Sea of Love...Sujal&Kashish.last pt 3/02 - Page 8

Created

Last reply

Replies

223

Views

66.4k

Users

36

Likes

129

Frequent Posters

goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#71

Part-9

Aaj subaah to ho gayi lekin pata nahin kashish ki zindagi me khushiyaan aanewali hai ya phir wahi gumm jise woh apni pichli zindagi me chodke sujal ke saath is anjane safar me chal padi hai........bina kisi sapne ko sajake.........Suraj ki pehli kiran khidaki se hokar kashish ke chehre pe girti hai jise woh apni aankhe kholti hai........kashish jab aankh kholti hai to apne aap ko ek anjaan bedroom me akele dekh ke ghabara jati hai...........phir jab woh apne samne sujal ko dekhti hai to woh ek chen ki saans leti hai...........kashish washroom me nahane chali jati hai..............thodi dair bad kashish bahar aati hai lekin sujal abhi bhi soya hua tha.......kashish aaine ke samne bethkar apna make up karne lagti hai...........aakhir me woh apne maang me sindoor bharne hi wali thi jab uski aankh bhar aayi lekin kashish ne apni aankh se aanshu girne nahin diye.......phir woh taiyaar hokar neeche kitchen me jati hai..........

(in the kitchen)

raghukaka subaah ka nasta bana rahe hai...........jab kashish kitchen me aati hai...........

Kashish: kya main aap ki kuch madad kar sakti hoon........

Raghukaka: Are nahin bahurani...........kal hi aapki shaadi huyi hai aur aap aaj hi.........agar malkin ko pata chal gaya to......na baa na.........

Kashish

(shocked): malkin........lekin sujal ne to nahin bataya......

Raghukaka: haa chote sahab ki Buaji..........woh hamare saath hi to rehti hai.........

Kashish

(surprized) : lekin woh hai kaha..........

Raghukaka: jee.........Veenajee ki shaadi ko 22 saal ho gaye lekin kabhi bhi unke apne bache nahin huye........ aur chaar saal pehle to unke pati bhi heart attack ki waje se chal base.....Jab hamare bade sahab aur badi malkin chal base to chote sahab bahot dukhi ho gaye the..........koi nahin tha use sambhalne ke liye tab se woh yahi pe rehti hai...........chote sahab ko apne bete ki tarah rakhti hai.........abhi woh Shirdi gayi hai Sai Baba ke darshan ke liye.........abhi bas aate hi hoge.........waise maine unko aapke bare me khabar de di hai..........ghabraiye mat bahurani...........buaji dil ki bahot achchi hai..............filhal aap yeh chai chote sahab ke liye le jaye.........

Kashish

(hasitate): main......

Raghukaka: haa aaj tak yeh kaam buaji karti thi aur is ghar ko buaji aur charu betiya sambhalti thi lekin aaj se yeh sara ghar aapka hai.........beti ho sake to hamare chote sahab ko duniya bhar ki khushiyaan dena.......bahot pyaar karte hai aap se........

Kashish

(smile and took the cup):main apni puri koshish karungi.........

(in Sujal's bedroom)

Sujal sofe pe chen ki neend so raha tha jab kashish sujal ki chai lekar aati hai..........Sujal ke chehre pe ek masoom si muskaan hoti hai jaise duniya ke gumm se anjaan.........sujal bache ki tarah so raha tha aur yeh dekhkar kashish ke chehre pe bhi muskan aati hai........Kashish aake sujal ke passwale sofe pe beth jati hai........

kashish

(dheere se): sujal.......

No wake up sign.....

Kashish

(thodi uchi aawaz se): Sujal...........

still no wake up sign......

Kashish

(shake his hand slowly): sujal......

Sujal dheere se apni aankhen kholta hai aur kashish ko apne samne dekhkar ek jatke se sofe pe beth jata hai.......

Sujal : kashish.......tum........kuch chahiye.........

Kashish: nahin.......main to bas sirf yeh chai dene aayi thi.....

Sujal

(doesnt see other cup): kashish.........tumhari chai.......

Kashish: woh main neeche jakar pilungi.........

Sujal: Papa hamesha kehte the ki subah ki chai ko mil bat ke pina chahiye ise apnapan badhta hai......

Sujal ne thodi chai alag se nikalke kashish ko di aur kashish bas sujal ko dekhti hi reh gayi.......sujal kashish ko dekhta hai aur

Sujal: kashish......chai thandi ho jayegi.........

Kashish sharmake apne bal kan ke piche karke chai pine lagti hai.........

Thodi dair bad sujal apni chai puri karke nahane ke liye chala jata hai......aur kashish niche jake breakfast table banane lagti hai.........Jab veena ghar me aati hai.....

kashish

(looks at her): Buaji......

Veena: haa.........aur tum mere sujal ki kashish......

Kashish noddes her head and comes to her and took blessings...........

Veena: Sada suhagan raho.....

Jab sujal sidiyon se utarakr neeche aata hai........

Sujal comes and took blessings......

veena : jita reh..........main tumse bahot naraz hoon.......shaadi tune karli aur muje bataya bhi nahin lekin koi baat nahin.........is baar meri bahu ki waje se chod deti hoon............

Sujal: aap sach me naraz hai.........

Veena: pagal hai kya..........kitni pyaari bahu hai......main bahot khush hoon aakhir tumhara pyaar tuje mil hi gaya.........ab is ghar me phir se khushiyaan hogi........aur is khushi ke avsar pe aaj sham ko ghar pe party hogi.......

Sujal: thik hai aap taiyaariyaan kare main office hoke aata hoon........

Kashish: lekin pehle nasta to kar lo........

Sujal: nahin main chalta hoon......

Veena: Kashish........yeh aise nahin manega........iske saath khane pine ki baat pe jabardasti karni padti hai........ab aaj se sujal ki sari jimedariyaan teri.......main koi bahana nahin sunana chaungi.........meri to yeh sunta nahin ab tum hi dekh lo......

Kashish: ple sujal kuch to khake jao.......

Sujal (

looks at her and smiles): thik hai............chalo saath me milke karte hai........

After the breakfast sujal went to the office and Kashish and veena are sitting in the hall........

Veena: kashish.......main yeh to janti hoon ki tum aur sujal college me ek saath the lekin kaha chali gayi thi tum iske baad.......humne kitni koshish ki tumhe dundhne ki..........kya tumhe kabhi apne dost ki yaad nahin aayi.......

kashish cried and told everything about her past life and hugs her tight..........

kashish

(cried): kyun aisa hota hai jaisa humne kabhi socha bhi nahin hota........

Veena

(tears in her eyes): main tumhara dard samaj sakti hoon.......shayad kahi na kahi hum dono ek kashti ke do maajhi hai lekin ferk itna hai ki ab tumhare pass sujal hai........kashish main yeh sujal ki bua hone ke nate nahi balke ek aurat hone ke nate keh rahi hoon......ek aurat ko jitni zaroorat apne pati ki hoti hai itni hi apne bache ki.........lekin bhagwan ne tumse dono chin liye ........maine bhi dono ko khoya hai lekin tumhare samne puri zindagi hai............kashish jitni jaldi tu ise apna le utna hi tumhare liye achcha hai........aage tumhari marzi..........mere saath chalo kuch tumhe dena hai..........

kashish aur veena dono veena ke kamre me jate hai........

Veena: aao......kashish......yahaan betho............

Veena almari me se do kangan nikalke kashish ke haath me rakhti hai......

Kashish: yeh.......

Veena: yeh kangan mere maa ke hai........meri maa ne apni bahu vasu ko diye the aur garewal khandan ki bahu hone ke nate ab tumhara hakk hai......aaj se is ghar ki ijjat, maan, maryada, khushiyaan sab tumhare haath me hai........tum bahot hi samajdar ho.......main janti hoon ki muje kabhi shikayat ka moka nahin milega.........sirf itna yaad rakhna ki musibat ke samay me tum muje aur sujal ko apne pass paogi......ab chalo chalke sham ke party ki taiyaariyaan bhi karni hai.........

Edited by goodkashish - 18 years ago
ami_princess thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 18 years ago
#72
wow yaar....wat a part...cant wait to read more.. 😆
le_me_star thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#73

hey kashish! congragulations for your new story 👏 👏 👏......it's awesome!!.......sujal n kashish are toghter again 😊 👏 😉 ......i can't believe that kashish has went trough so much 😭 😭 😭 ......but sujal also suffered 😭 😔 😭.......but now he has k with him 😊 ......hope kashish realise her love for sujal soon!!!!!!........n start a new life 👏.........continue soon plzzzzzz......can't wait

Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 18 years ago
#74
hey.......nice part.......im glad that u consider my request for the font n colour change.......hehe!! i luv it this way.....

Btw,.......awesome part.....continue soon !!! 😳
neh0307 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 18 years ago
#75
amazin part yaar....superb..... 👏
continue soon.....
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 18 years ago
#76
very nice.. 👏 👏 continue soon.. 😊
Aamnakideewani thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#77
oh so finally tehy got married gud n i hoep kashish jaldi realize ker paye k sujal is her love 😳
Imaan-Ki-Duaa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#78
hi dear..read ur new ff..da concept n story seems really interesting... 👏 ..gr8 gng...do cont soon... 😊
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#79
Part-10

One hour before the party……………..

Kashish abhi bhi apne kamre me bina taiyaar hoke apne gusre huye kal ke bare me soch rahi thi jab sujal office se ghar aata hai………Sujal dekhta hai to kashish kisi gehri soch me hoti hai…………

Sujal: kashish……..

Kashish (comes to her sense); tum aa gaye……….muje to pata hi nahin chala…………tum betho main tumhare liye pani lati hoon………

Kashish uthke waha se chale jane lagti hai………..jab sujal kashish ka haath pakad ke use rokta hai………..

Sujal: Kya baat hai……..tum kuch pareshan ho…….kuch kehna chahti ho……..

Kashish: nahin to………..main to bas aise hi……….tum jaldi se taiyaar ho jao……….mehman aate hi hoge………

Sujal: Kashish……….kis se jooth bol rahi ho………mujse ya apne aap se……..agar tum mujse jooth bol rahi ho to main tumhe bata doon ki tumhari aankhen saaf saaf keh rahi hai ki tum jooth bol rahi ho……….batao kya baat hai………

Kashish: Pata nahin sujal………jab bhi meri zindagi me koi badlav aanewala hota hai to ek toofan aake meri puri zindagi badal deta hai………kal tak maine socha bhi nahin who aaj mere saath hua…….main jitni apni zindagi ko bandhne ki koshish karti hoon apne tarike se……lekin zindagi bhi apni hi aur se ruh badalti hai……….Kuch samaj nahin aata me kya karoo………..jo dil kehta hai who dimaag maanne ko taiyaar nahin aur jo dimaag kehta hai who mere dil ko manzoor nahin………ab tum hi batao ki main kya karoo……

Sujal: jaisa me karta hoon waise hi………….apne dil ki aawaz ko suno……….jab bhi koi muskil faisla karna ho to apni aankhen bandh karke jise tum sab se jyada pyaar karti ho uska naam le lena……..apne aap dil se ek aawaz aayegi……..kabhi kabhi hum sawaal bhi khud karte hai aur kahi na kahi jawab bhi hamare andar hi hota hai………

Kashish: Shayad tumne meri musibat hall kar di………..thank you for helping me……….

Sujal: Dost ko thanks or sorry nahi kehte………dost to hote hi khushiyaa aur gumm bantne ke liye…….

Kashish(looking into his eyes): sujal tum bahot achche insaan ho………

Sujal (smiles) : janta hoon ………..ab tum jake taiyaar ho jao…….sab log aate hi hoge……..

Kashish: hmmmmmmm

After some time party starts………guests start to come………..Anjali, kavya. Akshat, charu are here…………Veena and sujal are welcoming everyone…………..

Kashish ko chod ke sab log baat kar rahe the kyunki kashish abhi bhi taiyaar hoke neeche nahin aayi hoti………

Kavya: kaise hai who……….

Sujal: thik hai…………lekin chup chap si rehti hai……..

Charu: who to sirf isliye nayi jagah hai……….naya mahol hai……….kuch din bad sab kuch thik ho jayega…………

Akshat: muje lagata hai hume bilkul normally behave karna chahiye………

Anjali: I think you are right Akshat……….muje lagta hai ki kashish ko kal se hi hospital join karni chahiye………kya sujal tumhari kya rai hai……….

Sujal: pata nahin……..jitna me kashish ko janne ki koshish karta hoon utna hi aisa lagta hai ki main use kabhi samaj hi nahin pata……….pata nahin her waqt kisi ulljan me hoti hai……….kuch pucho to kuch aur hi batati hai………pata nahin kya chupane ki koshish karti rehti hai………

Anjali: sahi kaha……..kashish ko koi samaj hi nahin pata……….woh ek hi chiz hai jo hum sab se chupati rahegi…………apne gumm……….woh bahot khush hone ka dava karegi lekin andar hi andar apne aap me who ghutan mehsoos karti hogi……..main janti hoon ki is baar iski pareshani ki waja kya hai………..aaj se thik teen din bad Kashish aur Sameer ki shaadi huyi thi……..woh gusre huye kal aur aanewale kal ke beech kahi beech chorahe pe rasta bhul gayi hai…………sujal tumhe uska haath tham ke use apni manzil pe lejana hai……….Sujal meri baat ka yakeen karo jis din tum kashish ko samaj paoge us din tum apne aap apna pyaar bhi pa loge……….

Sujal: Shayad tum thik keh rahi ho………..pata nahin who din kab aayega……..

Akshat: who din to pata nahin lekin who dekho kashish aa rahi hai………..

Kashish sidiyon se uthar rahi hai aur sab ki nazar kashish pe hi hoti hai…………Kashish ne hare rang ki saari pehni huyi thi aur kitne sare gehne aur gale me mangalsutra aur maang me sindoor………kashish ko dekh ke shaayd chaand bhi sharma jata……….kashish hall me aake veena ke pass jake khadi hojati hai………..

Veena: bahot pyaari lag rahi ho……….aur yeh rang bhi tumpe bahot nikhar raha hai……….

Kashish: Party bahot hi achchi hai…………waise sab log hai kaha……….

Veena; Sab ka matlab……..sab yaheen to hai……..

Kashish: mera matlab sujal kaha hai…….

Veena: abhi to yahi tha………pata nahin yeh ladka bhi………

Jab kahi se piono ke baj ne ki aawaz aati hai……….sab log dekhte hai to sujal piono baja raha hota hai…….

bebasi dard kaa aalam, tum mujhe de do apne ghum (kashish sujal ko dekhti hi rehti hai)

khaamoshiyaan bhi do, tanhaaiyaan bhi do

(sujal kashish ki aur dekhta hai jiski aankhon me ek ajeeb sa dard tha)

bechaaniyaa bhi de do, de do naa

(kashish ko sameer ke saath bitaye huye pal yaad aate

hai)

bhigi palkon se churaa lungaa nami

(kashish ke aankhon se aanshu behne lagte hai)

rehane dungaa naa, khahin koi kami

(Kashish apni nazre churakar dusri aur dekhne lagti

hai)

tumko daaman naa bhigone dungaa

(sujal kashish ke pass aake uska chehra apni aur karta hai)

ab kabhi tumko naa rone dungaa

(sujal kashish ke aanshu ko ponchta hai)

uljhane ghum ki parchhaiye

(kashish apna sir sujal ke kandhe pe rakh ke rone lagti hai)

de do mujhe apni tanhaaiyaan

(Sujal halke se kashish ke sir pe haath pherta hai)

gumnamiyaan bhi do, naakaamiyaan bhi do

(Sujal kashish ka chehra pakad ke use rone ke liye mana karta hai)

viraaniyaan bhi de do, de do naa

(kashish apne aanshu pochke sujal se dur ek khone me jake khadi hoti hai)

tere hotho pe sajaa dungaa hansi

(sujal kashish ke pass jake use apni aur karta hai aur muskurata hai)

teri raahon mein bhichhaa dungaa khushi

(sujal kashish ko samne dekhne ko kehte hai jaha sab log kashish ki aur muskura rahe hote hai)

tum mujhe apnaa maanti ho agar

(kashish sujal ki aur dekhti hai aur phir apni palke apne aanshu ko chupane ke liye juka deti hai)

yu khafaa hoke naa jhukaao nazar

(sujal kashish ke aanshu pochta hai aur use apne saath baki ke logo ke saath lejata hai)

mushkile apni majburi

(kashish anjali ko dekhke apni bheegi huyi palko ke saath gale lag jati hai)

ho de do mujhe sari benuri

(kashish jab aankh kholti hai to sujal veena ke saath khada hota hai)

pareshaaniyaaa bhi do, hairaaniyaa bhi do

(kashish ek nazar sujal ko dekhti hi jati hai)

nhigebaaniyaa bhi de do, de do naa

(anjali kashish ko apne aap se alag karke sujal ke pass lejati hai)

bebasi dard kaa aalam, tum mujhe de do apne ghum

(Anjali kashish ka haath sujal ke haath me deti hai)

khaamoshiyaan bhi do, tanhaaiyaan bhi do,

(sujal bahot pyaar se kashish ko dekhta hai aur phir who kashish ke khndhe pe haath rakh deta hai)

bechaniyaa bhi de do, de do naa

(kashish apna sir sujal ke khandhe pe rakhke aankh bandh karti hai)

Sab log dinner karne ke baad chele gaye………

(in sujal and kashish"s bedroom)

Kashish aaine ke samne bethkar apni choodiyaan utar rahi hoti hai jab sujal washroom se change karke aata hai………

Sujal: kashish kya tum muje apna manti ho……..

Kashish: yeh kaisa sawaal hai……..

Sujal: pehle haa ya naa kaho……

Kashish: haa main manti hoon ki tum mere apne ho……

Sujal: to tumne kyun thik nahin samja mujse apni pareshaniyaan batna…………kyun nhain kaha tumne mujse…….

Kashish: maine tumse kuch nahin chupaya……..

Sujal: kyun nahin bataya ki parso sameer aur tumhari shaadi ki tarikh hai…….

Kashish(

shocked): tumhe kisne kaha……….

Sujal: anjali ne

Kashish

(cried): muje laga tumhe bura lagege………

Sujal: Itna hi samaja hai muje……….nahin kashish main khud kabhi nahin chahunga ki tum sameer ya sameer ki yaadoin ko bhul jao kyunki main janta hoon ki yeh tumhare liye namumkin hai lekin main bhi sameer ke pyaar ki kadar karta hoon……….pyaar hi to kiya tha usne…….aur main kabhi bhi do pyaar karnewale ke beech me nahin aana chahta tha lekin shayad main hi samaj nahin paya tumhe……..

Kashish

(huggs him and cried): agar tum bhi aisa kahoge to main kaha jaungi……..haa manti hoon ki main tumse pyaar nahin karti aur shayad kabhi kar bhi na pau lekin tumhe main sabse jyada bharosa karti hoon khud se bhi jyada………..mera koi irada nahin tha tumhe dukh pahochane ka………agar phir bhi tumhe bura laga ho to………I am sorry……..

Sujal

(takes her face in his hands): shayad dosti me thanks aur sorry ki koi jagah nahin hoti……..

Kashish: Sujal……….main bahot hi kismatwali hoon jo muje tum jaisa dost mila………

Sujal

(smiles): who to main hoon hi………ab tum jaldi se so jao kal tumhe hospital bhi jana hai………anjali ne kaha hai…….

Kashish: lekin Buaji………

SujaL; maine Buaji se baat karli hai……….ab tum jake so jao aur main bhi so jata hoon………..kal jaldi jana hai muje bhi………..

Kashish

(goes to bed); Good night

Sujal

(goes to sofa): good night….
Edited by goodkashish - 18 years ago
le_me_star thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 18 years ago
#80

hey kashish!!!!.....great part!👏 👏 👏...kashish should try to live in the present n not in the past 😭 😊 .......sujal is so understanding 😉 😊 😉 ...he knows that 3 days later is kashish n sameer wedding anniversary n that y she looking so distract 😭 .....kashish is so lucky 2 have sujal 👏 😉 👏.....what will happen next? will kashish start to fall 4 sujal???.....continue soon plzzzzzzzz.............can't wait!!!!!

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: goodkashish · 6 years ago

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 4 months ago

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 9 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42 · 8 years ago

Ritik Mehra : Business Tycoon and Elder brother of Raghav Shivanya Kapoor : Doctor and Elder Sister of Naina and love interest of Ritik

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: sarveshjoshi42 · 8 years ago

Here are Characters of the Story Ritik : elder brother of Shivaay , Ranveer , Sanskar and love interest of Shivanya Shivanya : elder sister of

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".