"chalo ji ek naya sar dard ."
manal badbadati hui kitchen mein dakhil hui to kiran ne palat kar use dekha jo ahmar ki farmaish per chiken roll bana rahi thi .
"kya hua little sister ?"ahmar ne bhi uske maathe ki bal dekh ke pucha .manal ne bure munh bana ke ahmar ke samne chair per baith gayi .
"khalo !!"
ahmar jo bade maze se french fries ke phad per haath saaf kar raha tha use bhi peshkash ki .
"shukriya!!"manal rukhai se boli
"ab kuch bataogi bhi ya nahi ?"
kiran ne chikan rolls ko ehtiyat se dish me dalte hua pucha .
"asfar bhai subah tashreef ka tokra la rahe hain."
manal ne aakhir jale kate lahje me bata hi diya .
french fries khate hue bhi ahmar ki bhawen tan gayi
kiran ek pal ko thithiki fir agle hi lamhe dobara apne kaam me mashgool ho gai .
"arahen hain to aane do tumhare munh per 12 kiun baje hain "
dikhane ko kiran bade magan andaz me manal se boli thi ;
"tumhen pata hai kiran!!kal samreen ke ghar ham sab friends ki dawat hai ...sirf hamare group ki hi dawat ki hai usne balki ham sab ne use zabardasti use amadah kiya hai main to uski shadi me bhi nahi gayi thi ki ain uske shadi wale din hi asfar bhai aa dhamke the ab dawat bhi meri wajah se rakhi gayi haiaur main fir nahi gayi to kitni subki hogi sabke samne "...manal rohansi hokar boli.
"to tumenh kaun rook raha hai chali jana"...ahmar ne kaha .
"han chali jana ...asfar bhai ka pata hai na ehtrazat ki patari khol kar baith jayenge .maa ke saath fuzool ki behas karenege, bekar ke lecture denge..itna khuch sunne aur sahne ki himmaten nahi hai .mujh me "...manal ne killas ke kaha .
"woh kaun hote hain hamare muamle me tang adane wale aur ham per bejann pabandiyan lagane wale jab apna dedh eint ka ghar alag bana kar baith gaye hain to fir ab unhe humse kya lena dena humne kabi unke muamlat me tang adai hai"
ahmar gusse se bola woh to phele hi bhara bhaitha tha .
"chalo chodo is behas ko ..har koi apne karne ki jawab deta hai woh agar bura karenge ya accha karenge to khud hi jaza wasaza ke haq dar honge hum kiun apna khoon jalaye.
isse phele ki muamla tull pakadta kiran use rafa dafa karna hi munasib samjha .
"tum pata nahi kis jahan me rehti ho aaj kal log hatho haath muamla chukate hain fauri badla lete hain jaza aur saza ko kaun dekhta hai kisi me itna sabar nahi ki kyamat tak ka intezar kare "
manal ne lage haatho uske bhi latte le liye.
Edited by shafaqsheikh - 13 years ago
41