PART 45
Geet: Maan ye aap kya kar rahe ho?
Maan :Geet aaj main tumhare kadam zameen par nahi padne dunga aur waise bhi jab tak ye gulam hai toh aapko fikr karne ki kya zarurat
Maan carries Geet to the car and then they leave for Geet's house
Geet's house
Geet: Ab bataiye janab kya ab bhi aap apni baat pe kayam hai?
Maan: Kaunsi baat Geet?
Geet: Ello... aap toh bhool bhi gaye chaliye main yaad dilathi hoon kisine mujhse kaha tha k aaj wo mere kadam zameen par nahi padne denge... ab aap kya ma k saamne mujhe apne baho mein lekar jaane ki himat kar paayenge
Maan: Geet tum...
Geet: Main jaanti thi aap ye nahi kar paauge
She opens the door
Maan: Rukho Geet
Geet: Kya hua?
Maan comes out and then picks up Geet in his arms
Geet: Maan main toh mazak kar rahi thi
Maan: Tum mazak kar rahi hogi Geet magar main apni baat par kayam hoon
Saying so he starts walking
Geet: Ji Suniye toh...
Maan stops
Maan: Ji kahiye
Geet: Maan agar aap yun mujhe apni baho mein utakar le jaayenge toh ma kya sochengi
Maan: Sochengi k unki beti kitni kismatwali hai k usse itna pyar karnewala koi mila
Geet: Nahi aisa nahi hai
Maan: Kya matlab hai tumhara main tumhe pyar nahi karta?
Geet: nahi maan maine aisa kab kaha main jaanti hoon k mujhse zyaada ahem aapke liye aur koi nahi hai aur aap mujhse bepana mohabbat karte ho magar ...
Maan: magar kya mishty?
Geet: Magar aap yuhi mujhe ma k saamne lekar gaye toh aap hi sochiye mujhe kitni sharm aayegi...main toh sharm se lal ho jaayungi
Maan: Toh achhi baat hai na waise bhi jab tum sharmathi hona tab bahut hi pyari lagthi ho
Geet: Maan aap ko phir se shararat sujh raha hai... jaaiye main aapse baat nahi karungi
Maan: Thik hai mat karo main yuhi tumhe tumhare kamre tak chod aata hoon
Geet: Maan pls
Maan: Ab jab tum itna keh rahi ho toh thik hai par meri bhi ek sharth hai
Geet: Sharth?
Maan: Haan sharth ab kya haina Geet MSK kabhi bhi apna faisla nahi badaltha par kyunki meri mishty keh rahi hai toh soch raha hoon tumhari baat maan hi lu par iske badle tumhe mujhe kuch dena hoga
Geet: Kya?
Maan looks at her lips
Geet: Maan aapko nahi lagta aapki badmaashi kuch zyada badh rahi hai...
Maan: Ab tum isse badmaashi kaho ya kuch aur meri yahi sharth hai ab aage tumhari marzi
Geet: Thik hai par iske baad koi aur badmashi nahi chalegi aapki manzoor
Maan: Iss gift k liye toh main tumhari har baat manzoor kar saktha hoon mishty
Saying so he slowly seals his lips with hers
The kiss turned out to be a passionate one
Maan finally ended the kiss
Geet was all red. She hid her face in his chest
Maan took advantage of her shyness and carried her to her room
Geet finally realized that she was inside her house
Geet :Maan aapne meri baat nahi maani na ab mumma kya sochengi
Maan: Geet aunty toh tab kuch sochengina jab woh ghar par hongi main jaanta tha k aunty ghar par nahi hai warna tumhe kya lagta hai main kya jaanbujkar tumhe kisi aise situation mein phasa saktha hoon jaha pe tumhe embarrass hona pade
Geet: Magar Maan agar ma ghar par hothi toh
Maan: Ofho Geet aunty ne mujhe pehle hi bataya tha k unhe aate aate late ho jayega
Geet: Iska matlab hai aapko pehle se sab pata tha aur aapne jaanbuskar wo sharth rakhi kyunki aapko pata tha k main aapki baat maan jaaungi..
Maan: Ab Geet tum kya kehne ki koshish kar rahi ho main kuch samaj nahi paa raha
Geet: Achha ji abhi samjhathi hoon
She takes a pillow and starts hitting Maan
Maan also takes a pillow and tries to protect himself
After sometime their pillow war ended as both of them lost their balance and landed on the bed
Maaneet eyelock
Maan started caressing Geet's face
Geet placed her head on his chest
Maan wrapped his hands on her waist
Geet: Jante hai Maan main chahkar bhi aapse kabhi naaraz nahi ho sakthi
Maan: Jaanta hoon aur ye bhi jaanta hoon k agar kabhibhi tum mujhse ruth bhi jau tab bhi main tumhe mana zarur lunga
Geet: Achhaji itna bharosa hai khud par
Maan: nahi khud par nahi balki humare pyar par... hum ek duje se itna pyar karte hai k kabhi bhi hum zyada der tak ruthe reh hi nahi sakthe
Geet: Haan Maan humara rishte ki dor ek aise atooth dhage se bandhi hai jo hume humesha bandhe rakhegi
Maan: Geet ab tumse dur rehne ka bilkul dil nahi karta
Geet: Meri bhi yahi haalat hai Maan
Maan: Hmm... iska solution toh dhundna padega
Geet: Jo bhi dhundna hai jaldi dhundiye ab mujhse zyada intezaar nahi hotha
Maan :Ab solution dhundne mein kuch time toh lagega hina Geet
Geet: Time? Kitna time?
Maan: Hmm... zyaada nahi bus yahi kuch 2-3 saal
Geet: Kya 2-3 saal
Maan: Kyun kam hai achha kahi tum ye toh nahi chahthi k main aaram se solution dhundhu toh tai raha hmm...5 saal tak toh iss problem ka solution mil hi jaayega
Geet gets up
Geet: 5 saal haan kyun nahi aur waqt lagaiye main toh kehthi hoon puri zindagi laga dijiye jab tak aap apna solution dhundhe rahoge tab tak koi aur aakar mujhe apni dulhan banakar le jaayega
Maan pulls her towards himself
Geet lands on top of Maan
Their lips are again very close
Geet tries to move away but Maan holds her firmly
Maan: Kya kaha tumne koi aur tumhe apni dulhan baankar le jaayega
Geet: thik hi toh kaha maine waise bhi main itni batsurat bhi nahi k koi mujhe pasand na kare
Maan: Tum batsurat nahi Geet balki behet hi khoobsurat ho
Saying so he places a hair that was falling on her face behind her ear
Maan: Tumhari ye zulfe kisi ghanghor ghata se kum nahi hai Geet... jab bhi inhe dektha hoon inke saaye tale sone ka mann karta hai
Maan: Tumhari ye aakhein seedha dil par dastak dethi hai Geet...inti sundar aakhein toh kisi swarg ki apsara ki bhi nahi hongi... inn aakhon ko chune ka haqh sirf mujhe hai Geet kyunki inn aakhon mein bus meri hi tasveer chapi hui hai
Saying so he kisses her eyes
Maan: Tumhare iss khoobsurat chehre ko apne pyar se roshan karne ka haqh bhi sirf mera hai Geet... koi bhi ye haqh mujhse cheen nahi saktha
He runs his fingers through her lips
Maan: Tumhare hotho ki lali bhi mera hi intezaar karti hai Geet... jab tumhare har cheez par ek bus mera hi haqh hai toh koi tumhe mujhse dur le jaane ki himmat kaise kar saktha hai...
Maan: Geet ka naam sirf Maan k saath achha lagtha hai... Aur iss jahah ki sabse khoobsurat dulhan bhi rab ne bakayda meri kismat mein likha hai...
Maan: Tum bus meri dulhan ho Geet sirf iss janam mein nahi balki aanewale har ek janam mein hum dono ka naam humesha humesha k liye judh chuka hai
Maan: Iss rishte ko naatho tum todh sakthi ho aur naahi main aur koi teesra iss rishthe ko todne ki zurrat kare toh uska saamna MSK k saath hoga... main mar jaayunga Geet par kabhi bhi tumhe khud se judaa nahi hone dunga
Geet immediately captured his lips into a passionate kiss
After a while they ended the kiss
Geet:Bus kijiye jab bhi dekho marne ki baate karte rehthe hai... ek baat aaj aap kaan kholkar sunn lijiye aapki jaan ab aapki nahi hai ye meri amanat hai aur khabardaar agar aapne meri amanat ke saath kuch bhi gaalt karne ki koshish ki toh...main...
Maan: Toh tum mujhe humesha yuhi pyari si kiss dethi rahogi agar aisa hai toh phir main aisi baate roz karunga
Geet: Kiss k liye aisi bakwaas baate karni ki zarurat nahi hai woh toh aapko waise hi mil jaayegi
Maan was surprised to hear this
Geet bit her lips
Geet: (thinking) Babaji ye maine kya keh diya ab toh ye mujhe aur bhi chedne lagenge
Maan: Aaj toh meri lottery lag gayi ab se har roz mujhe meri sweetdish mila karegi
Geet: Maine aisa kab kaha?
Maan: Achha toh tumhara matlab tha k har ghante mujhe meri sweetdish milegi
Geet: Ye aapse kisne keh diya
Maan: Achha toh har minute...
Geet: Bus kijiye Maan
Saying so she hugs him
Maan gives a small love bite on her shoulder
Maan: I love u Mishty
Geet places a kiss on his cheek
Geet: I love u too Maan
They once again get lost in each others eyes
Just then
Savitri: Ofho ye Geet kabhi nahi sudregi kitne martaba kaha hai k darwaza bannd kiya karo par nahi woh toh kabhi kisi ki baat nahi sunegi
Geet realized that her mom was back
She tried to get up but maan's grip was too tight
Geet: Maan ma...
Maan: Ma...nahi Geet tumhara Maan sirf tumhara
Geet: Maan ma aa chuki hai
Maan :Kya? aunty aa gayi hai
He immediately left Geet and both of them got up
Geet and Maan come out of the room
Savitri: Are Maan aap bhi yahi hai
Geet: Haan Maan mumma ko bataiye k aap yaha kya kar rahe the
Maan was embarrased
Geet: (thinking) Badi shararathe karthe the na janab aapki mishty ko bhi shararathe aathi hai
Maan: (thinking) Mishty tum mujhe baadmein milo phir tumhe tumhari shararat ki sajah detha hoon
Savitri: Aap dono yuhi aakhon aakhon mein baate karte rahenge ya humare sawalo ka jawab bhi denge
Geet: Haan ma Maan bus batanehiwale the
Maan: Haan..wo aunty main..wo
Savitri starts laughing
Savitri: Aapko kuch kehne ki zarurat nahi hai Maan aapke gaal humhe saari kahani sunarahe hai
Maan: Gaal?
Savitri: Haan Gaal... zara apna chehra aaine mein dekhiye toh
Maan goes near the mirror and realizes that his cheek had a lipstick mark
Geet was now embarrassed. She tried to go to her room
Savitri: Are Geet aap kaha bhage jaa rahi hai aap bhi toh iss kahani ka ek hissa hai kyun?
Both of them just couldn't say anything
Savitri understands their dilemma and comes and places her hand on their heads
Savitri: Maan toh ab aap rishta kab laa rahe hai
Both were really happy to hear this
Geet started blushing and immediately went in her room
Maan: Thanks Aunty humara rishta aapke aashirwad k bagair kabhi bhi pura nahi ho saktha tha
Savitri: Aunty nahi Maan ma kahiye ab aap humare honewale damad hai aur damad bete ki tarah hotha hai
Maan: Thanks Ma
He took her blessings and hugged her
Maan :Ma kal hi aapki chand si beti k liye aapke ghar rishta aayega
Savitri :Hume intezaar rahega bete
PRECAP: Adi, Romeo, Pandeyji and Manisha go for fixing Maaneet's marriage😆😆😆😆😆
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love-Piya
PART 46: http://www.india-forums.com/forum_posts.asp?TID=1762105&TPN=122&#
Edited by piya- - 13 years ago
63