
FATEFUL LOVE IN AN ARRANGED MARRIAGE
PART -22
Mallik Mansion
Ridhima is packing their clothes for honeymoon n was blushing
she placed her trendils of her hair behind her ear n looked at mirror n smiles n hide her face in her palms...
she removed her palms n said to herself
ri - stop it ridzi
isi tarah agar sharmaati rahegi toh armaan ko maukha Miljayega tujhe tease karne
itni excitement bhi achi nahi hoti...
Aur wAise bhi jab bhi mai zyaada excited hoti hun tab kuch na kuch rukawat aati hai I just hope iss baar aisa kuch nahi ho...
just then her mobile ringed n she looked at the mobile screen n smiles wide seeing the name flashing on her mobile screen
ri - Hello ( very sweetly)
Ar - Hi Ridhima
he can very sense the level of happiness by her voice
n rubs his free hand on his Hair
Ar - kya karrahi thi
Ri - Woh mai actually
( she bits her Lower lip due to shyness n said)
bag pack karrahi thi
he smiles wide hearing his shy jaan... if every thing was perfect regarding their honeymoon then he would have definitely tease her to the bits but
here the situation is different
due to some emergency meetings n conferences
he have to cancel their trip n he knows that ridhima will become so sad if he tell her the truth
they both were very happy abt their honeymoon especially was ridhima
she was sooo excited n from past few days he saw her face was glowing n he teased her to bits
but unfortunately he have to tell her the truth
Ri - Armaan
kya Hua
aap kahan khogaye
Ar - huh...
woh actually
jaan mujhe tumse kuch kehna hai
Ri - kahiye
Ar - Ridhima
i am so sorry
Ri - Armaan kya Hua aap sorry kyun bolrahe ho
Ar -Zaroori hai sorry bolna kyun ki ab jo mai bolne jaraha hun woh sunkar shayad tum mujhse naraz hojao
Ri - kyun
aeisa kya Kiya aapne
Ar - ridhima
sorry to dissapoint u jaan but hamey apna honeymoon delay karna hoga
Ri - matlab
Ar - matlab ye ke kuch important kaam ki wajah se mai out of India nahi Ja sakta
jab tak sab settle nahi hojata
mujhe India mei hi rehna hoga toh iski wajah se maine hamari trip cancel kardi
she was so dissappointed n she sat on the bed n didn't said anything
Ar - ridhima r u there
Ri - hmmm
Ar - i knw tum bahot khush thi iss trip ko lekar aur bahot excited thi
trust me mai bhi tha
but ye deal agar nahi important hoti company ke liye toh mai hamari trip kabhi cancel nahi karta
i am sorry
Ri - nahi armaan it's ok
Ar - Tum Sach mei naraz nahi hona
Ri - nahi armaan aap aisa kyun soch rahe ho
mujhe pata hai agar kaam important nahi hota toh aap kabhi isey cancel nahi karte
aur wAise bhi hum kabhi bhi jasakte hai na
bass ye kaam jaldi hojaye tab toh hum ja sakte hai na
Ar -100 percent jayenge
bass ye stupid deal finalise hojaye
uske baadh mai hum dono ke honeymoon ke beech kisi ko bhi aane nahi dunga
ek macchar ko bhi nahi
this brings smile on her dull face n she said
Ri - macchar beech mei kaha se aagaya
Ar - macchar beech mei hi toh aata hai na
aur dengue phir se start hogaya
tum apna Dhyaan ache se rakhna ok
macchar waali jagah se door hi rehna
Ri - Armaan aap bhi na
ekdum pagal ho
Ar - arey kya Hua
Ri - macchar waali jagah specially hoti hai kya
Ar - haan hoti hai na
Jahan zyaada samaan hota hai
wahan hoti hai
jhundd banakar aate hai aur aise kaat Tey hai ke kisi ko pata bhi nahi chalta
aahhh
he slapped his hand where just mosquito bites him
Ri - kya Hua
Ar - aagaya saala
baat ki nahi ke aagaye
Ri - Koun aagaye
Ar - arey aur Koun
macchar
she laughed loudly n he smiles n said cutely
Ar - oyehoye
she controlled her laugh n said
Ri - Armaan aap na ekdum impossible ho
kuch nahi hosakta aapka
Ar - hosakta hai na baby
jo bhi hosakta hai sirf tumhare saath hosakta hai aur kisike saath nahi
she shook her head at his pagal panti n said
Ri - baatein banana koi aapse seekhey
Ar - kyun seekhey
mai koi tuitions deraha hun yahan jo koi seekhey
Ri - offo armaan
kitni baatein karte ho aap chaliye ab phn rakhiye
bye
Ar - arey yaar
she cuts the call n he said
Ar -phn kaat diya
dhang se i love u bhi bolne nahi diya
_____________________________
after talking to armaan
ridhima unpacked their bag n kept everything in the closet
ri - kaha tha naa ridzi
itni excitement theek nahi hoti hogaya na honeymoon cancel ye armaan ka kaam kuch der wait nahi karsakta kya
achanak se tapak pada
she crossed her arms against her chest
Ri - kitni khush thi mai aur anjali nikki muski ko bhi bata diya tha
unlogo ne toh mujhe apni wish list bhi dedi thi...
ab unhe kya kahun mai
aane do armaan ko ye sab Unki wajah se hua hai
unhe hi baat karni hogi Un teeno se
she looked at Armaan's pic which was kept on her bedside table
she took that n smiles looking at his picture n said
Ri - par isme inki kya ghalti
ye bhi toh kitne khush they
mujhse zyaada toh ye excited they
Jaise mujhe bura lagraha hai waise inhe bhi lagraha hoga na
mai bhi na hamesha bass inki ghaltiya ginti hun
inhe kabhi samajhti hi nahi
ek toh itni mehnat karte hai upar se mai inko pareshaan karti rehti hun
she looked at his pic again n said
ri - i am sorry armaan
Abse mai aapko pareshaan nahi karungi
aapse nahi ladungi
mujhe bass aapka saath chahiye
jo yahan bhi milega
fark sirf itna tha ke wahan aap saara din mere saath hosakte they
par koi nahi
yahan bhi toh aap mere paas hi rahoge na chahe woh raat mei hi kyun na ho
armaan parked the car n locked his car n looked at his home
ar - huh
subah toh mood theek tha madam ka
pata nahi ab kaisa hoga
i hope theek hi ho
warna aaj pata nahi kya karegi mere saath
he sighed n went inside soon
he rang the door bell n Diana opened the door
Diana - good evening sir
ar - good evening Diana
ridhima ghr pe hai
di - jee haan woh room mei hai
ar - ok
waise baarish hone waali hai tum akele mat jao maine sundar ko boldiya tumhe drop karne ko
ok
di - but sir iski kya zaroorat hai
ar - Cmon Diana
dnt be formal
waise bhi
raat ko aise time pe akele bahar jaana safe nahi hai
roz toh tumhare bhai pick karne aate they but tumne hi bataya na ki he is out of town kuch din ke liye
toh it's my responsibility ke tumhe ghr safe pahunchaun
aur sundar ek bharose mandh admi hai
u dnt need to worry abt that
di - no sir i trust u
aapne mere baarein mei itna socha
mere liye Issey zyaada important kuch nahi hai
thank you sir
ar - tum ghr ka hissa hi toh ho
koi alag thodi ho
mera farz banta hai Diana
well raat bahot hogayi
sundar bahar wait karraha hai baarish bhi shuru hone waali hai
u go now
hmm
Diana - good night sir
ar - good night
she went n he locked the door n
he went inside
AR ROOM
ri - nahi yaar Anji
hamari trip cancel hogayi
Anji - kyun
ri - Kyunki armaan ko koi zaroori kaam aagaya issliye
Anji - Ohh no
ab hamara samaan Kab milega humey
ridzi - Anji
tumhe tumhare samaan ki padi hai
yahan mai itni upset hun aur tum ho ke
Anji - arey ridzi
mai toh nikki aur muski waale expression derahi thi
aur tu upset kyun hai
Jahan tak mai armaan jeeju ko jaanti hun
tujhse zyaada toh woh upset honge
hai na
ridzi - haan
honge
Anji - kaam important hoga na yaar
phir kabhi chali jaana
ridzi - haan
tu theek kehrahi hai
Anji - Acha Chal mai rakhti hun
mujhe bahot neend aarahi hai
good night
ridzi - good night
armaan entered the room n ridhima looked at him
he smiles at her n she smiles back too
he went inside n ridhima opened their closet n picked his night track suit n placed on the bed
ri - aap fresh hojaiye armaan
mai khaana lagati hun
he nods n she was abt to go but he pulled her back n said
ar - naraz ho
ri - nahi toh
ar - Phir mujhe bina hi bole hi kyun jarahi ho
ri - baarish ka season hai aur power cut kabhi bhi hosakta hai
mai aapka wait karrahi thi ke Kab aap aayenge aur hum jaldi se dinner karlenge
isliye shayad Bhool gayi
ar - pakka na
she smiles n pinched his nose n said
ri - pakka baba
he nuzzled her nose n kissed on her forehead
ri - jaldi neechey aayiye
he nods again n she went down
after doing their dinner ridhima went to clean the utensils n armaan was abt to go to their room but there was a knock on the door
ri -( inside the kitchen) itni raat ko Koun hai
she was abt to go n check but armaan told
ar - jaan wait
mai dekhta hun
she nods n went inside the kitchen he opened the door n saw the same girl who was eyeing him when he was cleaning his car
he was quite surprised at her that at this time she stood infront of him n that too with an empty bowl in her hand
ar - yes
girl seductively came inside n was getting closer with him
armaan took a back n she said
girl - hi
actually na mai iss society mei Nayi aayi hun
my name is tia
ar - oh.k
tia - aur aap armaan mallik
right
ar - yeah
he distanced himself from her as she was soo chipku types
tia - u knw baarish ka season hai aur mujhe coffee peeni thi par maine check kiya ke sugar nahi hai
toh kya thodi si sugar milegi
please
she again came closer n armaan again backed off
ri - Koun hai armaan
ridhima came out n saw the same girl n armaan looked at her n sighed in relief n said
ar - thank god jaan tum Aagayi
ridhima flared her nose n tightened her jaw
where as tia just ignored her n said
tia - kya aap please meri help karoge Mr mallik
ri - jee nahi
she came forward n stood inbetween armaan n tia
where as armaan held her duppata like a child who was afraid of that girl
armaan is not that type of a guy who will flirt with a random girl just to tease ridhima
at that time he was just joking around but this girl is just too much to handle
so he hide behind his choti si hulk who stood with her hands on her hips
ri - ye toh kya
Aapki help mai bhi nahi karsakti
Kyunki jo kuch bhi aapko chahiye woh nahi milega
tia - sorry?
ri - u should be for disturbing us at this time
tia - listen mai toh yahan sirf sugar lene aayi hun
ri - kal market se le aayiye Kyunki Filhaal sugar toh hamare yahan bhi nahi hai
hai na armaan
she looked at him n armaan smiles like a kid n said
ar - haan
nahi hai
ridhima just want to pull his cheeks as he was looking sooo cute
ri - i hope u heard it
tia just fumed in anger n went away
ar - huh
he locked the door n sighed in relief
ar - kya chipku thi yaar
ridhima went inside the room n armaan followed her
ar - ridhima
ri - kya hai
ar - dnt tell me ke tum bina baat mujh pe naraz ho ab
ri - nahi nahi
mai toh khushi ke maare pagal horahi hun
ke mere Pati ko itni raat gaye bhi ladkiyon se gappey ladane mei interest hai
ar - WHAT??
ri - what what
aap aap samajhte kya ho haan
har baar uss ladki se flirt karke mujje pareshaan karte rahoge
ar - Abey yaar meri baat toh suno
ri - no i dnt want to listen
nahi sunni Aapki koi bhi baat
woh raat ko kyun aayi yaha
ar - mujhe kya pata ke kyun aayi
ri - oh really aapko toh sab pata hota hai na toh ye baat kaise nahi pata
woh raat ko isliye aayi Kyunki aap din bhar toh ghr pe hote nahi
toh raat ko toh aayenge hi ghr par
hai na
ar - point
ri - kya??
ar - tumne jo kaha point ki baat hai
par woh aayi nahi aayi who cares yaar
ri - i do care
she pulled him through his shirt n held his shirt in her fist n armaan rolled his eyes at her bold step
ri - koi bhi ladki mere Pati par line maare toh mujhe bilkul bhi acha nahi lagta
ya toh mai uski jaan le lungi
ya phir usey iss society se bahar kardungi
he laughed loudly n she left him in anger n asked
ri - aap Hass kyun rahe ho
ar - yaar seriously
tum any how uska hi loss karrahi ho na
ya toh maar dogi
ya toh society se out
hahaha
he again laughed n she said
ri - haan toh aapko toh kuch nahi karsakti na mai
toh usey hi toh bhukatna padega
he looked at her while controlling her laugh. said
ar - jaan ye jhoot moot ka Gussa tum na hi ho toh it's better
jab maine us ladki ke saath flirt hi nahi Kiya toh kis baat ka Gussa
uss ladki ko toh Chodo mujhe kisi aur ke saath flirt karne mei koi interest nahi hai Sivaye tumhare
haan agar tum subah waali baat par Gussa ho toh maine tumhe uska reason diya hai
she looked at him n thought that he is right in either ways
but her ego is not letting her to melt
ri - mujhe kuch nahi sunna
aap apna samaan lejaiye aur kahi aur sojaiye
good night
she crossed her arms against her chest n turned her back at him while making faces
ar - fine
n he make her turned towards him n picked her up in his arms
ri - arey
aap ye kya karrahe ho
ar - tumhari baat hi toh maan raha hun
he went outside n she asked
ri - kya
ar - haan
tumne hi toh kaha ke apna samaan liyun aur jaun
toh wahi karraha hun
apna samaan leliya aur jaraha hun
she looked at him n he too looked at her
they both shared an eye lock
he smiles at her n she gave him one of the most innocent look
his smiles. grew wide seeing her melting face
she looked at other side n said
ri - mujje neechey uthaariye
ar - ok if u say so
he made her stand on her feet n she went inside n said
ri - still mujje aaj akele sona hai
he crossed her arms against her chest n leaned towards the door n said
ar - sochlo
baarish horahi hai
power cut bhi hosakta hai
darr lagega toh mere paas hi aana padega
ri - nahi lagega darr
good night
she just pushed him out n closed the door
he shrugged his shoulders n went down while whistling
she sat on the bed n was nervous
as it's heavily raining outside n armaan is right
ri - ridzi agar Sach mei power cut hogaya toh
tujhe toh andhere se darr bhi lagta hai
kya karun
she bites her nails n there was a thunder in the sky
she jumped from the bed in horror ...
down in the hall
armaan layed down on the sofa n was smiling deeply n said to himself
ar -5 min mei neechey aayegi
back in the room
ri - nahi ridzi darte nahi. bijli tere upar thodi giregi
agar armaan ke paas jayegi toh woh tujhe darpok kehkar chidayenge
jo tu nahi chahti
par iss time mujhe Unki zaroorat bhi toh hai
aaj se pehle kabhi iss room mei Akeli bhi toh nahi soyi na...
no ridzi be a strong girl
n again there was a loud thunder
a huge one
she just hide her face in her palms n breath heavily
ri - oh god ye kitne scary thunders hai
she was sweating badly...
ri - isey pehle ek aur bijli chamke
mujje armaan ke paas jaana hoga
she soon went outside n again there was another loud thunder in the sky
she ran downstairs n armaan got up from the sofa n stretched his arms n his back was facing ridhima n just then ridhima hugged him tightly n he smiles n said
ar - Aagayi na
her hands were so cold n it's just because of those scary thunders sounds...
he pulled her infront n she hugged him tight
ar - darr gaya na mera baccha
she nods yes in his embrace n he kissed on her head
ar - kyun fizool ki baaton par Gussa hoti ho jaan
kya zaroorat thi jhoot moot ka jhagda karne ki
Dekho toh kitni thandi hogayi ho darr ke maare
ri - aap jab jaante ho mujhe darr lagta hai toh chod kar kyun aagaye
aap ruk bhi toh sakte they na
ar - Acha
kaise rukta
mooh par jo door maara tha mere aapne
ri - toh aap aise hi Chale jaoge aap waapas se knock bhi toh karsakte they na
ar - yaar tum ladkiya bhi na
kisi bhi century ka aadmi tum logo ko nahi samajh sakta
bolti kuch aur ho aur sochti kuch aur ho
ri - Armaan
ar - ab kya Hua
paas hi toh hun
chalo waapas room mei
chal kar Sojate hai
she hugged him even tight n said
ri - nai
room mei nai
wahan mujhe darr lagega
ar - mai rahunga na saath
kis baat ka darr
ri - waha bijli ki awaazein bahot zyaada sunai Deti hai
yahan nahi sunai Deti
please na armaan
hum yahi Sotey hai na
ar - sofe par kaise adjust honge yaar
ri - hum zameen par solenge
please
ar - ok fine tum yahi ruko
mai pillows aur blanket lekar aata hun
she came out of the hug n nods n said
ri - jaldi aayiye please
he smiles n gave a peck on her nose n said
ar - abhi aaya
he came with pillows n blanket n they both settled on their mini bed
ridhima held his shirt in her fist n armaan smiles n said
ar - jaanaaa
yahi hun na mai
kyun darrahi ho
she looked at him n said
ri - aap baadh mei mujje chidayenge toh nahi na
ar - agar chidane waali baat hogi toh definitely chidayenge
she whined n he smiles n said while caressing her hair
ar - ok baba nahi chidaunga
bolo kya baat hai
ri- Woh actually
aaj Dopahar ko maine horror movie Dekhi thi
toh mujhe darr laga akele room mei
ar - Kounsi movie Dekhi
ri - Darna Mana Hai
he laughed loudly n she left his shirt
ar - hahaha
ridhima
tum
hahaha
woh film dekh kar darr gayi
hahaha
woh RGV ki film par toh koi hasey bhi na
hahaha tum woh dekh kar darr gayi
hahaha
oh god ridhima u r sooo Damn cute
she got up n sat straight n very well expected this type of reaction from armaan
he always makes fun of her weakness as she thought so
she wiped Lil tears from her eyes n he got up n sat straight after laughing so hard
he tried to hug her but she pushed him n he smiles at her n said
ar - Acha baba nahi hasta
chalo Sojate hai
she did not said anything n he thought that may be she get upset for real this time
ar - ridzi mera baccha
yahan Dekho
he made her turned towards him n was surprised to see her in tears
ar - arey jaana
itni si baat par itne bade aansu
he wiped her tears n hugged her n caressed her hair
ar - darna kamzori nahi hoti jaan
woh bass hamara veham hota hai
aur jab aapke saath mai hun toh kiss baat ka darr
haan
he kissed her head
ri - aap hamesha mujh par haste rehte ho
she cried like a baby n he said
ar - mera baby toh roraha hai...
mai mazakh nahi bana raha tha mujje bass hasi aayi
ri - haan aur woh bhi mujh par
she sniffed n he said
ar - ok baba sorry
ab Rona bandh karo jaldi se
she wiped her tears n he kissed her cheeks
ar - stupid
aise hi rotey rehti hai
he playfully hit her on her head n she sniffed
ar - come
again they both layed down n ridhima hugged him tight n closed her eyes soo tight
armaan looked down n shook his head at his pagal jaan n kissed her forehead
she looked up at him n he nuzzled her nose
she blinked her eyes as she was getting sleep
ar - yahi hun mai
sojao aap. hmm
good night
she nods n he smiles n pecked her on her lips
ri - good night
With that here ends the another part
Hope u all like it
If you do
Then dnt forget to hit the like tab n drop a comment in below
Love u guys
Stay blessed n happy
HUMERA
Edited by ITSABOUT_DMG - 8 years ago
3