Bigg Boss 19 - Daily Discussion Topic - 21st Sep 2025 - WKV
🏏India vs Pakistan, Asia Cup-Super Four, Match 14 (A1 v A2) Dubai🏏
🏏 Asia Cup 2025: Sri Lanka vs Bangladesh, Super Four, Match 1 Dubai🏏
HONEYMOON🏩 20th and 21.9
Star Parivaar Ki Favourite Saas
Downfall is Real! No one even cares for SPA pics this year
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Sept 21, 2025 Episode Discussion Thread
Akshay Kumar Is Back To Giving Hits
Saiyaaara spoof
Let's Discuss Abhir
H-1B Visa Crisis: Families Forced to Return, Futures at Stake
👻😈😈😈Mask Of Zorro😈😈😈👻
Jobless Poddars
Happy Birthday Kareena Kapoor 💐🎊
24 years of Ajnabee
Chunkey Panday happiest for Ahaan’s success (Saiyaara)
King leaked pictures - Shah Rukh, Abhishek and Suhana
Tabu likes a reel shading Deepika on Instagram
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai - 22 Sep 2025 EDT
Screening - Mera Desh Pehle - The Untold Story Of Shri Narendra Modi
Part 78
Dadima is with Maan and Dev and looks really worried. She says, 'Itna sab kuch ho gaya aur aap ne humhe bataya bhi nahi. Itne barhe ho gaye hai aap dono?' Maan says, 'Dadima, baat yeh nahi hai.' Dadima replies, 'Toh kya baat hai, Maan aur Dev? Naintara Geet ke bacche ko maarna chahti thi. Uss din jo goli aap dono ko lagte lagte reh gayi uske peeche Sameera thi. Aur humhe kuch nahi pata.' Dev says, 'Dadima, aapki tabiyat kharab hoti rehti hai. Humhe darr tha ke itna sab kuch jaankar aap aur pareshan ho jayegi. Please samajhne ki koshish keejiye.' She holds his hand and says, 'Hum samajhte hai, beta lekin humhe yakeen nahi hota ke Naintara itna sab kuch kar sakti hai. Kissi ki jaan lene ki koshish karna aur woh bhi apne jaith ki patni. I cannot believe it.' Maan says, 'Maine aapko hamesha kaha hai Dadima, Naintara kisi ka bhala nahi kar sakti. Khud mein kamee ko chupane ke liye, har uss insaan ko raaste se hata dena jo iss parivaar ko waaris de sakta tha.' Dadima says, 'Geet ka baccha bhi hamare ghar ka waaris nahi hai.' Maan and Dev look at each and are quiet. Dadima says, 'Lekin phir bhi, Naintara ko aisa nahi karna chahiye tha.' Dev says, 'Uske karmon ki saza toh main usse dilwa kar hi rahouga.' They leave the room and Dev stops Maan outside. He says, 'I am sorry, Bro lekin yeh baccha Khurana parivaar ka hi hissa hai. Main nahi chahta ke Dadima usse baharwala samjhe.' Maan eyes him curiously and says, 'Dev, hum yeh baat nahi khol sakte. Agar hum yeh baat Dadima ko batate hai toh humhe sab kuch batana hoga aur mujhe yakeen hai Dadima yeh baat lightly nahi legi.' Dev says, 'Aap mujhe bachane ki koshish kar rahe hai.' Maan says, 'Iss mein bhi mera swaarth hai na, Dev. Main iss toofan ko jab tak iss ghar se door rakh sakta houn rakhouga. Aage hamari kismet batayegi key eh baat kab tak chhupi rahegi.' Maan walks away and Dev thinks, 'Bro, yeh baat sirf tab tak chhupi rahegi jab tak Naintara apna muh nahi kholti aur woh bohot jald hoga. Usne mujhse dhoka khaya hai, badla toh woh legi.'
Dadima comes to visit Naintara in prison. Naintara says, 'Dekhiye na, Dadima. Hamara kya haal bana diya hai Dev ne.' Dadima says, 'Agar aap humse hamdardi ki umeed kar rahi hai, toh bhool jaiye Naintara. Humne aapko beti maana aur aap hamare hi ghar mein aag laga rahi thi.' Naintara is furious listening to this and says, 'Humne lagayi hai yeh aag, Dadima? Aapko yeh lagta hai? Ofcourse aapko yahi lagega. Dev apni galati toh naaahi batayege na aapko. Na yeh ke Geet ka Delhi aane ka assal maksad kya tha.' Naintara says, 'Dev ki galati, Geet ka maksad. Yeh aap kya keh rahi hai?' Naintara shrugs her shoulder and says, 'Hum aapko sach bata rahe hai. Jis Dev ko aap itna mahaan maanti hai, woh ek dhokebaaz aur jhoote insaan hai.' Dadima is angry and says, 'Naintara!! Hamare koi bhi pote ke khilaaf hum kuch nahi sunege.' Naintara looks at her and says, 'Ab aap kuch sun nahi sakti? Jab Maan Veerji ne humhe ghar se baahar nikaal diya tab aisa kiya hota toh humhe yeh din nahi dekhna parhta.' Dadima frowns and says, 'Isse iss baat ka kya lena dena, Naintara?' Naintara says, 'Baat yahi se toh shuru hui.' Naintara goes on to narrate whatever happened in Hoshiarpur from Dev's fakes marriage to Geet to him spending the night with her to Geet coming to Delhi to work with Maan. Dadima says, 'Aisa ho hi nahi sakta. Aap kehna chahti hai ke Geet ka baccha...' Naintara completes her sentence saying, 'Dev ka hai. Aapko kya lagta hai ke yeh ittefaq hai ke Geet Khurana Constructions mein kaam karne aa gayi? Dev ka badla woh Maan Veerji se lene aayi hai. Aaj humhe raaste se nikaal diya aur kal Maan Veerji ko bhi nikaal degi. Apne pyaar se Maan Veerji ki poori property bhi khud ke naam kar legi.' Dadima says, 'Aap bakwaas kar rahi hai, Naintara. Geet par humhe poora bharosa hai. Aap sabko apne jaisa samajhti hai.' Naintara says, 'Geet ne uss insaan se shaadi kaise kar li jiske bhai ne uski zindagi barbaad ki. Kya koi aurat yeh kar sakti hai, Dadima? Magar haan, agar uska maksad badla hai toh woh aisa kar sakti hai.' Dadima does feel a little doubtful but she does not let it on to Naintara. She says, 'Aapka dimaag kharaab hai, Naintara. Aur yaha baithkar aur bhi kharaab ho gaya hai. Hum aapke saath apna waqt zaaya nahi karege.' She turns around and Naintara says, 'Sach kabhi na kabhi toh bahar niklega hi.' Dadima walks away and Naintara hits her hand on the prison bars saying, 'Hum tumhe nahi chodege, Geet.'
Maan is sitting with Geet in the living room and has held her hand. He kisses it and she says, 'Yeh bedroom nahi hai, Maan Sir.' Maan smiles and replies, 'Patni ho meri, Geet. Hum dono ke beech bedroom ho ya living room, kya farak parhta hai?' Geet looks at him mischieviously and says, 'Aisi baat hai? Toh phir doosri cheezein bhi yahi kar sakte hai, hai na?' She passes her hand over his buttons and he says, 'Pagal ho gayi ho, Geet? Mera matlab woh nahi tha.' Geet caresses his face and says, 'Par maine toh yahi samjha.' Maan says, 'Tum aisa kar hi nahi sakti.' Geet knits her eyebrows and says, 'Aap dobara mujhe challenge kar rahe hai? Yaad nahi hai jab outhouse mein pehli subah bina kapdon ke baahar nikalne ko tayyar ho gayi thi. Main aaj bhi wahi Geet houn.' Maan runs his hand through her hair and says, 'Nahi, tab tum Geet thi aur aaj tum Geet Maan Khurana ho. Jo aisa nahi kar sakti.' She smiles and says, 'Chalo, maan gayi.' She rests his head on his shoulder and he says, 'Thak gayi?' She replies, 'Nahi, thaki toh nahi. Bas iss sukoon ko mehsoos kar rahi houn, Maan. Nainatara aas paas nahi hai. Yeh ghar mujhe ab apna lagta hai. Pehle bas aisa lagta tha ke agle modh par museebat hai lekin ab woh ehsaas chala gaya hai. Aapke sirhane baithkar yeh zindagi bas yun hi kat jaaye. Aur mujhe kya chahiye?' Maan gets up and kneels in front of her. He says, 'Humhe bohot kuch karna hai, Geet. Tumhe zindagi ki saari khushiyan deni hai jo tumhe nahi mili. Woh har gham ka ehsaas mitana hai jo tumne dekhe. Yeh hamari kahani ka naya modh hai, anth nahi.' She cups his face in her hands and says, 'Anth toh bilkul nahi hai, Maan. Itni mushkilon baad aapka saath paya hai. Ab toh mujhe aapke saath sahi mainon mein zindagi jeeni hai. Bina kisi archan ke.' They both hug each other and smile looking up and thanking God for his blessing on them. Geet prays that there not be another problem around the corner.
Maan and Geet break away to see Dadima standing in front of them. She looks upset and Maan says, 'Aap theek toh hai na, Dadima?' Dadima says, 'Hum theek hai, Maan. Aapse baat karna chahte hai. Geet kya tum humhe Maan ke saath kuch waqt de sakti ho?' Geet is nervous about her tone but says, 'Jee bilkul dadima.' She looks at Maan who gives her a consoling look and she leaves feeling reassured. She is out of sight but stops as Dadima says, 'Hum aapse Geet ke baare mein kuch kehna chahte hai.' Maan says, 'Geet ke baare mein?' Dadima says, 'Haan Maan beta. Hum Naintara se milne gaye the.' Maan is upset to hear this and says, 'Aap usse milne kyun gayi thi?' Dadima says, 'Woh hamare ghar ki bahu hai, Maan. Hamara bhi haq hai unse baat karke sach janne ka.' Maan says, 'Matlab aap Dev aur mujhpar bharosa nahi karti?' Dadima says, 'Aisa nahi hai, Maan beta. Lekin aap dono ne bhi humhe sach nahi bataya.' Maan is on the alert and says, 'Kaun sa sach?' Dadima says, 'Geet aur Dev ka sach.' Geet hears this and has tears in her eyes instantly. She thinks, 'Babaji, Dadima ko bhi pata chal gaya? Unse chupane ke liye hi toh yeh sab kiya tha. Ab kya hoga?' Maan says, 'Kuch baatein janna zaroori nahi hota, Dadima. Lekin iss tarah peeche se baat karke aapne itna toh saabit kar hi diya ke aapko apne poton par bharosa nahi hai.' Dadima says, 'Aap hamari baat kar rahe hai, Maan? Aap khud ek baharwale insaan ka bharosa kar rahe hai. Aapne kabhi nahi socha ke Geet ne aapse shaadi kyun ki? Jis insaan ne uski zindagi barbaad ki ussi ke bhai se shaadi kar li? Shayad woh aapse badla lena chahti thi.' Geet rests her frame against the wall and thinks, 'Dadima aisa kaise soch sakti hai?' Maan is furious and says, 'Yeh aap nahi, Naintara bol rahi hai. Main aapse baad mein baat karouga, Dadima jab aap khud soche ke aapne kya kaha aur kiske baare mein kaha.' He leaves the living room to come face to face with Geet whose eyes are glistening with tears. She walks away in a hurry seeing him and he runs behind her taking her name.
Geet comes in to the room and sits on the bed crying bitterly. Maan comes to her side and takes both her hands in his and says, 'Yeh kya Geet? Tum ro rahi ho.' Geet replies, 'Aur kya karoun, Maan. Yeh kismet jo mujhe mili hai, uss par ro nahi toh kya karoun? Kyun ki thi aapne mujhse shaadi? Bataiye na, kyun ki thi? Meri jaan bachane ke liye, mera badla lene ke liye aur mere liye sau sawaalon ke jawaab dene ke liye? Isse zindagi toh nahi kehte na, Maan. Khushi ke naam par kya diya hai maine aapko? Yaha tak ki aaj, aapki Dadima ne bhi mujhpar sawaal uthaya. Hamare rishtein ki neev par sawaal uthaya. Kya hum bas yahi karte rahege?' Maan says, 'Sab kuch bol diya ya kuch baaki hai?' Geet is confused and says, 'Nahi, bas.' He kisses both her hands and says, 'Geet, tumhe pata hai moti kaha se milte hai?' Geet says, 'Jee?' Maan suppresses a smile and says, 'Moti kaha se milte hai?' Geet replies, 'Dariya mein.' Maan says, 'Tumhe pata hai waha tak kaise pohochte hai?' Geet says, 'Yeh aap kya baat lekar baith gaye hai?' Maan says, 'Main batata houn. Deep sea divers jaakar dariya ki zameen ke neeche se unhe nikaalte hai. Toh hum dono ke case mein, tum moti ho aur main woh deep sea diver. Yeh poori duniya woh dariya jis mein hum tum hai aur yeh mushkilein woh hai jinka saamna karke mujhe tum tak pohochna hai. Raasta jo bhi ho, main apne moti ko liye bina nahi jaouga. Meri zindagi bhale mere haath se chali jaaye Geet lekin tum nahi ja sakti. Meri khushi tumhare hone se hai, meri dhadkan tumhari awaaz sunkar chalti hai. Uss din jab tum poora din nahi uthi, tab mera har ek pal kaise guzra yeh shabdon mein batana namumkin hai. Lekin main sirf ek baat kahouga, sukh mein aur dukh mein, tum meri ho. Mujhse har khushi chhoot jaaye mujhe manzoor hai lekin agar tum mere saath ho toh, kissi ki kahin hui koi bhi baat mujhe chhookar bhi nahi jayegi. Yeh mera vaada hai tumse.' Geet says, 'Sab kuch bol diya ya kuch baaki hai?' Maan gives her a lop sided grin and says, 'Bas itna hi.' Geet says, 'Itna pyaar mat keejiye, Maan ke sehen na ho.' He comes forward to kiss her and she hugs him tightly crying.
i hope dadima change her mind great update pls cont soon