Tashoo- nice meeting u too
Hiten- bye Sujal
Sujal- Cya
Hiten leaves
Tashoo- he is so nice na dekhne mein to accha hai hee as person bhi he is too good
Sujal- ya whatever
Tashoo- u r jealous
Sujal- jealous me aur us se huh and Tashoo pyar mujhe aur Sameer ko nahin tumhein hogaya hai
Tashoo- u
And she picks up a cushion and throws it at Sujal but too late Sujal was gone
--------------
Anjali also goes out of the room- huh samajhta kya hai apne aap ko stupid (and she bumped into Kashish) wo I m sorry I was just lost in my own thoughts
Kashish smiles- its ok mujhe bhi ghar jaane ki jaldi thi even I was not looking
Anju- why don't we have a cup of coffee 2gether if u don't mind that is
Kashish- ok
Coffee shop
Anju- So Kashish tell me something about yourself
Kashish- well I am in process of becoming a doctor and then I wanna do specialization and become a cardiac surgeon
Anju- oh
Kashish- what about u
Anju- I m doing MBA as my father wants me too but my dream is to become a model
Kashish- actually my parents wanted me too become a doctor
Anju- so tumhaari family mein kaun kaun hai
Kashish- its just me and my Grandfather
Anju smiles- no siblings
Kashish- nope
Anju- me too u know we have some things in common
Kashish- ya
Anju- both of us only have one person in our family
Kashish smiles
Anju- so tum Sujal keh ghar par kya rahi thi
Kashish tells her
Anju- so u r a cardiac surgeon in process
Kashish- ya
Anju- u know I am going to be a model in the upcoming winter show
Kashish- ya Kavya told me
Anju- you know Kavya?
Kashish- yes we were together at high skool ad since then we have been really good friends, you know he is really reserved I m surprised that he was so open with u on your first encounter.
Anju smiles- so tell me do u like Sujal
Kashish was like what should she say- wo…umm. Wo
Anju- come on yaar tell me the truth what do u think abt him
Kashish- actually he is annoying, he has so much attitude and thinks that he is the best, he is so arrogant and proud, a spoilt brat.
Anju- wow itni jaldi itni acchi tarhan se jaan gayi use
Kashish smiles
Anju- that's cool waise logon ki pehchaan honi chahiye, lekin eik baat kahoon
Kashish- sure go ahead
Anju- I hate to say this but Sujal is not that bad
Kashish- might be
--------------------------
Aisay hee din guzarte hain and the fours' winter vacation is about to start, Kavya and Anjali ki abhi tak us din se koi baat nahin hui hai, Angad aaj kal tang aaya hua hai kyun keh kuch hee dinon mein Kripa aane waali hai aur Kripa London jaane ko betaab hai, Sameer us ladki keh baare mein bhool chuka hai and Sujal aur Kashish, huh, Sujal to koi bhi mauka nahin chodta Kashish ko satane ka aur Kashish Sujal se chidti hai.
Garewaal Mansion
Sujal whistle karte huay andar aata hai
Prerna- Sujal zara yeh dawayian apne dadaji ko de aao
Sujal- kyun aapki Kashish kahan gayi
Prerna- wo to chali gayi
Sujal surprised- itni jaldi ghar chali gayi
Prerna- nahin baba usko bas 1 mahine tak rukna tha yahan par ab mahina khatam to bhi gayi accha ab jaa kar yeh dawayian de do
Sujal dully- theeq hai
He takes the medicine and goes to his dadaji
Sujal knocks on the door and then goes inside
Sujal dully- hey dadaji
Dadaji (bauji of Kavyanjali)- oye kya baat hai puttar tu itna murjhaya murjhaya sa kyun hai
Sujal- kuch nahin dadaji bas aisay hee yeh lein aap ki dawayian
Dadaji- chal aa idhar baith kitne din hogaye tujhse baat kiye warna tu to har waqt ghar se baahir hee hota hai
Sujal comes and sits besides him; dadaji puts an arm around him
Dadaji- kya hua puttar apne dadaji ko bhi nahin bataye ga
Sujal sighs- dadaji aap jaante hain keh agar kuch hoga to main sab se pehle aapko hee aa kar bataun ga
Dadaji- main bataun tujhe kya hogaya hai
Sujal not paying any attention- kya hua hai?
Dadaji- pyaar
Sujal looks at him- kya!! Dadaji aapke andar Anju ki rooh ghus gayi hai kya
Dadaji- mere andar koi Anjali beta ki rooh nahin ghusi hai main wohi keh raha hoon jo keh sach hai
Sujal- accha pyaar? Aur yeh pyar kisse hua hai
Dadaji- Kashish se
Sujal looks at his grandfather dumbfounded
Dadaji- ab aisay na dekh mujhe tu jis tarhan se usay dekhta hai, har waqt uske peeche pada rehta hai aur aaj tera moo bhi isiliye latka hua hai kyun keh wo chali gayi hai hain na
Sujal- wo to is liye kyun keh mujhe usay satane mein maza aata hai
Dadaji- accha eik baat bata Anjali ko to satane mein itna maza nahin aaya tumhein haan aur use to tu kabse jaanta hain
Sujal- wo... main... isliye
Dadaji- ab in sab baton par ghaur karte huay bata tujhe pyar hogaya hai keh nahin
Sujal looked at him and nodded his head in a yes- I think you are right dadaji I m in love
-----------
The start was a bit boring but the story will catch up from the next part and onwards
😊