Aazma'aish:- SK, AR, Mayur, Sajan note page 16 - Page 9

Created

Last reply

Replies

110

Views

13.2k

Users

33

Likes

171

Frequent Posters

RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#81

Originally posted by: ammuakhi

preet update was fantastic dear

abbb jaldi iss cont karo
tc
ammu




Thanks a lot Ammu for liking the part...
I will post the next part now...
Keep reading
Luv Preet
😃
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#82



Thanks a lot Dear
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#83

Originally posted by: guglu088

Hi Preet...Hi Guglu😃

I was waiting for this update... That's really very sweet of u yaar😊
so nice of you to update it... I know u have never expected an update from me and that too soon.
The first part was very nice...Thanks for liking it😊
Liked samrat and Mayank's cute bickerings and also their feelings for Gunjan and Nupur... Thanks again for liking themmm😳
Sujal is so conccerned for Kashish...He loves her a lot that's y...........
but why did he say so in the end... That u will know in the next part now....😳

continue soon...
I am posting the next part within 10 minutes SH😃

Love
Guglu

Thanks a lot for commenting Dear
Luv preet
😃😃

RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#84

Originally posted by: dazzling_glory

Update was too good Thanks a lot Dear....😊

The bond of love that everyone shares in the family is very strong and special. Event he relationship between all the couples is very nice and different from each other. Thanks for liking them dear and yes I believe that every relationship shares an unsaid bond in which the power of the relationship exists...

Mayank speaks to Sujal about the change in Kashish's behaviour. And so Sujal has decided that he will first speak with Kashish. Yes, he wants to sort out everything with Kashish

Hope that he will understand her and will try to make her the same person that she was earlier. Sujal will definitely bring his old Kashish back..😛

please continue soon

Just posting the next part dear
Thanks a lot for ur comment Nisha
Luv Preet

RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#85

Originally posted by: golu_1677

waiting for the update



Just posting it Dear..........😊
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#86

Originally posted by: bharathi29

hi sorry for late comment , i have gone for my aunts house ,the art is good ,what will sujal do now,wating for the next part



Hi Dear😊
No problem, I can understand u...
Thanks for liking the part...😳
U will know about Sujal's plan in the next update
Just posting it now...
Luv Preet😃
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#88

Part 2


All were shocked to listen no from Sujal because all of them know that how much Sujal has loved Kashish from his childhood.

Ragini moved towards him and ask him: - "Sujal, tu yeh kya keh raha hai; tu janta bhi hai iska matlab?"

Sanjeev: - "Mene tumhe foreign study ke liye bheja tha ; kyunki mujhe tum par vishwas tha ki tum kabhi badloge nahin, par aaj tumne Kashish ke saath apne rishte ke liye mana kar ke mere bharose ko hi todh diya beta; mujhe tumse yeh umeed nahin thi……"

Mayank who knew the reason behind this can't take it anymore and speak up in between: - "Maa Papa, aap pehle Bhaiya ki puri baat sun le jiye."

Sanjeev: - "Kya reason dega yeh ab? Zaroor bahar koi aur ladki pasand kar li hogi; hamari hi galti hai jo humne isse padhne ke liye foreign bheja."

Samrat: - "No Dad; Bhaiya agar aisa bol rahe hain to uske piche zaroor koi reason hoga; aapko pehle Bhaiya ki puri baat sunani chahiye." The, he moved towards Sujal and took his hand in his and say: - "Bhaiya bata di jiye inko ki aapne aisa kyun kiya?"

Sujal: - "Maa Papa; m sorry. Par mein yeh shaadi nahin kar sakta aur iska reason yeh nahin hai ki mujhe koi aur ladki pasand aa gayi hai; mere dil mein pehle bhi Kashish rehti thi aur ab bhi Kashish hi rehti hai."

Sanjeev: - "Phir tumhare is inkaar ka kya reason hai?"

Mayank: - "Khood Kashish…"

All looked at Mayank in shock and then Sujal continue: - "Ji Dad; mere is inkaar ka reason Kashish hai…."

Ragini: - "Yeh kya bol rahe ho tum Sujal?"

Sujal: - "Maa, shayad aap logon ne kabhi yeh mehsoos hi nahin kiya ki Kashish kitna badal gayi hai; pichle 4 saallon se Kashish ne kabhi koi caal, koi message, koi e-mail nahin ki; mene socha shayad wo busy hogi; par jab Mayank Mumbai shift hua to mene usse Australia se call kar ke kaha tha ki wo Kashish se baat karne ki koshish kare; par uska bhi koi fayada nahin hua. Kashish itna badal gayi hai ki in 2 sallon me usne Mayank se 3-4 baar hi baat ki hogi."

Mayank: - "Ji papa; Kashish Di ab na hi pehle jaise masti karti hai; na hi friends ke saath parties karti hai; hum sab jante hain ki Kashish di ko parties karna kitna pasand tha; 2 weeks me ek baar party to wo karti hi thi; par ab na wo kisi party me jati hai aur na hi friends se milti hai…."

Sujal: - "Aap hi bataiye papa ki mein kaise Kashish se shadi kar lun; ho sakta hai wo kisi aur se pyaar karti ho…." Saying this line, he closed his eyes as only Sujal can understand this pain; imaging Kashish in love with any other person is impossible for him but still he is doing all this only because he wants Kashish to be happy in her life; either with him or without him.

Sanjeev: - "Toh tum karna kya chahte ho?"

Sujal: - "papa, mene chahta hoon ki aap uncle se kahiye ki mein India vaapis nahin aaya hoon aur mene decide kiya hai ki mein vahiin par MBA complete kar ke vaapis aaunga."

Sanjeev: - "Aisa kyun?"

Sujal: - "Kyunki hum sab uncle kjo jante hain; agar uncle ne kuch decide kar liya to hum usse change nahin kar sakte; aur uncle Kashish ko bhi force karenge ki wo mujhse shaadi kar le."

Ragini: - "Aur tum kya karoge?"

Sujal: - "Mein Mumbai jaunga…."

Ragini: - "Kya, lekin kaise?"

Sujal: - "Maa papa, vahan kisi ne bhi mujhe nahin dekha hai; koi mujhe pehchaan nahin payega; mein vahan Kashish ke college mein admission lunga aur usse samajhne ki koshish karunga; Mein puri koshish karunga sach janane ki."

Sanjeev: - "Par usse hoga kya?"

Sujal: - "Isse mein jaan paunga ki kashish ke badlav ki vajah kya hai; aisa kya hua hai jo wo itna badal gayi hai?"

Sanjeev: - "par yeh baat to tum usse ab bhi pooch sakte ho na?"

Sujal: - "Pooch sakta hoon papa; par wo mujhe kuch nahin batayegi; kabhi kabhi insaan apna dukh kisi apne ko na bata kar ek ajnabee ko bata deta hai; kyunki usse lagta hai ki agar ek ajnabee humhe nahin samjhega to hamari feelings inti hurt nahin hongi jitni ki ek dost ke na samajhne par hongi."

Sanjeev: - "Par agar Kashish ki zindagi me koi aur hua to?"

Sujal gives a sad laugh and then say: - "To mein bas vaapis aa jaunga ek ajnabee ki tarah; jo kuch pal hamara saath to deta hai par umar bhar ke liye hamare pass apni yaadein chood jata hai."

Ragini: - "Tu kya reh payega uske bina?"

Sujal: - "Maa, usko koi zarorat nahin padegi; Kashish mere saath is ghar mein zaroor aayegi par kisi ke dabav me nahin balki apni khushi se; apni pehchan ke saath."

Sanjeev: - "Tu yeh itne yakeen ke saath kaise keh sakta hai?"

Sujal: - "Mujhe apne pyaar par bharosa hai…….."

Ragini: - "Agar tumhe itna hi bharosa hai to shaadi se inkaar kyun kar rahe ho?"

Sujal: - "Maa, kyunki mein chahta hoon ki agar meri shaadi Kashish se ho to wo uski khushi se ho na ki uncle ke force karne par…"

Ragini: - "Tumhari yeh baatein meri to samajh se bahar hain Sujal…….."

Sujal: - "Maa, aap bhethiye aur meri baat suniye…"Ragini took her seat on couch and Sujal sat on floor near her and then he continued: - "Maa, kya aap chahti hain ki Kashish ek bejaan moorti ki tarah hamare ghar mein rahe…….."

Ragini: - "nahin, mein to bas tum dono ki khushi chahti hoon…"

Sujal: - "To phir jo mein keh raha hoon, wo maan li jiye…"

No one said anything and there was complete silence in the room….All were trying to understand the situation and were trying to find a solution to this, when this silence was broken by the ring of Sanjeev's phone… It was Sushant's call.

Sanjeev: - "Haan Sushant bolo……"

Sushant: - "Mein bas pochna chahta tha ki tumne Sujal aur Kashish ki shaadi ke bare me kya decide kiya hai?"

Sanjeev: - "Decision to wohi hai yaar….Sujal aur Kashish ki shaadi zaroor hogi…" Sujal closed his eyes on hearing this, then Sanjeev continued: - "Par abhi nahin; 2 saalon baad…" Sujal's face showed an expression of relief…

Sushant: - "Lekin aisa kyun Sanjeev?"

Sanjeev: - "Wo Sujal ne India aane se inkaar kar diya; wo Australia me hi MBA karna chahta hai; issi liye humne decide kiya hai ki hum Sujal Kashish ki shaadi 2 saalon ke liye post-pone kar dete hain…"

Sushant: - "Chalo, theek hai…jaise tum logon ko theek lage…Mein phone rakhta hoon."

Sanjeev: - "Theek hai…byeee……"

Sushant cut the phone and Sujal immediately come to Sanjeev and hugged him.

Sujal: - "Thank u so much Papa….mein janta tha ki aap mujhe zaroor samjhenge."

Sanjeev smiled and say: - "Kaise na manta mein tumhari baat beta….Kashish ke liye tumhara pyaar hum sab ne dekha hai; hum sab jante hain ki Kashish ki khushi se zyada tumhare liye aur koi cheez mayne nahin rakhti; phir jab ussi Kashish ki khushi ke liye tumne koi kadam uthaya hai toh hum tumhara saath kaise na dete."

All smiled and supported Sujal in his decision; all of them left the hall.

Mayank entered in his room and suddenly, his phone rang. It was Nupur…He picked her call.

Nupur: - "Hi Mayank…."

Mayank: - "Hi Nupur, kaise ho?"

Nupur: - "Theek hoon aur tum?"

Mayank: - "M fine……..phone kaise kiya?"

Nupur: - "wo me Sujal Bhaiya se baat karni thi.."

Mayank thinks for some time and then speak up: - "Bhaiya to vaapis aaye hi nahin…"

Nupur: - "Kya? Lekin Kyun? Aur yeh kab hua? Tumne mujhe bataya kyun nahin? Mein to tumhe har choti choti baat batati hoon aur tumne mujhe itni badhi baat kyun nahin batayi? Tumne aisa kyun kiya Mayank?"

Mayank: - "Bas Nupur; itne sawal ek saath; mujhe toh tumhara adhe se zyada baatein samajh bhi nahin aayi…." He said making a confused face to which Nupur smiled.

Nupur: - "Ok baba, theek hai…par batao Bhaiya kyun nahin aaye?"

Mayank: - "Wo Bhaiya ne decide kar liya ki wo Australia me hi MBA complete karenge aur phir India aayenge."

Nupur: - "lekin aisa kyun?"

Mayank: - "Come on Nupur, tum bhi janti ho ki foreign ke college me better teaching facilities hain aur wahan unhe bahut si carrier options bhi mil jayengi…."

Nupur: - "Par hamara apne business hai phir Bhaiya ko carrier options kyun chahiye?"

Mayank cursed himself for saying all this because he very well knew that there is no end to Nupur's questions: - "For some experience yaar; acha yeh sab baatein chodo aur batao ghar par sab kaise hain?"

Nupur: - "Sab theek hain, except Di….mene socha tha ki Sujal Bhaiya aa jayenge to Di bhi unse mil kar phir pehle jaise ban jayengi; par ab?"

Mayank: - "Tum udass kyun hoti ho yaar; Di bilkul pehle jaise ho jayengi; Sujal Bhaiya hai na……"

Nupur: - "Kahan hain yaar? Wo to Australia me hain?'

Mayank suddenly corrected himself: - "Are 2 saal baad aa jayenge na phir Kashish di ko bilkul theek kar denge…"

Nupur: - "Haan wo to mein janti hoon ki Kashish di ko agar koi change kar sakta hai to wo sirf Sujal Bhaiya hi hain."

Mayank was smiling listening to her and then he came out of his world and say: - "Kuch aur bolna hai yan mein phone rakhun?"

Nupur: - "Haan bolna hai…"

Mayank: - "Toh bolo na; kyun mera time waste kar rahi ho?"

Nupur: - "Aise bol rahe ho jaise India ke prime minister ho; acha ab mera time waste mat karo aur batao ki agar Sujal Bhaiya vaapis nahin aa rahe hain to tum yahan jaldi kyun nahin aa jate?"

Mayank: - "Nahin, mein next week hi aaunga….Soch raha hoon ki mom dad ke saath rahun; vese bhi unka mood thodha off hai…"

Nupur: - "Haan, Sujal Bhaiya ke na aane se unka mood toh kharab hoga hi; par tum chinta mat karo sab theek ho jayega…"

Mayank: - "Hmmm, acha mein phone rakhta hoon; phir baat karenge…"

Nupur: - "Ok…Bbye; Take care."

Mayank: - "U 2."

Mayank cut the phone and was feeling sad: - "I am sorry Nupur, mene tumse jhooth bola; par mein bhi kya karta, agar mein tumhe sach bata deta toh Sujal Bhaiya ki sari koshish nakam ho jati. Kyunki tum kabhi koi baat chupa kar nahin rakh sakti; tum zaroor sab ko bata deti aur phir Sujal Bhaiya Kashish di ko kabhi vaapis na la pate…M sorry Nupur; please mujhe maaf kar dena."

On the other side; Nupur: - "Mein samajh sakti hoon Mayank, tumhe kitna bura lag raha hoga, tum sab se close Sujal Bhaiya ke ho aur ab wo nahin aa rahe hain o tum bahut udaas hoge; par dekhna jab tum vaapis aaoge na to mein tumhe udaas hone ka koi bhi mauka nahin dungi…Hamesha tumhe hasati rakhungi."

Then, she came out of her room and moved towards Gunjan's room. She opened the door and found her sitting alone in a corner.

Nupur: - "Tum yahan aise udaas kyun bhethi ho?"

Gunjan: - "Kuch nahin di, bas thodha thak gayi thi; isliye rest kar rahi thi." Then she tok a pause and again say: - "Di, aapne phir knock nahin kiya na?"

Nupur make a puppy face on this: - "Sorry yaar; par mein kya karun? Mujhse yeh knock wock nahin hota; aur vaise bhi tere room mein hi aayi hoon; kisi aur ke room mein nahi aayi mein…"

Gunjan: - "Di, phir bhi….aap knock karne ki aadat dhal li jiye…"

Nupur: - "Ok…Dadi Maa." She said joining her hands in front of gunjan.

Gunjan: - "Vaise aap yahan kyun aayi thi?"

Nupur: - "Mein to bas tujhse pochne aayi thi ki tunhe ab kya decide kiya hai?"

Gunjan: - "Mene kabhi kuch decide kiya hai aaj tak di? Hamesha papa ne hi hamare sab decisions liye hain?"

Nupur: - "Gunjan, tum yeh kya bol rahi ho?"

Gunjan: - "Kya galat bola hai Di…. Mene aaj tak wohi kiya hai jo papa ne kaha; aaj tak unhone kabhi meri marjhi to pochi hi nahin na…"

Nupur: - "Tum to janti ho na papa ko; unka business unki reputation hi unke liye sab hai; aur iske liye wo kabhi kisi ki baat nahin sunte…"

Gunjan: - "jaanti hoon Di.."

Nupur: - "phir ab kya karogi?"

Gunjan: - "Mene Samrat se poocha tha; usne kaha hai ki mein aapke aur Di ke college me hi admission le lun; baki baat wo baad me batayega; wo ssujal bhaiya aa rahe hai na…" She said with a smile.

Nupur: - "Nahin, Sujal Bhaiya nahin aa rahe…"

Gunjan: - "Kyun, kya hua?"

Nupur: - "Wo Sujal Bhaiya ne decide kiya hai ki wo Australia me hi MBA karenge aur phir uske baad vaapis aayenge."

Gunjan's smile faded: - "Oh no, Me to bahut khush thi ki Sujal Bhaiya aa rahe hain; 12 saal ho gaye humhe Bhaiya ko dekha nahin…wo kabhi yahan nahin aaye aur na hi hum vahan gaye…."

Nupur: - "Haan, wo baat toh hai…."

Gunjan: - "Kya hua Di, ap kyun udaas ho?"

Nupur: - "Bas Kashish DI ke bare me soch rahi thi…"

Before Gunjan can say anything, a voice is heard from behind: - "Mere bare me kya soch rahe the?" Gunjan and Nupur turned to see Kashish standing there looking gorgeous as always in a pink salwar kameez.

Nupur: - "Are Di…aap kab aayi?"

Kashish: - "Jab tum dono mere bare me baat kar rahi thi…"

Gunjan: - "Kaisa raha aapka din?"

Kashish: - "Theek tha…Tum dono kya baat kar rahe the?"

Nupur: - "Wo Di…aapko pata hai Gunjan ab hamare college me admission le rahi hai…"

Gunjan: - "Ji Di."

Kashish: - "I am sorry Gunjan, mein papa ko nahin mana payi; mein janti hoon ki tum singer banana chahti thi aur singing toh tumhara passion thi; par papa k eek inkaar ki vajah se tumhare sapna tut gaya."

Gunjan: - "It's ok di…..apke aur di ke saath bhi to aisa hi hua tha na; aap bhi to fashion designer banana chahti thi."

Kashish with a sad smile: - "Mene apna dream khud todha hai Gunjan aur mujhe us ke liye koi bhi pachtava nahin hai; me apni nayi zindagi se bahit khush hoon. Bas chinta hai to tumhari, ki kahiin dad ki vajah se tumhe apne future se compromise na karna padhe."

Saying this, she left the room and run to terrace. Here, Mayank and Gunjan were not able to understand the change in her mood. Kashish was constantly looking into the sky. It seemed as she was searching for something. And to some how she was. She was searching for a place where she can get rid of her past; a place where only love and trust should exist; a place where there is no sign of hate. She knew that there is no place like this in this world but still she wants to go there. She was lost in her thoughts; when someone called her.

Voice: - "Kashish…tum yahan kya kar rahi ho?"

She turned to look at the person and it's none other Armaan; who was standing by her side with his big smile.

Kashish: - "Kuch nahin Armaan; bas kholi hawa me saans lene ka man kar raha tha; to yahan chali aayi."

Armaan: - "Khuli hawa me saans lena chahti thi yan phir apne aap se chupna chahti thi?" He said with a lot of concern in his voice.

Kashish: - "Nahin, aisa kuch nahin hai; tum batao tum yahan kya kar rahe ho?" She said as she wants to change the topic.

Armaan: - "Kuch nahin; bas tumhe yahan dekha to chala aaya."

Kashish smiled and say: - "Tum jante ho Gunjan bhi ab hamare college me admission le rahi hai.."

Armaan: - "Good, Good…Matlab is ghar me ek aur sapna tut gaya."

Kashish: - "Wo to is ghar me shoro se hota aa raha hai; kuch naya hai kya?"

Armaan: - "Nahin, par isse rokna bhi to zaruri hai na?"

Kashish: - "Isse koi rok sakta hai to wo bas Sanjeev uncle hain."

Armaan: - "Toh tum unse baat kyun nahin karti? Kya tumhe un par bharosa nahin hai?"

Kashish: - "Nahin kar sakti Armaan, uncle pe mujhe pura bharisa hai ki wo meri baat zaroor samjhenge aur manenge bhi."

Armaan: - "phir tum baat kyun nahin karti?"

Kashish: - "Agar mene Uncle se baat ki toh mera contact Sujal se bhi hoga aur wo mein nahin chahti."

Armaan: - "Kyun Kashish; Sujal to tumhara best friend tha na?" He asked with a little confusion.

Kashish: - "Tha nahin hai aur hamesha rahega bhi; Sujal ne mera saath bahut diya par achanak usse contact hona hi band ho gaya."

Armaan: - " par kaise?"

Kashish: - "4 Saal pehle, jo kuch bhi hua; uske baad mene achanak se sab se contact todh diya aur ussi beech Sujal Australia chala gaya aur uske baad kabhi usse contact hi nahin hua."

Armaan: - "Tumne kabhi koshish kyun nahin ki?"

Kashish: - "Bas kabhi himaat hi nahin hui; Koshish bahut ki; Mayank yahan tha to usse bhi pochna chaha par pata nahin ek anjana sa dar hamesha kadam rok leta tha."

Armaan: - "Tum Sujal se pyaar karti ho na?" Armaan asked suddenly.

Kashish: - "Nahin; pyaar nahin sirf dosti hai." Kashish said confidently. But her eyes didn't reflect the same thing which is noticed by Armaan.

Armaan: - "Tumhe tumhara best friend vaapis zaroor milega." He said to Kashish and then himself: - "par aapke pyaar ke roop mein." And smiled mischievously.

Kashish noticed that and say: - "Aise has kyun rahe ho?"

Armaan: - "Kuch nahin; chaliye neeche chalte hain; dinner ka time ho gaya hai." Kashish nodded and then both of them left from there.

On the other side, Sujal was sitting silently in his room; when there is a knock; He opened the door and found Riddhima standing there.

Sujal: - "Riddhima, tum is waqt?"

Riddhima: - "Ji Bhaiya; wo aapse kuch baat karni thi." She said with a little hesitance in her voice.

Sujal: - "Aao…Andar aao."

Riddhima came in and stand near the bed.

Sujal: - "Haan bolo."

Riddhima: - "Wo bhaiya..wo"

Sujal: - "Itna ghabra kyun rahi ho, jo bolna hai bolo na."

Riddhima: - "wo mujhe Kashish ke bare me baat karni hai aapse…"

Sujal: - "Kashish ke bare me kya?" He said with a confused face.

Riddhima: - "Bhaiya, aapko kya lagta hai ki aapne jo decision liya hai; wo theek hai kya?"

Sujal: - "Sach kahun; to mein bhi nahin janta ki mera yeh decision theek hai yan nahin; par phir bhi mene yeh decision liya; apni khushi ke liye."

Riddhima: - "Is mein aapki khushi kahan hai Bhaiya?"

Sujal: - "Meri khushi hi to hai na rids; tum khud socho…din me 9 ghante Kashish mere samne rahegi; usse achi baat koi ho sakti hai kya?" He said laughing.

Riddhima: - "Kya Bhaiya itni serious baat me bhi aapko mazak soojh raha hai?" She said making an angry face.

Sujal: - "Dekho Rids, agar hum udaas rahenge; khush nahin honge; apni life enjoy nahin krenge to kya hamari sab problems khatam ho jayenge.Batao mujhe?" Riddhima said no and then Sujal continued: - "Nahin na, issi liye mein kehta hoon ki apni problems ko has kar face karo; samjhi tum?"

Riddhima: - "Aap itne cool kaise reh sakte ho Bhaiya?"

Sujal: - "Kyunki me Sujal hun; Riddhima nahin."

Riddhima: - "Kya matlab hai aapka; ki mein aapko bahut tang karti hoon?"

Sujal: - "Nahin, mera matlab hai ki tum tensions bahut leti ho; khush raha karo; samjhi?" He asked her and Riddhima nodded.

Riddhima: - "Bhaiya aap bahut ache ho aur dekhna aapko aapka pyaar; aapki Kashish zaroor milegi." She said to him.

Sujal: - "Yeh to waqt hi batayega." He said with a smile.

Riddhima thought to herself: - "Jis waqt ne aapko Kashish se alag kiya hai na; wohi waqt aapko aapki Kashish ke kareeb le kar aayega Bhaiya aur is me mein unki poori help karungi." She came out of her world with Sujal's voice.

Sujal: - "Kahan kho gayi tum?"

Riddhima: - "Kahiin nahin Bhaiya; bas soch rahi thi ki aapki vajah se pyaar par mera vishwas aur badh gaya hai."

Sujal smiled and then say: - "Achi baat hai na; chal ab chal kar dinner karte hain." Riddhima nodded and then they left the room.

Edited by preet09 - 15 years ago
RadhaKrishan thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#89
Hi Friends...
Here is the next part of Aazma'ash....
This update is dedicated to all my friends...who have always supported me
Thank u so much guys...

Regarding the update: -
I know its a short one but Right now m very busy so posted a small part only; to share my happiness with u all.
The next part will be posted on next Sunday and I promise, It will be a big Update....

Till then, Take Care
Luv Preet
Edited by preet09 - 15 years ago
pinky901 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago
#90
nice part dear
luv sujal's idea.
can't wait for s-k meeting!!!!
pls cont soon
Happy Birthday Dear!!!

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: dellzcreationz

9 months ago

In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2) In Your Memories Book 1 (Last Chap Pg 12+ Imp Note Bk 2)

Siggi by Sandhya (@sevenstreaks) (P.S this was my pitching picture to the production houses - which Sandy had done for me a couple of years...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

3 years ago

Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 971 page 155

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

10 months ago

PreRish FF ~ Purity Of Souls (ch 6 - page 5)

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: SillySoni

2 years ago

Sarang | AarYa FF - Chapter 28 page 24 - 27/1/25 Sarang | AarYa FF - Chapter 28 page 24 - 27/1/25

Hi guys, thanks for loving Dolent!! Here is my new story. As the title suggests this ff is about love and affection 💖 Soon I'll post the first...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".