A Big chawl of mumbai ...
A cloudy day ...wind was blowing fast ...
"Chandani..." A loud voice came from downstairs.
Suyash was calling her...
"Jiii Aaayi"...reply came from iniside...
A young 23 years old married girl , duppatta on her head , came out with a sweet smile...although she was smiling yet her eyes has lot of pain...
Chandani,"jii...aapne bulaya"
Suyash(with smile),"maa ko bolna main der se aunga"
Chandani,"jii...theek hai"
Suyash leaves ...chandani turn back ...
Someone call her again ...
Pihu & karan standing down...
Pihu...wearing saari, hair open...
Karan was usual in his jeans n t-shirt
Pihu,"Neeche aa ja"
Chandani,"nahi bhabhi ...abhi kaam hai"
Karan,"kakiii"
Vaishnavi came out," kya hua.kyu shor macha rahe ho"
Pihu," kakii aaj chote sahab aa rahe hai ...chawl me utsav hoga, ise bhejo na , bauji ne saari tayari hume di hai "
Vaishnavi," sach bol aaj chote sahab aa rahe hai"
Karan,"aai shapat , kaki"
Vaishani(turning towards chandani),"jaa haath bata de"
Chandani looked confused,"maa ye chote sahab kaun hai"
Karan," are aap chote sahab ko nahi janti, are vo bhagwan hai hum sabke, ab der na kaho kitna kaam pada hai"
Chandani nodes n came down...
After few hours of work...she came up
Chandani," maa"
Vaishnavi," aa gyi tu,ho gyi saari tayari"
Chandani,"jii...(after a pause), ye chote sahab kaun hai"
Vaishavi," humare samar sahab ke bete hain , unki death ke baad , bahut chote the vo , par phir bhi is puri chawl ki reesponsibility li aur hum sabko sambhal liya , warna hum sab to kabke beghar ho gye hote, yahan sab unki bahut izzat karte hai , bhagwan ki tarah pujte hai , unka rutba hi kuch aisa hai , bade sahab the to vo kabhi yahan nahi aate the par ye to humare saath rehte hain , khate hai , itna apnapan dete hai , malik hoke bhi humare itne apne hai, pyaar to itna hai unke paas dene ke liye ki hum lete thak jayenge par vo dete nahi thakenge".
Chandani(stop her in between)," vo itne ache hai to phir ye sab kaam kyu karte hai"
Vaishnavi," kuch baatein apne bas me nahi hoti, virasat me jo mila hai use aage to bhadana hi padega , par unke usulon ne yahan bahut kuch badal diya hai"
Vaishavi wipes her tears," chal ab jaldi meri madad kar vo sabse pehle yahin ayenge, unhe gazar ka halwa bahut pasand hai , jaldi bana deti hu"
Chandani,"par maa gajar to hai hi nahi...main le aati hu"
Vaishnavi,"akeli mat jaana, karan ko bula le"
Chandani," jee"
Chandani leaves n take karan with her to the market.
On the other side ,
Chandar & suyash was in a gang meeting , suddenly sum other gang attack them...fight starts ...it was dark night ...
thy ran as thy were alone ... the other gang follows them...
Suyash's phone rang ...
Chande," kaun hai"
Suyash,"chote sahab"
Suyash,"hello"
Chote sahab,"kya hua"
Suyash,"vo...vo"
before he say anything , thr was a loud gun shot...
Chote sahab," kahan ho tum dono"
Precap: Chandani's first encounter with chote sahab.
66