Before starting the part i want to APOLOGISE to everyone for hurrying up the story line...
I gave promo n u all were so eager to read further parts according to that promo
but due to lack of time
I am unable to execute the way it have to be shown
I really am sorry for that
hope u guys will understand n will love this ff the way u guys loved it before...

I 'LL BE U'R DESTINY AT EVERYSTEP U TAKE -AR FF
PART -21
it's been a week now n everybody accepted AR relationship though ananya didn't make conversations with ridhima but she accepted her as her son 's wife but not her daughter in law
she said to armaan n raj that she needs some more time to accept ridhima completely
she needs her own space to which raj n armaan agreed...
padma got to know abt ridhima n armaan's marriage by muskaan as padma met muskaan once n muskaan told everything regarding AR n how ridhima landed at her place
padma felt very guilty for not listening to her daughter n she was not there with ridhima when she needs her mother most
that killed her many times n padma decided to meet ridhima once
where as shashank remain same though he got to know abt AR BUT he again kept ridhima at fault for spoiling his image n his hatred towards ridhima increased more
anjali became quiet n she accepted the fact that armaan never loved her
it was one sided through her side n she became same workaholic anjali khanna which she used to before
apart from work she wasn't talking to armaan much n armaan noticed the change in her n sometimes he took first step to become friends with Anji but this time anjali refused his friendship offer n told him to behave thorough professional
nikki was the most happiest person in the world after she got to know abt AR marriage n she still play the role of cupid
for AR
n armaan n nikita friendship got more stronger than before
Atul remain same silent lover of anjali
n Rahul. n muskaan love was growing stronger day by day
n they both decided to confess to eachother soon
n now the most important person of armaan's life
ridhima
the most toughest nut to crack
the more armaan wanted to make things clear
the more ridhima was running away from him
she never talked much with him even when they are at home
ridhima stopped going to office as she decided to stay at home n spent time with Armaan's daadi
who came to stay with them n it was armaan's idea to bring daadi home as ridhima wasn't feeling like home living with the mallik's
so daadi was the only option left for armaan who will make ridhima comfortable in their home n as daadi welcomed ridhima with motherly affection ridhima opened up with her alottt
she used to cry infront of daadi By sleeping on her lap
daadi became her best friend...
mallik mansion
morning @7 am
AR room
ridhima was sleeping on the bed n armaan slept on the couch as it's daily habit
most of the times ridhima tried to sleep on couch but armaan simply refused her to do so
without making any fuss she did as he said
armaan's phn ringed n his sleep got disturbed
he sat on the couch n took his phn n picked up the call
Ar - hello
muski - good morning sir
Ar - good morning muskaan
itni subah phn kiya mujhe
is everything alright
muski - yeah sir sab theek hai
n sorry to disturb u sir
Ar - no no its fine
bolo kuch kehna tha
muski - sir actually woh
padma aunty ridzi se milna chahrahi thi
Ar - hmm
muski - toh kya aap aaj ridzi ko mere yahan chod denge
sirf ek din ke liye
actually sir padma aunty ki saari misunderstandings clear hogayi toh woh bass ek baar ridzi se milna chahti hai
agar aap permission dedoge toh...
Ar - isme meri permission ki kya baat hai muskaan
woh ridhima ki maa hai
woh ridhima se kabhi bhi mil sakti hai
i will drop her at your place
muski - thank you sooo much sir
thanks alottt
Ar - isme thanks ki kya baat hai muskaan
mai ek maa ko ek beti se door toh nahi raksakta na infact i am happy to know ke saari misunderstandings clear hogayi
finally ridhima ko uski maa waapis milgayi
woh khush hogi
aur ridhima ki khushi ke liye toh mai kisi se bhi ladsakta hun
apni khismat se bhi
muskaan smiles n said
muski - sir ridhima iss duniya ki sabse lucky girl hai ke usey aap miley
he smiles n said
Ar - mai lucky hun kyun ki mujhe ridhima mili hai
muskaan smiles n armaan said
Ar - Enjoy your sunday muskaan
muski - thank you sir
they both hung up the call n armaan looked at ridhima who was sleeping
he went near her n bent down n kissed on her forehead
Ar - aaj ek aur khushi tumhara intezaar karrahi hai ridhima
bass iss baar Rona mat
he knows that she will break down infront of her mother after meeting her for such a long time
Ar - aaj Sunday hai aur Dekho jis din ka intezaar mai pichle ek hafte se karraha tha ke Sunday ko madam ke paas koi bahana nahi hoga
mujhse door bhaagne ka... khud aaj mai tumhe muskaan ke paas chod raha hun
but dnt wry shaam ko jaldi aajaunga waapas lene
aur jab please aap Hasti hui milna mujhse
he smiles at her as his whispering makes her frown n she covered her face with the blanket as she is getting disturbed in her sleep but did not know that it's armaan who was talking sweetly with her
he smiles n shook his head at her
after sometime ridhima too woke up n both got ready
armaan dressed in his black jeans n denims shirt n he was looking sooo hot
n ridhima dressed in chocolate brown color simple straight cut churidaar dress with long sleeves
it has simple n gorgeous work on neck n sleeves. with peach color duppata
n she looked breath taking in that outfit with her hair loosened n without any makeup on her face... asusual she wore mangalsutra n small diamond stud earrings
they had their breakfast n armaan told everyone that he is taking ridhima out for a day
daadi - arey Waah
ye toh bahot achi baat hai
raj - haan beta armaan tumhe kaam se fursat kaha jo tum ridhima ko kahi ghumane lejao
but ye kaam tumne bilkul sahi kiya hai
ananya did not said anything where as ridhima heartbeat raised
she was nervous that for the first time she is going out with him
n armaan looked at her n very well guessed that she may be nervous
but Lil did she know that all her nervousness will flew away when she will meet her mother
ar - Acha daadi
hum chalte hai
ridhima chalo
ridhima touch elders feet n every one gave their blessings n both AR went out
AR in car
ar - nervous??
ridhima looked at him n shook her head
ar - toh phir aise kyun lagraha hai mujje ke tum nervous ho
ri - nahi aisi Koi baat nahi hai ( while fidgeting her duppata)
ar - dnt worry mai kuch aisa waisa nahi karunga trust me
she popped her eyes out n he smiled at her n droves off
after a very long n silent ride armaan halted the car infront of muskaan 's complex
ridhima looked the place n looked back at armaan n asked
ri - hum yahan kyun aaye hai
ar - actually maine ghr pe jhoot kaha tha
mai tumhe muskaan ke yahan hi chodne aaya tha
ri - kyun
ar - Woh tum jaakar usse pooch lo
andar ek surprise tumhara wait karraha hai
ri - surprise??
ar - haan
shaam ko aaunga tumhe lene
take care
bye
she got down from the car n armaan waved her
she went inside the building with question mark on her face...
The door bell rings n muskaan went to open the door
muski - ridzi
she hugged her n ridhima hugged her back
ridzi - kaisi hai muski
muski - bilkul theek
tu bata
ridzi - mai bhi theek hun
muski - arey andar chal na yaar
saara din bahar hi khadi hogi kya
she pulled her inside n ridhima smiles n said
ridzi - tu itni excited kyun hai aaj
kya baat hai
muski smiles n pointed her finger at front
ridhima smiles n looked at the direction n was surprised to see padma standing there with tears shining in her eyes
muski - surpriseee
ridhima looked back at muskaan who nods her head n again she looked back at padma
ridzi - maa
she had tears in her eyes n padma came forward slowly
ridhima ran towards her n hugged her tight n padma too hugged her back
muskaan smiles with tears in her eyes while watching the mother daughter reunion
ridhima cried alottt n padma too cried along her
she kissed on her daughters head n caressed her hair
after a long hug both mother daughter duo came out of the hug n padma wiped ridhima 's tears n said
padma - bahot roliya Tuney
ab tere muskuraane ke din aagaye
nahi rotey beta
hmm
ridhima nods n hugged her back again n cried her heart out
padma - bass kar beta
bass kar
mai Aagayi hun na tere pass
ab tu bilkul bhi Akeli nahi hai
Teri maa tere Saath hai
hmmm
chup hoja meri bacchi
ridzi - ab aap mujhe apne se kabhi door mat karna maa ( while crying)
kabhi mat karna
padma - kabhi nahi karungi
hamesha tere saath rahungi
chahe koi tera saath dey ya nahi
mai Tera saath kabhi nahi chodungi
both sat on the sofa n muskaan went inside to gave them their own time
n to sort out their misunderstandings
padma - mujje tere aur armaan ke baarein mei sab pata Chal gaya
ridhima looked at her n padma smiles n caressed her hair n said
padma - itni hairan kyun horahi hai
muskaan ne mujje sab bata diya
ridzi - maa maine kuch ghalath nahi Kiya
please mera vishwaas kijiye
padma - arey beta
mujje pata hai ke meri beti kabhi ghalath nahi hosakti
na tab thi aur na aaj hai
balke ghalath faisla toh maine aur tere papa ne liya tha
Teri shaadi aise ghr mei karwayi Jahan Rishton ka koi mol nahi tha
Jahan rishte ki dor paiso se bandhi thi
ridhima bowed her head down n wiped her tears
padma looked at her n said while wiping her tears
padma - bass mai tujhse sirf ek baat poochna chahti hun
Sach Sach batana
aur iss baar sirf kehne ke liye mat bolna
apne dil se pooch kar jawab dena
batayegi???
ridhima nods n padma asked
padma - kya tu iss shaadi se khush hai??
kya tu armaan ko pasand karti hai??
ridhima looked at her n two more tears dropped down her cheeks
padma - bol na bete
ridzi - maa
padma - haan bol
ridzi - Armaan jaisa jeevan saathi paakar koi khush kaise nahi rehsakta hai
maine hamesha se socha tha jab mai armaan se milti thi
ke Woh ladki bahot khush khismat hogi jiski shaadi armaan se hogi
par kabhi ye nahi socha tha ke Woh khush khismat mai hun
kabhi mujhe unhone ajnabee ki tarah treat nahi Kiya
jabse mai unse mili hun Tabse mera aisa khayal rakha hai Jaise ki mai Unki koi apni hun
mujhe har musibat se bachaya
mere har mushkil mod par mera saath diya
mujh par koi aanch aane nahi di
mere liye saari duniya se lad baithey
yahan tak ke unhone apni maa ke khilaaf jaakar mera saath diya maa
tears continuously dropped down her cheeks n padma smiles more after knowing the truth from her daughter's mouth
ri - jab bhi mai unke saath hoti thi tab mai bahot safe feel karti thi
aur woh jab mere pass nahi hotey toh mujhe ajeeb sa darr laga rehta tha
uss samay shayad hi mai ye sab ignore kardeti thi Kyunki jab mai ek divorcee jo thi
mujhe aise mehsoos karna ka haqq nahi tha
aur ab dekhiye phir se suhaagan. bangayi
woh bhi armaan ki patni ke roop mei...
par isme armaan ki kya ghalti maa
kyun bhagwaan ne Unki khismat mei mujhe likh diya jab ke mai unhe woh khushiya nahi desakti jo ek Patni apne Pati ko Deti hai
mujje toh khush khismat bana diya bhagwaan ne
par armaan ki zindagi kyun kharab ki mujhe Unki patni banakar
padma shook her head n said
padma - aise nahi kehte beta
ridhima hugged her n cried again
ridzi - toh phir mai kya karun maa
aap hi batayie
aisa kya karun jisse mujhe ye lagey ke mai armaan sir ke layakh hun
kya karun aisa
padma caressed her back n said
padma - jo hua usey Bhool ja meri bacchi
jo bura hona tha woh hochuka ab bass tu apni aane waali zindagi ke baarein mei soch Jahan khushiya hi khushiya hongi
Jahan armaan hai tere saath
ridhima came out of the hug while taking hiccups n padma said
padma - dekh beta
bhagwaan ne aur zindagi ne tujhe dubaara. maukha diya hai apni khismat savaarne ka
ab peechey mudkar mat dekh meri bacchi...
ridhima tere liye armaan saari duniya se lad gaya sirf tujhe khushiya dene... tu bass uska saath Deti jaa baaki sab upar waale par chodte
apni maa ki baat maanegi na??
ridhima wiped her tears n nods in head
padma smiles n kissed on her forehead
just then ridhima remembered abt shashank n asked her
ri - maa
papa nahi aaye??
padma looked down n dnt knw what to say
ridhima asked again
ridzi - bolo na maa
papa kyun nahi aaye??
padma - bete woh unhe kuch zaroori kaam aagaya tha issiliye...
ridzi - ab aap mujhse jhoot bhi bolne lagey maa??
padma looked at her n ridhima wiped her tears n said
ridzi - papa ne mujhe maaf nahi Kiya na
padma shook her head n said
padma - nahi bete aisi Koi baat nahi hai
ridzi - maa please atleast jhoot mat boliye
mujhe pata hai
papa ne mujhe maaf nahi Kiya hoga
padma - tu tension mat le beta
dekhna ek din tere papa bhi tujhe samjhenge
Jaise mujje sab Sach pata Chal gaya waise hi unhe bhi sab pata Chal jayega
tu fikr mat kar
she caressed her hair n ridhima nods n smiles at her
muskaan 's room
muski dialled nikita's phn but it was showing busy
she shrugged her shoulders n kept her phn aside n just then her phn rings
she took her mobile n a sweet smile crept on her cheeks
she picked up the phn
muski - hello
Rahul - hi muskaan
muski - hi Rahul
Rahul - busy thi kya
muski - nahi bass aise hi baithkar thi
Rahul - ok
Muski - Rahul tujhe pata hai aaj
ridhima aur padma aunty itne Dino ke baadh ek dusre se mile hai aur unke beech ki saari ghalath fehmiya door hogayi
Rahul - that's such a good news yaar
muski - ab sab kuch theek hojayega
ridhima ko uska khoya hua parivaar waapas milgaya
mai bata nahi sakti tujhe Rahul kitni khush hun mai
Rahul - Woh toh Teri awaaz se hi pata lagraha hai muski
tu khush toh mai bhi khush
muski - kya??
Rahul - i mean ke ridhima khush toh tu bhi toh khush hogi na
aur hum sab bhi khush honge
right
he slightly hit his head n muski smiles n said
muski - haan woh toh hai
Rahul - Acha Chal mai tujhse baadh mei baat karta hun
bye
muski - ok
bye
they hung up the call n muski giggles n Rahul said
Rahul - Abey yaar
poppat bana lega kya apne aap ka uske saamne
he sighed at himself
after dropping ridhimaaa
armaan went to club which is named space snooker club in his city just to have fun with his buddy yuvraaj
they both were playing snooker n yuvraaj said while playing
yuvi - kya yaar shaadi ke baadh itna busy hogaya tu
apne iss dost ko time hi nahi deraha
ar- shut up yuvi
tujhe pata hai. na ke meri aur ridhima ki shaadi kaise hui hai right!?
yuvi - chill yaar
mazakh karraha tha
ar - i knw dude
yuvi - so
how's ridhima
ar - fine
yuvi - just fine??
ar - i mean theek hai
par baat nahi karti mujhse yaar
ghr pe sabse baat karti hai
sirf madam ko mujhse baat karne mei koi interest nahi hai
he smiles n yuvi said
yuvi - i knw
uske liye bahot difficult horaha hoga adjust karne
generally ladkiyon ko bahot time lagta hai naye ghr mei adjust hone aur yahan toh it's ridhima jo pehle se hi reserved rehti thi toh isey bhi thoda time lagega hi
armaan nods n yuvi said
yuvi - aur wAise bhi Tuney aise bechari ko shock diya ke Woh tujhse baat karey bhi toh kaise Karey
armaan looked at yuvi n said
ar - i knw yuvi
maine bahot jaldi mei faisla liya but kya karun yaar mere pass koi choice hi nahi tha
yuvi - hmm
tu ghalath nahi hai armaan bass halath ghalath they
anyways yaar
jo hua so hua
ab bass tu zyaada tension mat le
ridhima khud apne aap tujhse open up hogi
dnt wry
ar - pata hai mujhe
mujje bass usey uske shell mei se nikaalna hai
Jahan usne apne aap ko bandh karke rakha hai
n i think woh din zyaada door nahi hai jab ridhima khud hamare rishte ko accept karegi aur apna past bhula kar mere saath apna present jiyegi...
yuvi smiles n said
yuvi - zaroor hoga yaar
jaisa tu chah raha hai waise hi hoga
armaan nods n smiles to himself
back to muskaan 's flat
after talking to Rahul muskaan went out n saw ridhima n padma smiling n talking to eachother
she smiles n just to make atmosphere Lil light she said
muski- chalo ji
shukar hai baba ji ka
ke aap Dono ka Rona dhona khatam hogaya
warna mera ghr bhi titanic ki ship ki tarah doob jaata aap Dono ke aansu se
haan nai toh
padma laughed n ridhima shook her head at her stupid frnd
padma - tu aur tera bachpana
abhi bhi wAise hi hai tu
muski smiles n went towards her n sat besides padma n said
muski - bilkul aunty
aur wAise bhi mujhe aapne apni iss rondu ki tarah samjha hai kya jo din raat rote rehti hai aur doosro ko bhi rulati hai
ridhima mouth opened wide n said
ri - maa Dekho na isey
muski laughed at her own style n padma too joined her
ridhima frowns n said
ri - maa aap bhi iske saath milkar mera mazakh udaa rahe ho
padma -( controlled her laugh n said) arey nahi beta
mai toh bass aise hi
muski - pata hai aunty Aapki beti ka bus train plane ya kuch bhi Chale na toh ye din bhar TV soaps ki heroine ki tarah roti rahegi aur apne aas paas ki trp badhayegi
kyun ridzi
n she started laughing again
ridhima got up with a cushion in her hand n before ridhima hits her muskaan ran in the whole house making ridhima run behind her
ridzi - muski ki bacchi
ruk tujhe abhi batati hun
muski - ja ja rondu
ridzi - muski Tuney ek aur baar mujhe rondu bulaya na toh dekh
acha nahi hoga
muski - rondu rondu rondu
le bula liya kya karegi
ridzi - ab toh tu nahi Bachegi
they ran in the whole house n padma laughed at them
padma - pata nahi Inn Dono ka bachpana Kab jayega
just then door bell rings n padma went to open the door
n there she saw armaan standing there with smile on his face
padma - Armaan
he touched his feet n padma gave him blessings
padma - khush raho
he came inside n padma said
padma- thank you beta
meri beti ke zindagi mei aane ke liye
she joined her hands n armaan hold her hands n said
ar - aap ye kya karrahi hai aunty
meri aur ridhima ki jodi toh upar waale ne khud banayi hai
hum dono ke naseeb mei hamara milna likha tha
isme maine kuch nahi Kiya
padma smiles n caressed his hair n said
padma - bhagwaan Karey tum Dono ki jodi hamesha salamat rahe
armaan smiles n padma said
padma - tum baitho mai tumhare liye Chai banakar laati hun
ar - arey nahi aunty iski koi zaroorat nahi hai
padma - zaroorat kaise nahi hai
mere damadh ho tum aur mujhe khushi hogi tumhare liye kuch bhi karungi toh
baitho
mai aayi
she went inside the kitchen n he went forward n there he saw his love running like a child behind muskaan with pillow in her hand
Bol Do Na Zara ( from the movie AZHAR)
MUSIC STARTED
he smiles seeing her smiling n laughing n behaving like a kid
he never saw this side of her n it was indeed a pleasure to see her in this way
muskaan saw armaan n she intentionally pushed ridhima infront of armaan n before ridhima landed on floor
he held her through her waist n pulled towards him
Itni mohabbat karo na
Main doob na jaaun kahin
her hands landed on his chest n her face hides in the crook of his neck
Waapas kinaare pe aana
Main bhool na jaaun kahin
muskaan smiles n went inside leaving this two n armaan smiles n ridhima closed her eyes
Dekha jabse hai chehra tera
Main toh hafton se soya nahin
but suddenly she felt that she is in someone's arm n this touch is so familiar
Bol do na zara
Dil mein jo hai chhipa
Main kisi se kahunga nahi
Bol do na zara
Dil mein jo hai chhipa
Main kisi se kahunga nahi
Main kisi se kahunga nahi
she slowly came out from the hug still holding his shirt in her fist n saw armaan smiling at her n his eyes were filled with soo much of love for her
music starts again
they both got drowned in eachother's eyes n they both share an beautiful eyelock
he smiles wide at her n she smiles back lightly
Mujhe neend aati nahi hai akele
Khawabon mein aaya karo
he placed her trendils of her hair behind her ear n ridhima was still lost in his eyes
Nahi chal sakunga tumhare bina main
Mera tum sahara bano
her grip on his shirt got tight n he looked down at her hand n smiles wide
Ik tumhe chahne ke alaawa
Aur kuch humse hoga nahi
he looked at her again n she looked down at her hand n looked at him again
Bol do na zara
Dil mein jo hai chhipa
Main kisi se kahunga nahi
she left her hand n he left her too n they both looked at eachother
Bol do na zara
Dil mein jo hai chhipa
Main kisi se kahunga nahi
Main kisi se kahunga nahi
she was abt to go but her mangalsutra got stuck in his shirt n they both looked at eachother again
music starts again
n they both were drowned in eachother's eyes while taking out the mangalsutra
he detangled her mangalsutra n she was abt to go
Hamari kami tumko mehsoos hogi
Bhiga dengi jab baarishein
but he held her hand n her breath got stuck in her throat
Main bhar kar ke laaya hoon
Aankhon mein apni
Adhuri si kuch khwahishein
she breathes heavily n armaan moved forward
Rooh se chahne wale aashiq
Baatein jismon ki karte nahin
he slowly made her turn towards him n she looked down...
then song stops n armaan lift ridhima ' s chin up n said
ar - tum muskurate hue bahot khoobsurat lagti ho ridhima
i wish ke tumhari har muskurahat ki wajah mai banu ( he whispered near her lips n she did not dare to look at him)
Bol do na zara
Dil mein jo hai chhipa
Main kisi se kahunga nahi
he noticed the change of expression on her face
n left her immediately
Bol do na zara
Dil mein jo hai chhipa
Main kisi se kahunga nahi
Main kisi se kahunga nahi
she dropped her gaze while blushing n armaan smiles while looking at other side
music
they both smiles looking everywhere but not at eachother
the song ends
muskaan cleared her throat n armaan looked at her n padma who were smiling n coming towards her
muski - hi armaan sir
ar - hi muskaan
how r u
muski - rocking sir
aur aap
ar - fine
muski - fine ya phir too much fine armaan sir
n she started laughing in her own style
armaan looked at ridhima who shook her head n bite her Lower lip while looking down n he smiles at muskaan 's teasing words...
padma - baitho na bete khade kyun ho
he nods n sat on the couch
___________________
after a silent ride armaan n ridhima arrived at Mallik Mansion n they both welcomed by very happy daadi n raj n after talking to them they both retired to their room
while armaan's gaze were fixed constantly on ridhima... where as ridhima was getting nervous by each passing second as she knows that he is looking at her
she placed her trendils behind her earlobe n finally spoke to him
ri - Armaan
he smiles n looked at her again n asked
ar - haan
she looked at him n said
ri - Thank You
ar - kis baat ke liye
ri -mujhe maa se milaane ke liye ( whispers slowly)
he shook his head n said
ar - ridhima tumhe thanks kehne ki zaroorat nahi hai
ye jo kuch bhi hua aaj woh meri wajah se nahi muskaan ki wajah se hua hai
agar tumhe Kisiko thank you kehna hai toh muskaan ko kaho
mujhe nahi
she looked down n he took his night track n was abt to go to bathroom she said
Ri - Armaan
he turned at her n she said
Ri - mujje ek aur baat kehni hai
she nervously fidgets her duppata
ar - bolo
ri -actually mujje ye kehna hai ke...
ar - tumhe itna hesitate hone ki zaroorat nahi hai ridhima
tumhare dil mei jo bhi baat ho bina hesitate hue bolo
trust me
mujje bahot acha lagega
she nods n moved forward n said slowly
ri - itne Dino se jo bhi hua
mera matlab hai
jaisa bhi maine aapke saath behave kiya...
mujhe... waisa nahi karna chahiye tha...
i... am sorry
ar - ridhima tum...
ri - nahi armaan mujhe kehne dijiye
she looked in his eyes n said
ri - please
he nods n she continued
ri - Armaan maine itne din aapko bahot pareshaan Kiya
bahot ghalath behave kiya aapke saath
aur aapne mujhe kuch nahi kaha
mera saath detey rahe har baar
bina kuch kahey...
aur ab mai aapko zyaada pareshaan nahi karungi
Kyunki mai
she looked down nervously n whispered
ri - Mai HAMARE RISHTE KO APNANA CHAHTI HUN
AAPKE SAATH APNI ZINDAGI KI NAYI SHURUWAT KARNA CHAHTI HUN
he smiles at her n asked her again not believing his ears
ar - kya kaha tumne
ek baar
phirse kaho
she looked at him n blushed n turned her back at him not facing him as his gaze were making her more nervous
he smiles n went towards her n whispered near her ear
ar - jo abhi kaha tumne
please dubara. ek aur baar kehdo na
she looked at him sideways n said looking down
ri - mai hamare rishte ko apnana chahti hun
aapke saath apna har din bitaana chahti hun...
aapke saath apna sukh dukh baatna chahti hun
aapko woh saari khushiya dena chahti hun jo aapne hamesha se chaha hai
he smiles wide looking at her n she smiles looking down
he wants to take her in his arms
his happiness has no bounds
finally she wants to take a step ahead in their marriage by accepting their marriage
he dnt know what to say or do so without even looking at her
he was abt To go but she held his hand n it was another surprise to him
ri - aapka haqq hai mujh pe armaan
aap...
ar - jab tum ye baat meri aankhon mei dekh kar kahogi bina kisi jhijhak ke
tab hamara rishta sahi maayno mei aagey badega. ridhima
ab jaisa hai waisa isey Rehne do
he looked back at her n she looked down he smiles n without holding her
he pecked her on her forehead
she closed her eyes as he did that
ar - welcome to my family
i mean our family Mrs Ridhima Armaan Mallik
he went in the bathroom while giving her a moment to herself.
she blushed n said while joining her hands
ri - mai apni zindagi ki ek Nayi shuruwat karne jarahi hun bhagwaan ji
mera saath dijiye...
she smiles wide n touched her forehead just where he kissed her...
___________
hope u guys will like it
do tell me how it turned out as this part is very special to me
each n every line of this part is very special to my heart
hope u guys Love this part
fingers crossed
stay happy n blessed
with love
HUMERA
Edited by ITSABOUT_DMG - 8 years ago
62