Khurana Mansion
Dadima and Annie were desperately waiting for Maaneet
Annie: Dadima abhi tak ye log wapis kyun nahi aaye kahi koi serious baat toh nahi hai
Dadima: Fikr toh hume bhi ho rahi hai par Maan haina Geet k saath hume yakeen hai k unke rehthe hue Geet ko kuch bhi nahi hoga
Annie: Haan Dadi bhai jab tak Geet k paas hai toh hume fikr karne ki zarurat nahi hai par Geet ko iss halat mein dekha nahi jaata kabhi socha nahi tha k wo yun chup chup si ho jaayegi
Dadima: Sach keh rahi hai aap, Geet ki ye khamoshi humare dil par teer bankar chub rahi hai hum chahkar bhi apne bachhi ko gale nahi laga paa rahe unki takleef ko dur nahi kar paa rahe wo toh hume bhool hi chuki hai
Annie: I hope jab bhai aur Geet laute tab kuch good news sunne ko mile
Dadima: Dua toh hum bhi yahi kar rahe hai babaji kare humari bachhi jald hi theek ho jaaye
Maan and Geet enter KM
Annie: Dadi wo log aa gaye
Dadima: Maan bete kya kaha doctor ne kahi koi ghabranewali baat toh nahi haina?
Maan: Dadima aap shaanth ho jaaiye aur pehle aap aaram se baithiye main aapko sab kuch batatha hoon
Maan: Geet kuch der hum yahi baithenge
Geet sits besides Maan
Maan: Dadima fikr karne ki koi baat nahi hai doctor ne kaha hai k Geet k mann mein koi darr bait gaya hai aur wo tabhi thik ho sakthi hai jab hume uske darr ki asli wajah pata chale
Annie: Toh kya doctor ne Geet se koi sawal puchha par Geet toh aapke alawa kisiki bhi baato par respond nahi kar rahi hai
Maan: Nahi Annie Doctor ne Geet se koi sawal nahi kiya aur agar wo karna bhi chahthe the toh main karne nahi detha kyunki mere hothe hue Geet k saamne koi bhi aisi baate nahi kar saktha jisse k wo depression mein chali jaaye
Dadima: Toh phir hume Geet k darr ki wajah kaise pata chalegi?
Maan: Brain mapping Test se
Annie: Ye kaisa test hai bhai?
Maan: Details toh mujhe bhi nahi pata par doctor ne ye vada kiya hai k iss test se hume humare saare sawalo k jawab mil jaayenge aur unhe pura yakeen hai k hume humari Geet dubara sahisalamat mil jaayegi
Dadima: Toh ye test aap kab karwarahe hai?
Maan: Ye test kal hoga Dadima
Annie: I hope sab thik ho bhai
Maan: Sab thik hi hoga Annie mere rehthe meri Geet par koi aach nahi aa saktha
As soon as Maan says this Geet starts smiling and her hands automatically move towards his face and starts caressing it lovingly
Maan: Geet tumhe bhook lagi hogina chalo main tumhare liye kuch special banatha hoon
The whole day Maan takes full care of Geet
He teases her fights with her and does all silly things to keep her happy and he manages it successfully as well
Next day
Maan takes Geet to the hospital
Today finally he would come to know the reason behind Geet's fear
Doctor: Hello Mr. Khurana
Maan: Hello Doctor
Doctor: Chaliye hum brain mapping session shuru karte hai everything is ready
Maan: Doctor pls don't mind mere liye Geet ki safety se badkar aur kuch nahi hai issliye kya main iss Test ka procedure mera matlab hai ye Brain mapping Test actual mein kaise work karta hai kya main jaan saktha hoon
Doctor: Sure Mr. Khurana chaliye main aapko iss test k baare mein detail mein batatha hoon
Maan and Geet follow the doctor
Doctor: Agar common terms mein kaha jaaye toh mapping ko hum fingerprinting bhi keh sakthe hai
Maan: Brain ka fingerprint?
Doctor: Uhhi samaj lijiye ye ek aisi technique hai jaha par hum patient ya yun kahe subject se koi bhi sawal nahi karte balki hum unke saamne kuch sounds ya kuch images pesh karte hai.
Doctor: hum kuch sensors ka use karte hai jo k brain ki electrical activity ko monitor kar sakthi hai
Doctor: Sensors sirf aur sirf tabhi waves generate karenge agar kahina kahi unn images ya sounds se uss patient ka koi connection ho
Doctor: Neuroscan se hum unn waves ka analysis karte hai aur hume EEG (Electro Encephalogram) aur ERP (Event Related Potential) mil jaata hai isske through hum aasani se ye pata kar sakthe hai k actual mein hua kya tha
Maan: Thik hai Doctor I feel we can go ahead with the test
Doctor: Toh chaliye pehle Geet ko iss screen k saamne baithne ko kahiye aur unhse ye kahiye k main jobhi sensors inke sar se attach karne jaa raha hoon usse inhe ghabrane ki koi zarurat nahi hai
Maan tells Geet to sit in front of the screen and he assures her that these sensors won't harm her
The doctor attaches the sensors to her head
Maan and the doctor move towards the computer screen
Doctor: Mr. Khurana maine thode crimes se related images ready rakhe hai Geet sirf ussi waqt respond karegi agar wo incident usse related hua toh
Maan: Ji Doctor
Doctor starts showing different images
The first image was of some robbery taking place in a bank
No waves were generated since Geet did not respond to the stimulus
Second image was of some dangerous weapons which included guns
The monitor showed some movement as a signal was observed
Doctor: Dekha Mr. Khurana bank robbery se related image mein Geet ne koi response nahi diya par gunwale image ko dekhkar hume response mil raha hai
Maan: Haan kyunki unn gundo k haath mein guns the
Doctor: Exactly, chaliye ab next image dikhathe hai
The next image was related to some bomb blast
Again there was no signal
Doctor: Aapne jaise uss gufha ka description diya tha kuch waisa hi image main ab Geet ko dhikhane jaa raha hoon
The next pic on the screen was more or less similar to the place where that unfortunate incident had taken place
Geet responded immediately
The next image showed some group of goons standing with swords and guns
The intensity of the signal increased
The doctor then showed her the images of some drunkards who were trying to rape a girl
The signal intensity reduced
The doctor understood that atleast Geet did not witness this crime
He thought for a moment and then placed a photograph of a murder
The signal intensity reached the highest level and suddenly Geet also started getting nervous
She was sweating badly
By this time the doctor understood that Geet had indeed witnessed a murder but to give a final conclusion he went on placing different pictures of ruthless murders in front of the screen
In each of the case the signal response and the waves generated were of the highest intensity
Geet's was shivering she could not take it any longer
The doctor realized this and immediately stopped the Brain Mapping Session
He went and removed all the sensors which were attached to her head
Maan hugged her
Geet was really scared and she was trying to hide herself in Maan's embrace
Maan: Geet shanth ho jau dekho main yahi hoon tumhe ghabrane ki koi zarurat nahi hai
Maan could sense her fear she was trembling in his arms
Doctor: Mr. Khurana Geet kisi murder ki main witness hai aur main yakeen k saath keh saktha hoon k wo murder kafi dildehlanewala hoga jiski wajah se ye itne bade shock mein chali gayi hai
Maan: Ab hume kya karna chahiye Doctor? Geet toh phir se darr rahi hai
Doctor: Filhaal aap inhe ghar le jaaiye aur inke darr ko apne pyar se dur karne ki koshish kijiye itna yaad rakhiye sirf aapka pyar hi inhe dubara theek kar saktha hai
Maan: Thik hai Doctor filhaal hum chalthe hai
Geet was shaking from head to toe she was finding it difficult to walk
Maan carries her in his arms and walks towards his car
PRECAP: Maan: "Tumhe theek karne k liye muje ye raasta apnana padega Geet mere paas koi aur taareka nahi hai tumhe wapis laaneka"
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
ALL THOSE WHO WANT A PM ADD ME TO YOUR BUDDY LIST
Love-Piya
29