Hey All
Hope you all are fine! This OS is dedicated to my Favorite DDian Meri Jaan Meri Behna Meri Sangeetha🤗
ILY❤️
Hope you will love it Honeybuns!😳
Can Anyone Please Give Me A Suitable Title!😳
Maaneet OS- Untitled
Geet was pacing up and down in her room. Maan had not told her yet about the Mumbai trip and she was all excited about the wedding; as if the wedding was one of her close relatives! The word marriage would infact create a surge of emotions inside her! But Maan hadn't yet told her about their so called Mumbai trip. She was terribly pissed at him; for not letting her know of it! But then she realized that she can push him to accompany her to Mumbai.
Geet: "Jhalli ki tarah baatein mat kar; wo tujhe Mumbai nahi leke jaane wwale. Bas tu sapne dekh rahi hai. Aur theek bhi to hai; abhi abhi to unhone mujhe apnaya hai; aur achanak se poonchna; thoda ajeeb hai. Iss baar na sahi to agli baar."
She said as she was in her own world. Right then; Maan enters their room and he calls out to her.
Maan: "Geet mujhe tumse baat karni hai. Wo main yeh keh raha tha ki'"
Geet: "Haan jee boliye."
Maan: "Geet aaj dadima ka phone aaya tha aur wok eh rahi thi ki woh ghar pe satynarayan ki kahani rakhwana chahti hai; aur usme pati patni ko saath baithna hota hai."
"Par Geet jab mujhe hamari shaadi ke baare main hi kuch yaad nahi; mujhe hamare baare main kuch yaad nahi; main yeh kaise kar sakta hoon? Main kaise aise he bhagwaan ke saamne baithu? Bolo Geet?"
"Aaj main tumse kuch poonchna chahta hoon? Aaj mujhe tum woh har ek baat batogi jo hamare beech hui hai. Mujhe sab kuch jaana hai Geet! sab kuch! Hum kaha mile; kaise mile; hum kaise pyaar karne lage; sabkuch! Aur tumhe sab kuch sach batana hoga; tumhe meri kasam aaj Geet. Tumhe meri kasam!"
Saying this he made her sit on the bed; sat besides her and entangled their fingers. He made her look straight into his eyes; and she obeyed!
She looked straight in his eyes; and she knew she has to let him know everything! Everything that happened between us! Everything that happened in my life; my past; everything. I have to let him about each and every time we collided; every single word we spoke to each other! Everything!
She started;
Geet: "Maan hamari pehli mulaqat; ek nadi main huyi thi. Main doob rahi thi aur aap mujhe bachane aaye the. Aapne mujhe paani se nikala aur mujhe kinare tak apne baahon main uthaker le gaye the. Aisi thi hamari mulaqat!"
"Aur uske 2 din baad meri shaadi huyi thi. Meri shaadi ke baad; sab kuch badal gaya?"
Maan: "Tumhari shaadi huyi thi? To tum meri biwi kaise ho sakti ho?" he asked all confused and plainly hurt!
She continued with tears in her eyes; her voice choking;
Geet: "Wo shaadi nahi thi Maan; wo dhong tha; ek dhokha tha Maan! Sirf ek naatak tha maan. Maine jis insane se shaadi ki thi; jise mere gharwaalon ne choona; wo mere saare jevar aur mere paise lekar bhaag gaya. Aur uske jaane ke baad; mujhe pata chala ki main pregnanat hu maan. Main toot chuki thi Maan; aur mere ghar waale chahte the ki main wo baccha giraoo. Aur agar maine aisa nahin kiya; to wo mujhe maarne ke liye taiiyar the."
Maan was trying not to cry hearing to her painful narration of her life; but a few tears escaped his eyes too. He wouldn't have believed her before what she said to him on that night of Teej! He could clearly read her eyes; and he knew what she was saying was the truth!
"Uske baad; hum firse mile the aap ko mujhse kuch papers sign karwane the; aur maine mana kiya tha. Aur usi din hamara bahut bada jhagda huya tha. Aur uske baad main behosh huyi thi. Aap mujhe ghar leke gaye the."
"Uske baad main Amritsar gayi thi; aur aap bhi the waha; usu waqt mujhe nayantara ne bataya tha ki woh shaadi jhooti thi. Aur phir maine tay kiya ki main apna baccha nahi gairaoongi. Maan uske baad; Brij veerji ne mujhe maarna chaha; aur hum mile the; uss mele mein. Wahan mujhe ye tabeez mile thi. Yeh wohi tabeez hai jo aap abhi pehen rahe hai. Maan yeh tabeez hamesha hame jodti aa rahi hai."
Maan: "Geet phir kya hua?"
Geet: "Maan phir main aapke paas aayi thi; raat ko Brij veerji ne mujhpe hamala kiya aur phir ek baar; maan aap aaye the; mujhe bachane ke liye! Aapne mujhe bachaya aur mera poora raat khyaal rakha. Aur mujhe ladhne ki taakat di; mujhse kaha ki main apne Brij veerji ke khilaaif police main jaaoo. Aur maine waisa hi kiya. Unhe police pakad ke le gayi."
"Aur phir maine tai kiya; ki main Delhi aaoongi. Kaam karoongi aur apne bacche ki parvarsih karoongi. Aur phir ek baar hum Embassy main takraaye the. Aur phir jhagda huya. Aur Babaji bhi ajjeb hai; aapke hi company main mujhe naukri di; wo bhi aapki secretary ki; aur mere paas aur koi chaara hi nahi tha. Maine naukri sweekar kar di. Uske baad hamare kayi aise kisse huye jahan maine aapko bahut tang kiya; aur phir uss raat party main; Shasha ne meri saari faadi thi aur aap aaye the; jacket leke aur mujhe le gaye the. Aur aapne mere aansoon paunche the. Usi din maine aapko khud ko soapan tha Maan!"
"Phir aap thoda kam gussa nikalne lage mujhpar; aur phir humne dhaabe main khaana khaya tha aur aapne hum ek doosre ki baahon main the; aur main rote ghar waapas gayi."
"Uske baad; hamare beech kisi baat pe jhagda huya aur maine naukeri chod di; aur phir Dadima ne mujhe naukri di. Main yahan outhouse main rehne lagi thi; jahan uss waqt aap bhi rehte the. Hum har baar milte aur jhagda karte; aur uss ke baad; main aapko Dargah main dhoondne aayi thi. Mujhe pata chala waha ki main aapse pyaar karti hoon. Par main aapse pyaar nahi kar sakti thi. Kyunki mere daaman ek daag laga tha."
Maan: "Bas Geet! Aur mujhse bardasht nahi hota tumhara eh dard. Mujhe nahi jaana ki hamare beech kya hua; kyunki mujhe tumhare bahut saare dard ko mehsoos karna hoga; mujhme itni taakat nahi hai Geet. Nahi hai taaqat ki main tumhe rote huye dekh saku. Mujhe kuch nahi jaana; aur agar yahi meri sazaa hai tum dukh deni ki to mujhe manjoor hai Geet! bas; ab aur kuch mat kehna. Tum so jaao Geet. Hum kal baat kare hai."
She left the room and was going to go when she said something;
Geet : "Maan aaj bhi kuch nahi badla hai; kal bhi Geet ko dekh kar aap tadapte the; aur aaj bhi apni Geet ko dekhkar aap tadapte hai. Kuch nahi badla Maan!"
He was left thinking over there who could be so low in character who did such a disgusting thing with her? And the suddenly realization dawns upon him!
So guys do you want me to pen down an Epilogue for this? Do leave your precious comments! They really mean a lot to me!
So guys how were it? I hope I have lived up to the standards of all the Maaneet fans!
Positive criticism is always welcome!
Please press the like button!
Love And Luck Always!
Mayuuu
Edited by -Mayu- - 13 years ago
47