scene 2
Location: NYC
[Lakshya hurrily arrives at his university to find Neev waiting for him]
Neev: kya yaar, kitni der lagadi tumne...tu toh ladkiyon se bhi zaada time lagata hai taiyaar hone mein
Lakshya: aaj phir se Rahul ne mujhe gira diya tha
Neev: kya baat hai lakshu beta, tu toh kitne barde barde admiyon se pit ta hai
Lakshya *sarcastically*: haan haan...
Neev: ab chalo
Location: MUMBAI AIRPORT
KT: Papa, mein aapko phone karungi jab flight land hogi
Mihir*laughingly*: haan, ab toh tu videshi ban gayi...
KT: PLEASE PAPA, NO!, mein toh sirf wahan college ke liye jaa rahi hoon, zindagi bhar ke liye nahin
Tulsi: aabhi tu yeh kehrahi hai, kahin baad mein pata chala ke vahin bassne ke plans bana liye ho
KT: Maa!
Tulsi: accha, baat chhodo, abhi Neetu nahin aayi? woh bhi tumhare saath jaa rahi hai na...aabhi tak kyun nahin aayi?
KT: pata nahin Maa, mein aabhi usse phone karti hoon
Mihir: haan beta, varna flight miss hojayegi
*KT calling Prachi*
Prachi: KT!!!!, tumne apna phone off kiya tha kya??!! maine kitni baar tumme phone karne ki koshish ki!! yeh kya-
KT: arrey, Neetu!! kahan ho?!! flight take off hone ko hai, aur tu abhi tak nahin aayi!!
Prachi: Mein abhi tak nahin aayi!!?? mein toh flight mein hi baithi hoon!! Tum kahan ho??
KT: KYA?? tum flight mein baithi ho??
Prachi: haan, mein yahin hoon, aur tumhara intezaar karte karte paak chuki hoon!!
KT: Neetu!! tu paak chuki hai?? main abhi baati hoon tumhen!
*KT hangs up the phone, feeling a bit annoyed*
Tulsi: Neetu, plane mein hai?
KT: haan!! aur mere dimaag yahan pe kitna pareshaan ho raha tha!
Tulsi: chalo phir tum bhi jao, abhi tordhi der mei boarding khatam ho jayega
KT: Maa! aap bhi mere saath reh reh kar paak chuki hain?
Tulsi: dhaat pagali! agar tumhari flight miss hogayi toh phir tum yahi kahogi ke'dekho maa aap ne mujhe jaane nahin diya'
*KT smiles and hugs both her parents*
Mihir *places his hand on her head*: chalo beta, mera saara aashirvaad hai tumhare paas
Tulsi *tears in her eyes hugs her daughter one last time*: aur dekho, khaana theek se khana, aapni health pe dhyaan rakhna, aur har rooz phone karna...
KT *close to crying*: aap bhi aapna khayal rakhna...
*KT says bye to her parents and boards the plane*
Prachi: aagayi madam saiba..aayiye baitiye...aap batane ki kasht karengi ke aap itni der se kahan thi..
KT: stupid! tujhe pata hai ke mein kitni pareshaan thi?
Prachi: aur mei ghadi ka chehra dekh dekh kar-
KT: AUR MAINE KITNI BAAR PHONE KIYA-
Prachi: AUR MAINE BHI KITNI VOICEMAILS DAALI-
*just then a flight hostess walks up to them*
Hostess: please, take off hone wala hai, aap dono please shor mat kijiye
Prachi & KT: sorry ma'am
KT whispering: maine kaha tha chup hone ke liye
Prachi: aab tum chup raho, aathara(18) ghante ki flight hai, abhi soo jao, New York pohonchke bohoti kaam karna hai
KT: haan soo jao...
[later in the day]
*lakshya done with orientation for the day decides with Neev to go partying*
Lakshya *joins in*: mera ek sapna, hai ek chehra, dekhoon jho usso jhoome bahaaarrrr....
Neev: aabe saala flirtoo ke aulad, kitni ladkiyan hain tumhare peeche...ab yeh nayii ladki se kya karna
Lakshya: arrey yaar...mein soch tha hoon...*lakshya singing besur* bachna ae haseeno, lo main aagaya
Neev: sahi hai bhaii...
*both try to high five each other but miss*
Neev: arrey yaar, kyun sochta hai tu itna beta! aanewale aajate hain!
[scene ends with Lakshya and Neev singing on their way home]
[flight lands]
*KT still sleeping*
KT: kya hai neetu!
Prachi: soothi shakal! hum aagaye!
KT*still half sleepy*: ..kahan?
Prachi: uff...Africa!
KT: KYA?!
Prachi: aur nahin toh kya...jab humme New York aana tha toh phir New York pe hi aayenge na?
KT: abhi toh yahan raat hai
Prachi: haan pata nahin agar iss raat mein taxi aasani se milegi ki nahin..
KT: chalo, zaldi chaltien hain humme maa papa ko phone karna bhi hai
Prachi: haan, chalo...
[scene ends with KT & Prachi both get off the flight, grab their baggage, and head towards the taxi stand]
Promo: Big City, Big Dreams...Big Problems...
*JHANVI*