Mere Dharkano ko Qarar do
Sehar: yeh kapre dhona bhi kitna mushkil kaam hai na
(sehar ne sookhe kapre uttarte huwe mahrukh se kaha)
Marukh: es mein mushkil kiya hai aaj maine bhi kapre dohe the
Sehar: haan apne jab ke mujhe sab ke dhone parte hain aunty sadia se kaha bhi tha ke apni kaam wali ko behj den lekin haram hai ke koi baat sun len ab agar tumhein tahmoor bahi aur salman ki itni heavy pants dhone paren to pata chale haath aur kandhe (shoulders) donr toot jate hain aur agar sardiyon mein sweaters hoon to Allah hi hafiz hai
(woh baatein karte huwe seeriyan utter rahi thi jab woh dono lounge mein dakhil huwen to use waqt tahmoor bhi ander aya)
Tahmoor (to his mother whoz sitting in the longe): ami salman nahi aya abhi tak (tahmoor ne khilafe mamool salam ki bajae salman ka poocha)
Haleema: nahi abhi to nahi aya kheriyat (unho ne ghabra kar us ke sanjida chehre ko dekha)
Tahmoor: jee kheriyat thi (woh wahiin sofa par beht giya mahrukh upper jane lagi thi jab salman ander dakhil huwa to tahmoor ek dam khara ho giya)
Tahmoor (to salman): kahan se aa rahe ho (woh itni zoor se bola ke sab heeran reh gae haleema ne ghabra kar us ke surkh chehre ko dekha)
Salman: main dost ke ghar giya tha wahin se aa raha hoon (salman ki nazren jhuki thin)
Tahmoor: tum ne fees jama karwa de
Salman: jee
Tahmoor ne ek nazar us ke jhuke huwe sir ko dekha aur agle hi lamhe tahmoor ka zoor daar thappar salman ke left rukhsaar par apna nishaan chor giya (tahmoor slap salman on his left cheek)
Tahmoor: salman mujhe tum se yeh umeed nahi thi tum mujh se jhoot bolo ge tum ne fees jama nahi karwai maine pata kiya tha aur tum dost ke ghar the yaan pc mein dinner kar rahe the main kahan din raat khuwar hoo raha hoon kis tarah paise kama rahan hoon tum ne soocha kabhi main pagal hoon jo din raat tum logon ke aram ke liye khudh ko jala raha hoon jawab do salman (
woh itne ghusse main tha ke us ne salman ko girebaan se thaam liya haleema ko apni dharkane rukte huwe mehsoos huwen aaj se pehle un logon ke ghar mein kabhi larai nahi huwe thi haleema ne bari be basi se dono ko ammne saamne khare dekha sehar ke aanson mein rawani aa gai aaj se pehle tahmoor ko kabhi kise ne itne ghusse main nahi dekha tha haleema ne ek dam age barh kar tahmoor ke haath se us ka girebaan churwaya)
Haleema: kiya pahal pan hai tahmoor (unhe ne tahmoor ko peeche kar ke salman ko dekha jis ka sir jhuka huwa tha)
Tahmoor: es se poochen es ne fees jama kyun nahi karwai maine paise fees ke liye diye the na ke dinner urane ke liye (salman ek dam age barha aur ghutno ke bal tahmoor ke saamne beht giya)
Salman: bahi! Main wahan pc main dinner karne ke liye nahi giya tha main wahan job ke liye giya tha
(tahmoor ne ek dam sir uthaya) woh mere dost ne bataya tha ke wahan vacancy hai aur fees es liye jama nahi karwai kyun ke us mein se 7 thousand aur chahiye the mujhe sharam ati hai ke baar baar aap ko pareshaan karon maine soocha main khudh job kar ke kuch intezaam kar loon main bahi aap ko takleef dene ke bare mein sooch bhi nahi sakta
Tahmoor kuch der us ko dekhta raha phir apna haath us ke sir par rakhte huwe sorry kaha aur uth kar bahir nikal giya us din ke baad woh bilkul chup sa ho giya ab taqreeban sara waqt woh ghar se bahir rehta tha be rooz gari ne us ko kafi chichira bana diya tha jab tak woh ghar na ata tha haleema bolai bolai phirte then
Haleema (pareshaani se ghari ko dekhte huwe): 12 baj gae hain tahmoor abhi tak ghar nahi aya
Rakshanda: bhabhi aap pareshaan mat hoon aa jae ga (unho ne haleema ko tusali de jab ke woh khudh buhat pareshaan thin)
Achanak bell ki awaz par sab ke chehron par ronaq aa gai
Tahmoor: sorry mujhe ane mein der ho gai (sehar ke beht giya)
Rakshanda: kahan the ab tak ek phone nahi kar sakte the pata hai hum sab kitne pareshaan ho gaye the (rakshanda ne ghusse se kaha to woh muskara diya)
Tahmoor: chachi jaan ek dost ke pass tha mere job ka bandobast ho giya hai (us ki baat par sab ke chehre khil uthe)
Salman: bahi job kahan mili hai
Tahmoor (thori der ko rukta hai): London
(yeh ek lafz un sab ke sir par bomb ki soorat mein phata tha tahmoor ne ek nazar sab par dali aur kaha) mere dost ne buhat pehle mujhe yeh offer de thi tab mera aisa koi arada nahi tha lekin ab mujhe mehsoos ho raha hai ke yeh offer kafi achi hai us ne mujhe sponsor bhi kiya hai aur mere rehne aur job ka bandobat bhi woh kar de ga
(haleema ke aanson par us ke gehra saans liya) mumma es mein rone wali kon si baat hia main hamesha ke liye to nahi jaa raha (us ne un ke shoulders ke girdh bazo phela kar unhe khudh se kareeb kar liya to un ke aanson mein rawani aa gai)
Haleema (rote huwe): tahmoor hamein tumhari zaroorat hai tumhein yahan jese bhi job mile gi hum guzara kar len ge lekin main itni door tumhein nahi jane doon gi
Tahmoor: mumma main shok se nahi jaa raha yeh job mere majboori hai hum sab ki zaroorat hai plz mumma! Mere baat ko samjhen
(us ne un ke dono haath thaam liye) main nahi chahta ke salman apni parhai ke dooran job kare aur na hi main yeh bardasht kar sakta hoon choti choti zaroorton ke liye aap sab logon ko intezaar karna pare apni khuwahishon ko dabana pare pehle job hi halaat the lekin ab mein aur tab mein buhat farq hai
Salman (in a sad tone): bahi aap ne yeh sab mere wajah se kiya na
Tahmoor: bilkul bhi nahi main aur kitni deer intezaar karon ke job milte bhi hai yaan nahi buhat se log hain jo job ke liye bahir jate hain aur shahyad mera dana paani bhi bahir likha hai kyun chachi jaan main thiek keh raha hoon na
(us ke poochne par woh roone lagen to us ne haath barha kar un ke aanson saaf kiye) aap sab es tarah mujhe kamzoor kar rahe hain es tarah main apna woh waada poora nahi kar sakon ga jo maine papa se kiya tha aur main nahi chahta ke papa ko takleef ho agar aap log khush nhai rahen ge to unhe takleef ho gi
(phir us ne rakshanda ke pass behti mahrukh ko dekha jo aanson bhari nazron se use dekh rahi thi woh khuch der use dekhta raha phir rakshanda se bola) aap mahi ki taraf se bilkul pareshaan mat hon mahi responsibility hai
(mahi shys) es ki parhai aur shadii sab mere zima hai
(tahmoor ke agle jumle par woh mun ke bal giri)
Haleema: jaa kab rahe ho?
Tahmoor: parson
Salman: itni jaldi
Tahmoor: woh mumma ek aur baat kehne thi ticket ke liye paison ki zaroorat thi to maine gai beech di (us ne sir jhuka liya)
Salman: aacha hai na wese bhi itna old model tha aap ayen gen to hum doosre le len gen (us ki sharmindagi door karne ki koshish karta hai)
All smiles
Tahmoor says thanx to salman
Tahmoor: mujhe aaj packing bhi karni hai kal kuch zaroori kaam hia parson 10 baje ki flight hai
After that tahmoor say good night to all and go to his room
Tahmoor ke jate hi mahrukh bhi khamoshi se apne room main aa gai kuch der to woh heeran kahri rahi
Mahrukh (to herself): kiya tahmoor bahi mujh se pyaar nahi karte.......main unhe kisi keemat par nahi kho sakti ek wohi to hain jo mujhe samajhte hain woh agar mujhe pyaar nahi karte to kiya huwa main to karte hoon main un se kahon ge to woh mujh se shadii kar len ge who mere baat taal nahi sakte
(us ne khudh ko tusalli di)…….tum larki ho kar mohabbat ka izhaar karo gi (
koi us ke ander se bola)………..haan to woh koi gher thori hain aur main apne dil ki baat un se nahi kahoon gen to kis se kahoon gen
(us ne bare maan se soocha) * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *
Bike ki awaaz par us ne bahir ki taraf dekha to tahmoor ander ki taraf aa raha tha kuch der baad woh us ke room ke bahir khari thi doosri dafa knock karne ke baad darwaza khul giya
Tahmoor (surprisingly): mahi……..aao na
(us ne hat kar use ander ane ka raasta diya aur khudh mur kar wardrobe se kapre nikalne laga bed par us ka kfi samaan bikhra para tha kapre bag mein rakhte huwe us ne khamoosh khari mahrukh ko dekha) kiya baat hai mahi kuch kehna hai
(woh use masroof andaaz main bola mahrukh ne bari bebasi se tahmoor ko dekha woh aa to gai thi lekin ab use samajh nahi aa raha tha ke baat kaise kare akhir kar himmat kar ke us ne khudh ko bolne ka liye tyaar kiya)
Mahrukh: aap wapis kab ayen ge
Tahmoor (smile at her question): abhi to main giya bhi nahi aur tum ane ke bare mein pooch rahe ho
(phir ruk kar use dekhe laga) kuch keh nahi sakte jab mujhe lage ga hum sab ka future safe ho giya hai tab aa jaon ga paanch saal bhi lag sakte hain aur es se ziada bhi
(ab woh kapre bag mein rakhne laga)
Mahrukh: aap shadi nah ikare gen
Tahmoor (hansta hai): mahi tum yeh poochne aye ho (us ne mur kar us ka chehra dekha)
Mahrukh: batain na tahmoor bahi (woh ab bhi sanjeeda thi to majbooran use bhi sajeeda hona para)
Tahmoor: karon ga lekin sehar aur tumhari shadii ke baad
Mahrukh: aap kis se shadii karen ge (us ne uljhan bhari nazron se mahrukh ko dekha)
Tahmoor: kise bhi aachi larki se
Mahrukh: aap ke khiyaal mein , main aachi larki hoon
Tahmoor: mahi yeh tum kiya puzzle khel rahi ho abhi mujhe buhat kaam karna hai (us ne sir jhatak kar jese kise sooch se pheecha churaya)
Mahrukh: kiya main achi nahi
Tahmoor: aachi ho mahi buhat achi ho (woh jaldi se bola mahrukh ka aandaz us ke liye kafi pareshaan kun tha)
Mahrukh: main aachi hoon to woh larki main kyun nahi ho sakti jis se aap shadii karen gen (mahrukh ki baat par us ke sir peh jaise dhamaka huwa woh heerat ke mare bilkul sakit ho giya kamre main mehsoos ki jane wali khamooshi chaa gai thi mahrukh ne darte darte tahmoor ki taraf dekha jis ka chehra safeed (white) par giya tha phir achanak us ka face red ho giya ar woh dobara bag par jhukh giya)
Tahmoor: jao yahan se (mahrukh apni jaga se hile nahi balke chund kadam utha kar us ke karee baa gai)
Mahrukh: aap mujh se pyaar nahi karte (us ki aankhon se aanson behne lage lekin tahmoor ne us ki baad ka koi jawab nahi diya) aap mujh se pyaar nahi karte (us ne tahmoor ke bazo par apna haath rakha jise us ne zoor se jhatak diya jese use current ne choo liya ho mahrukh us ke es attitude par heeran reh gai)
Tahmoor (zoor se): nahi
Mahrukh: jhoot bolte hain aap sab kehte hain ke aap mujh se pyaar karte hain (woh jawab mein tahmoor se bhi ziada zoor se booli)
Tahmoor: kis ne yeh bakwaas ki hai (ghussa ab us ke lehje se bhi jhalakne laga tha)
Mahrukh: mere sab friendz kehte hain
Tahmoor: damagh kharab hai tumhara aur tumhare dooston ka bhi college tum yeh sab karne jati ho? Kis kisam ki hain tumhari friendz en sab baton ko tum damagh se nikal do aur sirf parhai ki taraf dehaan do abhi tumhari umer hi kiya hai jo tumhein shadii ki fikar satane lagi hai…aur pyaar? Jaante kiya ho tum pyaar ke bare main mere kis andaaz se tumhein yeh galat fehmi huwe na tum mujh se pyaar karte ho na main tum se
Mahrukh: main aap se pyaar karti hoon (woh teze se boli to use teezi se tahmoor ke chehre ka rang badla)
Tahmoor: tumhari fazool doston ki company ne tumhara damagh kahrab kar diya hai yeh sirf ek attraction hai so tumhein mehsoos ho rahi hai ek waqt aye ga jab tum khudh apni hamakat par hanso gi tum umer ke jis hisse main ho wahan par kareeb rehne wale shakz (person) ko dekh kar lagta hai ke aap ko us se mohabbat ho gai hai aur yeh mohabbat nahi hoti sirf tumhare damagh ka khalal hai (us ke lehje ki sakhti ne us ke dil ke kitne hi tukre kar dale who khudh ko gheri kahi main girta mehsoos kar rahi thi us ne rote huwe us ke ajnabi attitude ko dekha aur ek dafa phir himmat ki)
Mahrukh: yeh attraction nahi main sach much aap se………..
Tahmoor: mahrukh (woh itni zoor se dhara ke mahrukh apni jagah hil kar reh gai zindagi mein pehle baar us ne tahmoor ke mun se apna naam suna tha us ke lehje mein koi apnaiat nahi thi woh ulte kadmon peeche hati )
Tahmoor: aur suno jab mian jaon to mere saamne bilukl mat ana….now leave me alone (tahmoor ne kehne ke saath hi age barh kar darwaza khol diya aur woh baghti uwe wahan se nikal gai
Aur phir aisa hi huwa jab woh giya tha to na to tahmoor ne us ka poocha aur nahi woh neeche ai woh saari raat us ne roo kar guzari jis ka result teez bukhar ki sorat main nikla sab ne ese tahmoor ke jane ka asar jana sab jante the ke who tahmoor se kis kadar attach thi
coming up: after three years
do comment guyz
hope u like it
i'll post next part soon Edited by genious420 - 19 years ago
324