Tu Mera Sanam Hua Re
A/N: Hey People I am New to IF and I really don't know how to post FF on this forum but I am trying this one hope you'll like it
It's a fiction based on Rajeev Khandelwal as Rajeev Singhania and his double role as Kabir Sharma(of REPORTERS) paired with imaginary characters/ OC
"We want Rajeev We want Rajeev ...We want Rajeev"
these words could be heard from the crowd, he smiled when he could hear his name on each and every person's lips..he came forward and a spotlight fell on his face, and again a round of applause could be heard
"O.K everyone..please shaant ho jaiye Rajeev hamare saath hain..Rajeev aap bataiye kuchh apni upcoming movie "ISHQ" ke baare mein "
Rajeev: Dekhiye ISHQ meri pehli pure romance genere movie hai, logon ne mujhe aaj tak angry young man ke role mein dekha hai, Hitler ke roop mein dekha hai, young college boy ke bhi roop mein dekha hai, bold romance mein bhi dekha hai, lekin ye pehli baar hoga jab main ISHQ ke asli maine is film mein bataunga
The interviewer asked a few more questions and Rajeev answered all his questions with a smile...
"Rajeev is film mein Kaulini aapki premika ki bhoomi nibha rahi hain..aapko kya lagta hai vo is role ko bakhubi nibha paayi hain?...Kyunki aksar film 6 mahine mein complete ho jaati hain...hume ye khabrein mili hain ki Kaulini ki wajah se itni der mein yeh film puri ho paayi hai "
Rajeev: Ya ya absolutely, Kaulini ek bahot hi talented actress hain hain,infact ISHQ ek bahot hi anokha concept hai , jo Kaulini ka kirdaar hai "Naitra " mujhe lagta hai ki Kaulini se better is role ko koi kar hi nahi sakta tha..aur aap toh jaante hain Best cheezon ko banne mein samay lagta hai..I think isiliye ye film delay hui hai, Kaulini ka is se koi lena dena nahi hai
"Wo nahi aayin aapke sath?"
Rajeev: Nahi wo unki tabiyat thodi thik nahi hai isliye woh aaram kar rahi hain
"Rajeev is movie mein aapne bataya ki aap ISHQ ke asli maine batate hain...Hum sab jaanna chahte hain Kya aapne kabhi asal zindagi mein ISHQ kiya hai?"
A wide smile was there on his face
Rajeev: Ye na puchho ki ISHQ kiya hai hamne? Jaan sako toh ye jaano ki jannat naseeb hui hai hame
"Wah! Kya baat hai, thank you so much Rajeev aap hamare show pe aaye, aap dekh sakte hain aapke live jo audience yahan hain, kitne saare fans hain aapke "
And this session continues, while a distance apart stood a girl who was holding a poster of Rajeev Singhania and shouting it seemed as if she was the biggest fan of Rajeev
"Rajeev! Rajeev... Rajeev"
"Arey yar Rini tu yahan se chillayegi toh thodi na samajh aayega Rajeev ko dikh na aur bhi toh fans hain unke"
Rini: Dekh Mita tu mujhe rok mat aaj kuchh bhi ho jaye main Rajeev Singhania se milke rahungi bas
Mita: Tera na kuchh nahi ho sakta main jaa rahi hun
and she left the place, while Rini was still there, the session completed and Rajeev was about to walk towards his car when the huge crowd rushed towards him, Rini also rushed to meet him...she was stopped by the bodyguards...however she struggled to reach Rajeev, Rajeev saw her and he told his guards to let her come, she came near him and took and autograph of him
Rini: Rajeev Rajeev mujhe yakeen nahi ho raha ki aap mere saamne khade hain main aapki kitni badi fan hun, aap nahi jaante maine aapki "JAZBAA" 10 baar theater mein dekhi aur pata hai..
But Rajeev didn't listened to her words completely he signed the autograph and also let her take the selfie but as he was done he immediately stepped into the car
ON OTHER SIDE
"Zindagi ne ki hai kaisi saazishein
Poori hui dil ki wo farmaishein
Maangi duaa ek tujh tak jaa pahunchi
Parvardigara, parvardigara
Kaisi suni tune meri khamoshi
O parvardigara
Ye fitoor mera laaya mujhko hai tere kareeb
Ye fitoor mera rehmat teri
Ye fitoor mera maine badla re mera naseeb
Ye fitoor mera chaahat teri
O parvardigara, parvardigara"
Arey wah Kabir tum toh sach mein sant Kabir ki tarah itna achha likhte ho, dekho main kya kehta hun kal main ek conference organize kar leta hun tumhari book "FITOOR" ki success ko celebrate karne ke liye, kya kehte ho?
Kabir: Aabhas tum achhi tarah se jaante ho ki ye mujhe ye sab shor sharaba bilkul pasand nahi hai...mujhe likhna pasand hai isliye main likhta hun novel kavita kahaniayaan, main chahta hun ki log mere vichaar padhe isliye main column likhta hun, articles likhta hun, isliye nahi ki log mujhe jaane
Aabhas : Arey lekin Kabir logon ko pata hona chahiye na ki tum ho kaun, itna achha likhne waala itne achhe vichaaron wala insaan hai kaun
Kabir: Aabhas please...main nahi chahta ki log mere baare mein jaane
Aabhas: Arey lekin...
Kabir: Tum vo sab chhodo tum mujhe ye batao ki tum mujhe apni success party par kab bula rahe ho, pichhle baar bhi tumne taal diya tha
ON THE OTHER SIDE
In a Hotel Room
Rajeev opened the room with the keys and he stepped in, he was in anger, frustration ..
Rajeev(shouts): Kaulini...Kaulini..(looks at the maid)..Kahan hai Kaulini ?
"Wo andar hai sahab "
Rajeev banged the door
Rajeev: Kaulini! Kaulini ...Kaulini come outside...bahar aao Kaulini
But there was no response from the other side
Rajeev: Kaulini get the hell out of the washroom..
A girl who was inebriate came outside, she had completly lost her senses, she couldn't think of anything...
Rajeev: Kaulini Kaulini kya hai ye sab?
But the girl was busy smoking..Rajeev forcefully took the cigeratte from her hand and threw it
Rajeev: Kaulini kya hai ye sab?...Tum mere saath apne film ke promotion ke liye nahi aayi koi baat nahi,lekin pichle do ghante se tumhaare shoot ke liye pura unit intezaar kar raha hai, aur tum ye sab...tum jaanti ho na ye sab...is sab ki kimat kitni zyada hai ye jaanti ho na tum
Kaulini: Shh!...Tum baar baar ek hi baat repeat karke bor nahi hote Rajeev
Kaulini was not in her senses and she was about to fall when Rajeev held her
Rajeev :Kaulini..ye kya kar liya hai khud ko tumne...tum kya thi aur kya kar ho gayi ho...tumhe pata hai unhone mujhse ek sawaal kiya tha ki kya maine kabhi ISHQ kiya hai, jawab mein maine vo kaha jo ek actor ko kehna chahiye..vo nahi jo main kehna chahta tha
Kaulini(giggles): Achha ? Aisi kaunsi kamaal ki baat kehne waale they tum...
Rajeev: Ishq ke dariya mein kuchh aise behke hain ki ab toot ke bikhar jaane ko jee chahta hai
Kaulini: Wah! so cheesy...lekin tumhe nahi lagta ye sab kehne ke liye achha hai, par ab tum waise nahi rahe Rajeev,you don't love me..
and Kaulini was unconscious, she was asleep...Rajeev lifted her up and got her to the bed, he made her lay down and drew the blanket for her, he could see her in so much pain..he caressed her hairs and kissed her forehead
Rajeev: Na main badla hun, na hi badlunga Kaulini, tum kahin kho chuki ho tumhe wapas lana chahta hun main, main ab bhi wahi hun wahi Rajeev jo tumse tootke pyaar karta tha...aur ab bhi karta hai..hamesha karta rahega...
ON OTHER SIDE
Rini was back to home..she was so happy, her face glowed and she had a bright smile on her face...she stepped to a man in his fiftees and hugged him from the back
Rini: Paapu..I am so happy I am so so much happy..aapko pata hai aaj main Rajeev se mili thi..Rajeev Singhania, aur aap jaante hain, maine unke saath selfie bhi li(shows the pics to her father)
Apoorva : Chal achha hai ki tu apne favorite star se mil aayi..ab mera dimaag nahi khaayegi tu
Rini: Kya paapu main aapse bahot naraz hun, Rajeev aapke student reh chuke hain aur aapne mere itne kehne par bhi unhe phone karke yahan nahi bulaya fir fayda kya hua mere "Apoorv Raichand " ki beti hone ka
Apoorv: Nahi beta aisa nahi karte, maine tumhe kabhi bhi apne power ka galat istemaal karna nahi sikhaya ...aur waise bhi Rajeev mera student hai, main uska nahi...usey agar meri yaad aati ho toh vo mujhe beshaq milne aa sakta hai, lekin sirf is wajah se ki meri beti uski deewani hai main usey bulaun ye thik baat nahi samjhi?
Rini: Yes sir!
Apoorv: Good girl..ab jaa jaldi se jaake haath muh dho le, saath mein dinner karenge thik hai
Rini: Okay...jo hukum mere kaka
and she walked to her room and closed it to change...while her eyes fell on a novel which was on the table..she opened it and a smile appeared on her face
Rini: Wah! kya baat hai kya lavs hain.." Zindagi ne ki hai kaisi saazishein Poori hui dil ki wo farmaishein Maangi duaa ek tujh tak jaa pahunchi Parvardigara,parvardigara Kaisi suni tune meri khamoshi O parvardigara Ye fitoor mera laaya mujhko hai tere kareeb Ye fitoor mera rehmat teri Ye fitoor mera maine badla re mera naseeb Ye fitoor mera chaahat teri O parvardigara, parvardigara"...mujhe ek baar inse bhi milna hai.. par ye bhi suna hai, ki aap kisi se milna pasand nahi karte Mr Kabir Sharma...
She smiled with it
NEXT MORNING
There was a bell at the door, Rini opened the door..she couldn't believe her eyes she was surprised to see the person at her door
Rini: Aap!
"Ye Apoorv Raichand ji ka ghar hai na"
Rini couldn't believe her eyes and she fell on the floor unconscious
322