PART 44
Maan: Geet kahin tumhe afsoos toh nahi ho raha?
Geet did not feel the need to answer his question she simply sealed his lips with hers telling him the story of their blissful journey
Finally they ended their kiss
Maan was looking lovingly at Geet.
Geet could not take his gaze and immediately hugged him
Maan: Toh meri mishty ko sharmana bhi aata hai...
Geet: Sharmana bhi... kya matlab hai aapka
Maan: Ab dekhona Geet kuch der pehle tum khud hi mujhe itne pyar se kiss kar rahi thi aur ab jaise hi kiss khatm ho gaya dubara sharmana start kar diya... kabhi sherni toh kabhi chuhiya
Geet: Achha toh aapko kaun zyada pasand hai aapki sherni ya aapki sharmane wali gudiya
Maan: Sach kahu toh mujhe toh meri sherni pasand hai aur main toh kehta hoon humesha sherni ki tarah hi pesh aau... kam se kam mujhe humesha aise pyare kisses mila karenge
Geet: maan aap bhina bade shararathi hogaye ho zara apne iss lafange dil par kabu toh kijiye
Maan lifts Geet in his arms and places her on the bed
Maan: (naughty expressions)Geet jab tum mere itne kareeb ho toh dil pe kaabu kaun bekakuuf karna chahtha hai
Geet understanding his intentions pulls him towards herself
Maan too lands on the bed
Geet places her head on his chest
Geet: Toh mat rohkiyena... kisne kaha apne dil par kaabu rakhne ka liye
Maan: Geet dekho tum mujhe uksaa rahi ho phir mat kehna ke maine tumhe warn nahi kiya tha
Geet: Ab aapko nahi uksaaungi toh kya padosiyon ko uksau...
Maan: Geet mere alawa kisi aur ka naam bhi mat lena mazak mein bhi nahi warna
Geet: (with mischief in her eyes) Warna kya saza denge?
Maan: Hmm.. ab saza paane k liye koi itna bekaraar ho toh hum mana kaise kar sakthe hai
Saying so he captures her lips into a passionate kiss
After some time
Geet :Maan jaante hai ye jo lamhe hum saath bita rahe hai ye humari zindagi ki sabse keemti pal hai
Maan :haan Geet kuch saalo baad jab hum inn lamho ko yaad karenge tab humare chehre mein ek behet hi khoobsurat muskurahat hogi
Geet: Maan main uss lamhe ki shukrguzar hoon jis lamhe mein aap meri zindagi mein dhakil hue
Maan: Sach Geet uss din puri kayinaat humpar meherbaan thi ... na tumhe pata tha aur na mujhe k ek din hum ek duje k bagair rehne k bare mein soch bhi nahi sakthe
Geet: Maan mujhe kabhi bhi apne se dur mat kijiyega main aapke bagair jee nahi paaungi
Maan: Duriyon ki baat mat karo Geet... humara rishta itna paak hai k maut bhi hume judaa nahi kar sakthi ...haina
Geet :Maan ek baat bataiye jab hum budhe ho jayenge toh kya tab bhi aap mujhse itna hi pyar karoge?
Maan: Ye sawal toh mujhe tumse karna chahiye Geet...tum toh tab bhi lajawab dikhogi haan tumhara dust danav shayad itna handsome na ho tab...
Geet: Chup rahiye mere Maan jaisa koi nahi... aapse behter na koi hai aur naahi koi ho saktha hai...
Maan: Waise maine humari 50th anniversary k liye gaana bhi soch rakha hai ... sabke saamne gaaunga
Geet: Achha zara main bhi toh sunu wo kaunsa gaana hai aakhirkaar aap mere liye hi toh gungunayenge na..
Maan :Achha toh suno aur haan main tumhe advance mein ye gaana suna raha hoon issliye mujhe interest k saath mera gift chahiye
Geet: Achhaji... toh ab aap blackmail pe bhi utar aaye jaayiye mujhe nahi sunna..main humare 50th anniversary ka wait karungi
Maan: Par main toh abhi issi waqt tumhe wo gaana sunaunga mishty aur haan sahi waqt pe apna gift bhi tumse chura lunga
Geet was blushing
Maan started singing:
" Ae meri zoharzabi tujhe malum nahi tu abhi tak hai haseen aur main jawaan tujhpe kurbaan meri jaan meri jaan"
Geet was totally red and she hugged Maan in shyness
Maan :Geet agar tum abhi itna sharmarahi ho toh tab kitna sharmaogi
Geet:Aap bade bure ho
Maan: Haan woh toh main hoon par sirf tumhare liye... jaanti ho Mishty meri saari duniya bus tumhari ek muskurahat hai..tumhari inn aakon ki sharathe hai ... humesha aisi hi rehna kabhi badlana mat
Geet: Main toh nahi badlungi par aapko kuch badlana hoga
Maan: Kya..hukum kariye ji aapka har ek faisla saraakhon par
Geet: Aap bada besura gaate ho zara sur mein gaana gaana sekhiye..
Maan: Aap sikhaiyena...
Saying so he moves towards her lips
Geet: Achha aapko mujhse seekhna hai main toh humesha se hi taiyaar hoon ji
Maan was surprised
Geet got up and before Maan could claim her lips she bit him near his ear and ran out
Maan :Mishty ab toh tum jaane se rahi
Geet was trying to hide from Maan but finally Maan was successful in finding her
He pulled her towards himself
Geet closed her eyes expecting a kiss
But Maan placed a bunch of keys in her hand
Geet opened her eyes
Geet :Maan ye kya hai?
Maan: Geet ye iss ghar ki chabiyan hai jispar sirf tumhara haqh hai
Geet was overwhelmed to hear this
Geet :Par Maan ye...
Maan placed his hand on her lips
Maan: Shh... Kuch mat kaho Geet
He placed a kiss on her forehead
Maan :Geet pata hai main ye chabiyan tumhe ussi din dena chahtha tha par bhul gaya aur phir maine socha k main jis din bhi ye chabi tumhe du woh din kuch special hona chahiye
Maan: Aur aaj chuki humari pehli anniversary hai toh isse shubh ghadi koi ho hi nahi sakthi k ye chabhi iss ghar ki asli maalkin k paas pauch jaaye
Maan: Aur waise bhi ye gulam kab tak apni maalkin ki dharohar samal kar rakhtha
Geet: Maan aap itne achhe kaise ho?
Maan: Ab jiski Mishty itni pyari ho toh kuch asar toh uske Dhust danav par bhi toh hona chahiyena
Geet: Main sachmuch mein kafi lucky hoon Maan k mujhe aap mile...
Maan: Lucky toh hum dono hai Geet kyunki Geet k bagair Maan adhura hai aur Maan k bagair Geet
Maan: Waise Geet humne abhi tak humare Dreamhouse ka naam nahi rakha
Geet :Maine soch liya hai
Maan: Achha bataau
Geet :Kyunki hai humare pyar ki naishani hai issliye iss ghar ka naam MAANEET VILLA hoga
Maan: Maaneet Villa...
Geet: Haan abhi toh aap ne kaha na k hum ek dusare k bagair adhure hai toh iss ghar ka naam humare bagair saartak ho hi nahi saktha tha
Geet: Maan aur Geet k mel se bana MAANEET...
Maan : Haan ye hume humare pyar ka ehsaas humesha dilatha rahega...
Geet: I love u Maan...I love u more than my life
Maan: I love u too Mishty...
Geet: maan ab hume chalna chaiye bahut der ho chuki hai
Maan: Chalo Geet
he once again lifts her and carries her in his arms
Geet :Maan aap ye phir se kya kar rahe ho?
Maan: Geet aaj main tumhare kadam zameen par padne nahi dunga aur waise bhi jab tak ye gulam hai toh aapko fikr karni ki kya zarurat
He takes her to the car and they start for Geet's house
PRECAP: RISHTA FOR GEET😆😆😆😆😆
PLS PRESS D LIKE BUTTON N DO COMMENT
Love- Piya
This update is dedicated to my sweet Anu Di she is a Goldie now😛😛😛
Edited by piya- - 13 years ago
61