3:30pm
Payal's residence
Anamika ringed the bell. Payal opened the door.
Anamika: (teasing)Khamma Ghani, bhabhi-sa! Meri honewali bhabhi-sa...
Payal: (blushing)Ana! Tu bhi na!
Anamika: (teasing)Bhabhi-sa, itna kyu sharmati hai aap? Shaadi mei abhi bohot waqt hai.
Payal: (blushing)Ana! Ab band kar ye 'bhabhi-sa', 'bhabhi-sa'!
Anamika: (teasing)Bhabhi ko mai 'bhabhi' nehi bulaungi to aur kya bulau!(laughs) Kya aap mujhe ab andar bhi nehi anedengi...bhabhi-sa!
Payal: Jabtak tu ye 'bhabhi' 'bhabhi' ka drama band nehi karegi tabtak mere ghar mei tere liye NO ENTRY!
Anamika: (laughs)Achcha thik hai! Aur nehi bolungi! Abto ane de.
Payal: Chal aaja, andar.
Anamika entered.
Payal's room
Payal and Anamika entered. Piyali was already there, sitting on the bed talking with Payal's mother.
Anamika: Khamma Ghani, aunty.
Payal's mother: Ghani Khamma, beta.
Payal: Ana, dekh. Pia pehle hi agayi.
Payal's mother: Achcha hua tumsab agaye. Kitni taiyari karni hai. Mujhse to akele to kuch handle nehi hota!
Piyali: Aunty-ji, aap bilkul chinta maat kijiye! Hum hai na aapki madat ke liye. Ab aap jake rest kijiye. Mai aur Ana yaha dekhte hai. Aap jaiye.
Payal's mother: Mai chalti hu.
Payal's mother left.
Payal: Tumdono betho mai abhi ayi.
Payal went outside the room.
Anamika: Tu kab ayi?
Piyali: Mai pehle tujhse milne tere office gayi thi, waha jake yaad aya ki tu to aaj Abhigyan ke saath 'DATE' pe gayi thi!(smirks)
Anamika: Tu phirse shuru hogayi!
Piyali: 'Date' nehito aur kya kahu! Poune ek baje office se nikli thi aur sare tin baje lauti hai. To...almost der ghante? Der ghante to nehi lagte ek credit card lane ke liye!
Anamika: Vo...actually...
Piyali: Ab bol! DER GHANTE tu Abhi ke saath kya kar rahi thi? Hmmm??
Anamika: Mai to card leke wapas arahi thi lekin ussne kaha ki lunch time horaha hai to wahi usske saath lunch karlu. Iss liye...time laggaya.
Piyali: (teasing)Ooo. To maine sahi kaha tha...that you went on a LUNCH DATE with Abhi.
Anamika: (shy)Pia, tu bhi na! Kuch bhi bakwaas karti rehti hai!
Piyali: Sach tujhe bakwaas lagta hai! Tu date pe gayi thi, matlab gayi thi! Vo bhi Abhigyan ke saath!
Payal came back.
Payal: Kaun date pe gaya tha!
Piyali: Ye! Payal, ye gayi thi! Teri ye honewali nanand!
Anamika: Pia! (running behind her to hit her with a pillow)I won't spare you! Mere bare mei jhhothi aavvaye phelati hai!(throws a pillow at her)
Payal: (laughs)Okay, okay, stop it guys!
Anamika threw another pillow at Piyali. And Piyali threw that pillow back at her.
Payal: STOP IT GUYS! Pia stop!
Piyali and Anamika stopped hearing Payal's shout.
Payal: (with serious look at them)Pia, band karo, meri nanand ko chherna!
Piyali: Payal, tu...(Payal winks at her)
Payal: Pia, shut up, meri nanand ko taang maat kar! Achcha Ana...waise...tu sach mei...date pe gayi thi kya?
Anamika: Payal tu bhi!(throws a pillow at her) Tum donoko mai chorungi nehi!
All started a pillow fight.
9:00pm
Payal's room
Payal was standing beside the window, messaging someone, with a smile on her face. Anamika stepped slowly in the room, came behind Payal and snatched her phone.
Payal: Ana! Mera phone wapas kar! Ana...
Anamika: Are, are, mujhe bhi to dekhne dijiye ki aap mere bhai ke saath kya baat kar rahi hai...'bhabhi-sa'!
Payal: Ana! Mera phone de...
Piyali came and snatched Payal's phone from Anamika's hand.
Piyali: Ab ye phone mere paas hai! (reading the messages)'Kya kar rahe ho?' 'Aapni girlfriend ke saath baatei...' 'Achcha! Australia jake nayi girlfriend dhund li, India mei aapni fiancee ko chorke!' Wah, wah, wah! Kya romantic baatei karte ho tum dono...
Payal: (blushing)Pia, mera phone de wapas!
Piyali: Nehi dungi!
Payal started running behind Piyali to get her mobile back. Suddenly, her mobile rang.
Payal: (trying to get the mobile)Pia, ab to de de! Nick ka call hoga...
Piyali: (passing the phone to Anamika and teasing Payal)Nick...Huh? Call hi to hai. Ek din baat nehi karegi to vo maar nehi jayega!
Payal: Pia de na! Ana, please...
Anamika: (teasing)Agar ek din ye baat nehi karegi to ye zarur maar jayegi, bhai ka mujhe nehi pata! Pia, to ise busy rakh mai bhai se baat karleti hu, waise bhi vo mujhe to call nehi karte..
Piyali: Thik hai! Mai ise dekhti hu tu baat kar.
Piyali covered Payal's mouth with hand and Anamika answered the call.
Anamika: Hello, bhai!
Nikhil: Ana...tu!
Anamika: Haan mai! Aap aapni fiancee se baat karsakte ho, behen se nehi??
Nikhil: When did i say that!
Anamika: You didn't say that par aaple harqaato se to aisa hi lagta hai...
Nikhil: Which 'harqaat'?
Anamika: Yehi ki aap Payal se daily baat karte ho lekin mujhe ek hafte mei hardly call karte ho... Not fair, bhai!
Payal released herself from Piyali's grip and she ran to Anamika and took her phone.
Anamika: Pia, tune ise chora kyu!
Piyali: Karne de baat ise. Dekhenge...shaadi hone ke baad ye dono kitni der baat karpate hai...
Payal: Hogaya tumdonoka? Ab aapne aapne ghar jao! Bohot raat hochuka hai!
Anamika: Thik hai, thik hai. Aaj ke liye tujhe chorr dete hai. Hum jaarahe hai! Bye!
Payal: Good night.
Piyali: Good night...
Anamika and Piyali left and Payal continued talking with Nikhil.
_____________
Chapter 3[Scroll down]
Edited by --Zariyat-- - 11 years ago
193