PURE LOVE ~ Sujal Kashish~**Completed**Last part on page 41 - Page 24

Created

Last reply

Replies

293

Views

69.2k

Users

22

Likes

348

Frequent Posters

rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: ambersaleem

nice update yar😊 piyush aditiya jail me or sujal kasish ghar wapis aagaye😊😊 vasu ko bhi le aaye good my sujal is best😊😊 sagai bohat zabardast thi or song to bohat hi acha👏 but galat jagah part end kya kher jaldi continue karo😊😊



Thanx dear
RNforever thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
nice part
chalo acha h sujal or kashish ke bich koi galat fami nhi aayj dono saath h

great jail me h piyush or aditya
thanks for pm
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
i was so happy abt kashish's pregnancy.in this update she had miscarr due to piyush.so sad.hope she gets preg soon.vasu confessed d truth 2 sk.now they all will take revenge 2gether
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
aditya piyush in jail.duno what they r planning next.rishi mehek priya abhi engagement func was so grand with dance n music.loved it
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: jasminerahul

aditya piyush in jail.duno what they r planning next.rishi mehek priya abhi engagement func was so grand with dance n music.loved it

😆

Thanks dear keep reading
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago
Thanx again every one posting next part soon
Edited by rkchandni - 10 years ago
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago


*** sk- Pure love ***
part 22

sujal - kashish's room...

sujal bed par baitha hai aur kuchh soch raha tha ki tabhi kashish washroom se change kark aati hai...aur sujal ko aise dekh kar uske pass jati hai...aur uske kandhe par apna sir rakh kar baith jati hai...

kashish:- kya baat hai sujal...bahut parshaan lag rahe hai...kaya soch rahe hai?

sujal:- kuchh nahi bas kal ke case ke baare me soch raha tha...kal na jaane kya hoga...

kashish;- sujal aap kyun chinta kar rahe hai...aapne itani mehenat ki hai...sab theek hoga...mujhe mere bhagwaan par pura yakeen hai ki we sab kuchh theek kar deinge...

sujal:- ha kashish ab sab theek ho jana chahiye...waise kashish i m very happy for papa and mihir papa...barso pehle maa aur aaditya ke karan hi sahi unme jo duriyaan aayi thi ab wo puri tarah se khatam ho chuki hai...dadi keh rahi thi ki ab unhe unn dono me apne purane shimla wale anuraag aur mihir dikhte hai...

kashish:- haan sujal aap bilkul sahi keh rahe hai...waise sujal dekhiye na waqt kitani jaldi bitata hai na...ab aisa lagta hai mano kal ki hi baat hai jab main is ghar me aayi thi...aur anjali di ki shadi...kripa di ki saadi...phir meri aur aapki..phir akki aur charu ki engagement...aur ab rishi ki bhi...kitana kuchh badal gaya na itani jaldi...agar piyush na aata to humara bachha bhi...

sujal:- kashish tum fir se...

kashish:- ok baba ab nahi roungi...achha maine sach kaha ya nahin...

sujal;- ha ha tumne bilkul sach kaha aisa lagta hai mano kal hi to tum aayi thi...aahhh kashish tumhare aane se yaad aaya...ki jab tum aayi thi to tumne mujhe chor bulaya tha...

kashish:- chor nahi towel wala chor...

sujal:- oh haan...kyuki maine us waqt...waise kashish...tumne aate hi mujhe...yani apne bachpan ke pyar ko without shirt dekha tha kya socha tha us waqt tumne,...

kashish;- sujal aap bhi na...kya bakwaas sawaal puchh rahe hai...chahiye...bahut rat ho chuki hai good night...(she is trying to close her eyes but stops her...)

sujal:- are kashish plzz batao na...tum to aise sharma raho ho jaise aaj hi humari shadi hui ho...oh madam humari sadi ko dedh saal se jyada ho raha hai...plzz batao na...

kashish:- aap nahi ,manoge na...(Sujal nods in no...with biggg smile) ok to mujhe na...us waqt laga tha ki...u are the most hot and sexy man on the earth...and i have never seen such a hot and hansome man in my life...

sujal:- sach...oh kashish...i love u are...(and sujal kissed her on her lips and switched of the lights...and scene blurred...give them some privacy yaar...)

next day...mumbai high court...
(hey every one i m not aware muchh about courts proceedings isliye short me likh rahi hun...sorry for that...)

aaditya aur piyush ko katghare me laya jata hai...aur garewaal ki taraf se advocate pathak case lad rahe the...to wahi sujal ne piyush ke liye advocate bajaj case lad rahe the jo actually mein sujal k hi aadmi the...piyush aur aaditya ke khilaaf ek ek karke padhak ne subut dikhane suru kiye...

A pathak:-so my lord aapke samne jo yeh pita aur bete khade hai...yeh actual me india ke citizen hai...par kafi time london me hi rehte the wo bhi illigal tarike se...inka time period aur visa expired tha...jo ki jurm hai...aur main aapko batana chahunga ki yeh dono yani ki mr aaditya raheja aur inke suputra mr piyush raheja...yeh dono hi london ki police ke nishane me hai...

piyush:- yeh sab jhuth hai...

A padhak;- let me complete mr piyush raheja...to my lord main yeh keh raha tha ki yeh dono hi london mein fraud kark yahan india aaye hai...jis karan london police inhe dhundh rahi hai...aur inke upar mncs me fraud karne ke sath sath illigal drugs ka karobar karne ka ilzaam bhi hai...is wajah se mr piyush 2 baar london jail ki hawa bhi kha chuke hai...yeh rahe subut aur papers...aur advic company aur london police ka statement...aur London me ki gayi FIR ki copise bhi hai...jo yeh saf saf batate hai ki inhone london me ab tak kitane fraud kiye hai aur in par kya kya charges lagaye gaye hai...ab yeh rahe wo subut my lord jo yeh saabit karte hai ki aaj se kareeb 4 mahine pehle mr piyush ne AS associates ke sath jo deal sign ki thi wo kitani khatar naak deal thi...kyuki uss deal me inhone apne consignement ki aadh me london se india drugs supply karaya tha...jis wajah se mumbai me naa jane kitane yuvaao taki ye jaan lewa jeher pahuncha hai...my lord is jurm ke liye inhe kadi se kadi saja milani chahiye...aur inki property jabt karwa leni chahiye...

A bajaj:- objection my lord:- court inki koi bhi property jabt kar hi nahi sakta kyuki inki jitani bhi ligal property thi wo already mr aaditya ne...apne bhanje mr sujal garewaal ke naam kar di hai...(dhamake on aaditya and piyush's face)

A pathak:- ji ha mylord yeh sach hai ki mr sujal mr aaditya ke bhanje hai aur mr aaditya ne apni saari property mr sujal ke naam kar di thi...aur kyuki mr sujal ko aaditya k kamo ka pata chal gaya tha..isliye unhone wo sari property ko bech diya hai aur usse jo bhi rakam mili hai...yani kareeb 45 crores rs we unhone india ke anath aashram aur oldage home me donate kar di hai(again dhamake on aaditya and piyush's face...both looks at sujal who have a wicked smile on his face...and piyush and aaditya both understand ki yeh sab sujal ka kiya dhara hai)...aur i think its a good cause...isse kam se kam mr aaditya ke paap kuchh to kam ho jayeinge...

piyush:- aisa kaisa ho sakta hai...humari property sujal kaise bech sakta hai...ulata uski 3/4 property to humare naam hai...

A bajaj:- yes my lord yeh sach keh rahe hai...in papers ke mutabit garewaal ke 3/4 property in dono ke naam thi...par afsos ki yeh paper jali nikale...iska matalab garewaals ka ek rupya bhi mere clients ke naam nahi hai...

piyush:- aiyeee...tu humara wakeel hai ya inka...main samajh gaya sujal yeh sab tera hi kya hai na..main tujhe...

judge:- mind ur language mr piyush raheja...yeh adalat hai ani had me rahe...

a pathak;- thankyou my lord...my lord...yeh sare saboot to rahe wo jo inhone ne fraud kiye the...apr my lord inke upar sirf fraud hi nahi balki kai khoon ke bhi ilzaam hai...main sabse pehle suru se suru karta hun...aaj se kareeb 27 saal pehle shimla me mr lalit garewaal ka accident hua tha...jisme unki maut ho gayi thi...us accident aur mr lalit garewaal ki maut ki saazis kisi aur ne nahi balki mr aaditya raheja ne ki thi...

aaditya:- nahi yeh jhuth hai...

a pathak:- mere pass gawaah hai...my lord is baat ko saabit karne ke liye main mrs vasundra garewaal ko witness box me bulana chaunga...(vasu witness box me jati hai...sujal is shocked)

sujal to kashish;- kashish humne maa ko mana kiya tha...to pathak saab aur maa...yeh kyun kar rahe hai...isse to maa ko bhi...

kashish:- haan sujal mujhe khud samajh nahi aa raha hai...mummy ji ne to kaha tha ki...wo aisa kuchh nahi kareingi...

prerna:- sujal wo jo kar rahi hai sahi kar rahi hai...

a pathak:- so mrs vasundhra garewaal kya main jaan sakta hun ki inn dono se aap ka kya rishta hai...

vasu:- aaditya mere bade bhai hai...aur piyush mera bhatija.

a pathak;- my lord jaisa ki inhone bataya yeh dono uinke rishtedaar hai iska matalab yeh apne bhai ka bhala hi chaheingi...to mrs garewaal mr lalit apke kya the...aur unki maut kaise hui...

vasu:- wo mere pati the...Aur mr anurag garewaal ke bade bhai...ek din wo ghar se nikle the...aur raste me unka accident ho gaya...aur wo accident kisi aur ne nahi aaditya bhaiya ne karaya tha...

aaditya:- yeh jhuth hai main bhala...

vasu:- wo isliye mylord...kyuki aaditya bhaiya aur maine anurag bhaisaab ka accident karana chaha tha aur unhe marna chaha tha taki garewaal ki property humein mil sake...par galti se uss din anurag bhai saab ki gadi lalit le gaye aur unki death ho gayi...main yeh qubool karti hun my lord ki mujhe pata tha ki kya hone wala hai par main rok nahi payi...haa maine lalit ko mara nahi tha...par aaditya bhaiya ka sath jarur diya tha...isliye is baat ke liye main bhi doshi hun...aur my lord main aapko aur bhi kuchh batana chahti hun...pichhle 13 saalon se yeh insaan mujhe aur prerna garewaal ko sujal ko jaan se marne ki dhamaki deta tha...aur isne hi kayi bar sujal accident bhi karaya tha...mere pass is baat ka saboot bhi hai...sujal ka 4 baar accident hua hai my lord in charo bar usme hanth in dono ka tha...ab se kuchh saal pehle agra se aate waqt sujal aur uske kuchh dosto ka accident hua tha...jisme aarohi sharma naam ki ek ladki ke death bhi ho gayi thi...us accident ka plan aur anzaam kisi aur ne nahi balki piyush raheja ne diya tha...

piyush(with anger):- ayeee...teri himmat kaise hui...main tujhe jaan se maar dunga tune humare khilaf jaakar is sujal ka sath diya...bahut mamta jaag rahi hai na...

vasu:- dekha aapne judge sahab yeh aapke saamne aise dhamaki de sakta hai to kya kuchh nahi kar sakta...

judge:- mr piyush raheja...be in ur limits...aur mrs vashundhra...aap kis saboot ki baat kar rahi hai...

vasu:- judge saab main mazboor thi...apne bete sujal ki jaan bachane ke liye mujhe inka sath dena pad...par jab bhi yeh dono kuchh bhi plan karte the...mauka pakar main iski bat record kar leti thi...

A pathak:- aur yeh raha wo tape...jisme mrs vasundhra garewaal ne inki kuchh batien record ki hai jisse yeh saf jahir hota hai ki...in dono ne milkar garewaal pariwaar ke kya kuchh nahi kiya...

then judge saahab wo tape sunte hai jisme piyush aur aditya ki recordings hai...jisme wo prerna ko dhamaki de rahe hai...jisme wo kuchh logon ko orders de rahe hai taki sujal ka aacident kiya jaye...sath hi...inke jariye banaye gaye gande plans ka record bhi tha...(aaditya aur piyush hairaan reh gaye the...)

aaditya:- judge saab yeh sab is sujal ka kiya hai...yeh recording nakli hai...kisi ne humari awaaz ko mimic kiya hai...

A pathak:- my lord...yeh rahi in recordings ki foreinsicreport jo yeh saabit karti hai ki yeh sare prooves sach hai...my lord...mr piyush raheja pe dhamki dena...drugs supply aur mr sujal ke upar attempt to murder aur ms aarohi sharma ke murder ke sath sath kuchh aur bhi ilzaam hai...my lord...london me ek varsha naam ki indian ladki thi jo mr piyush raheja se pyar karti thi...mr piyush raheja ne uska poora uthaya...yahan tak use prergnanat kar diya aur jab us ladki ne yeh kaha ki wo piyush usse shadi karle...to mr piyush raheja ne usse chhutkara pane ke liye uska khoon kar diya tha...(all r shocked)...yeh rahi london police ki report...jo yeh sabit karti hai ki uske murder me iska hanth tha...aur yeh us dead bachhe ka DNA...kyuki vasrsha ji almost 7 months prergnant thi...to body ka dna kiya gaya tha... usi hatya ko anjaam dene ke baad mr piyush raheja london se bhag kar india aa gaye...lonadon police se bach kar ab india ka kanoon inhe saja dega...(piyush bas jahrili nazro se ghoor raha hai...kyuki ab use pata hai ki wo puri tarah se phas chuka hai )aur my lord last but nothe least...aaj se kareeb 1 ya dedh maah pehle mrs kashish garewaal ka accident hua tyha unke ghar pe...jime unhone apne ajanme bachhe ko kho diya tha...humne pata lagaya toh...pata chala ki wo koi normal girna nahi tha...balkimrs kashish ke bachhe ko marne ki sochi samjhi sajis thi...kyuki mrs kashish garewaal ka pair sheediyon se phisal gaya tha...aur wahan par badi chalaki se mr aaditya raheja ne tale giraya tha taki mrs kashish ka pair us jagah pade aur mrs garewaal wahan se gir jayein aur kaise bhi kark unka bachha mar jaye...aur mere pass pass is baat ka saboot hai...kyuki us mr aaditya raheja ke ghar me main hall mein ek camera laga hai...jisme yeh record hua hai ki kis tarah inhone khud stairs me oil giraya tha...

aaditya(hadbada kar):- are yeh jhuth hai...yeh kaise ho sakta hai...us camere ki recording mein main ho nahi hosakta,,,,,...

A pathak:- kyun nahi ho skata...aap hai...yeh hai wo hai tape...

aaditya(hadbada kar):- are yeh nahi ho sakta kyuki seediyon pe tale maine nahi piyush ne giraya tha...taki wo kashish...(then he realised what he said aur piyush frustate ho kar apni ankh band kar leta hai...)

A pathak:- thanku mr raheja...i m sorry my lord maine thoda sa jhuth bola...actually inke ghar me koi camera laga hi nahi hai...main to bus inke nuh se inka sach janna chahta tha...aap hi sochiye...yeh loge kis had gire hue...pahle is insaan ne khud apne bachhe aur uski maa ko maar diya...aur phir mr sujal garewaal ke ajanme bachhe ko...wo bachha my lord is duniyaan me aaya bhi nahi tha...kitane sapne dekhein honge mr sujal garewaal aur mrs kashish garewaal ne apne bachhe ke liye...par inn logon ne unke sapno ko tod diya...(kashish is having tears...sujal holds her hands to support her)main ab aapse bas itana hi kehna chahuga...inn dono baap bete ko is duniyaan ki sabse kadi saja di jaye...thats all my lord...

judge:- A bajaj aap apne client ke favour me kuchh kehna chaheinge...?

A bajaj:- ji nahi my lord...agar gunah kiya hai to mere clients ko saja di jaye...main bhi sach ke sath hun...

judge:- sare sabooto...aur ghawaho ko madde nazar rakhte hue...adalat mr aaditya raheja..mr piyush raheja...aur mrs vasundhara garewaal ko inka sath dene ke jurm me doshi pati hai...isliye yeh adalat mr aadiya raheja ko mr lalit raheja ke khun aur balckmaling ke jurm me aur fraud karne ke jurm me...umra kaid aur mr piyush raheja ko ms aarohi sharma,ms varsha, ke khoon ke jurm me aur drug supply karne, fraud karne ke jurm me...inhe ta umra kaide bamushkkat ki saja sunati hai...(piyush aur aadiya ke pairo tale jameen khisak jati hai...kashish and sujal both are happy with satisfaction)...aur mrs vasundhara garewaal ne inka sath diya par sath hi sath inhone adalat ki madad bhi ki aur sach bola...isliye inhe sirf 3 saal ki saja sunati hai...the court is adjouned...

judge sahab uth kar chale jate hai...piyush sujal aur kashish ko chalaanging look deta hai aur police unhe le jati hai...sujal jakar mr pathak aur mr bajaj dono ka sukriyaan ada karta hai...aur vasu ke pass jata hai...

sujal:- maa...aapne aisa kyun kiya..hum aapko kuchh na hone dete phir aapne kyun ilzaam...

vasu:- kyuki maine galat kiya tha...aur jab tak mujhe saza nahi milegi mere mann ka bojh nahi utarata sujal...beta main to bas is baat ko lekar ab bahut khush hun ki ab tum apni zindagi bina kisi dar aur lakleef ke jee paoge...prerna...ab apne bete ko jee bhar ka pyar kar lena...aur lautne ke baad main bhi karungi...kashish main bahut khush hu...ki tum mere bete ki patni ho...sach me tumse jyada pyar sujal ko koi nahi kar sakta hai...mere sujal ka khayal rakhana aur apna bhi...aur ha...jab 3 sal baad main aaun na...to mujhe mera pota ya poti chahiye...(kashish smiles with tears...sujal hugs vasu...)

sujal:- thankyou maa...hum sab aapka wait kareinge...

prerna:- ha vasu...garewaal parivaar ab tumhare bina adhura hoga...isliye jaldi se aana...aur tumhara bahut bahut shukriya...ab mere pariwaar ki saari mushibate khatam ho gayi hai...(prerna kashish ke sath baki sabhi bachhe vasu ke gale lagte hai...)

vasu:- prerna...maaji se kehna ho sake to mujhe maanf kar deingi...(prerna nods...aur lady police vasu ko le jati hai...)

prerna:- sujal usne bilkul sahi kiya hai...agar mann me bojh ho to insaan jee nahi pata...ab kam se kam...wo sukun se jee payegi...aur jab laut ke aayegi...to hum sab uska hasi aur khushi se swagat kareinge hai na...ab chal chale ghar...(sujal and kashish both smiles tabhi piyush aur lalit ko police le ja rahi thi...ki kashish ki nazar unn par padi)

kashish:- ek minute inspector saab...(inspector aur wo dono rukh jate hai...kashish unn dono ke saamne khadi hai...aur unn dono ko ghoor rahi thi sujal uske bagal me tha)

piyush:- yeh mat samajhna tum dono..ki itana bada dhoka dene ke baad tum dono mujhse bach jaoge...kabhi nahi...aur ha...bach ke rehna...(pointing his finger towards sujal and kashish both...kashish slaps him hard across his face...2 times...)yeeiii...(piyush also frwds to slap kashish but sujal holds his hands...)

sujal(with cool attitude and stern look):- aisi galati to tum bhool kar bhi mat piyush raheja...warna yeh tumhara hanth nahi rahega...

kashish:- tune mujhse mera bachha chheena hai...bhagwaan kare ki tujhe aisi maut mile ki teri rooh kanp jayegi...aur galti se bhi mere ya mere pariwaar ki taraf dekha na...to mujhe mere suhag ki kasam jaan se maar dungi tujhe...(ki tabhi piyush apne bagal me khade inpector ki pistol nikalta hai...aur kashish ko nishana bana leta hai...all are shocked to the...)

piyush:- oye inspector hatt..warna iska bheja uda dunga...

sujal:- kashish...piyush chhod use...(sujal steps frwd...)

piyush:- wahi ruk jao sujal...warna tumhari biwi gayi...

rishi:- inspector kuchh karo...

piyush:- na na...main itani jaldi to saja nahi paunga...aur mera shikar hai...chal mere sath...

tulsi;- plzz meri beti ko chhod do...

kashish:- sujal...

piyush;- chal...koi bhi nahi isnpector warna yeh gayi...kai khoon kiye hai...iska bhi kar sakta..hu...dad gadi me baitho...

inpector:- ok ok...u can go...

sujal;- inspector...

piyush kashish ko ek car me dalta hai...aur nikal padta hai...sujal bagal me khadi kisi ki bike uthata hai...aur unka peecha kar raha hai...rishi, angad, kavya,akki sabhi apni gadi aur inspector ke sath unke peeche nikal padte hai...piyush ek fir karta hai...jisse sujal girte girte bachta hai...kashish cheekh rahi hai...aur sujal aur piyush dono hi bahut speed me ja rahe hai...yeh loge itani speed me hote hai ki baki logon ko ab yeh nazar bhi nahi aa rahe hai...piyush gadi chala raha hai...aur aaditya ne kashish ko pakad rakha hai...

akki:- damn...yeh loge kaha chale gaye...inpector kuchh karo..mere bhai aur bahbhi ko kuch nahi hona chahiye...

sujal bahut hi tej speed se uske peeche ja raha hai...ki piyush fir se goli chala hai...jisse sujal ki bike puncture ho jati hai...aur sujal gir jata hai...

kashish:- SSsujalll...plzzz piyush unpar goli mat chalao...

piyush:- kya baat hai kashish is haal me bhi..itani parwaah uski...kash kabhi humari bhi parwaah kar li hoti to...(kashish slaps him...piyush held her with her hair and hurting her...)

kashish:- ahhh,...

piyush:- ruk ab main dikhunga...ki main kya cheez hun...piyush raheja ke khilaf jane ki kya saja milti hai...

aaditya:- pityush bhagao...humein jald se nikalna hoga...

piyush ek sunn saan pahadi jaisi jagah par jakar gadi rokta hai...

piyush:- dad mujhe yeh chahiye...(kashish is shell shocked wo apne aapko chhudane ki puri kosis kar rahi hai...)isne aur iske pati ne mera bura kiya...ab main tera wo haal karunga...ki sujal tujhe dekhega bhi nahi...aur tu na jee payegi na marr payegi...dad...(aadiya ek villian si amile ke sath gadi se utar kar bahar chala jata hai...)

aaditya:- piyush tumhe iske sath jo karna hai karo..main humare india chhodne ka intezaam karta hu...(aaditya left...)

kashish:- pppiyush...plzzz mujhe chhod do...plzzz...piyush...nahiii...chhodo mujhe...(kashish trying to hit him...and piyush slaps her jisse kashish ka lips se blood nikalne lagta hai...

other side...

angad;- inpector...location tarce karwaiye...sujal ka mobile uski pocket me hoga...jaldi...

inpector:- jii...

all are panicing here

hill area...

kashish apne aap ko bachane ki puri kosis kar rahi hai...aur sujal ko pukar rahi hai...piyush kashish k blouse ke sleeves ko phad deta hai...and trying to rape kar...

kashish:SUJALLL...SUJALLL...BACHAOOO...SUJALLL...

ki tabhi koi piyush ko kashish ke upar se bahut beharahmi se uthata hai...aur uske face par punch marta hai...piyush door jakar girta hai...wo koi aur nahi sujal tha...kashish bahut darr jati hai aur turant sujal ke gale lag jati hai...sujal kashish ko turant apni shirt utar kar pehna deta hai...aur uske honthon ke uss hisse ko chhuta hai jahan se piyush k thappar ki wajah se blood nikal raha tha...piyush aakara sujal ko marne ki kosis karta hai par sujal uska hanth rok leta hai...

sujal:- teri himmat kaise hui...MERI kashish ko hanth lagane ki u ******** ...

sujal piyush ko marna suru karta hai...aur betahasha mar raha hai,...hanthon se lat se...piyush poora blood me naha chuka hai...ki tabhi aaditya ek gunn lekar aata hai aur goli chala deta hai...jisse goli sujal k hanth ko chhu kar nikal jati hai...aur sujal gir jata hai...

kashish:- sujal...(kashish sujal ke bhag kar jati hai...par aaditya use pakad leta hai...)

aaditya:-piyush chalo...bhago yahan se...police bhi isi ilake me hai...iska kya kare...

piyush :- le chalo dad...

kashish:- nahi...chhodo mujhe...sujal...uthiye...sujal...SUJALLL...

pyar wafa hai...pyar saja hai...
pyar wafa hai...pyar saja hai...
pyar dua hai...pyar khuda hai...
pyar yahi hai dil ke diwaane...
pyar yahan kise...aisa mila hai...
chahto ki duniyaan me dekh aisa hota hai...
chahto ki duniyaan me dekh aisa hota hai...
chahto ki duniyaan me dekh aisa hota hai...
chahto ki duniyaan me dekh aisa hota hai...
ek pal jo hasta hai...bar bar rota hai...
ek pal jo hasta hai...bar bar rota hai...

piyush aur aaditya wapas usi gadi me baithte hai aur kashish ko bhi jabardasti le jate hai...kashish chheekh rahi hai ro rahi hai...joro ki barish bhi suru ho jati hai...

kaantein bichhe hai raahon me...
manzil nahi koi...
tanhaaiyon me pyar ki...
shaamil nahi koi...
jugnu ki raushni...bhi...
aati nahi kahin...
tufaan hi tufaan hai...
shahil nahi koi...

yahan sujal apni aakhein kholta hai...use dhundhla dhundhla nazar aa raha hai...tab use ehsaas ho raha hai ki uski kashish usse kitani door ja rahi hai...uske hanth se khoon beh raha hai...phir bhi wo pure force ke sath uthata hai...aur gadi ke tyre ke nishan ke peeche bhagna suru karta hai...

kitana andhera raahon me yara...
kiska bane ab kauna sahara...

kitana andhera raahon me yara...
kiska bane ab kauna sahara...
ab na koi suraj hai...
na koi savera hai...
ab na koi suraj hai...
na koi savera hai...
ab na koi suraj hai...
na koi savera hai...

yahan police aur gharwale bhi wapas aa rahe hai...unhone nakabandi to kara di thi...par wo ab puri tarah se dusre route par nikal gaye the...aur ab trace karte hue...wapas aa rahe hai...par barish ki wajah se...singnals bhi sahi kaam nahi kar rahe hai...akki, rishi, kavya angad abh sabhi ke chehro par tension aur mayushi saaf jhalak rahi hai...

chandni bhi ruthi hai...door tak andhera hai...
chandni bhi ruthi hai...door tak andhera hai...

wo sujal ko phone bhi laga rahe hai par koi fayda nahi tha kyuki piyush ko marte wat sujal ka phone gir gaya tha...aur ab wo baj raha hai...par use uthane wala koi nahi...


gum ke siwaa jahan me bata...
insaan ko...kya mila...
tune banai yahan kyun chahat mere khuda...
pani k bulbolo ki tarah...ruthi hai...hasrate...
aati nahin kahin se bhi uski koi sada...

achanak se ek sun saan ilake me piyush ki gadi band pad jati hai...aur aaditya use banane ki kosis kiar raha hai...piyush ek hanth se kashish ko pakda hua hai...aur kashish ro rahi hai...apne aap ko chhudne ki kosis bhi kar rahi hai...aur bar bar peeche dekh rahi hai ki kahin se uska sujal aa jaye...

kaisi hai chahat...kaise muhaabbat...
kaisi hai ulzan..kaisi hai hasrat...
kaisi hai chahat...kaise muhaabbat...
kaisi hai ulzan..kaisi hai hasrat...
harsato ki palkon pe...chahto ka mela hai...
harsato ki palkon pe...chahto ka mela hai...
harsato ki palkon pe...chahto ka mela hai...
dard to hazaaro hai...aadmi akela hai...
dard to hazaaro hai...aadmi akela hai...
pyar wafa hai...pyar saja hai...
pyar dua hai...pyar khuda hai...
pyar yahi hai dil ke diwaane...
pyar yahan kise...aisa mila hai...

sujal daud raha hai...betahasha..bas use kisi bhi haal me kashish tak pahuchna hai...bhagwaan ne barish kara kar sujal ki mada ki jisse wo tyre ke nishan ko follow kar raha hai...aur bas jald se jald wahan pahunchana chahta hai...jahan piyush uski kashish ko lekar gaya hai...finally piyush ki gadi theek hoti hai...

chahto ki duniyaan me dekh aisa hota hai...
chahto ki duniyaan me dekh aisa hota hai...
ek pal jo hasta hai...bar bar rota hai...
ek pal jo hasta hai...bar bar rota hai...

sujal tabhi wahan pahuch jata hai...kashihs ki nazar sujal par padi...aur usne sujal ko pukara

kashish:- Ssujaaalll

piyush ne turant hi kashish ko gadi me daala aur gadi bahut hi tej speed me bhagai...
...
...
sujal achanak se kud padta hai aur piyush ki gadi ke back stand ko pakad leta hai...aur aaditya speedly aur roughly gadi chala raha hai...

yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...

sujal gadi ko nahi chhod raha hai aur road par ragad khate hue...ja raha hai...sujal ka dard uske chehre pe saaf nazar aa raha hai...wo kashish ko kisi bhi haal me nahi kho sakta...

suli pe bhi chadhna padta hai...
sir ko bhi katana padta hai...
sir ko bhi katana padta hai...
kuchh bhi ho muhabbat mein...lekin...
yeh karz chukana padta hai...
yeh karz chukana padta hai...
is raaze muhabbat ko lekin...
koi bhi nahi samjha ab tak...
khud apne hi hanthon se apni...
hasti ko mitana padta hai...

uski shirt to pehele se hi kashish ke pass thi...jo white baniyaan thi uske sareer me wo bhi ab phat gayi hai...aur khoon se puri lal ho chuki hai...kashish sujal ke liye cheekh rahi thi to aaditya ne uska muh apne hanthon se daba liya...


yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
diwaannnanannaaa...
yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
diwaannnanannaaa...
yeh diwana...diwana...
diwaannnanannaaa...
yeh diwana...diwana...
yeh diwana...diwana...
diwaannnanannaaa...

piyush andha dundh gadi chala raha hai...use yeh bhi nahi pata hai ki aage rasta hai ya nahi...aur sujal pichhle 10 minute se road par ragdte hue aa raha hai...uska dard koi deklh bhi nahi sakta tha...par sujal ko sirf kashish ko bachana tha...aaj sujal ko apni bhi parwaah nahi thi...uske shareer me lag rahe ghaav aaj sujal k liye koi mayne nahi rakhte the...

movie:- kya yahin pyar hai..

ki achanak...piyush jhatake se gadi rokata hai...kyuki aage ek khayi hai...koi rasta hi nahi tha...

aaditya:- piyush yeh kya hum galat raste pe kaise a gaye...

piyush kashish ke sir bandook rakhta hai...aur teeno neeche utarte hai...kashish jaise hi utarti hai...wo sujal ko wahan aur uss halat me dekh kar hairaan reh jati hai...

piyush:- oh god...dekha dad...ise kehte hai pyar...sujal tum itane der se humari gadi ke peeche the...thth..tch thch tch...dekha pyar ne tumhe kya se kya bana diya sujal...kyun aayein tum iske liye...kya rakha hai isme...main tumhari jagah to kabhi na aata...aakhie yeh kya...zindagi se jayada jaruri to nahi...

sujal:- zindagi hai wo meri...(aaditya ne kashish ko pakad rakha tha...kashish sujal ke muh se yeh sunte hi apni aakhien band kar leti hai...aaj use sujal ki pyar ki gehraai ka ehsaas hua tha...kashish ko yeh to pata tha ki sujal bh use payr karta hai...par itana pyar karta hai...yeh nahi pata tha...)chhod use piyush...tujhe jo chahiye wo milega...mera sab tera...sirf kashish ke...kyuki kashish sirf meri hai...(kashish ki aankhon se aanshun gir rahe hai...)

piyush:- tujhe main bewakoof lagta hoon...agar ise chhod diya to tu mujhe mar dalega...kabhi nahi...agar main mara to yeh bhi maregi...aur tu...

ki tabhi sujal jameen pe paththar ko pair se uchhalta hai...jo jakar seedhe aaditya ke sir par lagta hai...aur wo girta hai...piyush bhi in balance ho jata hai...aur sujal dusre hath se kuchh mitti uth kar piyush ke face par dalta hai..jisse piyush ko kuchh seconds ke liye dikhna band ho jata hai...aur force ke sath kashish ko apni bahon me kheech leta hai

other side...

kavya;- inspector sahab yeh dekhiye...yeh tyre aur yeh juto ke nishan yeh ek hi direction pe ja rahe hai...

rishi:- ha inspector...aur yeh aisa ilaaka hai jahan bhule se bhi koi nahi ata...i ms sure wo loge usi side gaye hai...

inspector:- driver gadi bhagao...fast...aur sabhi full speed se us taraf nikal jate hai...

another side...at velley...

kashish;- suajjalll...(crying)

sujal:- nahi kashish ab nahi...

Sujal wipes kashish tears...aur use ek side me khada karke...piyush ko marna suru karta hai...use maar maar kar adhmara kar deta hai...ki tabhi wahan police pahunch jati hai...sabhi sujal aur kashish ka yeh haal dekh kar hairaan reh gaye...

kavya:- sujal chhodo use...

par sujal paglo ki tarah piyush ko maar raha tha...sue hose hi nahi tha...ki piyush mar jayega...achanak piyush gir jata hai...aur kuchh harkat nahi karta...sujal ko aur bakiyon ko lagta hai ki piyush marr gaya hai... kuchh constable jakar aaditya ko behoshi ki halat me hi lejakar police van me daal dete hai...rishi ja kar sujal ko gale laga leta hai...aur baki sab bhi...

rishi:-big b aap theek to ho na...??...(he is crying...sujal nods in yes that is he is fine)

kisi ka dhayan is waqt piyush par nahi tha...kashish door khadi thi ki achanakpiyush uthata hai aur apni bandook se sujal ki taraf fire karne hi wala hota hai ki kashish pass me padi dusri gun ko uthat hai...aur piyush ki back pe lagataar...4 goli marti hai...jisse piyush ka fire hawa me hota hai...sab hairaan hokar pichhe mudte hai...aur piyush peeche ki ore gehari khayi me gir jata hai...aur finally mar jata hai...

end of part 22
plzzz do comment...
with love chandni...
**********************************************************
**********************************************************

Edited by rkchandni - 10 years ago
jasminerahul thumbnail
Posted: 10 years ago
full of probs.i hope in d next part u'll solve all probs n give them happiness
nilusoni thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 3 Thumbnail
Posted: 10 years ago
superb part loved it
finally piyush and additya got their punishment
omg both escaped with having kashish
that piyush is really evil
yipeee sujal is there to save kashish
very emotional scenes
finally piyush is dead
excited for next part
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon
rkchandni thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail + 2
Posted: 10 years ago

Originally posted by: nilusoni

superb part loved it

finally piyush and additya got their punishment
omg both escaped with having kashish
that piyush is really evil
yipeee sujal is there to save kashish
very emotional scenes
finally piyush is dead
excited for next part
thanx for pm
plz pm me for next part
continue soon



Thanks dear 😊

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: goodkashish

6 years ago

Kassir ...Sujal&Kashish...Part 28 - Pg 33

Kassir Extremes Intro 9pm - London Airport - Christmas Day It was a cold chilly night in the beautiful city of London. We arrive at Heathrow...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

27 days ago

The Unending Dream OS [Completed]

In Every Birth, Find Me The night air in Mathura was thick with monsoon rains. In her small room lit only by a flickering diya, Radhika drifted...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

29 days ago

Moh-Maya ~ MayRa OS [Completed]

Whispers of Maya The glass towers of Delhi glittered under the cold moonlight, but inside the corner office of Ruan Publications, darkness...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: Aleyamma47

2 months ago

Pyaar Ya Rebound? ~ Rumya SS [Completed]

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

4 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed} ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".