Maya..........yeh hai mera asli beta.........tuje kyun hamesha yeh lagta hai ki Sujal is gahr ka hissa nahi..........tu manti kyun nahi ki jitna pyaar tu is parivar se karti hai usse kayi jyada pyaar Sujal is parivar se karta hai...........muje nahi pata tha ki tum itni gir sakti ho .......muje yeh pata tha ki tumhe Sujal pasand nahi lekin yeh pata nahi tha............woh to bhagwan ka shukar hai ki kal maine tum sabki baatein sun li...........tumhe kya lagta hai mere bete ko paise ka moh hai..........nahi Maya........woh rishton aur apno ke liye paise kya sabkuch chod sakta hai............aur pata hai.....usne sirf Presidant ki khursi hi nahi Rudra ko di.......lekin jitna kuch uska apna banaya hua tha woh bhi usne dono bhai me bat diya..........kyunki woh Rudra aur Prem ko sotela nahi manta.............aur tune mere bete ko hi ghar se nikalna chaha.........mere bete ka to main samaj sakti hoon lekin Kashish tu.........tujse yeh umeed nahi thi,,,,,,,,,yeh to hai hi aisa lekin tu kabse iski tarah ho gayi..........tu is Sujal ka saath de rahi hai jiske pass aaj kuch nahi...........aur tu aise Sujal ke saath gahr chodne ke liye taiyaar ho gayi.......tu janti hai ki apne bhai ke naam sab kuch karne ke pass uske pass tuje dene ke liye kuch bhi nahi bachega tab bhi tu is raste pe aa gaye Sujal ka saath de rahi hai.........tu iski galti ki saza puri zindagi bhugtne pe razi ho gayi..........ek bhi sawaal nahi utha tere mann me ki kaha rakhega tuje yeh........kya do waqt ki roti tak tuje khila sakega..........ab chup kyun hai bolti kyun nahi.............
Kashish: kisne kaha ki mere Sujal ke pass aaj kuch nahi................Papa ki shikh hai........Maa ke sanskar hai.........bhai ka pyaar hai...........khud ka ek naam hai..........aur sabse badi baat aap janti hai aapke bete ka jo dil hai usme itna pyaar bhara hai ki usse duniya ki koi bhi nafrat ko pyaar me badla ja sakta hai..........aur aap iski chinta mat kijiye ki yeh muje kaha rakhenge kyunki muje jaha jagah chahiye thi waha muje mil gayi.........muje sirf inke dil me jagah banani thi jo main bana chuki ab muje is ent paththar se banaye huye ghar ki koi zaroorat nahi aur mere Sujal me itni kabiliyat to hai ki woh muje do waqt ki roti khila sakte hai.........aur kabhi nahi mili to hamara pyaar kafi hai............aapke bete ne muje itna diya hai ki main kabhi uska sukhriya nahi ada kar paungi.........aur maine shaadi Sujal ke paise se nahi Sujal se ki hai........ab kya farak padta hai ki main kaha rahu.........zaroori to itna hai ki main apne Sujal ke saath hoon..........aur rahi baat mere sawaal karne ki to aisi koi waje hi nahi bachi thi ki jiski waje se main unse koi sawaal karoon.........aur main apne pati ka saath nahi dungi to kiska dungi...............is liye Sujal ne jo faisla liya hai usme main bhi inke saath hoon.............
Prerna: to thik hai maine bhi ek faisla kar liya hai........tuje main tera faisla badalne ko nahi kahungi lekin tu mera faisla bhi nahi tal sakta...........tere saath main bhi chalungi.........
Sujal: nahi aap mere saath nahi chal sakti............yaha pe Papa ko aapki zaroorat hai.....is ghar ko aapki zaroorat hai..........aur yeh ghar aapka hai........is ghar se aap hi chali gayi to yeh ghar tut jayega.......ghar to maa se banta hai.........aur jis ghar me aap jaise maa ho waha bhagwan baste hai..........aur main chahta hoon ki hamare ghar pe bhi bhagwan ka saaya bana rahe......aapko meri kasam hai aap kabhi bhi is ghar ko chod ke kahi gaye to............
Prerna: thik hai.......tune teri kasam se to muje rok liya lekin ab main tuje kasam deti hoon ki tu jagah bhi jayega Rudra aur Prem tere saath honge..........
Sujal: lekin Mama..........
Rudra: mama thik keh rahi hai aur aap ab naa nahi kar sakte..........aap mama ki kasam ko nahi tod sakte............
Prem: main saman pack karta hoon........
Prerna: Kashish....khadi kya hai jake saman taiyaar karo..............jao.........Shanta Tai aap inki madad kar do............
Kashish, Rudra, Prem aur Shanta Tai kamre me saman lene ko chale jate hai...............
Anurag: MAYAAAAAAAAA........
Anurag maya pe haath uthane hi wala tha lekin Sujal beech me aa jata hai..........
Sujal: yeh aap kya kar rahe hai.........aap buaji pe haath nahi utha sakte..........aur kya hua usne mujse kuch bhi kaha to..........woh badi hai unka hakk banta hai lekin aap to unse bhi bade hai aur aapka farz banta hai ki aap unhe maff karde..............aap chahte hai na ki hum khush rahe to meri khushi isi main hi ki aap Buaji ko maff karde............
Anurag: aaj teri waje se ise chod raha hoon...........warna to......shikh Maya tu isse kuch..........tujse kitna chota hai lekin aaj tere hi karmo pe parda dal raha hai..........aur tu itni badi hoke..........sharam aati hai muje tuje apni behen kehte huye........
Anurag gusse me apne kamre me chala jata haia ur uske piche Prerna...........
Sujal; Papa ki baat ka bura mat maniye.........woh gusse me hai is liye lekin woh aapko jaldi hi maff kar denge...............muje maff kar dijiye aaj meri waje se aapko itna sabkuch sunna pada.....mera yakeen kijiye maine kabhi nahi chaha tha ki yeh sab kuch ho...........ho sake to muje maff karne ki koshish kariyega...........
yeh kehke Sujal bhi apne kamre me chala jata hai.........aur uske bad Maya bhi gusse me apne kamre me chali jati hai.............
*******************************************************************************************
Kashish apne kamre me pack kar rahi hoti hai jab Sujal waha pe aata hai.............
Sujal: sari packing ho gayi.........
Kashish: kya baat hai.......kuch kehna chahte hai........
Sujal: nahi kuch samaj me nahi aata...............nahi main khud ka faisla badal sakta hoon nahi main Mama ka faisla badal sakta hoon.........
Kashish: janti hoon is waqt aap kya soch rahe hai lekin mama ne bhi jo maa banke faisla liya hai woh bhi to sahi hai.........agar unki nazar se dekhoge to woh to yahi chahte hai ki jaha bhi rahe unke teeno bete saath rahe...........
Sujal: lekin Kashish kabhi yeh socha hai ki hum sab ke jane ke baad Papa ka kya hoga...........business kaun sambhalega..............is waqt sab sirf dil se soch rahe hai lekin koi abhi Papa ke sapne ke bare me nahi soch raha ..........Kashish main sirf itna chahta hoon ke mere jane ke bad bhi Rudra aur Prem kabhi papa ka saath na chode............lekin jo faisla mama ne liya hai use main badal bhi nahi sakta..............
Kashish: aap kya chahte hai...........
Sujal; main sirf itna chahta hoon ki woh dono khud inkar kar de mere saath chalne se............
Kashish; aap kahe to main Rudra aur Prem se baat karke dekhu.........woh meri baat ko kabhi naa nahi kahenge............
Sujal: koshish karke dekh lo............
Kashish: main bas abhi aayi............
Kashish Rudra ke kamre me aati hai lekin waha pe koi nahi hota,,,,,,,,,phir Kashish Prem ke kamre me aati hai jaha Rudra Prem ki madad kar raha hota hai saman pack karne me..........
Rudra: kitna saman dala hai is bag me bandh hi nahi ho raha........aur tu koi vacation pe nahi ja raha ,,,,,,,,,,tu Bhai ke saath unki madad ke liye chal raha hai............
Prem: wahi to kar raha hoon.........yeh mere business suits.......woh job ke interview me kaam aayenge..........aur yeh tie jo Sujalbhai ne muje mere office ke pehle din apni tie pehnayi thi.............
Rudra: tu bhi kya badi badi baatein leke beth gaya.....jaldi chal dair ho rahi hai.................
Rudra aur Prem jane lagte hai jab woh darwaze pe Kashish ko dekhte hai...........
Prem: Bhabhi aap.........
Kashish: kuch baat karni hai tum dono se..........
Rudra: sorry Bhabhi agar aap bhi yeh kehne aayi hai ki hum aapke saath nahi chal rahe to main aapki baat nahi man sakta...........aur kyun Sujalbhai akele is ghar ko chod ke jaye...........aur kyun jayenge Sujalbhai woh bhi mayabua ke kehne pe.............yeh ghar sabse pehle Sujalbhai ka hai............aur jis ghar me Sujalbhai nahi reh sakte waha hum bhi nahi reh sakte..........
Prem: bhabhi maine aajtak Sujalbhai ka her faisla mana hai lekin main unki yeh baat nahi mannewala..............woh her baat sahi hai is liye yeh matlab nahi ki main is bar bhi unki baat maan loon.........bhabhi ab faisla ho chuka hai.............
Rudra: aur hum kyun apna ghar chod ke ja rahe hai............is ghar se jana chahiye to woh Mayabua hai....woh hoti kaun hai hamare bhaiyon ke beech bolnewali.....use to dhake marke bahar nikal dena chahiye........main abhi usse baat karta hoon........
Kashish: tum aisa kuch nahi karoge...........
Rudra: to kya karoon khada khada tamasha dekhta rahoon........nahi dekh sakta apne badebhai ko beghar hote huye.........aur nahi iske liye main kabhi bua ko maff kar paunga..........uske isi bartav ke waje se shayad kabhi bhagwan ne unhe kabhi maa nahi banaya..........
Kashish: Rudra......yeh mat bulo ki woh is ghar ki badi hai aur tumhari bua hai..........aur bua bhi rishtey me maa saman hoti hai...........aur maa ka naam tamiz se liya jata hai.........
Rudra: aap bua ki barabari maa ke saath karte hai.........maa to bacho ki chut pe roti hai lekin yeh aurat to khud apne bache ko ghar se sadak pe pahoncha rahi hai........
Prem: aur woh bhi Sujalbhai jaise bete ke saath.........pata hai bhabhi....bachpan se bua ko sabse jyada pyaar aur izzat Sujalbhai ne di hai..........hum bua ko birthday bhul jate the lekin Sujalbhai kabhi nahi bhule.......
Kashish: isi liye keh rahi hoon ki Bua badi hai aur unka faisla manna hamara farz hai...........
Rudra: aap aaj Bhai ka saath de rahe hai yeh jante huye bhi ki bhai ka faisla galat hai........rokte kyun nahi aap Bhai ko.........kya aap Bhai ke her galat aur sahi fasile me unka saath denge........
Kashish: haa......kyunki main Sujal se alag nahi hoon..........Sujal ka her faisla mera faisla hoga...........aur aaj tumhari yeh Bhabhi chahti hai ki aaj tak tum dono bhai ne Sujal ke her faisale me jo saath diya hai woh aaj bhi donge.........kyunki tum sabki khushi me Sujal ki khushi hai...........
Prem: mama aur Papa kitne lucky hai ki jiske pass aap aur bhai hai.............jitna kehne hum nahi mante utna Sujalbhai aur aapne is gahr ke liye............sach kahe to Sujalbhai sotele nahi hai .........sotele to hum hai.........aur pata hai jis din bua ko pata chalega ki woh kitni galat thi to us din woh bahot pastayegi..........kyunki naseeb se Sujalbhai jaisa beta milta hai.....
Rudra: nafrat karta hoon main Bua se ki jiski waje se aaj........woh muje mera hakk dena chahti hai.......are woh kyun nahi samajti ki meri khushi mere bhai se hai.........
Kashish: tum dono apne aap ko kasoorwad mat samjo.........kyunki main janti hoon ki tum dono Sujal se kitna pyaar karte ho.........lekin aaj Sujal ki khushi ke liye tum dono ko unka faisla manna hoga.............tumlog hamare saath nahi chal sakte.........mere liye Sujal ki khushi zaroori hai aur Sujal ke liye tum dono ki...............ple muje mere hisse ki khushi lauta do.........ple apni Bhabhi ke liye.........
Kashish roti huyi kamre se bahar nikal jati hai jab woh darwaze ke bahar Sujal se milti hai jo unki sari baatein sun raha hota hai................Kashish bina kuch kahe apne kamre me chali jati hai............
*******************************************************************************************
Prem: Bhabhi kyun nahi samajti ki hum kaise manle unki baat...........
Rudra: aur kya hum nahi jante ki yeh baat Bhabhi Bhai ke kehne pe kar rahi hai..........hum nahi man sakte unki yeh baat..........
Sujal: kyun nahi manoge............
Prem: mat jaiye bhai............papa ko aapki zaroorat hai..........
Sujal: isi liye to keh raha hoon ki main to ghar chod ke ja raha hoon lekin tum dono.......tum dono to Papa ke saath reh sakte ho..........aur main sirf yeh ghar chod ke ja raha hoon tum dono ke dil se kaise ja sakta hoon.........aur Rudra tu kabse itna kamzor ho gaya ki khud yeh business nahi sambhal sakta............
Rudra: aap jinke liye yeh sab kar rahe ho woh aapse pyaar to kya aapki kadar bhi nahi karte..........aur woh to aapke pyaar aur izzat ke kabhil bhi nahi.......
Sujal: Rudra........kya yahi sikhaya hai maine.......woh humse badi hai aur bade hamesha choto ke bhalai ke liye hi faisle karte hai......jab muje Bua ka faisla manzur hai to tum dono ko kya aitraaz hai.........aur jo sabse jyada nafrat karte hai woh sabse jyada pyaar bhi karte hai aur main janta hoon ki Bua mujse bahot pyaar karti hai.......
Prem: kis mitti ke bane ho aap Bhai.......itni nafrat ke bad bhi itna pyaar kaise kar sakte hai aap........
Sujal: woh mere dekhne ka nazriya hai............maine unki nafrat me pyaar dhundha to pyaar mil gaya...........tum jante ho prem........pyaar aur nafart dono ka rishta dil se hai.........aur bua sabse jyada mujse nafart karti hai is liye aaj bhi main kahi na kahi Maya bua ke dil me hoon..........mere liye to yeh bhi khushi ki baat huyi.........
Rudra: pata nahi aap se aisa kya kahe .........
Sujal: kuch mat bol........sirf mera faisla man le...........
Rudra: maff karna bhai lekin aaj main aapki baat nahi man sakta.........jis tarah aapke liye Mama ka her faisla bhagwan ke faisle ki tarha hai waise hi mere liye.........kyunki main aapki tarah banna chahta hoon..........
Sujal: to tum apne bhai ki baat nahi manonge............
Prem: hum aapki her baat manne ko taiyaar hai lekin yeh nahi........aap kahe to hum aapke liye apni jaan bhi............
Sujal: chup kar.......kuch bhi bolta rehta hai.........aisa kabhi sochna bhi mat..........
Rudra: Bhai..........aap taiyaar hoke aajaiye......humdono aapka neeche intzaar kar rahe hai...........chal Prem.........
Rudra aur Prem dono apna saman leke neeche chale jate hai.............
Sujal wapas apne kamre me chala jata hai..........
Sujal: nahi mane woh dono..........
Kashish: woh bhi aap ki tarah hi ziddi hai..........koi baat nahi kuch din bad samjake bhej denge..............
Sujal: neeche woh hamara intzaar kar rahe hai chale.......
Kashish: haa........chaliye.............
Sujal aur Kashish neeche aate hai jaha pe sab unka intzaar kar rahe hote hai...............
*******************************************************************************************
Sujal aur Kashish jake sabse pehle Anurag ke pair chute hai...........
Anurag: khush raho.........jaha bhi raho khush raho saath raho...........
Sujal: yeh kya Papa........aapki aankhoin me aanshu..........agar aap hi aise to mama ko kaun sambhalega..........ab aapko hi mama ka khayal rakhna hai...........
Kashish: aur papa main ja rahi hoon iska yeh matlab nahi ki aap jyada chini wali chai piye...............main nahi to aapke liye Tai hai.............
Shanta Tai: rok lijiyena Prernajee .........bacho ko.........unke bina kya yeh ghar........
Sujal: yeh kya Tai ab aap bhi.........aap to dusro ko hasati thi to aaj................
Shanta Tai: teri to aadat hai na apne pyaar se sabko rulane ki.............dekh aaj bhi sabse jyada apni maa ko rula raha hai.............
Sujal: mama ko to main mana lunga............kyunki woh mujse sabse jyada pyaar karti hai...............
Prerna: muje nahi karni tere saath koi baat.......tu jana chahta hai na....chala ja....main nahi rokungi.......jaa meri baat thode hi koi sunta hai........
Sujal: kya mere yaha na rehne se mera pyaar aapke liye kam ho jayega............kya aap muje bula paynege .......nahi na to phir hum aisa kyun sochte hai.........aapka aur mera dil ka rishta hai jo kabhi bhi tut nahi sakta............aap hamesha se meri maa thi aur rahegi aur main bhi aapka hi beta hoon..............
Prerna: kab kya hota hai kisi ko pata hi nahi...........maine to kitne sapne dekhe the apne bacho ke saath......kal hi ek sapna dekha tha ki kal ke din tum teeno bhai ek saath Khushi ko lene jaoge........
Sujal: aap ko kya lagta hai ki main kal ka din bhul gaya......nahi mama main nahi bhula.............kal hamari gudiya ka janamdin hai........aur muje yaad hai ki kal use lene jana hai............kal raat ki surprise party ki bhi taiyariyaan ho gayi hai..............aur kal Khushi ko lene bhi hum teen bhai hi jayenge..........aapne kaise soch liya ki main aapka sapna.............maine aapke her sapne ko haqeeqat ka naam diya hai..........aap apna khayal rakhiyega................aur aap Rudra aur Prem ki chinta mat kariye main aur Kashish hai na................unka hum khayal rakhenge...........
Prerna: muje kisi ki chinta nahi............kyunki main janti hoon ki Rudra aur Prem ko tu sambhal lega........lekin tera kaun khayal rakhega...............
Kashish: main hoon na .......aap in teen bhaiyon ke liye pareshan mat hoiye.....main in sab ka bahot achche se khayal rakhungi lekin aap bhi apna khayal rakhna..........aap ko aapki dawai waqt se yaad karke leni hai.......aur jyada sidiyaan bhi mat chadna warna phir se pairo me dard shuru ho jayega..............aur kal jab khushi aaye to maine uski pasand ki saree aur gehne kharid ke meri almari me rakhe hai use gift me dene ke liye ..........aur aaj se teen din baad papa ki Dr.Khurana ke waha regular check up ki appointment hai............aur bahot kuch hai.................mama aapki bahot yaad aayegi.........
yeh kehke Kashish Prerna ke gale lag kar rone lagti hai.......Prerna use alag karke uske aanshu pochti hai...........
Prerna: pata nahi jab tumhari maa se milungi to kaise nazre mila sakungi............beti banake rakhne ka vaada kiya tha maine..........lekin afsos ke main use nibha nahi saki.............kitne armaan se main tumhe dulhann banake is ghar me le aayi thi......tere aankhoin me woh khushi ki chamak thi..........lekin aaj sirf in aankhoin me aanshu reh gaye............ho sake to apni mama ko maff kar dena............
Kashish: yeh aap kya keh rahi hai..........maafi mang ke muje paraya mat kariye..........sukhriya to muje aapka karna chahiye ki aapne muje Sujal diya.................mama main Sujal ke liye sab kuch chod sakti hoon lekin khud ko Sujal se alag nahi kar sakti..............is liye aap meri liye pareshan mat hoiye kyunki main bahot khush hoon.........
Sujal: chale Kashish...............
Kashish: jee...............
Kashish juk ke prerna ke pair chuti hai.................
Prerna: sada suhagan rahe...khush rahe...........
ab sab log jane lagte hai ghar se bahar...................
Maya: ruk jao..............
sab log maya ki aur dekhte reh jate hai jiske haath me bag hota hai...........
Maya: tum logo me se kisi ko jane ki zaroorat nahi....muje meri galti ka ehsaas ho gaya hai ki maine kitni badi bhul ki sujal ko galat samaj ke.........kyunki yaha jo kuch bhi hua uski jimedar main hoon is liye yeh ghar chod ke jane ki bari meri hai......................isi liye main hamesha ke liye shimla wale ghar me ja rahi hoon................kyunki yaha mere rehne se koi khush nahi..........
Anurag: achcha kiya jo tum khud hi samaj gayi...........bahar driver se keh dene woh tumhe airport chod dega...............
Maya: chalti hoon.............
Kashish: ruk jaiye Buaji............aap kahi nahi jayegi...........
Prem: bhabhi yeh aap kya keh rahe hai............
Kashish: agar buaji is ghar me nahi reh sakte to main bhi is ghar main nahi rahungi...........
Rudra: bhabhi aap hosh me to hai...........
Kashish: haa main apne pure hosh me hoon..............agar Buaji is gahr se jayenge to woh akele nahi jayenge.......main aur Sujal bhi unke saath jayenge...............
Anurag: yeh kya pagalpan hai Kashish..............jati hai to jane do....kam se kam hamari zindagi to shukun se bitegi...........khud to khushi bardasht nahi kar sakti lekin iske jane ke bad shyad is ghar me khushi wapas aa jaye............
Kashish: kaise baatein kar rahe hai aap Papa............yeh aapki behen hai...........sochiye agar kal Sujal Khushi ke saath aisa bartav karenge to aap ko kitna bura lagega..........aap bade hai.......aap ka gussa jari hai lekin bade hone ke nate choto ko maff bhi karna aapka farz hai...............
Anurag: aaj sirf tere kehne pe main Maya ko maff karta hoon lekin agar isne dubara aisi koi harkat ki to mujse bura koi nahi hoga............
Anurag yeh kehke andar chala jata hai...............Rudra aur Prem apne apne kamre me chale jate hai............
Kashish: Shanta tai yeh hamara saman rakhva dijiyega wapas.........
Shanta Tai: abhi karva deti hoon ................
Kashish: chaliye buaji kamre me..............
Kashish Maya ki bag leke use kamre me leke jati hai...............
Sujal: mama aap aise kya dekh rahi hai............
Prerna: dekh rahi hoon is jamane ke Ram Sita ko...............maine yeh to suna tha ki bahot si burai ko marne ke liye achchai janam leti hai .....lekin aaj dekhte pehli bar dekha hai..........pata nahi tu aur Kashish kis mitti ke bane hai .............tum dono ko dard nahi hota........
Sujal: hota hai bahot hota hai.........lekin mere dard Kashish seh leti hai aur main Kashish ka...........achcha ab aap pareshan mat hoiye........ab to sab kuch thik ho gaya na..........aaj main aapse vaada karta hoon ki kabhi bhi aapko chod ke kahi nahi jaunga............ab aap jake Papa ko sambhaliye..........main apne kamre me hoon..........
sab apne apne kamre me hote hai............
*******************************************************************************************
ab shaam ko sab khane ke liye aate hai lekin koi kuch bol hi nahi raha hota hai..........aur abhi tak Maya khane pe nahi aayi hoti............
Kashish: Sujal....buaji ab tak nahi aayi...........
Sujal; main use leke aata hoon............
Anurag: rehne de Sujal.......woh koi bachi nahi........bhukh lagegi to kha legi..........
Sujal: main use manake aata hoon..........
Sujal Maya ke kamre me jata hai.........
Sujal: yeh kya aap is tarah bethe hai........aur neeche sab aapka intzaar kar rahe hai............
Maya: tu kyun kar raha hai yeh sab............
Sujal: main kaha kuch kar raha hoon.......chaliye khana thanda ho jayega aur aapko thanda khana bilkul pasand nahi aur aaj to Kashish ne aapki pasand ki biryani banayi hai..............
Maya: maine tere saath inta sab kuch kiya phir bhi tu mere saath itne achche se ........
Sujal: sab bhul gaya main.........aur main chahta hoon ki aap bhi sab kuch bhul jaye...............ab chale............
Sujal maya ka haath pakad ke neeche lata hai aur use sabse saath bithata hai............Kashish sab ko serve karti hai lekin koi kuch kha hi nahi raha hota hai...........
Kashish: dekha Tai..........maine kaha tha na ki iska koi faiyda nahi hoga.............sari mehnat paani me gayi..........muje laga aaj chuti hai to sabki favorite dish banau lekin yaha kisi ko thodi hi meri fikar hai............chaliye Tai hume nahi khana.............
Prem: Bhabhi.........muje ek aur puri miliegi .........bahot bhukh lagi hai............
Sujal: khane ke alawa bhi kuch sochta hai ki sirf khana aur Heer............
Rudra: nahi Bhai muje pakka yakeen hai ki Heer ne hi ise prapose kiya hoga............kyunki yeh kahi khane me busy hoga............
Prem: aap to aisa keh rahe hai ki Mehek bhabhi ko aap ne prapose kiya ho.........prapose karna to ise kehte hai........jis tarah Sujalbhai ne Bhabhi ko kiya tha...........
Prerna; kyun usme kuan si badi baat hai..........
Rudra: kareeban saat ya aath traffic signal thode...............phir chalti train ko rukvaya...........aur phir railway track pe...........hazaro logo ki bheed me.............
Prerna: sach me tune Kashish ke liye.........
Sujal: to kya karta..........warna aapko itni achchi bahu kaha se milti..........
Prerna: yeh baat tune thik kahi............
Kashish: mama yeh pehli aur aakhri bar kuch achcha kaam kiya hai .........
Sujal: kya kare aadmi shaadi ke bad apni biwi ki tarah ban jata hai..........jaisi biwi waisa miya...........kyun Papa..........
Anurag: bilkul sahi..........
Prerna: achcha to aaj tak aapne mujse kya sikha...........
Anurag: bahot kuch ......jaise............jaise............
Prenra: kyun yaad nahi aaya................ki kuch sikhe hi nahi..........
Anurag: nahi bahot kuch sikha hoon..........lekin bacho ke samne .............
Prerna: aap bhi na............
Rudra: oye hoye...........bhudape me bhi pyaar..........
Anurag: budha hoga tu........main to abhi jawan hoon.............
Prem: mama kahi koi chakar to nahi Papa ka...............u know aaj kal to............
Kashish: kya Prem kuch bhi............
Rudra: nahi sach kehta hai.........waise bhi Papa kafi handsome hai to............
Sujal: tum dono apni bakwas bandh karo aur khana khake so jao........kal subaah jaldi hume Khushi ko lene jana hai...........
Kashish: Sujal is bar main bhi aap sab ke saath chalungi......................woh main pehli bar uski ghar jaungi.........
Sujal: thik hai..........kal subaah nauv baje nikalna hai.........aur yeh sab surprise hai Khushi ke liye.............jab woh hume waha dekhegi to kitni khush hogi........................
Prerna: yeh sari khushiyaan teri waje se hai.............
Sujal: hum sab ki waje se.............
ab sab log khana khake apne apne kamre me chale jate hai.....................
*******************************************************************************************
ab Sujal aur Kashish raat ko aise hi ek dusre ki baahoin me so rahe hote hai lekin dono me se kisi ki aankh me neend nahi hoti .........
Sujal: so gayi...........
Kashish: aap nahi soye to main kaise so sakti hoon.........
Sujal: tumne aaj Bua ko kyun roka........
Kashish: kyun kuch galat kiya maine...........
Sujal: nahi tumne kuch galat nahi kiya.........lekin main tumse waje janna chahta hoon...........
Kashish: aapne hi mujse kaha tha na ki aapke liye yeh parivar sab kuch hai to Buaji bhi to isi parivar ka hissa hai..........agar aaj woh is ghar se chale jate to yeh parivar adhura ban jata .......aur main achchi tarah se janti hoon ki aaj buaji chale jate to sabse jyada dukh aapko hi hota.......
Sujal: jitna main apne aap ko nahi janta usse bhi jyada tum muje janti ho..............
Kashish: kyunki main aur aap alag nahi hai.........
Sujal: thanks Kashish........
Kashish: kis liye........
Sujal: aaj sabke chehre pe phir se wahi khushi lane ke liye..........
Kashish: to kya yeh ab mera parivar nahi........
Sujal: aaj yakeen ho gaya muje ki tumse shaadi karne ka mera faisla kitna sahi tha.............kyunki tumse achchi patni muje mil hi nahi sakti............
Kashish: aap se sach kahoon.........aaj maine jo kuch bhi kiya woh aapke liye nahi balke khud ke liye kiya........kyunki main to aap me jiti hoon........
Sujal: tum aisi kyun ho.........
Kashish: ab jaisi bhi hoon aap muje badal nahi sakte..........
Sujal: aur badalna bhi nahi chahta kyunki maine isi Kashish se pyaar kiya hai..............
Kashish: lekin maine to haste muskurate Sujal se pyaar kiya hai......lekin in dino me woh kahi kho gaye hai............
Sujal: to tumhe yeh sikayat hai ........koi baat nahi aapki yeh sikayat bhi hum durr kar dete hai.........
Sujal bends down and kiss her forehead and thats makes her close her eyes.......then he kissed her eyes and than to cheek.......she moved back but he holds her from the waist and and kissed her neck to her ear whispering I love you and whick make a sute smile on her face.......and finally he moved to her lips which were waiting for this moment........they had a kiss without any worries and without any pain.....it was just pure love.............
Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...
COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...
A N A R H I F F ---- Iss Darr Ko Kya Naam Doon Summary: Khushi is an internet famous 27 year old fashion designer from Lucknow. She has a chirpy...
Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...
324