Flat mein ghuste hi usne dheere dheere sari khidkiyaan khol di..mahino se flat ek bandh dabba tha..Dum ghotoon ghutan ko chipaye...dheemi dheemi barish ho rahi thi..Andhera apna paon jama raha tha...Virat Bahut thaka hua tha...sharirik aur maansik dono...
Zindagi sirf rupye par chalti hai...Paas mein dhan na ho tab bhukh ki kadr samajh aati hai..bache-kuche rupyo ne jab tak pet ka idhan bhara..wo chupchap Haridwar mein toote paon ko lekar soya raha...ab phir se aaya hai...Zindagi ko talashne...
Sab kuch badla badla sa lag raha hai...jab wo gaya tha naye patte aa rahe they..abhi patte jhad rahe hain...ek mausam beeta ke aaya hai wo...har darakht (tree) sukha tha...usse wo sham bahut udas lag rahi thi..usne nazar kop her kar dusri taraf dekha..compound mein jane pehchane bachche khel rahe they...wo bhi unke sath aksar khelta tha...abhi ladkhadate huye kya khel payega wo??...
Bhukh ka ehsaas tez huaa..Haridwar se bhi binakhaye nikla tha wo...kya khaye isi udhed bun mein tha...
Tabhi darwaze ki ghanti baji..ek badsurat sa aadmi darwaze ke uss paar khada tha...Virat ke liye wo anjaan tha...
"Hello ji myself Keshaw..aur aap Virat right"
"ji haan"
"Aapke pados mein naya aaya hoon rehne with my Mrs Manvi"
Uss Aadmi ke mooh se badboo aa rahi thi..Virat jab sehan nahi kar paya usne mooh ghuma liya..wo aadmi bekhatke bole jaa raha tha..
"Virat aapko main invite karne aaya hoon..as a good neighbour mera farz hai aapki madad karoon..Please aaj ki chai aur dinner mere ghar karein...dekhiye na mat kahiyega Meri Mrs bura maan jayengi..unhone bahut khushi se aapke liye khana banaye hai"
"achcha unko kya sapna aaya tha ki main aane wala hoon..ajeeb bat bol rahein hai aap??"
Virat aap joke bhi nahi samajhte...hehe"
"mujhe behuda mazak nahi pasand"
"Ohh ji sorry...aap please chaliye mere ghar"
Virat ki bhukh se halat kharab thi wo mana nahi kar paya..
Keshaw ka Flat
Bhini bhini khusboo aa rahi thi ghar se...Adrak ki chai ki mehak baithak taka a rahi thi..Virat ki bhukh aur bhi bhad gayi...Virat ghar ko niharta sofa par baith gaya..
"ek minute"
Keshaw aur Manvi chai aur pakode ke sath andar aaye...
Manvi behad khoobsurat thi...behad khoobsurat...Virat mughdh ho kar ascharya se use dekhe jaa raha tha..."langoor ke haath me hoor" aa gayi hai...
Kale rang ki saree mein...Manvi ka roop khil kea a raha tha...Saree ke bagal se jhankti uski patli kamar...Badi badi aankhein rasbhare honth..kisi ko bhi maanvi ke aakarshan mein baandh lenge..phir Maanvi iss languor se kyu judi...sach Pyar andha hota hai...
Virat ne poocha-"Aap dono ki love marriage hai??"
"Nahiii jiii ...nahi.." Manvi ne lagbhag cheekhte huye kaha...
Virat ko ajeeb laga...Uski nazar Keshav par gayi...Virat samajh nahi paaya..Keshav ko ye baat kitni buri lagi..Keshav ki aankhein uske jazbaat bayaan nahi kar rahi thi...
Virat ne bhukh ke aage sar jhuka diya..chupchap Pakode khane laga...Manvi tab tak samhal gayi thi...
"Meri aur Keshav ki shadi ki anokhi kahani hai...pata nahi kya hai wo??"
Virat khane mein kho gaya tha Manvi ki koi baat dhyan se nahi sun raha tha...
"Manvi tum jaa kar raat ke khane ki taiyari karo na..."
"Keshav khana bana hua hai..."
"ohh to serve karne ki taiyari karo..."
"abhi se...???..Keshav"
Virat nahi chahte huye bhi bol pada..
"yaar tum to apni biwi ke peeche hath dho ke pad gaye ho...yahan rehne do na..dekho ab mujhe koi dialogue mat maarna ki hamara private matter hai..private matter tha to publically ku shor kiya??"
Manvi chupchap sofa par beth gayi...Uske chehre par kayi rang aa kar chale gaye...
"Keshav jo baat tum khana khan eke baad karne wale they inse abhi kar lo na"...Manvi ki awaz mein vyang tha...(mock)
"Manvi chup raho...kya bolna hai kab bolna hai..mujhe sochne do"
"Nahi Keshav...Mere jism ka sauda karne wale ho tum..kab aur kaise hoga main bhi nirnay loongi.."
Virat ne jab ye suna..usse laga kisi ne uske kaan mein pighla sheesha daal diya hai...
Precap-Virat ke kamre mein Virat Manvi hain...
Manvi-"To shuru karein ..jis kaam ke liye aayein hai..ek raat ke liye mujhe aapne EMI par liya hai"
Zor se hans padiii..
Virat kuch bola nahi use bas hansne diya...
293