I'LL BE U'R DESTINY AT EVERYSTEP U TAKE -AN AR FF
PART-19
mallik mansion
raj entered the room n saw Ananya standing near the window
her back was facing him
he felt guilty for raising his hand on her n he knows that he was wrong
he went towards her n placed his hand on her shoulder
she wipes her tears n he makes her turn towards him
raj - ani mai tumse
Ananya removed his hands from her shoulders n said in a hurt voice
Ananya - mujhe kuch nahi sunna raj
please aap mujhe akela chod dijiye
raj - dekho ani mujhe pata hai tumhe bahot Takleef horahi hai iss waqt
aur meri wajah se tum aaj bahot hurt hui ho...
Ananya - raj please
maine kaha na aapse
mujhe akele rehna hai kuch waqt ke liye...
raj - nahi ani
mai iss waqt tumhe bilkul akela nahi chodunga
jabki mujhe pata hai ke tumhe iss waqt Sabse zyaada meri zaroorat hai
dekho ani ( held her hands)
mujhe maaf kardo
mujhe tumpar haath nahi uthana chahiye tha...
ye meri zindagi ki Sabse badi ghalti hai ke maine tum par haath uthaya...
aur trust me mai iss waqt bahot sharminda mehsoos karraha hun...
Shayad hi kabhi apne Aapko maaf karpaunga...( she looked at him with tears n he moved from there n showed his back to her)
tumhe yaad hai ani
jab maine tumse shaadi ki bauji ke khilaaf jaakar toh Unka bhi reaction tumhari tarah tha...
unhone bhi hum Dono ko apnane se inkaar kardiya...
par jab Maa ne hamey apnaya tumhe apni bahu ke roop mei sweekar kiya toh dheere dheere bauji ki narazgi door hogayi...
yaad hai na tumhe ani
humne kya Kya nahi kiya bauji ko manane ke liye
Kitni koshishe ki humne
Jaise taise karke humne bauji ko mana hi liya
hai na ani ( he looked towards her n she wiped her tears)
theek usi tarah aaj armaan ne ridhima se shaadi ki
jis tarah maine tumse ki thi
bass fark itna hai ke ridhima ki shaadi toot gayi hai
aur tumhari SAGAI (ENGAGEMENT) toot gayi thi
Ananya looked at him in shock n raj nods in yes
raj - itna hi toh fark Hai ani ridhima mei aur tum mein
tumhe pata hai Jab maine Pehli baar ridhima ko dekha tab mujhe uss bacchi mei tumhari parchayi nazar aayi
tum bhi usi ki tarah thi
sehmi si, chup chap si
Kisise bhi baat nahi karne waali,..
aur jab armaan ne mujje ye bataya ke Woh ussey pyaar karta hai
toh Uski baaton se mujhe hum Dono ki kahani yaad Aagayi thi
mujje ye laga ke jo hum Dono ke saath hua woh armaan aur ridhima ke saath nahi hona chahiye
jitna hum Dono ko suffer karna Pada
mai nahi chahta tha ke mere bete koh bhi unsab Takleefo se guzarna padey
jinse kabhi mai guzra tha
aur mujhe laga tum ye baat ache se samjhogi
Kyunki jo Takleef se ridhima guzar rahi thi
Uss Takleef se kabhi tumne bhi saamna kiya tha
mujhe laga tum hamare bete ke pyaar ko samjhogi
Uska saath dogi
par jo tumne kiya ridhima ke saath
ye mai kabhi Soch hi nahi sakta tha ani
mujhe laga tum Shayad tum mei thode changes Aagaye waqt ke chalte
Shayad tumne ye high profile parties mei ja ja kar apne Aapko thoda sa sophisticated bana liya
jisme koi buri baat nahi hai
par ek Ladki ke divorcee hone par tum Sabke saamne Uski insult karogi
ye ghalat hai ani
agar mujhe kabhi Zara sa bhi andaaza hota ke Inn high profile parties
ye aisho aaram
ye paisa
ye shaurat tumhe itna badal degi ke tum ek aurat hokar ek Ladki ki izzat nahi karsakti
ek Maa hokar apne bete ko samajh nahi sakti
toh Shayad hi mai tumse kabhi shaadi nahi karta ani
Ananya - raj
raj - i am sorry to say this ani
par aaj tumne jo kiya Woh bahot ghalat tha
mujhe tumse ye umeed nahi thi
Ananya - Aapko SIRF meri ghalti nazar aarahi hai raj
aur aapke bete ne jo kiya
Uska kya
usne apni mom ki izzat hi nahi rakhi uss Ladki ke saamne
raj - uss Ladki ka naam ridhima hai ani
for god sake apne jhoot bhram se bahar aao
maanta hun ke jald baazi mei armaan ne shaadi ki bina hum Dono ke concern se
maanta hun Ki Uski ghalti hai
par kabhi kabhi Humey apne bacchon ki khushi ke liye in ghaltiyo ko nazar andaaz karna hoga ani
agar hum inhe aaj maaf karenge toh aane waale Dino mei ye aisi ghaltiya nahi dauhraenge ( repeating)
aur armaan ne aaj tak humdono ki saari baatein maani hai
bass ek baar usne apni dil ki suni
jiska nateeja Uski shaadi hai
par that's fine with me
dekho ani
apni narazgi apni jagah
par jab tak tum armaan aur uske pyaar ko nahi samjhogi
tab tak tum ussey kabhi maaf nahi karpaogi
mai chahta hun ke tum armaan aur ridhima ko ek aur maukha do
unhe samjho
unke pyaar ko samjho
jitni jaldi tum ye baat samjhogi hum Sabke liye khaskar ke tumhare liye ye theek rahega
aur dekhna ek Din tum khud mujhse kahogi ke ridhima se zyaada layakh aur khaabil Ladki armaan ke liye iss duniya mei nahi hai...
with this he went out from the room
leaving confused,, n emotional Ananya behind
AR ROOM
ridhima leaned her head back against the wall near the window
tears flowing continuesly from her green hazel eyes
ri -( in her mind)
waqt ne mere saath ye kaisa khel khela
mujhe aise mod par khada kardiya Jahan mai samajh hi nahi parahi ke meri manzil kis taraf hai...
mere saath hi kyun bhagwaan mere saath hi ye mazak kyun
shaadi Jaise pavitr bandhan ko apne meri zindagi mei mehas ek mazak bana kar chod diya
kya Kya sapne Dekhey they maine apni shaadi ko lekar
Aur aapne mere sapno ke tukde tukde kardiye
ek pal mei meri zindagi barbaadh kardi aapne
ek pal mei suhagan se divorcee Bangayi
aur ek hi pal mei phir se suhagan Bangayi
ye kaisa mazak hai bhagwaan kaisa mazak
mujje kis ghalti ki Saza mil rahi hai
kyun meri feelings ki iss tarah mazak banarahe ho aap
kyun meri self respect ko thes pahuncha rahe Ho
meri zindagi se mera wajood hi mit gaya
baar baar duniya ke saamne mera tamasha kyun banarahe ho
kyun
she slides down on the floor n cried her heart out
she runs her hand through her hair n cries loudly
ri - kyun armaan
Kyun kiya aapne mere saath aisa
kyun
she cried more n armaan just entered the room n the view infront of him pierced her heart
his ridhima was crying miserably
he felt restless n soon went towards her
he sat to her level n kept his hand on her hand
she looked at him n saw him in equal tears
she just jerked his hand away n shouted on him
ri - haath mat lagaiye mujhe armaan
don't touch me
he knows that he needs to comfort her moreover she needs to come out from her shell n for that he is even ready to face her anger
ri - kya samajh rakha hai aapne mujhe
har koi meri zindagi ke faisle lene laga
pal mei mujhe apna banaya
aur pal mei mujhe apni zindagi se bahar nikal pheka
khilona nahi hun mai ke jab Mann chaha ussey khela aur Mann bhargaya toh phek diya
( she held his shirt in her fist)
Aapko kya laga... mai ek Bechari besahara Ladki hun toh aap mera faida uthaogey...
ar - ridhima please shaant hojao
ri - nahi Mr armaan mallik
nahi
Aapko sunna hoga
mai bazaar mei biki cheez nahi hun ke koi bhi aakar mujhe khareed leka
samjhe aap
ar - SHUT UP RIDHIMA
she just closed her eyes as he shouted on top of his lungs
ar - just shut up
not a single word
aagey se agar apne baarein mei itni ghatiya baat phir se kahogi toh i swear mujhse bura aur koi nahi hoga
Samjhi tum
mujje tumhare past se koi lena dena nahi hai
mujje iss baat se fark bilkul nahi padta ke tum ek talak shuda ho
mujje agar kisi baat se fark padta hai toh woh ye hai ke
mai tumse bahot zyaada pyaar karta hun
( she looked at him with tears in her eyes)
maine wahi kiya jo mujje sahi laga
aur tumhe khush rakhne se ab toh bhagwaan bhi mujhe nahi roksakta
aaj ke baadh tum ghar ke bahar Mrs ridhima armaan mallik bankar niklogi...
ye sachai tum jitni jaldi accept karogi Utni jaldi tumhare liye theek rahega
she tightened her grip on his shirt n said
ri - mat kijiye mujhse itna pyaar armaan
mat kijiye
ar - sorry
ye baat kabhi nahi maanunga mai Aapki Mrs mallik
kabhi nahi
Aapko issi pyaar se hi deal karna hoga apni poori zindagi
u have no choice
she left his shirt n turned her back towards him shedding more tears
he wiped his tears n went out from there
garden area
raj came n sat on the bench beside armaan
armaan sensed his presence n without looking at him he spoke
ar - i hate myself dad
i hate myself
raj looked at armaan who was looking down n his eyes were leaking
ar - Uski iss haalath ka zimmedar mai hun dad
meri wajah se woh aaj poori tarah se toot gayi hai
uske ek ek aansuon ka kaaran mai hun dad
Maine ussey aaj bahot hurt kiya dad
i won't forgive myself
never
raj kept his hand around armaan 's shoulder n said
raj - nahi beta
aisa nahi kehte
tumne kuch ghalat nahi kiya
haalath hi kuch aise they jiski wajah se tumne ye khadam uthaya
par bete tumhare iraade nek they
Tumhara pyaar saccha tha
toh kya Hua agar thodi si chot uss bacchi ko pahunchi
yahi chot tum Dono ko ek doosre ke kareeb laayegi bete
isi dard se tum Dono ek dusre se judey ( attached) ho...
ye waqt Shayad mushkil rahega tum Dono ke jeevan mein par bete aagey ki zindagi tumdono ke liye bahot khoobsurat hogi...
aur mujhe mere armaan par poora bharosa hai...mera beta uske saare ghaav bhardega
uske saare dard mitayega...
he patted on his shoulder n armaan cries silently hugging him
he bites his lower lip to control his tears
the curtains fly disturbed by the winds
ridhima sat on the floor hugging her knees n her hair flying due to cool breeze
Pal, do pal, ki hi kyun hai zindagi
Iss, pyar, ko hai sadiyaan kaafi nahi
( armaan saw her standing near the window n he wipes his tears)
Toh khuda se maang lun
Mohalat main ik nayi
Rehna hai bas yahaan
Ab door tujhse jaana nahi
( he walks near her n she felt his presence n looked at the direction)
wind makes sounds n they both share an eyelock
Jo tu mera humdard hai
Jo tu mera humdard hai
Suhaana har dard hai
Jo tu mera humdard hai
( she cried more n turned her head other side not wanting to see him)
(his feet make the way towards her but the words of her echoed in his ears " mai bazaar mei biki cheez nahi hun ke koi bhi aakar mujhe khareed leka
samjhe aap ")
(he closed his eyes n turned to go out)
Teri muskurahatein hain taaqat meri
Mujhko inhi se ummeed mili
Chaahe kare koi sitam ye jahaan
( he wanted to take her in his arms he wanted to console her
he wanted to tell her that everything will be fine)
Inme hi hai sadaa hifaazat meri
Zindagani badi khoobsurat hui
Jannat ab aur kya hogi kahin
( he quietly went out from there n she stood n saw him going away)
Jo tu mera Humdard hai
Jo tu mera Humdard hai
Suhaana har dard hai
Jo tu mera Humdard hai
( she wanted to stop him
she wanted to hug him
she wanted to cry in his arms)
Wooo...
( she leaned her head back against the wall closing her eyes n crying silently
his words echoed in her ears
" mujje iss baat se fark bilkul nahi padta ke tum ek talak shuda ho
mujje agar kisi baat se fark padta hai toh woh ye hai ke
mai tumse bahot zyaada pyaar karta hun ")
Teri dhadkano se hai zindagi meri
Khwahishein teri ab duaaein meri
( he paces in the garden area looking at the window of their room wanted to see her)
Kitna anokha bandhan hai ye
Teri meri jaan jo ek hui
Lotunga yahaan tere paas main haan
Waada hai mera mar bhi jaaun kahin
( she. slowly went towards the window n looked at him n he smiles n said not to cry by shooking his head)
Jo tu mera humdard hai
Jo tu mera humdard hai
Suhaana har dard hai
Jo tu mera humdard hai
( he held his ears as if apologising to her)
( she cried more closing her eyes n she bows her head down not wanting to see him apologising to her)
hmmm.. humdard hai
hmmm.. humdard hai
hmmm.. humdard hai
hmmm.. humdard hai...
kabhi kabhi jo faisle jald baazi mei liye jaate hai
woh ek pal khush karte hai
toh dusre hi pal dard detey hai
hey guys
here is the next part
i hope u all like this
i Dnt knw what i wrote today
n i even Dnt knw if i did justice to the song by adding here
but waiting for your feedback
good, bad, worse
everything is appreciated
love u guys
HUMERA
62