Fan fiction for the week 12th-19th sep - Page 343

Created

Last reply

Replies

6.9k

Views

641.4k

Users

72

Likes

5

Frequent Posters

*~sur~* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
RICHA AND KOMAL OR KIMMY (NAME GAME 😆 )I HATE %AGE,LINEAR EQUATIONS,TRIGO AND ETC COZ MY MARKS ARE ALWAYS LESS AS COMPARED TO GEOMETRY 😳 😳 😳
ON THE OTHER HAND THEORUMS ARE A BIT DIFFICULT BUT IF U UNDERSTAND THE CONCEPT IT WILL DO WONDERS FOR U 😃 MERI TOH TRAGEDY HI FUNNY 😭 %AGE, COMPOUND INTEREST, SIMPLE INTEREST PROFIT LOSS. FOR THE PAST 4 YRS I AM STUDING IT BUT I HAVENT GOT THE CONCEPT TILL DATE 😭 AND AS FAR AS GEO IS CONCERNED YAAR UNDERSTANDING THAT IS MY LEFT HAND'S WORK 😆 --NIDHI(LKLK)
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 19 years ago
kiran too good.......... 😊
farah ji app kahaan ho ????? plz apni dono stories jaldi post karo.................. 😃
*~sur~* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
BY THE WAY KOMAL I THINK THAT RICHA IS DAMM RITE U SHUD START A FAN FIC YAAR WHEN DUMMIES LIKE ME CAN WRITE TOH YOU CAN WRITE EXCEPTIONALLY WELL U SHUD INFACT U MUST WRITE ONE YAAR PLZ --NIDHI(LKLK) 😃
*~sur~* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
BY THE WAY EXCEPT KIRAN NO ONE IS CONTINUING THE STORIES 😡 WHY?????????????????? PLZ YAAR CONTINUE --NIDHI(LKLK)
iamanonymous thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 19 years ago
Kiran ur stories r just too good 👏 👏 👏
Shruti11 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
khwaish
********************************************************
********************************************************
recap:flashback of sujal and kashish first meeting and then sujal came into reality and said there is no place for kashish in his life ,heart and dreams
********************************************************
next morning :-

subah ke 8 baj rahe hote hai aur sujal abhi bhi so raha hota hai.woh raat bhar apne zindagi me ho rahi paheli ko solve karne ki koshish kar raha tha.uski aankho ki neend jaisa kahi kho gayi thi aur phir kahin subah ja ke use neend aati hai.

tabhi uske room me veena aati hai aur use uthati hai.

veena-good morning sujal
sujal-good morning mamma

tabhi sujal time dekhta hai

sujal-kitni late ho gayi.pata nahi me kaise itni late tak soya rah gaya.mumma apne mujhe phela kyun nahi uthaya aaj to ek bahut hi imp meeting hai

veena- sujal kabhi apna bhi dhyan rakh liya karo jab dekho tab kaam kaam. tumehe apni to koi phikr nahi hai.
sujal-aap ho na mera khyal rakhne ka liya to phir mujhe kis baat ki phikr.

veena sujal ke forehead pe kiss karti hai

sujal-aacha mumma ab me fresh ho lo already bahut late ho gayi hai.
veena-mein tera nechay tera breakfast table pe intazar kar rahi hoo to ready ho kay aa ja

woh waha se chali jati hai aur woh bhi tayaar hone chala jata hai.
jab woh neeche aata hai to breakfast table pe akshat or rishi phele se hote hai

akshat-good morning sujal
rishi-good morning Big B
sujal-good morning
sujal-rishi college kaisa ja raha hai
rishi-as usual
sujal-rishi ye tumahara final year hai aur hum sab log chahte hai ki iske baad tum meray aur akshat ke saath business sambhalo
rishi smile and nods
akshat-sujal chal hume office ke liye late ho rahi hai.waise bhi aaj board of directors ki meeting hai.
sujal-haa chalo
veena-are tum dono ne to kuch kahaya hi nahi
sujal-hum dono office me kuch order kar denge.accha ab late ho rahi hai hum nikalte hai,bye mumma

they leave for the office.in the office there manager informed that all the members of board had already arrived and they are waiting for them to start the meeting sujal and akshat went toward the meeting room
abhay-are aao sujal abhi mein lalit se yehi kah raha tha ki tum abhi tak nahi aaye.
sujal-sorry uncle woh hum log traffic me phas gaye the
lalit-hume meeting start karni chahiye.
all of them start disscussing about the project and at last sujal said
sujal-mujhe lagta hai ki hume is project par jald se jald kaam shuru kardena chahiye
abhay-mujhe aab sab logo se ek baat karni hai.actually mein chahta ho ki ab se mera saara business kashish sambhale .aap log to jante hi ho ki meri tabiyat kuch teekh nahi rahti isliye meine kashish ko india bulaya hai taki woh mere saath rah kar ye sab sambhal sake.waise woh ek designer hone ke bawajood woh mera paris ka business abhi tak sambhal hi rahi thi.aur yeah bhi woh apne business ke saath saath humara business bhi dekhaigi
(kashish ek fashion designer hai or woh apne father ka business sambahal rahi hai)

lalit-ye to aachi baat hai ki kashish humare saath kaam karegi.waise bhi jo hum apna new garment outlet start karne ja rahe hai waha uski design humare kafi kaam aaygi kyun sujal

{sujal ke samaj me nahi aaya ki woh kya kahe woh nahi chahta ki kashish business join kare kyunki agar usne business join kar liya to uska matlab ye hua ki woh uski aankho ke samne rahegi aur uske saath uska ateet bhi.}

abhay- sujal tumne jawab nahi diya.
sujal-ji uncle jaisa aap theek samjhe
lalit-ye to aacha hai ki sujal kashish purane dost hai nahi to sujal jaldi kisi ke saath karne ke liye haa nahi karta .so ab is naye project pe sujal kashish saath me kaam karengai.aur kashish ab sai humari new board member.waise woh hai kaha?

abhay- yehi to mein bhi soach raha hoo .mujhe parso apne treatment key liye america jaana hai uski key liye woh kuch prepration karne jane wali thi aur usne kaha tha ki woh meeting key finish honey se pehalay aa jayegi.pata nahi kyun aab tak nahi aayi
lalit-kahi phas gayi ho ki.aati hi hogi

{tabhi door khulta hai aur sab log us taraf dekhte hai .ek ladki andar aati hai woh cahru hoti hai.}

abhay-charu tum yeah kya kar rahi hoo aur tum itni pareshan kyun lag rahi hoo.
charu- dad aap phone kyun nahi utaha rahe mein aap ko kab se try kar rahi hoo.
abhay-woh hum sab ke cell off hai aakhir baat kya hai.
charu-woh dad (she start crying)
lalit-charu beta baat kya hai?
charu-dad Di ka accident hogya hai.abhi abhi hospital se phone aaya tha.

{all of them r shoked aur sujal usko to aisa lag raha tha ki uski jaan nikal jaayegi.}
lalit- hume hospital chalna chahiye
{all of them rush toward hospital even lalit has also informed veena so she is on the way toward hospital they reach the hospital and enquire about kashish }

abhay-doctor meri beti kashish sinaha kaisi hai woh.
doctor-bahut major accident tha unki halat bahut critical hai .aap jaldi se in kaagaz pe sign kariye taki hum unka operation start kar sakai
sujal-doctor kashish teekh to ho jayegi naa
doctor-kuch kah nahi sakte unke bachne ke chances bahut kaum hai
{all r shocked espacially sujal }
sujal-doctor kuch bhi kariye magar usko bacha ligye.
doctor-hum aapni taraf se poori koshish kareinge aur aap log bhi dua kariye.

{doctor leave and they take kashish to the operation theater .charu start crying looking at kashish condition and abhay bhi apne aap ko sambhal nahi paraha tha.veena bhi rishi ke sath waha aa jati hai akshat try to console charu and lalit and veena r trying best to console abhay.magar koi ye nahi janta tha ki sujal ka kya haal hai .sujal ne jab kashish ko operation theater mein jate dekha to use aisa laga jaise ki uski zindagi use se dor ja rahi hoo use samaj mein nahi aa raha tha ki woh aisa kya kare ki woh kashish ko bacha le woh continously pray kar raha tha ki kashish ko kuch naa ho}
{after 6 hours doctor bahar aate hai and sujal was the first one to rush toward the doctor}

sujal-doctor kashish
doctor-well operation to sucessful hua hai magar jab tak unehe hosh nahi aata hum kuch kah nahi sakte
(kashish ko ICU mein shift kiya jaata hai)
sujal-mujhe lagta hai ki aap sabhi ko ghar jaana chahiye yeah pe mein or charu rukte hai.
abhay-nahi yeah pe mein bhi ruko ga waise bhi kashish ko aab tak hosh nahi aaya.
sujal-uncle aapki tabiyat teekh nahi hai or jaisa hi kashish ko hosh aayega hum aapko inform kar denge
charu-dad sujal bahiya bilkul teekh kahe rahe hai aap log ghar jaiye
akshat-mein bhi tum log ke saath rukta ho pata nahi kab kya jaroorat par jaaye
sujal-teekh hai

after sometime all leave except sujal akshat and charu also leave for sometime to collect kashish things that r needed in the hospital and sujal kashish ke hosh mein aane ka wait kar rahe tha.
woh kuch der baad ICU ka door khol ke aandar jata hai samne room mein kashish behosh leti hai woh uske paas jata hai aur kashish ke paas ja ke bethta hai.sujal se kashish ki halat dekhi nahi ja rahi thi woh usko dekhkar aandar hi aandar toot raha tha uski aankho ke saamne kashish ke saath gujara gaya har lamaha aa jata hai .woh kashish ka haath pakarta hai

sujal-kashish mein tumehe aise nahi dekh sakta bahle hi humare beech jo kuch bhi hua ho magar mein tumehe aisa takhlif mein nahi dekh sakta tum kahi na kahi aaj bhi mera zindagi ka ek hisa ho .tumehe chot lagti hai to dard mujhe hota hai .kashish tumehe wapis aana ho ga meray liye kyunki kahi na kahi aaj bhi tum meri zindagi hoo.

sujal dekhta hai ki kashish hosh mein aa rahi hai to woh jaldi se doctor ko bulanay jaata hai .doctor use check kar kay batatay hai ki kashish aab out of danger hai.sujal god ko thanx karta hai aur sabko inform ki kashish ko hosh aa gaya hai .sab log hospital aata hai aur kashish se milte hai magar woh nahi milta aur waha se chala jaata hai.woh ghar pauchta hai magar use baar baar kashish ke saath bitya hua har lamaha yaad aa raha taha. woh raat bahr kashish ke baare me soochta raha usne raat mein ek baar uska haal jane kay liye charu ko phone milaya aur usene bataya ki woh teekh hai aur so rahi hai.
use subaha raha nahi gaya to woh kashish ko dekhne hospital chala gaya raaste mein usene 4 bunch of red roses buy kiye kyunki use paata tha ki red roses kashish ko kitna pasand hai.
woh hospital paucha to use paata chala ki kashish pehle se kafi better hai aur so rahi hai woh charu se milta hai

charu-goodmorning bahiya
sujal-goodmorning charu
charu-bahiya aap 5 minute Di kay paas rahengay mujhe jara doctor se milna tha
sujal-teekh hai
(charu waha se chali jati hai air sujal apne saath laiye huai flower ko wahi pe rakh deyta hai.sujal kashish kay paas ja kar behta hai aur usko dekhta hai)
sujal-aaj bhi tumahre cheray pe wohi masumiyat hai jo pehlay thi
{aur woh uske forehead pe ek kiss karta hai}
sujal-ye mujhe kya ho raha hai kyun mein aab bhi tumahri taraf keech rahi hai.nahi mein aisa nahi hone doonga
{woh waha se uth ke chala jata hai.aur tabhi kashish ki need khulti hai }

kashish-mujhe aisa kyun laga ki abhi sujal yeah pe tah or mujhse baat kar raha tha.kyun mein ab bhi uski khushboo apnay aas paas maisus kar rahi hoo.muujhe aisa kyun lag raha hai jaisay usne mujhe abhi chua hai.kyun mujhe sujal ka eshaas ho raha hai.

{tabhi kashish ki naazar phoolo pe parti hai}

kashish-tum yeahi thay sujal meray paas kuch bhi ho jaye magar tum mujhe takleef mein nahi dekh sakte aur nahi tum mujhe bhool paye ho kyunki tumehe aaj bhi meri pasand pata hai.tum aaj bhi bilkul waisay hi ho jaisay pehlay thay.

and she went into her memorey

Flashback:-
********************************************************


*~sur~* thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 19 years ago
SHRUTI REALLY VERY GUD 👏 --NIDHI(LKLK)
Shruti11 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 19 years ago
thanx nidhi 😊
even i also like ur story 👏 👏 👏
Samrene thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 19 years ago

Originally posted by: ambarinaaltaf

yes sum rin chachi is my junior assistant😉

😆
Paru6 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 19 years ago
shruti its a really nice story plz cont soon. 👏

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".