Tumse Pyar kiya Hai...... Sujal Kashish (Kajal) Forever.... OS....

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#1
here is another os on Sujal kashish (kajal) have a look...




Tumse Pyar Kiya Hai... Sujal Kashish (Kajal) Forever... OS...

ek ladki hai jo ki punjab ke ludhiana seher me rehti hai...she is very sweet simple and very beutiful girl...uski duniyaan uski family se suru hoti hai...aur family pe hi khatam...aaj uska janam din hai...isliye wo bhagwaan ka aashirwaad lene gurudware aai hai...golden temple amritsir...uski family bhi sath hai...us ladki ka naam Kashish hai...pyar se sabhi use Kash kehte hai...

Kashish apni ardaas kar rahi thi ki achanak se use ek azeeb sa ehsaas hua...usne apni aakhien kholi to aur apne bagal me dekha...to ek bahut hi handsome ladka bhi apni aankhien band karke ardaas kar raha tha...Kashish bas us ladke ko dekhti reh gayi,...sirf isliye nahi ki wo bahut hi jyada handsome the...par isliye bhi ki us ladke ke chehre me ek azeeb se kashish thi...uske chehre ka bhola pan bahut hi achha laga Kashish ko...ki achanak se us ladke ne apni aankhien kholi...Kashish ne apne muh fer liya aur baba ji ka ashirwaad lekar chali gayi...par galti se apna walet wahin bhul gayi...us ladke ki nazar padi us wallet me...usne wo wallet uthaya aur babaji ko pranam karke us Kashish ke peche gaya...usne Kashish ko awaaz bhi lagai...

boy:- suniye...mam...excuse me...

Kashish( in her mind):- oh babaji...yeh to wahi hai...yeh mere peeche kyun aa raha hai..kahin isne mujhe ise dekhte hue dekh to nahi liya...

boy:- excuse me miss...(Kashish stops)...hii...wo aap apna wallet ander bhul gayi thi...

Kashish:- oh...thankyou...(she smiles...pata nahi kya jadu tha Kashish ki smile me ki wo ladka bas use dekhta reh gaya...Kashish ne wallet liya aur aage chalne lagi...)..

boy:- by the way...i m Sujal... Sujal Garewal... and u...?(Kashish turns)...

Kashish:- hii...i m Kashish Sinha..in short Kash...

Sujal :- nice name...and nice smile...bye...

Kashish:- bye...

aur wo dono hi apni - apni rah ko chale gaye...

**********************************************
ludhiana...kuchh din baad...

Kashish apni frnd jasmeet ke sath mele pe aai thi...ki tabhi uski nazar usi insaan pe padi jo aaj kal roz uske sapne me ata tha...aur use pagal bana raha tha...sabse jayda uski aankhien...bas Kashish use dekhti reh gayi...ki tabhi Sujal ne bhi Kashish ko dekha...aur uske pass aya...Kashish ke dil ki dhadkan badh rahi thi...

Sujal :- hey...Kashish right...

Kashish:- hii aap kaun... ??

Sujal:- are pehchana nahi... main sujal us din gurudwaare pe mile the...

Kashish:- oh ha... hi Sujal ji ...she is frnd jasmeet...

Sujal :- and he is my frnd vikash...

vikash (in his ears):- oh yehi hai..teri Kashish...jise dhundhne tu ludhiana tak aaya...kya bat hai yar...parjaai ji badi soni hai...

Sujal :- chup kar...

Kashish;- kya hua...??

Sujal :- actually m new here...bas kuchh kam se aya tha apne frnd vikash ke sath..to hows u...??

Kashish:- i m fine...waise aap humare ghar kyun nahi aate...actually...ma papaji ko jab maine apke bare me bataya tha...wo mil kar sukriyaa karna chahte the...ki aapne meri help ki thi...to...

Sujal :- no..its...

vikash:- ha ha kyun nahi...

Kashish jaldi se ek kagaz me apna address likh kar de deti hai...

Kashish:-yeh mera address hai...aur no bhi...aaiyega jarur aaj rat dinner pe...hum wait kareinge...

Sujal :- ok byee Kashish...

Kashish:- byee Sujal ji...

sujal:- only sujal...

Kashish:- ok sujal...

its dinner time...Sujal vikash ke sath Kashish ke ghar phunchta hai...ghar simple tha...par saadgi se bhara... bikul Kashish ki tarah... Kashish ke parrents ne bhi Sujal ka bahut aader samman kiya...Sujal bahut khush hua...

*************************************
dinner table...

sinha saab:- to beta aap ludhiyana wich kisi kaam se aaye the...

sujal:- yes uncle... actually maine amritsir me ek plant start karwaya hai... bas usi ke silsile me yahan bhi ana ho raha hai...

sinha saab:- are achhi baat hai... jab bhi aaya karo yahan jarur aana... waise aap ho kaha se...

sujal:- ji delhi...

sinha saab:- achha hai...are aur khao... kash parosh na...

kashish :- ji papa...

sinha saab:- kaisa hai puttar... vikash puttar changa khana hai na... dopahar se akar kitchen me lagi hui thi... (sujal looks at kashish... wo apni palke jukha leti hai...)...

sujal:- khana bahut jyada achha hai uncle...

thodi der baad inka khana hota hai... aur sujal & vikash chale jate hai...
*******************************************************
after some days...

in delhi...

sujal in his mind:- kya karun... call karun... nahi kya sochegi... actually kar hi deta hai... itne din ho gaye... (sujal number dail karta hai... wahan kashish phone uthati hai...)...

kashish:- hello...

sujal:-ahh.. woh...

kashish;- aap...

sujal:- hi... tumne mujhe pehchaan lia...

kashish:- ji ha... kaise hai aap sujal...

sujal:- main bilkul theek hu... aap kaisi ho...

kashish:- main bhi theek hun... aapne call kia... koi kaam tha...

sujal:- ah... woh... a nahi... woh... (kashish is smiling through out...)... actually tumse baat karne ko man hua toh... sorry...

kashish:- sorry kis liye... aap jab chahe mujhse baat kar sakte hai... we are frndz na,,,,? (kashish ne apni aankhien band kar li...)...

sujal:- ofcrz... ofcrz we are frnds... just frndz... achha ab rakhta hu bad me baat karunga... kam hai...

kashish:- ok byee... (both hangs down but dono ki dil ki dhankane bahut jyada tez chal rahi thi...

****************************************************
aise hi din beetne lage par ab Sujal roz ek bar to Kashish se baat jarur karta tha... aur dekhte hi dekhte dono ko ek dusre se baat karne ki aadat pad gayi... kashish daily sujal ke phone ka wait kia karti... dono ko hi pata tha ki they love each other...par dono hi sirf ek dusre ko as a friend hi treat karte the...aise ki kai din guzar gaye...

kal sujal USA ja raha tha... uska ek project tha... is silsile me wo bahut busy rehne wala hai... jis kaaran wo kashish se baat nahi kar paayega... jab yeh baat kashish ko usne batai to uska man udas ho gaya... par usne sujal ko kuchh nahi kaha... aur sujal USA chala gaya... aur yahan kashish ki khushiyan uska sukh chain bhi chala gaya tha... kashish ab badal gayi thi...

kashish apne room me baithi... chand ko dekh rahi thi... 10 din ho gaye the sujal se uski baat nahi hui thi... tabhi jasmeet aati hai...

jasmeet:- kashish... (no response...) kashish... (again no response)... kashish...

kashish:- sujal...

jasmeet:- main hu jasmeet sujal nahi..., kashish yeh tune khud ke sath kya kar liya hai... dekh khud ko... tu... u love him... u love him kashish bata de use...

kashish:- par woh...

jasmeet:- tune hi to kaha tha ki woh tera bahut achha dost hai... uski baaton se tujhe lagta hai he also likes u... to bata de kashish... kya hoga... agar tu use pasand nahi hogi us nazariye se to mana kar dega,,,,, atleast tu uske lautne ki umeed lagaye to nahi baithegi...

kashish:- tu sahi keh rahi hai... main sujal se bahut pyar karne lagi hu... aur hi wo delhi aayeinge main unhe apne dil ki baat... ( kashish turns n find his father behind jasmeet... n get shocked... jasmeet also turned and shocked...)... papa ji... woh.. woh... (kashish ki aankhon se lagatar aanshun behne lage... sinha saab uske pass gaye... aur uske sir pe hath rakha unhone,,,,)...

sinha saab:- bin ma ki bachhi thi tu... humesha yehi chaha ki tujhe woh pyar bhi dun jo teri mummy ji tujhe deti... aaj agar kaushalya ji hoti to tu apne dil ki baat unse asaani se keh paati... par kya tu mujhe nahi keh sakti thi... ma nahi... baap hu tera... kya main apni bachhi ki khushi nahi dekhunga...

kashish (with tears):- papa ji... (she hugs him)...

sinha saab:- iklauti beti hai tu meri... aur jisme meri beti ki khushi usi me meri... mujhe teri pasand... pasand hai... ja aur apne dil ki baat use bata de,,,,,

jasmeet:- uncle ji sujal abhi india me nahi hai... par jaise wo aayega... kashish tu chali jana... (kashish looks at his father... he nods in yes...)...

****************************************************
USA...

idhar usa me bhi sujal ka hall kuchh kashish jaisa hi ho gaya tha... wo bhi usse bahut pyar karta hai... yeh baat use samajh aa gayi thi...

sujal:- bas kashish ek hafta aur... fir india aate hi main tumhe apne dil ki baat bata dunga... i love you kashish... i love you very much...

****************************************************

ludhiana...

kashish at her window... looking at sky:- I love you sujal...

*****************************************************

last day of sujal in USA... he called kashish... (on phone)

sujal:- kashish... kaisi ho...??

kashish:- aap... main... main bilkul theek hun aap kaise hai...

sujal:- i m perfectly fine... and aaj rat ki flight se delhi aa raha hun... kashish main bahut khush hu... mujhe tumse bahut kuchh kehna hai... bahut kuchh sunna hai... aur...

kashish:- mujhe bhi...

sujal:- sach...

kashish:- hmmm... (both have a sweetest smile on their face,,,,),... achha yeh bataiye aapka wo project...

sujal:- kya yaar... tumhara sujal koi kaam le aur wo pura na ho aisa ho sakta hai... never...

kashish:- ha its impossible...

sujal:- achha got to go... wo delhi aake baat karta hun...

kashish:- ji...

sujal:- achha suno...

kashish:- ji...

sujal:- woh... woh... (aankhien band karke)... I LOVE U Kashish.... (saamne se koi awaaz aati hai...)... look i m sorry... woh... m...

kashish:- I LOVE U TOO Sujal...( both have tears of joy... koi bhi kafi der tak kuchh nahi bolta...)...

sujal:- ok bye,,,,

kashish:- achha suniye... aap kal kis waqt delhi pahunchenge...

sujal;- yahi koi 8 pm... kyun...??

kashish:- nahi kuchh nahi... bahut kuchh kehna hai... ab itnezar nahi hota... bas aapke pas aana chahti...

sujal:- i promise u kashish... aate hi... tumhe humesha ke liye apna bana lunga... i promise... (both have tears,...)..

kashish:- i know,,,,, bye...

sujal:-bye tc...

kashish ke kaano me bas ek hi awaaz gunj rahi thi... Tumhara Sujal..aur I LOVE U kashish... aur wo smile ke sath apne bed pe late jati hai... wahi sujal ke dil me I LOVE U sujal ki dhun chal rahi thi... wo continuesly smile kiye ja raha tha...

***********************************************

next day night...

sujal apne ghar aata hai... aur uske papa use bulate hai...

sujal:- ji papa... woh aapne bulaya...

cg:- ha bete aaiye... baithiye... (sujal jakar baith jata hai...)...sujal bete... aapki nazaro humare fayslo ke kya mayne hai...

sujal:- papa aap jante hai... aap aur mumma mere liye sab kuchh ho... aapka hukum sir aankhon pe.. aur aapke faysle paththar ki lakeer... bas aap kahiye kya kaam hai...

cg:- dekha veena pata tha mujhe... beta... humne tumse puche bina ek bahut bada faysla lia hai...

sujal:- papa... aap logon ko koi faysla lene ke liye meri permission ki kya jarurat... bas aapne socha hai to sab sahi hoga... waise aisa kya decision le lia aapne...

veena:- sujal humne teri shadi prachi se tai kar di hai... (dhamake on sujal's face... prachi sujal ki childhood frnd aur cg ke frnd ki beti hai...)... beta wo sharma bhai saab prachi ka rishta lekar aaye the... hume pata chala ki prachi tujhe bachapan se chahti hai... aur hume bhi prachi pasand hai...

cg:- isiliye humne yeh socha ki aapko aapki frnd me hi aapki jeevan shathi mil jaaye isse achha aur kya hoga... aur jab maine ha kahi na... to sharma aur prachi ke chehre ke khushi dekhne laayak thi... isiliye maine unhe yeh wachan dia hai ki prachi hi humare ghar ki bahu banegi... maine theek kia na bete...??

sujal:- ji papa... aapne bilkul sahi kia...

veena:- m so happy beta... suniye maine kaha tha na... ki sujal bhi prachi ko chahta hai... sujal ab parso prachi ke birthday pe hi teri aur uski engagement kar denge...

sujal:- parso hi... itni jaldi kya hai...?

veena:- are mujhe meri bahu laani hai... (sujal just smiles...) aur fir fark hi kya padta hai... shadi kal ho ya 1 saal baad...

sujal:- sahi kaha mumma aapne... fark hi kya padta hai... mumma... wo m tired... main jaaun...?

veena:- ha ja... (sujal left from there n veena & cg have smile on their faces...)...

***************************************
day of engagement...

kashish kal se sujal ka phone laga rahi hai... par sujal me himmat hi nahi thi uska phone uthane ki... yahan kashish pareshan hokar delhi ke liye jasmeet ke sath nikal padti hai... aur dusri taraf vikash se sujal ki haalat dekhi nahi ja rahi thi...

vikash;- mat kar... tu kashish ko chahta hai...

sujal:- kya fark padta hai...

vikash :- bhool payega use,...

sujal:- bhulna padega... mumma papa aur prachi ke liye... (tabhi prachi ka phone aata hai...) hi prachi... Happy Birthday...

prachi:- thankyou... sujal wo mujhe tumse yeh puchhna tha... tum khush ho na... wo uncle ne...

sujal:- tum khush ho...??

prachi:- ha...

sujal:- to main bhi khush hu... wo prachi mumma bula rahi hai... bye...

prachi:- bye...

vikash:- mat kar... tu sirf kashish...

sujal:- nahi yaar... nahi jo ladki mujhse sirf kuchh mahine pehle mili hai... uske liye main prachi aur apne ghar walo ko kaise dukhi kar du... papa ne jabaan di hai vikash... main ek anaath tha,,,,, in logon ne mujhe zindagi di... naam dia... sab kuchh dia... kya inki khushi ke liye main itna nahi kar sakta... main yeh prachi ke liye nahi kar raha... main yeh apne mumma papa ke liye kar raha hu... kyuki wo bahut khush hai... (vikash hugged him...both have tears...)...

****************************************

prachi apne room me taiyaar khadi hai... tabhi koi peeche se ata hai aur use hug kar leta hai...

prachi:- jasmeet tum... kaisi ho...

jasmeet :- main bilkul theek hu tu kaisi hai...?? aur happy birthday madam... (prachi ki nazar kashish pe jati hai... jo door ke pass khadi hai...)... wo meri frnd hai...kashish hum log isi ke kaam se delhi aaye hai... uncle ji ko phone kia maine to pata chala ki aaj madam ki sagai hai... hiee... bataya bhi nahi...

prachi :- are wo... parso hi sab decide hua... khair wo chhod... are kashish aao...

kashish (came inside with smile):- happy birthday prachi... n congratulations...

prachi:- thanku...

jasmeet:-waise humare jiju hai kaise...

prachi:- tujhe yaad nahi maine ek baar bataya... mere bachapan ka dost...

jasmeet :- ahh... khair chhod... main directly milungi aaj... kashish.. prachi aur main door kr cousin hai... par rishta dil ka hai...

kashish:- prachi... wo mera kaam bahut important hai... sorry hum aapko aise pareshan...

prachi:- are pagal ho kya... aisa kuchh nahi hai... m glad ki aaj tum dono yahan ho... aur chalo mujhe taiyaar karo... thodi der baad meri sagai hai... (All smiles...)


*************************************************

sujal vikash aur baki sab aa chuke hai... aur prachi ka wait ho raha hai... tabhi kashish aur jasmeet prachi ko taiyaar karke lekar aate hai... veena sujal ko dekhne ko kehti hai... sujal stairs ki taraf dekhta hai... aur kashish ko dekh kar shocked... reh jata hai... kashish ki nazar bhi sujal pe jati hai... uske face pe ek smile aa jati hai... jasmeet ke bhi... tabhi... sharma saab stage pe jate hai...

sharma saab:- hello all... aaj meri beti ka janam din to hai hi... sath hi sath... aaj meri prachi ki engagement... mere bahut achhe dost cg ke bete sujal garewal se hone ja rahi hai... (Sujal closed his eyes in pain... and dhamaake on kashish & jasmeet's face... sharma saab prachi ko le jakar sujal ke bagal me khada kar dete hai... kashish aanshun liye sujal ko dekh rahi hai... sujal apni nazare chura leta hai...)...

sharma:- abhi muhurat me time hai... jab tak,,,,, kuchh entertainment ho jaaye...

cg :- kyun nahi...

jaaaveee...
jaaaveee...
jaave sajna jaave...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
juthi hai waade tere... juthi hai kasme teri...
juthi hai waade tere... juthi hai kasme teri...
jutha teraa pyar...
(kashish bas sujal ko dekh rahi hai... aur sujal sir jhuka kar prchi ke bagal me khada me hai... sath hi gane waale loge kuchh aisa ga rahe the,,,, jo kahin na kahin sujal kashish ki feelings ko bayaan kar raha tha,,,,,)...

jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
(prachi kashish aur jasmeet ka hath pakad ke laati hai... kashish bas sujal ko dekh rahi hai... aur unka intro apne in laws aur sujal se karati hai...)...

ishq jab had se paar ho jaaye...
zindagi bekarar ho jaaye...
kisi ke sath... kabhi aisa na ho rab...
kisi ke pyar ko... kisi se pyar ho jaaye...
(kashish mud ke chali jati hai... aur jasmeet uska hath tham leti hai... kashish ek baar sujal ko dekhti hai... aur fir prachi ko... aur bahar jane lagti hai... par prachi ki awaaz se ruk jaati hai...)

Prachi:-
aur kya mangu... rab se apne...
ab tumko paane ke baad...
kabhi - kabhi rang laati hai...
takdeer badal jaane ke baad...
tum hue apne... to sach hue sapne...
(prachi sujal ka hath pakad kar ga rahi thi... aur kashish ke anshun beh gaye... sujal prachi ki taraf smile karta hai...)

*******************
*******************
dil ki baat to maza hai... tab jab,,,,,
dil ki baat to maza hai... tab jab,,,,,
dil ... dil ko samjhaave...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
(kashish side me window se take laga kar khadi hai... aur sujal aur prachi ek dusre jo ring pehnate hai...)

****************
****************
Kashish:-
pyar khata hai... ya saza hai... ab tak yeh samjhe na hum...
pyar khata hai... ya saza hai... ab tak yeh samjhe na hum...
kab tak ashq bahaye... dil me...
chupke - chupke sehke gum,,,,,
jjisse dil lagaya... usse hi begane ho gaye...
geet mohabbat ke sare juthe afsaane ho gaye...
(kashish gane lagti hai... sab uski taraf dekh rahe the... sujal vikash ka hath kas kar pakad leta hai... kashish ek bar sujal aur prachi ki ore dekhti hai... usne apna hath side ke candle stand pe rakh dia tha... jo nokdar tha...aur ek dard bhari muskaan uske face pe aa jati hai...)

kisi ka dil paave lakh khushiyaan...
kisi ka dil paave lakh khushiyaan...
kisi ka dil... tut jaave...
(prachi sujal ko cake khilati hai... aur sujal prachi ko... kashish ke hath se khoon beh raha tha...)

jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...

koi dil se bura nahi hota...
waqt jo bewafa nahi hota...
uske haalat bure... hote hai...
uske haalat bure... hote hai...
aadmi khud bura nahi hota...
(kashish apne aanshun pochti hai... aur bahar jaane lagti hai kyuki ab uska sab kuchh khatam ho chuka tha... sujal ko kashish ki aankhon se hi uske man ke dard ka ehsaas ho raha hai... wo tha to prachi ke sath par uska man kashish ke sath... kashish apna kadam hall se bahar rakhti hi hai... ki sujal ki awaaz se ruk kar back kiye hue wahi khadi hai...)

****************
****************
Sujal:-
ohh... oh... oh...
ohh... oh... oh...
badi kathin hoti hai... pyar ki raahien kasam se...
ohh... oh... oh...
koi kabhi na churaaye... apni nigaahein sanam se...
ohh... oh... oh...
tum kisi apne ko... aise bewafa na samjho...
aashiqui me bebasi ko... tum daga na samjho...
pyar ke gehre saagar ki...
sheep ka moti man hai...
na bas me... takdeer ka likha...
na dil ka dhadkan hai...
(sujal kashish ko dekhte hue ga raha tha... aur kashish sujal ki ore back karke khadi hai... uske aanshun ab thamne ka nam nahi le rahe the... usse ab apne pyar ko kisi aur ke sath hona dekha nahi ja raha tha...)

****************
****************
apne marzi se kismat ko...
apne marzi se kismat ko...
kaise koi likhaavee...
jaaaveee...
(kashish apne aanshun poch kar wahan se chali jati hai... aur jasmeet upar kamre me... sayad samaan lene)...

jaave sajna jaave...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
juthi hai waade tere... juthi hai kasme teri...
juthi hai waade tere... juthi hai kasme teri...
jutha teraa pyar...
(sujal bas usi direction me dekh raha tha jahan se kashish abhi gayi thi... prachi ki nazar sujal pe thi... use bahut kuchh azeeb bhi laga... aur bahut kuchh samajh bhi rahi hai...)

jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
jaave sajna... jaave sajna... main nahi karna tera aitbaar...
(sujal bina kuchh kahe wahan se bahar chala jata hai...)

movie :- Pardeshi babu..

kashish bahar aakar... ek poll ke sahare khadi thi... aur roye ja rahi thi... wo apna wahi jakhmi hath poll par maar rahi thi...

kashish:- kyun... kyun,,,, kyun... kyun sujal... kyun kia aapne aisa... kyunnn...

sujal:- kashish,,,,, (sujal ki nazar kashish ke hath me jati hai...) yeh... tumhara hath... pagal ho gayi ho kya... (sujal kashish ka hath apne hath me leta hai... aur apna rumal nikal kar uske wound pe bandhta hai...) what the... (kashish bas sujal ko dekhe ja rahi thi...)...

kashish:- kyun aaye hai yahan... ander jaaiye mr garewaal aapki sagai hui hai abhi... aapko apni mangetar ke sath hona chahiye...

sujal:- stop it kashish... stop it... mere liye aur muskil mat banao...

kashish:- you never loved me na...?? sab dhong tha... chhalawa...

sujal:- kashish... how... main... tum mujhe kabhi samajh hi nahi paayi... i only love u kashish...

kashish:- to fir kyun sujal... kyun jo ander hua wo sab kyun...

sujal:- bebas hu main... mere ma baap ke aage tumhara pyar kam pad gaya kashish... unke ehsaan humare chand dino ke pyar se kahi jyada nikle...

kashish:- yeh aap... kya...

sujal:- main ek anaath tha kashish... mere ma baap ne mujhe sab kuchh dia... ek raste ke bachhe ko... unhone apne ghar me rajkumar bana kar rakha... to kya main unke ek wade ke liye apne pyar se dur nahi ho sakta... jis din main aaya... usi din papa ne... (then sujal told her about his father vachan n all...)... ab tum batao main kya karun...

kashish(held his hand):- maine aapko galat samjha... i m sorry...(sujal nods in no... she hugs him... par in dono ko hi nahi pata tha ki prachi ne inki sari batien sun li thi... jo daud kar ander jati hai... jasmeet ke pass,,,,)

*******************************************
guest room...

jasmeet rote hue apna aur kashish ka samaan pack kar rahi thi...

prachi:- jassi... sujal aur kashish ka kya rishta hai...??

jasmeet:- yeh tu kya...??

prachi :- sach bata... teen - teen zindagiyon ka sawaal hai...

jasmeet:- wo prachi... kuchh mahino pehle sujal ludhiana aaya tha tab... ( then jasmeet told her every thing... prachi apne aanshun poch kar neeche chali jati hai...) prachi... sun toh... hey rabba ab kya hoga...

*************************************
outside...

kashish:- aap prachi ko khush rakhna...

sujal:- aur tum...

kashish:- ja rahi hu ludhiana wapas... aur aapka pyar hai mere sath kafi hai...

sujal:- i m sorry...

kashish:- nahi sujal... ab main aapse aur bhi jyada pyar karne lagi hu... aur ab mera yeh sir waiguru se pehle aapke liye sajde me jhukega... kyuki apne liye to sab jeete hai... par jo dusro ke liye jiye... dusro ke apni khushiyaan kurbaan kar de we hi sachhe insaan hote hai... bye... (aur kashish apne aanshun poch kar ander chali jati hai... sujal kuchh der bad jata hai...)...
*************************************
inside...

party zoro soro se chal rahi thi... sujal aakar fake smile ke sath prachi ke sath khada hai... tabhi kashish aur jasmeet apna samaan lekar aate hai...

kashish:- congratulations... both of u... achha prachi ab hum chalte hai... thankx again...

jasmeet:- bye... (both turns to go...)...

prachi:- kyun... kashish apne sujal ko bye nahi kahogi... (sujal looked at her with shock,,,, kashish too turned...)... kya hua... bye kahogi nahi... ya keh nahi paogi...

sujal:- prachi yeh tum...

prachi;- tum apne pyar sujal se milne hi delhi aayi thi... use lekar nahi jaaogi...

kashish:- yeh tum...

sujal:- tum yeh sab...

prachi:- kyun sujal sirf uncle aunty ke wade ke liye apni zindagi barbaad karne chale the... tum mujhe kabhi khush nahi rakh paate sujal kyuki tum kashish se pyar karte ho... sirf kashish se...

sujal:- prachi... (he looked at his mom n dad)... mumma... papa... main... nahi... papa main prachi se hi shadi karunga...

veena:- kya... iska matalab lijiye... humne socha tha ki hum iski shadi kashish se karayeinge... par yeh to ab...

sujal:- kya... (All other laughed except sujal kashish n jasmeet)...

prachi:- sujal... i love u... par tumhari khushi mere sath nahi hai.. maine thodi der pehle tumhari aur kashish ki baat sun li thi... aur maine papa uncle aunty sabko bata dia...

cg:- sujal bete... agar mujhe pata hota ki aap kashish se pyar karte hai to yeh na hota... aapne hume kyun nahi roka...

sujal:- aap wachan de chuke the papa...

cg:- mera wachan mere bete ki khushiyon se jyada important nahi hai... kashish yahan aao... (prachi kashish ka hath pakad kar cg aur sujal ke pass le jati hai... cg sujal ka hath kashish ko dete hai...) aaj se humare bete ki zimmedaari aapki...

veena:- ha kashish... aaj main apni jaan ko tumhe saupti hu... (sujal huged his mom n dad...)...

sujal:- thanku mumma... thanku papa... n i m sorry...

veena:- tu humari jaan hai sujal... aur tujh jaisa agyakari beta to kismat walo ko milta hai...

cg:- aur wo hum hai... hume prachi ne sab bata dia hai...

prachi:- u r very lucky kashish... (kashish just smiled... prachi apni ring utar kar sujal ko deti hai...) yeh lo sujal kashish ko apna bana lo... aur apna Hal - e -dil bayan kar do...

sujal kashish ka hath apne hathon me leta hai... aur apne knees ke bal baith jata hai...

sujal:- jis din tumhe pehli bar dekha tha... tab se tumhari aankhon pyar kia hai... jab tumhare hath ka khana khaya hai... tab se tumhare hanthon se pyar kia hai... jab - jab tumse baat ki... tumhari awaaz se pyar kia hai... jab aankhien band ki tab - tab tumse pyar kia hai... jab aakhien kholi tab tumse pyar kia hai... nahi janta kab se tumse pyar kia hai... aur kitna pyar kia hai... bas tumse pyar kia hai... bahut pyar kia hai... I LOVE YOU kashish... will u be mine for forever,,...

kashish ki aankhon se aanshun beh rahe the... ofcrz khushi ki... aur sujal kashish ko ring pehna dete hai...

kashish:- I LOVE YOU too sujal... I love u more than i love my self... (they both hugs... all claps for them...)...

jasmeet:- oye hoye... ab to ladke wale bhi maan gaye... aur ladki wale yani kashish ke papa sinha uncle to kab se ready hai... (sujal looks at kashish...)..

sujal:- sach...

kashish:- ha unhe sab pata hai.. papa ji ne hi mujhe yahan bheja tha...

cg:- to koi baat nahi... hum jald hi aapke ghar aapko le jane aayenge... ( all got busy with each other...)...

vikash:- wooo... oh jasmeet ji kya khayaal hai..

jasmeet:- matalab...

vikash:- are yeh dono to mil gaye... ab bache tussi aur assi...

jasmeet:- shut up... ( nakhre dikha kar kashish ke pass chali jati hai...)...

vikash:- hie... yeh punjaab di kudi dil le gayi...

aur dekhte hi dekhte kuchh dino ke baad sujal ki baraat ludhiana gayi... aur sujal apni kashish ko apne sath apni patni bana kar delhi humesha ke liye le aya...

***************************END************************

press like if u really liked it...
do comment...
love chandni...



Edited by rkchandni - 8 years ago

Created

Last reply

Replies

15

Views

2.8k

Users

8

Likes

25

Frequent Posters

Prasu1095 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 8 years ago
#2
Superb ud
Acha hua prachi ne sujal air kadhish ki pyaar ko samjha 👏
PriyaKABHI thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 8 years ago
#3
Thanks for PM,Dear.😊
It was so Nice to see you with new Os on Sujal Kashish.😊
It was Awesome os.😊
The Banner was so Nice.😊
Sujal and Kashish First Meeting was so Nice.😊
The Feeling of Sujal Kashish towards each other was so Cute.😳
Sujal Kashish Phone Conversation was so Nice.😊
Sujal Kashish Love Confession was so Cute.😳
The Whole os was so beautifully explained.😊
Please Write like this.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaSweety-Anu
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#4

Originally posted by: prasannakamila

Superb ud
Acha hua prachi ne sujal air kadhish ki pyaar ko samjha 👏

thanks prasu
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#5

Originally posted by: PriyaSweety-Anu

Thanks for PM,Dear.😊

It was so Nice to see you with new Os on Sujal Kashish.😊
It was Awesome os.😊
The Banner was so Nice.😊
Sujal and Kashish First Meeting was so Nice.😊
The Feeling of Sujal Kashish towards each other was so Cute.😳
Sujal Kashish Phone Conversation was so Nice.😊
Sujal Kashish Love Confession was so Cute.😳
The Whole os was so beautifully explained.😊
Please Write like this.😊
__________________________________
(MISSING KSG and KABHI So Much)
PriyaSweety-Anu

thanks priya m glad u liked it...
kavitha_r thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 8 years ago
#6
Sujal Kashish meeting was good
Loved SK telephonic conversation.
Sujal agreed to marry Prachi because CG and Veena gave their word.
Glad that Prachi overhead Sujal-Kashish conversation and united the lovebirds.
Ayushi2608 thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 8 years ago
#7
awesome os
the first meet of sujal and kashish was vry cute...
the phone conversation also
sujal is soo nice..usne apni mom dad ke liya apna pyaar aur khushi sacrifice kr diya...
the song was vry nice it perfectly described the pain and turnoil of sujal and kashish...
kashish is soo understanding...she perfectly understood sujal and also supported him in his decision...this is call true love
accha hua ki prachi ne uono ki baar sun li aur vo dodo ko ek kr de
prachi too loves him and so she gave him his share of happiness...
sujal's parents r vry nice..they happily accepted kashish...
and now they live happily ever after..
thanks for the pm
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#8

Originally posted by: Ayushi2608

awesome os

the first meet of sujal and kashish was vry cute...
the phone conversation also
sujal is soo nice..usne apni mom dad ke liya apna pyaar aur khushi sacrifice kr diya...
the song was vry nice it perfectly described the pain and turnoil of sujal and kashish...
kashish is soo understanding...she perfectly understood sujal and also supported him in his decision...this is call true love
accha hua ki prachi ne uono ki baar sun li aur vo dodo ko ek kr de
prachi too loves him and so she gave him his share of happiness...
sujal's parents r vry nice..they happily accepted kashish...
and now they live happily ever after..
thanks for the pm



Thanks allot dear
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#9
thanks hiya
Jayeeta_06 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 8 years ago
#10
superb os...⭐️⭐️⭐️...so Sujal and Kashish got attracted to each other at first sight only...😉😛...they confessed their feelings to each other...👏👏👏...but then Sujal sacrifices his love for his parents...😲...so he is an orphan actually who is brought up by Sg and Veena......Kashish gets heart broken but when he tells her the truth she encourages him...😭...but glad that Prachi overhears their conversation and therefore unites both of them......loved how Sujal proposed her in front of all......loved it...❤️❤️❤️...thank u 4 pm...😃...

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: LizzieBennet

6 months ago

Love-O-Rama's Pyar ka Trope-fest RESULTS!

Hello, hello writers, graphicers, readers and all IF ites! We are finally ready to announce the results of the much-awaited Pyar ka trope fest...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: FFEditors

7 months ago

Love-O-Rama #1: Pyar ka Trope-fest : Closed

You feel it in your fingers, you feel it in your toes Love is all around you, and so the feeling grows Yes, the day of feeling love, giving...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".