Ariya Pyaar ka Farz - Page 9

Created

Last reply

Replies

338

Views

182.7k

Users

36

Likes

1.3k

Frequent Posters

Shanafr thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#81
Aweosme amez super fantastic update
Loveit
Thanks for pm
Cont soon
sheetal1979 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#82
Riya prepared how? Hope no one from etf knows her real identity superb update dear eagerly waiting for nxt dear and thanks for pm
spatika thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 8 years ago
#83
awesome update
thanks for pm.
continue soon
balan04 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#84
Nice update di
Thanks for the pm
Continue soon 😊
zubiya92 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#85
Wow
Awesome update
Love it
Cont soon
Thanks for pm
cuteariya thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 5
Posted: 8 years ago
#86
brilliant chapter
oh I just love this riya so brave confident smart 😃
oops riya's boss knows abt her helping arjun even know abt arjun past 👏
I guess he know abt sikandar & just gave a hint to riya but that just confused riya 😕
hope that sikandar wont be from ariya's close one
wow finally ETF got to know abt saddam 👏
OMG saddam is none another then arman malik 😲
it was really tough for ETF to get that saddam
but no problem riya knew & she is already prepared for the situation 😎
I just hope nobody will know abt riya's identity otherwise her boss have to kill her 😭
continue plz
Ariya_2425 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#87
Awesome update
That was riya's boss
Hope, riya ki identity kisi ko pata na chale
Riya has secret locker 😲
Or usme advanced hathiyaar bhi he
Saddam is non other then armaan malik 😲
It's tough for ETF to get saddam
But, riya is already prepared fot that 👏
Continue soon
Thanks for PM
etfr thumbnail
8th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#88


Superb blasting update..
Love it
What is Riya's boss saying..Abt what after Arjun's revenge... Is there any secret or only talking abt Arjun's love for her.. I think there is a secret..
Hahaha.. Riya's dialogue..' wrna mujhe boss shaheed krdenge..marna problem nhi h.. lekin marna hai tou field pe maru.. funny yet patriotic..
Hahaha.. bechare Riya khud se Sab prepared kr le aayi h.. Sameer ne tou advance weapons ke naam pr extra weapon dediya.. now Arjun again going to get shocked..
Amazingly written..
Thanks for PM
Continue soon


Edited by etfr - 8 years ago
bloomie thumbnail
Visit Streak 500 Thumbnail Visit Streak 365 Thumbnail + 9
Posted: 8 years ago
#89
Part 5

Arjun: kya matlab?...

Riya puts down her service gun on the side, and pulling her jeans up she removes a gun from each of her shoes and hands one to him, as he looks on shocked at the sophisticated models!

Arjun: where the hell did you get these?!?! Tu pata bhi hai yeh guns kaunsi hai?

Riya annoy hoti hai: Nahi! Sale Mein Gayi Thi Toh Dukandar Ne Free Mein De Di

Arjun: WHAT?

Riya: ye session hum baad mein continue kare? Pehle Saddam ko pakad le?

Arjun nods

Riya: aur ha...semi-automatic hai, sirf magazine change karne par load karna

Arjun: hmm...

The guns were deadly, more like tiny bombs, never missing their mark, even a shot on the arm could cause excessive bleeding leading to death...slowly but steadily the graph moves in favor of ETF.

Not long after, they overpower Armaan and his men, arresting the American as well.

Armaan: Leave Me!! You Fools!!! Tum Nahi Jaante Tum Kisse Panga Le Rahe Ho...Woh Tum Sabko Maar Dega!!...

But the next second he is silenced by Arjun's punch making his nose bleed

Arjun(aggressively): Humari Chinta Tumhe Karne Ki Zaroorat Nahi Hai!! Tumhare Boss Ka Tumse Bhi Battar Haal Hoga!! TAKE HIM AWAY!!!

The lot are taken away into the lock ups of ETF, while Saddam is take into the interrogation room. Unfortunately even after four hours of beating and interrogating not a word spills out of his mouth.

Arjun annoyed and angry goes to his cabin, and throws away files from his table. Punching it, he tries to calm himself.

On the other hand Rathore ko uska behavior ajeeb lagta hai.

Rathore: relax guys! Go home, itna kaafi hai ek din ke liye.

The team nods as Rathore moves away to Arjun's cabin. As soon as he leaves, the team collapses on the chairs in the conference room.

Shree: oh God!!! Mujhe toh lag raha tha ki aaj ka din khatam hi nahi hoga

Chotu: sach! Main toh ghar jaakar aayi se garma garam khaana banwaunga

Liza: kya Chotu? Abhi bhi khaana? Main toh seedhe bed par!!

Riya: are Liza, abhi toh Chotu ko zyaada khaana chahiye...

Shree: ha taaki woh bhee...

His voice trails off as he sees Chotu glaring at him and his hand moving to his pony tail

Shree: are Chotu...mere dost...(point karke) Riya ne shuru kiya!!!

Chotu: woh Ladki hai...main auraton par haath nahi utatha

Riya: so sweet Chotu..dekha Shree, apne usulon ka kitna pakka hai Chotu...seekh kuch !!!

Shree Riya ko unbelievable look deta hai, aur baakhi sab haste hai. Dusri taraf Rathore Arjun ke paas jata hai

Rathore: Rawte?

Arjun on the other hand Riya ko expect kar raha tha jo Rathore ko jaate hue dekh ruk jaati hai. Sameer ko dekhkar Arjun ka mood aur off ho jaata hai

Arjun: Mujhe Akela Chod Do Sameer!!! Mujhe Kisi Se Koi Baat Nahi Karni!!!

Rathore: karni hogi!! Chal kya raha hai tumhare dimag mein? Tum is case ko lekar itna emotional kyun ho rahe ho?

Arjun koi jawaab nahi deta

Rathore: chup rehne se kuch nahi hone waala Arjun! Kuch toh batao. Shayad main tumhari madad...

Arjun: Madad? Don't Make Me Laugh Rathore...JAB MADAD KARNI THI TAB MUH FER DIYA AUR AB...You Know What? Mera Sar Fat Raha Hai Just...JUST GET LOST!!! MUJHE TUMSE KOI ARGUMENT NAHI KARNI!!

Rathore(emotionally): I know Arjun, I'm sorry par...

Arjun: I SAID GO!!!

Rathore :Arju...

Tabhi darwaaze par knock hota hai. dono turn hote hai

Rathore: come in

Chotu enter karta hai: sir? We are done...hum jaaye?

Rathore ek baar Arjun ki taraf glance karta hai par Arjun kisi cheez mein interested nahi hai, Rathore sigh karke nod karta hai.

Chotu chala jaata hai, Rathore bhi follow karta hai

Darwaaze par ruk kar: yaha ruk kar kuch nahi milega...ghar jaao

Arjun use face karta hai

Rathore: oh come on! We all heard you...jab tumne kaha ki tum lodge mein nahi rehte...tumhe kya laga mujhe samaj mein nahi aaya? Tumhare andar ye jo badlaav aaya hai yeh bina wajah nahi aaya...dost hun tumhara...ha vishwas zaroor dagmagaya lekin itna toh jaanta hun ki tum par kiska asar ho raha hai

Aur jaane ke liye turn hota hai

Arjun: ab kyun waapis aaye ho?

Rathore: tumse ladte - ladte thak gaya hun

Arjun: kal firse ladne ka man ho gaya toh?

Rathore turn karta hai: ladunga...lekin tumhare saath, khilaaf nahi

Arjun: mere paas abhi bhi saboot nahi hai

Rathore: saboot chahnewala dhundh - dhundhkar thak chuka hai, ab use insaaf chahiye

Arjun use questioning look deta hai

Rathore: ha Arjun...tumhare jaane ke baad, maine bhi bahot koshish ki, ki Roshni ke kaatilon ka pata kar saku...lekin na koi chehra saamne aaya na koi naam,(frustratingly) har baar dead end!!

Arjun almost bolne waala hai par ruk jaata hai mv " nahi, bina Riya se puche main Sameer ko kuch nahi bata sakta, R&AW toh chod hoi chuki hai, kahi aisa na ho ki ETF bhi chodna pade".

Sameer: Arjun!

Arjun presence mein aata hai

Sameer: kaha kho gaye?

Arjun: kuch nahi, chal jaate hai is Saddam ka muh khulwaane ki tarkeeb bhi sochni padegi

Sameer: third degree toh de diya, ab aur kya?

Arjun: isliye bola na...ki sochna padega, dhyaan kaha hai? abhi tak office mein hai, Ayesha ke khayalon mein baad mein jaana

Ab Sameer use shock hokar dekhta hai

Arjun(teasingly): main bhi tera dost hun. Aur wink karta hai

Sameer: do minute nahi hue aur mujhe samaj nahi aa raha ki kaunsa Arjun better tha

Arjun: pehle sochna chahiye tha

Aur chala jaata hai

Sameer sigh karta hai: here we go again...ye nahi sudharne wala!!! Kisi Ko Batana Mat!!

Arjun jaate hue: sochunga !!

Sab ghar jaane ke liye nikalte hai

Gaadi mein -

Riya: kya baat hai? bade khush lag rahe hai aap? Mujhe laga ki...

Arjun: main gusse mein hi tha...which brings me to the point...(complaining)tum thi kaha? Mere paas kyun nahi aayi

Riya: maine Rathore sir ko jaate hue dekha isliye

Arjun: hmm... hum dono ka jhagda sort out ho gaya...

Riya(excitedly): SACH!!!!!

Arjun uske chillane se off guard ho gaya aur brake lagata hai: Riya!! Thoda dhe...

Riya Arjun ko tightly hug karti hai: wow!!! I don't believe this!! But this is not done!! Aap mujhe bata bhi nahi rahe, mere puchne ke baad bata rahe ho?. (aur innocent look deti hai)

Arjun ko uska josh dekhkar hasi aati hai: sorry agli baar kuch bhi hoga toh sabse pehle tumhe hi bataunga

Riya: promise?

Arjun: promise

Fir achanak

Riya(tensed): aapne unhe kuch bataya toh nahi na?

Arjun: nahi...

Riya: thank God!!...please unhe kuch mat batana

Arjun ko kuch samaj nahi aaya par fir kuch puchta nahi, use lagta hai ki shayad agency ki wajah se, woh bhi nahi chahta ki Riya ko koi pareshani ho, already pata nahi woh kitne rules tod rahi hai

Arjun: nahi bataunga...par ab aage ka plan kya hai? ye Saddam toh kuch bol hi nahi raha

Riya: ha uske liye na...mujhe sochna padega aur sochne ke liya na mujhe fresh hona padega aur fresh hone ke liye na...

Arjun: tumhe raat bhar sona padega

Riya: huh? (embarrassedly) umm...woh ha

Arjun disbelief mein sar hilata hai: tum aur Sam dono khumbkaran ki pushte ho kya?

Riya: Rathore sir bhi meri tarah apni neend se compromise nahi karte?

Arjun: compromise? Agar bina neend puri kiya koi use jagata hai aur woh uske saamne ho toh woh humesha ke liya so jaata hai

Riya hasti hai, Arjun bhi smile karke gaadi start karta hai. baakhi ki ride silent hoti hai. kuch der baad dekhta hai ki Riya ki aankh lag gayi hai, woh speed thodi kam karta hai taaki use disturbance na ho. Riya ke ghar ke baahar brake lagakar uski taraf turn hota hai, Riya abhi peacefully so rahi hai. use uthane ke liye use halke se hilane waala hai par fir aadhe raaste mein uske haath ruk jaate hai. Arjun ko use uthane ka man nahi karta.

Woh uske bag se ghar ki chaabi nikal kar door unlock karta hai. fir waapis car ki taraf jaata hai. Riya ko apni baahon mein uthakar ghar ki taraf chalne lagta hai. Riya neend mein hai, woh Arjun ko pillow samaj kar snuggle karke tightly pakadti hai, Arjun disturbance mehsoos karke ruk jaata hai, Riya comfortable ho gayi yeh dekhkar chalna continue karta hai.

Ghar mein jaakar apne pair se main door dheerese band karta hai. Arjun Riya ko bedroom mein le jaakar bed par dheerese litata hai. Riya ne Arjun ka shirt muthi mein pakda hua hai. Arjun gently uski muthi kholkar khudko chudwata hai. fir blanket lekar use pura cover karta hai, isi beech Riya Arjun ka haath pakad leti hai. Arjun disbelief mein sar hilakar apna haath chudwaane ki koshish karta hai lekin Riya disturb hoti hai zyaada tightly pakadkar uske haath ko hug karke snuggle karti hai. Ab Riya ko uthaye bagair apna haath chudaana Arjun ke liye namumkin ho gaya.

Arjun mv "neend mein bhi itni ziddi hai yeh". Apne free haath se A.C. on karta hai aur sigh karke wahi zameen par settle ho jaata hai taaki Riya ko disturb na ho

Agle din -

Subah, suraj ki kirno se Riya ki aankhein khulti hai. woh stretch karke yawn karti hai. finally woh theekse aakhein kholkar dekhti hai tab uski nazar Arjun par padti hai. Arjun wahi ka wahi hai. zameen par baitha, uska haath Riya ke haathon mein aur uska sar Riya ke pillow ke paas rest kar raha hai. woh chain se so raha hai. lekin Riya use dekhkar startle hoti hai aur jhatke se uth jaati hai. isse Arjun ki neend bhi khul jaati hai, Riya toh bas aakhein faadkar use dekh rahi hai

Arjun(casually): uth gayi tum?

Riya(nervously): a..aa..aap...ya...yaha..ka..kaise? I mean...main..yaha...mera matlab...

Arjun: are Riya, saaf - saaf bolo, kya bol rahi ho?

Riya jo man mein aaya bolti hai: main yaha kaise?

Arjun: ye tumhara hi ghar haina?

Riya: mera matlab tha...ki main toh...hum gaadi mein the na?

Arjun: ha par tum so gayi, toh main tumhe andar le aaya aur tumne mera haath pakad liya toh main bhi yahi baith gaya.

Riya(nazre jhuka kar): par aapne...apne aisa kyun kiya? Mujhe utha dete..Khamakha aapko puri raat is tarah baithe hue sona pada

Arjun smile karke bed par shift hota hai.

Arjun (Riya ke kareeb jaate hue): sach batau?

Riya halke se nod karti hai

Arjun: tum neend mein bahot pyaari lag rahi thi. Aur Riya ke cheek par kiss karta hai...

Edited by bloomie - 8 years ago
Shanafr thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#90
Awesome fab update
Loveit
Thanks for pm
Cont soon

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 4 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 6 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: heavenlybliss · 7 months ago

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".