Agar Tum Sath Ho.... Rajeev - Manjiri Os... RaMan Forever....

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#1
Hi all my lovely readers n specially all rajeev khandelwal's fans today is 7 Feb very special day of our hero's n his real life heroine's life as today is d day when they got married
Aaj humare Rajeev manjiri inshort Hamare RaMan ki shadi ko pure 6 sal hue hai Aur isi khushi me Maine ek OS humari is Real life jodi pe likha hai

Isme bahut kuchh sach hai to bahut kuchh
Fiction so hope so aapko pasand aaye mera yeh kam
Ab.jyada.waqt na lete hue here is d love story of
Rajeev sir n manjiri mam PlZz shower uur blessings to them..!!!!




Agar_ Tum_Sath_Ho...

Jaipur Rajasthan...

10 sal ka ek bachha bahut hi irrirated sa baitha tha,... uska gussa uski naak pe tha yahan se wahan apne room me tahal raha hai... aur uske bagal me uska bada bhai jo ki 13 sal ka hai... aur chhota bhai jo ki 7 sal ka hai... dono baithe hai... aur use dekh rahe hai... aur wo door ki taraf dekhta hai... to kabhi apni ma ki taraf... jo uske papa ke aane ka wait kar rahi thi...


his big brother:- raj...(yes he is raj... our sweet Rajeev) shant mere bhai... papa ke aane ke bad ma permission le legi dont worry...


his younger brother:- ha dada... aap hum kyun gussa ho...


Rajeev:- dada (to his older brother sanjeev) aap jante ho na... mera dream kya hai... but papa... aur tu... (his younger brother Rahul) jab dekho achhe marks lata hai... papa mujhe tujhse compare karte hai... nahi hoti mujhse study... i want to be a star... aur yahan ek chhota sa play kiya koi offer mila aur papa use bhi...


sanjeev:- ma bat kareingi unhone kaha hai... (tabhi rahul peeche se aa kar rajeev ko gudgudi karne lagta hai... teeno bhai bed pe girte hai... aur masti kar rahe the... ki teeno ke kaan me unke father ki jeep ki awaaz sunai di... aur teeno ko laga sankat ki ghadi nazdeek hai... teeno jhat se sahi hue... aur apni books nikal kar sheedhe bachho ki tarah bed me line se baith kar padhne lage... (rajeev ki ma jaldi se jakar unka bag leti hai...)...


R' mother:- kaisa tha aapka din... lunch kia... ??


R' father:- shri mati ji... aap bhul rahi hai ki hum army me hai... normal office ke clerk nahi... din waisa hi guzra jaise guzarna tha... waise bachhe badhai kar rahe hai...


R' mother:- ji...


R'father:- aur wo... aapke ladle... uske sir se acting karne ka bhoot utra ki do aur lagaun...??


R' mother:- suniye ji... wo kal se udas hai... kar lene dijiye na use... jo bhi...


R' father:- ek army officer ka beta yeh nautanki karega... play me kaam karne ke liye ha kaha tha... Tv me karne ke liye nahi... aur aap bhuliye mat sirf 10 sal ka ha... abhi use samajh nahi hai... (raj door me khada sab sun raha tha... uske aankhon se aanshun beh rahe the...) use bulaiye...


R' mother:- ji... (Rajeev ki mom ander jati hai... aur rajeev ka hath pakad kar bahar laati hai... wo sir jhuka kar khada tha...)..


R' father:- abhi aap bachhe hai... sirf padhai pe dhyaan aur kuchh nahi... yeh sakal sudhar kar... padhai pe dhyaan samajh gaye...


Rajeev:- ji papa... (Aur rajeev daud kar room me jata hai... aur drawer se contract ke papers ( Rajeev ko ek local tv show ke liye child artist select kia gaya tha... usi ke contract ke papers the) nikalta hai... aur do tukdo me faad deta hai... aur bed me jakar... book khol kar baith jata hai...


sanjeev:- raj koi baat nahi... dekhna mera dil kehta hai... jab tu bada ho jayega na... to yeh local tv kya hai national tv ka super star banega...


rajeev ( looking at books):- ha jaise is army academy se kabhi azaadi milne wali hai... wo to kehte hi hai ki unke bachhe unki tarah army me jaye... so... theek hai...


sanjeev:- nahi raj... army me jane ka unka sapna main aur Rahul pura karenge... tu star hi banega...


Rahul:- ha dada u r the best... (rajeev door ki taraf dekhta hai... jahan uski mom... smile ke sath khadi thi... wo aankhon se rajeev ko assure karti hai... rajeev smile karta hai... )...


yeh tha rajeev ka wo kadam jo usne bachapan me lia... apna ek sapna kurbaan karke... us din ke bad usne star banne aur acting karne ke bare me nahi socha... aur bas apne ghar ke niyamo aur school ki padhai isi me busy ho gaya...


12 years later...


Ahmadabad... st. javiours college...


college canteen...


sabhi log busy the... kuchh khane me to kuchh books me... to kuchh gossips me... tabhi ek ladka daudta hua aaya... jiska naam rohit hai...


rohit:- hey rajeev... ( giving him a pamplate)... yeh dekh...


Rajeev:- yeh kya hai...


rohit:- abe india' rising star ke audition ho rahe hai... apne college me... common yar... u have amazing personality... common...


Rajeev:- m not interested... (tabhi ek ladki aakar bagal me baithti hai...)...


natasha (rajeev's frnd):- kyun y not... raj tune ek baar khud kaha tha... tera bachapan ka sapna tha... star banna...


rajeev:- tha hai nahi...


natasha;-what... common raj...


Rajeev:- nats... yeh sach hai ki main kabhi star banna chahta tha... par kuchh kar to nahi paya tha... sirf 10 sal ki umra me mere hath me bahut badi opportunity aai... par papa ne mana kar dia... aur ab main yeh MBA kar raha hun... aur mujhe pata hai... isme bhi main kuchh nahi kar paunga... m a looser...


rohit:- raj... ek try to kar... u have great looks n physic... plzz yar...


Natasha:- ha raj common... (sab bahut insist karte hai...)


rajeev:- ohk... lets see... (natasha ek form deti hai raj ko...) yeh kya hai...??


Nashasha:- mujhe pata tu man jayega,,,, common lets go...


rajeev got selected for that latent hunt... india's rising star,,,,,, n won too... us din se rajeev me ek naya confidence paida ho gaya tha... apne jis sapne ko usne apne dil me daba dia tha... wo sapne panapne lage the... bina man ke wo mba kar raha tha... jabki uska man to star ban kar nayi uchaiyon ko chhuna chah raha tha... but sirf rising star banna kafi nahi tha... use in deewaro se nikalna tha... aur jaise hi uska last exam khatam hua... rohit aur natasha ki madad se rajeev mumbai chala gaya... jis baat pe col saab... uske papa bahut naraz the... rajeev ne mr india comptetion me participate kia... he won that crown too... then he started his modeling carrier... par mumbai me as a actor struggle karna bahut muskil tha... rajeev ne chhote - chhote kaam kiye... assitant director for short films, some comercial n others... aur banphool nam ke ek show me ek raja ka character play kia... uske baad bhi uska struggle khatam nahi hua... ghar laut nahi sakta tha... par usne har nahi mani... use break mila... ek villian ke taur pe... kya hadsa kya haqeeqat serial se... but villian nhhh...


rajeev ko to hero banna tha... aur uska asli safar suru hua... kahin toh hoga telly saga se,,,, jisme apne first look se hi najane kitne fan bana liye the rajeev ne... n journey begins of rajeev's carrier... sirf 13 episode ke bad rajeev india ka first Poster hero of television ban gaya... use sujal ke naam se jana jane laga... jahan har show me saas bahu ki kitpit wahi is show me first time kisi heroine se jyada hero ko pasand kia jane laga... is character me usne sabhi tarah ke role kiye... intence lover... grey shade... perfect beta... caring lover.. caring brother... aur fir kya tha... india ke top 5 tv superstar me rajeev ka naam sumar tha... aur ab rajeev ke father ko apne bete pe proud hai... aur jaisa ki sanjeev ne kaha tha... unhone aur rahul ne aarmy join ki... aur wo apne papa ka sapna bhi pura kar rahe hai... desh ko serve karke...


but humare jo yeh raj sahab hai na... apne role aur image ko lekar bahut possessive the... unhe nahi laga ki unka role sahi hai... to kya he left his first super hit show in a mid... rajeev ka to kuchh nahi bigda but show nahi chala... aise hi rajeev ke carrier ki suruat hui... aur yeh sabhi rajeev ke bentchmark show ban gaye... unhe har ek character me pasand kia jane laga... but wait a minute... prem kahani ka kya ha... only carrier oriented no... he is an intence lover in his personal life too...


a party...


rajeev apne kuchh frnds ke sath wahan gaya tha... actually mostly common log the... but rajeev was there... sabhi dance aur masti me lage hue the... ki rajeev ki nazar dance floor pe gayi... jahan ek early 20's ki ladki bina kisi dar ya jhijhak ke mithun style dance karne me busy thi... na bakiyon ki tarah koi make up na kapde... she is like a tomboy... bindas,,,,, rajeev ki nazar uske face ki masumiyat pe gayi... she was not a heroine type but she is like an angel so pure so innocent... aur uski aankhien... intani khubsurat ki rajeev kho sa gaya... aur uski muskaan... muskaan nahi hasi... bahut pyari... jahan sab rajeev ko gher kar khade the... for autograph n photograph... rajeev ki nazar us ladki pe gayi... kuchh der bad uske sath dance kar rahe loge bhi rajeev ke pass aa gaye... par wo nahi aayi... use koi fark nahi pada ki wo itane bade star se mile... wo totally rajeev ko ignore karke bar me gayi... aur softdrink peene lagi... rajeev tirchhi nazro se use dekh raha tha... but us ladki ko khabar nahi...


after some days...


shoot of time bomb 9/11 film city...


do girls bahut hi fast speed se ander aa rahi thi...


mamta:- manju jaldi chal yaar...


manjiri:- kya di... dekho mera time waste mat maro... faltu mujhe apne kam ke beech me le aai... aap jao na... mujhe jana hai yahan se...


mamta:- are thoda sa kaam hai... chal...


manjiri:- ok...


mamta rajeev ke dressing van me pahunchi... rajeev turned n huged her... then manjiri entered... rajeev was shocked to see her in his vanity... bcz... manjiri is the same girl jise rajeev us din party me admire kar raha tha... jahan india ki almost sari ladkia rajeev ke peeche paagal hai... wahi is ladki ne rajeev ko bhav nahi dia tha...


mamta:- hey raj... she is my sister... manjiri... (to manjiri) n manju... ise to tu janti hai... mera frnd... rajeev...


manjiri(not excited):- hi...


rajeev:- hi...


mamta:- achha raj sun na... wo i have talked to creative team... they are agree... u dont worry... u can sign the contract with ur own condition... but they want u in his show... it has a limited series... yeh rahe papers... sign it... (rajeev took the papers,,,,, looking at manjri... jo ki van ko yahan wahan dekh rahi hai,... aur uske hath uske loose trouser ke ander hai... rajeev ke face me ek sweet si smile aa gayi... aur uske papers sign kiye...) are read na...


rajeev:- i trust u mamta... (trust word pe manjiri ne rajeev ko dekha... she cant deny about his charming personality... n most important instrument of his... his eyes... the deep brown intence eyes... she immidiately looked down...)...


manjiri:- di chale m bored yar...


rajeev in his mind:- yeh samajhti kya hai khud ko...hnn... (tabhi a beautiful girl entered in his vanity...)


girl:- raj wo...


rajeev:- hi ammu... aaj late ho tum (both hugged)... mamta... amrita saluja...(Roma i.e. wife of Rajeev in time bomb) my co star n now my frnd too... n amrita she is mamta... n she is ( looking at manjiri) manjiri... her tittle sis...


amrita:- hi...


mamta:- oh common... by the i know u very well.. u r an amazing actress amrita


amrita:- thanku so much dear


mamta:-by the way... we are getting late... thanks raj... n bye both of u... ( mamta n manjiri left... with out any bye...)...


amrita:- wo... manjiri right... usne bye tak nahi kaha...


rajeev:- hmmm aisi hi hai... miss arrogent...


amrita (winks) :- tumhe kaise pata...??


rajeev:- pata hai bas,... achha yar shot ready ho raha hai... jaldi bata... payal (the baby girl who palyed the character of their daughter in the show)...ke bday ki plannig ho gayi...


amrita:- ji ha...sab akele kia... akash helped me... but u r always busy...


rajeev:- common yar... i have shows lined up... ( n they go on...)...


after that meeting with rajeev... manjiri ke liye uske man me kai sawaal khade ho gaye... sayad yeh pehli ladki hogi jisne use zara bhi bhav nahi diya tha... ha first time jarur rajeev ko attraction hua tha... but after their formal meeting... rajeev ko manjiri bahut hi rude aur egoistic lagi... uske baad kai dino tak dono ki mulakat nahi hui... rajeev ka show deal ya no deal bhi end pe tha... aur usne left right left sign kar lia tha... shoot start hone me chand din baki the...


Mamta's home... birthday party...


mamta ki bday party chal rahi hai... rajeev ander aata hai... he was in total formal... and in black... manjiri guest ko recieve kar rahi hai... ki uski nazar rajeev pe padi... n her heart skips a beat... us din ghar lautne ke bad mamta ne manjiri ko raj aur uski achhaiyon ki ek list sunai thi,... manjiri interested nahi thi... but usne suna... aaj sayad manjiri rajeev me use dhoondh pa rahi thi... jiska zikra mamta ne kia tha... rajeev ke chehre pe ek sweet smile thi... wo manjiri ke pass gaya...


rajeev:- hi miss manjiri...


manjiri:- hello mr rajeev... welcome...


rajeev:- thanks... n hows u...??


manjiri:- m fine... aap bataiye... hows ur carrier going on...


rajeev:- its preity good... signed a new show... and i think its going to be very closed to my heart...


manjiri:- oh... baki ke nahi the kya...??


rajeev:- sabhi dil ke kareeb hai... par kya hai... ek aarmy officer ki bat hi kuchh aur hai... lets... see,,,, hope so i can do justice with Captain rajveer singh shekhawat...


manjiri:- yeh kaun hai...?? wo bhi aarmy captain...?? (With twinkle in her eyes)...


rajeev:- its me... my new character...


manjiri:- oh i thought... sach me... koi captain...


rajeev:- it means u love aarmy captain...


manjiri:- i love everything which excites me... except...


rajeev:- what...


manjiri:-acting... bekar job hai...


rajeev:- means u hate actors... film or tv industry right...??


manjiri:- not hate... but i dont find anything intresting about them... i mean look... kya hai alag... 2 hath 2 pair 2 aankhien... 1face... 32 dant(teeth)... same jo mujhme hai... kya fark hai... kuchh bhi nahi... jab dekho... iska affair uske sath... uska dusre ke sath... loyal bano yaar... fir bhi log paagal hote hai inke peeche... jab ki kuchh bhi real nahi... pyar karna hi hai.. to kisi loyal bande se karo... apne ma baap se karo... apne pariwaar se karo... jo time inpe waste karte hai... wo time agar apni family aur carrier ko doge to life set hai boss.. but nahi yeh ladkiyan stars ke peeche aise paagal hoti hai... jaise we dusri duniyaan se ho... aur actress oh god... make up ki dukaan... how can they manage... uff... aur attitude itna ki star nahi bhagwaan ho...(actually sayad manjiri bhul gayi thi ki rajeev ek actor hai... aur rajeev apni hasi roke khada tha... aur use sun raha hai... tabhi mamta aai...)...


mamta:- hey raj... congrats for new show...


rajeev:- thanks darling...


mamta:- tum dono kab se kya baat kar rahe ho... aur manju tu kya...??


manjiri:- woh... (she looked at him with puppy face...) sorry... i forgot... ki aap bhi actor ho...


rajeev:- no its ok... at least aapke dil me jo hai... aapne wahi kaha...


mamta:- aisa kya kaha...??


rajeev:- nothing... parents se nahi milwaogi...


mamta :- ya sure come... (rajeev jane lagta hai... but manjiri ke bagal me rukta hai... dono opposite direction me hai... rajeev dheere se kehta hai...)...


Rajeev:- bhagwaan to bilkul bhi nahi hu... ek aam insaan hu... bilkul aapki tarah jise zindagi ki chhoti - chhoti khushiyan pasand hai... badi - badi parties nahi... jise pahado ki shanti pasand hai... seher ka shorgul nahi... jise aap jaise dil se bolne wale sachhe log pasand hai... fake make up ki dukaan nahi... (n he left to her parents...)...


manjiri in her mind:- tu bhi na manjiri... kya jarurat thi bakwaas karne ki... aur yeh aur aam insaan dekha hai maine... itani badi fan following hai... aur di ne jitna bataya hai... us hisaab se to i dont think so... u r a aam insaan... hnnn... (tabhi rajeev ne uske ma - baba ke pair chhue... aur unse bat kar raha tha... yeh dekhte hi manjiri ke face pe ek smile aa gayi...) hmmm decent hai... aur smart to hai hi...


inka milna julna suru hua... ab manjiri ko rajeev se kuchh problem nahi thi... kyuki jaisa rajeev ne kaha tha... ki sach me rajeev dil se aam hi tha... manjiri ne rajeev ke show dekhne suru kiya... jabki use tv kuchh khash pasand nahi tha... mamta sab absorb bhi kar rahi thi... aur rajeev... jab bhi wo manjiri mamta ya unke parents ke sath hota... wo ek aam insaan ki tarah behave karta tha... aur kahin na kahin use achha hi lagta tha... kyuki wo apni space me jee raha tha... manjiri aur rajeev dono ke pass ek dusre ke number the... dono hi bat karte ek dusre se,... aur inki frndship ho gayi... ya kuchh jyada inhe khud pata nahi chala...


ek taraf manjiri jise rajeev ka down to earth hona bahut achha lagta tha... bcz mamta tv industries se hi belong karti hai... manjiri mostly celebrities se milti thi... but rajeev different tha... ya kaho different hai... aur rajeev... uske aas pass sirf galmour tha... but sayad use jis saadagi ki talaash thi... woh talaash manjiri se mil kar puri hui... dono ke dil me feelings thi... dono milte the... but izhaar baki tha...


yeh lamha jo thehra hai...

mera hai... yeh tera hai...

yeh lamha main jee lun zara...

(rajeev manjiri mamta aur sabhi frnds rajeev ke ghar pe baithe hai... rajeev ek plate laakar rakhta hai... aur manjiri ko dekhte hue baith jata hai...)


tujhme khoya rahu main...

mujhme khoyi rahe tu...

khud ko dhundh leinge... phir kabhi...

tujhse milta rahu main...

mujhse milti rahe tu...

khud se hum milienge... phir kabhi...

haaa... phir kabhi...

(manjiri aur rajeev baithe to sabke sath the... but dekh sirf ek dusre ko rahe the... sabhi bak - bak kar rahe hai... but yeh dono hi ek dusre ki aankhon me khoye the... mamta ki nazar padti hai.. wo apne hubby aur frnds ko ishara karti hai... mamta ke hubby manjri ko push karte hai... aur mamta rajeev ko dono ka eyelock tut-ta hai... aur embarrasment ki feeling aati hai... dono blush kar rahe the...)


rajeev apna shot de raha tha... jahan par abhimanyu after being vice president use solitary confinement bhejta hai... kma me secret meeting ke liye... tabhi shot pura hota hai... rajeev bahar aata hai... jahan par use koi random shot dena tha... jahan par arjun aur priyanka sath me hai... shot khatam hota hai... wo arjun ke pass jata hai...


rajeev:- hey arjun... wo yar tu aaj bike se aaya hai na...


arjun:- ha kyun...


rajeev:-wo... yar mera packup ho gaya hai... mujhe teri bike chahiye... tu yen meri car le ja...


arjun:- wo to theek hai... but aap apni car kyun nahi le ja rahe...


rajeev:- de na,... getting late... abhi lecture sunna padega...


arjun & priyanka:- what...


rajeev:- nothing... tu de raha hai ya nahi...


arjun:- ye lijiye...


rajeev:- thanks bye...


rajeev bhagte hue... helmet laga kar bike lekar chala jata hai...


arjun:- inhe kya hua hai...??


priyanka:- kuchh - kuchh hota hai...


arjun:- means...??


priyanka:- arjun tera character hai... sab samajhne wala... khud pata laga le... mera bhi aaj ka kaam khatam... tera shot hai... harshad n vikash ke sath ja... bye,.,,,


arjun(soch kar):- kuchh - kuchh hota hai... hmm... aalekh baba ki jai ho... samajh gaya main... par wo hai kaun...??


rajeev manjiri ke saamne khada hota hai... manjiri rajeev ka hi wait kar rahi thi... but kyuki rajeev ne helmet pehna tha... aur bike pe tha... manjiri ne use nahi pehchana... aur door jaakar khadi ho gayi... rajeev fir se uske samne aake khada hua... bike me hi baitha tha... manjiri phir hati... rajeev ne helmet utara aur use wink kia... manjiri smile ke sath uske peeche bike me baith gayi...


kyun bewajah gungunaaye...

kyun bewajah muskuraaye...

(dono mumbai se kafi dur dariya ke kinare tehel rahe the... rajeev ki finger manjiri ko brush karti hai...)


palke chamakne lagi hai...

ab khawaab kaise... chupaaye...

(dono ka eye lock hota hai...)


beheki siii baat karle...

has- has ke... aankhien bhar le...

yeh madhosiyaan phir kahaannn...

(tabhi ek bahut badi leher aati hai... aur dono ko bhiga jati hai... rajeev puppy sa face banata hai... aur manjiri dil khol kar has rahi hai... she is laughing like anything... and rajeev is just looking at her priety face,,,,, so beautiful view for his eyes,.,,,,)


tujhme khoya rahu main...

mujhme khoyi rahe tu...

khud ko dhundh leinge... phir kabhi...

tujhse milta rahu main...

mujhse milti rahe tu...

khud se hum milienge... phir kabhi...

haaa... phir kabhi...

(majiri haste - haste ruk jati hai... aur fir dono bas ek dusre ko dekhe ja rahe hai... manjiri palke jhuka kar wahan se jane lagti hai... rajeev uska hath pakad kar apni ore pull karta hai... majiri seedhe uske seene se ja takrati hai... aur apna sir uski chest pe rakh deti hai... dono hi waise khade the... rajeev uski kamar se use hold kar leta hai... dono aankhein band karke ek dusre me khoye hue the...)


red saree scene of LRL... chal raha hai... priyanka red saree me aati hai... but rajeev ko usme manjiri dikhti hai... wo bas use dekhe ja raha tha... use dailogue ka hose nahi... priyanka... rajeev ke hath ko touch karti hai... tab rajeev ko hosh aata hai... aur wo shot ke beech me hi apni vanity me chala jata hai...


anshuman kishore singh (director):- yeh rajeev ko kya hua hai...


priyanka:- dont know... kuchh din bad rajeev jane wala hai... sayad isiliye... i will miss him...


anshuman kishore singh (director):- wait main dekh ke aata hu...


priyanka:- sir sayad mujhe pata hai unhe aur kya hua hai... main dekhti hun... (priyanka rajeev ki vanity me jati hai...) hiee jab pyar hota hai to aisa hi hota hai... (rajeev chair me script lekar baitha hai...)


rajeev;- kya... yeh tum kya keh rahi ho...


priyanka (rajeev ke bagal me baithte hue):- main kya kahungi... (script jo rajeev ke hath me thi use seedha karke...) waise aise padha jata hai... (rajeev got embarrased...)... jahan tak mujhe pata hai... industry ke bahar aaj kal aap sirf aapki wo frnd kya naam hai... ahhh... (bhulne ki acting karti hai...)...


rajeev:- manjiri...


priyanka:- ya right... usi se milte hai... mostly usi se baat karte hai... mujhe dar hai kahin arjun aur harshad sahi to nahi keh rahe the aapke bare me...


rajeev:- kya..? kya keh rahe the wo...


priyanka:- yahi ki rajeev sir ko pyar ho gaya hai...


rajeev:- nahi main manjiri se pyar nahi karta hu..


priyanka:- aww... (rone ki acting karte hue)... maine manjiri thodi na kaha...


rajeev:- wo.. wo... but pri... y are you crying...


priyanka:- mujhe laga tha ki aapko mujhse pyar hua hai... agar aapko manjiri se nahi pyar to mujhse pyar hai right... oh rajeev( she hugged him...) I... love...


rajeev:- no... i love manjiri... ha main usse pyar karta hun... tum galat samajh rahi ho...


priyanka(laughing);- u accept it... (wink to him...) to kab bata rahe hai aap use...


rajeev:- tum bhi na yar... but how did u know that...


priyanka:- common... we all are working together for more than a year... pata chal jata hai... to use bataya... wo bhi kya aapse...??


rajeev:- nahi bataya... actually uska bday aane wala hai... so socha hai ki usi din.. aur mera dil keh raha hai... ki she also does...


priyanka:- great all d best... waise chale rajveer sir... aapka aur aapki cadet naina ah singh ka scene hai... ( both laughed and left for the shot...)...



manjiri's bday...


manjiri apna bday bahut bade way pe celebrate nahi karti hai... uske liye sirf apne mayne rakhte hai... but is bar mamta ki help se rajeev ne manjiri ko ek date ke liye bulaya hai... jaise manjiri wahan pahunchti hai... wo bahut khush ho jati hai... rajeev ne pura restra book kiya tha... sabhi jagah manjiri ki kuchh cute aur random pics thi... happy birthday manjiri likha hua tha... peeche soft music chal raha tha... ki rajeev aata hai... aur apne knees ke bal baith jata hai...


Rajeev:- wish u a very happy birthday... (forwarded a yellow rose...)


manjiri:- thanks raj...


Rajeev:- Man... (manjiri looks at his deep brown eyes.. which are full of love... and this was the first time when raj addressed her with this name... this is name oF rajeev's manjiri... n no body has the right to take this name...) i know main bilkul waisa nahi hu... jaise partner ki talash tumhe thi... i know m a actor... but m also a aam insaan like u... jiske 2 hath... 2 pair ek face aur 32 nahi actually na mere sirf 31 dant hi hai... pata nahi kyun... maine bachapan se count kia hai.. 32 nahi hai... (manjiri laughed at this...) so 1 dant ka adjustment to kar logi na... khair yeh baad ka issue hai... wo main na... main... tumhe bahut pasand karta hun... waise to mere aas pass sirf beauty babies rehti hai... but i always miss u... tum sabse alag ho... main .. main... i like u man... ahhh actually nahi... wo i love u... (manjiri chup thi... raj nervous tha... wo abhi bhi red rose aage kiye hue apne knees ke bal baitha hai...)... look... mana karna hai... ya marna hai... to mar lo... par kuchh to bolo... plzz...( rajeev muh latka kar apni jagah se uthta hai... aur jaane lagta hai... manjiri uska hath pakad leti hai... rajeev use dekhta hai... manjiri uske kareeb jakar uske cheek pe kiss karti hai... aur use hug kar leti hai...)


manjiri:- Ur man also loves u raj...


dil pe taras aa raha hai...

paagal kahin ho na jaaye...

wo bhi main sunne laga hun...

jo tum kabhi keh na paaye...

yeh subahhh... phir aayegi...

yeh shaame phir aayegi...

yeh nazadikiyaan phir kahaan...

(rajeev tightly hugs her... both are involved in that one hug... then rajeev let her release... n make her to cut the cake... both feed eachother... rajeev slides a ring in her finger... and both have spend a beautiful evening together...)


tujhme khoya rahu main...

mujhme khoyi rahe tu...

khud ko dhundh leinge... phir kabhi...

tujhse milta rahu main...

mujhse milti rahe tu...

khud se hum milienge... phir kabhi...

haaa... phir kabhi...

ohhh... phir kabhi...

(dono hi restra se bahar aate hai... rajeev ek bike pe baithne ka ishara karta hai... bcz manjiri loves bike riding... dono baith kar nikal jate hai... dono hi is pal ko jee rahe the... manjiri ne raj ko tightly hug kia hua tha... dono hi ek dusre ke sath in khubsurat palon ko jee rahe the...)


majiri ke aane ke baad rajeev ki life bahut hi khubsurat ho gayi thi... rajeev ke industry ke kareebi dost.. jaise aamna, shabbir. Ezaz, priyanka, arjun sabhi inke liye bahut khush the... manjiri rajeev ki life me bahut lucky bhi sabit hui uske aate hi rajeev ko first film release hui... jo bahut badi hit thi... aur rajeev ka jo sapna tha wo to pura ho chuka tha... wo tv ka superstar tha... use waisi hi films mil rahi thi.. jaisi wo karna chah raha tha...


rajeev ke naam bahut se hit shows aur bahut si crtical aclaimed hit movies thi... aur jaisa ki rajeev ne kabhi khud ko promise kia tha... uski personal aur professional life humesha alag rahi... wo make sure karta tha ki wo apne ghar bhi ja paye... jaipur aur apne ma - papa ke sath waqt bitaye... aur yeh bhi make sure karta tha ki wo manjiri ko uska time de sake... kafi din tak relation ship me rehne ke bad 7 february 2011 ko dono hi jodhpur me shadi ke bandhan me bandh gaye... and today... they are happily married...


6th feb 2017...


aaj rajeev aur manjiri ki shadi ki 6th anniversary hai... sath ke 6 bahut hi khubsurat saal... jisme inka pyar sirf badha hai... kehte hai ki is glamour ki duniya me pyar shadi nahi tikati... par rajeeev ki soch hi use sabse humesha alag banati thi... wo bhale hi is duniya se hi belong karta hai... par jab wo ghar me hota hai to wo ek aam pati hai... ek aam beta hai... aur ek aam insaan jise chhote - chhote kamo me bahut maza aata hai... aur manjiri... shadi jarur ho gayi hai... even 6 sal ho gaye hai... par abhi bhi tom boy... foodie,,,, messy... aur rajeev fitness freak, cleaniness freak... both are just opposite... but yet just perfect for each other... made for each other...


bas 1 hour ke bad inki zindagi ka sabse khubsurat din... but rajeev nahi hai... ek event ke liye indore gaya hai... uska koi call bhi nahi aaya... manjiri naraz si muh fulake baithi thi... wait kar rahi thi ki atleast call to aa jaye,... usne finally watch ko dekha... 12 baj gayi thi... wo light off karke blancket odh kar so jati hai... tabhi kareeb 5 minute ke bad koi bedroom me enter karta hai... manjiri ko laga chor hoga... wo lete hue hi drawer se ek knife nikalti hai... aur marne ke liye uthti hai... wo attack karne wali thi ki light on hoti hai... saamne rajeev tha... jiske face pe khauf tha...


manjiri:- tum...


rajeev:- kya yaar... iraade kya hai tumhare man... aniversary hi mili thi... mujh par attack karne ke liye... itna bura pati bhi nahi hu... waise man bhar gaya hai to bata do... koi bhi shadi karlegi mujhse khushi - khushi... (manjiri chaku fek kar rajeev ka gala dabati hai...)...


manjiri:- youuu... (then hugs him n start crying... rajeev was laughing... then stops...)...


rajeev:- yeh lo... urgent flight pakad ke aaya... ki madam ko surprize dunga but... yahan to wish karne ki jagah pyar karne ki jagah... chaku mara ja raha hai... gala dabaya ja raha hai... (manjiri hits him lightly on his chest... rajeev looks arround the room... full of mess...) oh god room ki kya haalat hai...


manjiri (shouted):- Rajjj...


rajeev:- ok - ok... aur ganda kar dena... main saf kar lunga... (both hugs again...)... happy aniversary... wify...


manjiri;- happy anniversary hubby...


rajeev:- 6 years of togetherness...


manjiri:- 6 years of pure love...


rajeev:- cake...


,manjiri (excited):- abhi laai...


manjiri cake lati hai... dono hi cake cut karte hai... rajeev apna hath manjiri ko deta hai... for d dance...


manjiri:- music...


rajeev:- hume kabse jarurat padne lagi...


pal bhar theher jaao...dil yeh sambhal jaaye...

kaise tumhe roka karun...

meri taraf ata...har gum fisal jaaye..

aakhon me tumko bharun...

bin bole baaatein...tumse karu...

agar tum sath ho...agar tum sath ho...

agar tum sath ho...agar tum sath ho...

(both are looking at each other eyes... both can feel each other... both can feel love in thier eyes... both are happy... both are complete... both make each other complete...)


dono hi dance me busy the... ek dusre ki aankhon me dekh rahe the ki rajeev ka phone ring hua... he picked it up... and shows her the caller name,,,,, a big smile appears on manjiri's face...


rajeev:- ji kittu ji kahiye...


Kritika:- happpyyy anniversary... phone speaker pe hai ya nahi...


rajeev:- ji ha hai...


kritika:- hi manjiri... waise rajeev,... sorry ha disturb kia tum dono ko... but kya karun mera to man hi aisa hai nahi mana... aur maine socha kyun na rajeev ji aur unki man ko wish kar hi du...


manjiri(smiling):- oh comon kittu... tum hume kabhi disturb nahi karti ho...


rajeev:- man... y u lieing... she always does...


kritika:- accha aap milo mujhe batati hu... (puppy face...)...


rajeev:- kittu ab sada hua face mat bana ok... n m glad ki tumne sabse pehle call kia... love u darling...


kritika:- love u both... and again a very happy marriage anniversary,,,,,


manjiri:- thanks... n love u...


rajeev:- bye kittu...


kritika:- wait... badi jaldi hai aapko... waise manjiri ek baat puchun...??


manjiri:- ha ask...


kritika:- 6 saal tak rajeev ko jhela kaise... mr cleaniness freak...


rajeev:- tum bhi... ahhh...


kritika & manjiri:- ha ha ha ha ha...


kritika:- bye n enjoy ;) ...


manjiri:- oh common raj... m glad she called...


rajeev:- woh to main bhi hun...


rajeev pulled her towards him...


rajeev:- to hum kaha the...


manjiri:- wohhh... (and rajeev picked her up... and both slept in each other arms...)


Rajeev aur Manjiri jo sath mil kar RaMan bante hai... jo glamour ki duniyan me hai jarur par pyar aur nizi zindagi aam hai... aam sapne hai... aur khushiyan... inhi chhoti - chhoti cheezo me... inke liye to ek Dusre ka sath hi sabse jyada matter karta hai... agar yeh sath hai... to har ek chhoti cheez me khush hai... aur sath nahi... to khushi nahi... waise ise hi sachha pyar kehte hai... hai na ?? _:)

************************************

so guys... yeh thi kahani humare RaMan yani Rajeev Manjiri ki... jisme kuchh sach hai... kuchh haqeeqat hai... to bahut kuchh fictitious hai... hope so aaj... 7 Feb 2017... inki anniversary ke din aapko mera yeh chhota sa effort pasand aaye...


*********************************THE END*************************************

love chandni...

press like if u really liked it...

do comment...
Edited by rkchandni - 8 years ago

Created

Last reply

Replies

22

Views

3k

Users

8

Likes

28

Frequent Posters

K2kaoK2 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
#2
awsome yaar.
U r great.
I love rajeev
RamAayeHain thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#3
Beautiful fantastic fabulous os
Loved it to the core
Loved raman
Do write more on them, they are perfect
Thanks for the pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#4


Thanks prasu
Edited by rkchandni - 8 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#5


Thank you dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#6

Thanks allot dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#7

Originally posted by: vssdp

Beautiful fantastic fabulous os

Loved it to the core
Loved raman
Do write more on them, they are perfect
Thanks for the pm



Thanku so much dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#8

Originally posted by: Kvrkdiwani

awsome yaar.

U r great.
I love rajeev



Thanks dear
I love love him n live him 😳
K2kaoK2 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
#9
A biopic should be made on Rajeev's life. His story is so inspiring and has many ups & downs
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#10

Originally posted by: Kvrkdiwani

A biopic should be made on Rajeev's life. His story is so inspiring and has many ups & downs

true dear m agree wid u
I have tried to cover only some incidents which are real

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Saumya96

2 years ago

SKR FF 6:"Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story.Updated @ page 107

Hello everyone ☺️ This is Saumya ❤️ I have completed the five long threads of my FF "Hum Sath Sath Hain.!" A modern time story Following are the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: jasminerahul

7 months ago

Meri Aashiqui Ho Tum( You are my love) Veer Zara SS

Meri Aashiqui Ho Tum( You are my love)Part 1 Thank you my dearest friend Sydell for the beautiful cover page. I dedicate this SS to mili_ai who...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".