HumraahI-Rajeev-Aamna FF-Triple Update-Page-147!! - Page 19

Created

Last reply

Replies

1k

Views

113.4k

Users

53

Likes

1.1k

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Hiiii Guys….How are all of you doing.. guys I'am so sorry that I have been away for such a long time….. I was caught up in my personal life… & I did not even have breathing time itni busy hogayi thi mai… first it was my sister's wedding, had to over look all the preparations… then my elder sister had come down from the US for the wedding & I was spending my time with her.. once she left on the 1st of September, I thought I would start writing the update, but I fell sick.. had slight fever, cold & cough & finally when my health was better my two year old niece had come to my place to stay & I was spending whole of my time with the kid…. So thus the update got further delayed.. I'am very sorry once again.. I hope all of you understand…. & guys I hope your spent your Eid & Ganesh Chahturthi in high spirits… anyway belated Eid Mubarak & Happy Ganesh Chaturthi to all of you…. I promise you that this time the flow of the updates would not be delayed.. I'll try & make it as quick as possible… & I'll try & give you updates at regular intervals…. I hope that you guys have not lost interest in the fanfic….. please do tell me if you are not happy with the way the fanfic is shaping up, I'll try & improve as much as I can…. After the third part the story will slowly move towards a flashback, which will clear many things for you guys…. Thank you all so much for being so patient & putting up with the long wait for the fanfic…. I assure you that this will not happen again…. Thanks once again…. Ab baatein kum karthi hoon aur kaam shuru karthi hoon…. Let us move towards the 3rd part of the fanfic 'HumraahI' lekin agge badhne se pehle ek nazar recap par.. chaliye dekhthe hai kii 'HumraahI' part 2 mein aakhir kya hua tha…….

Recap:- well pichle part mein kya hua tha, yeh tho mujhe bhi kuch zyada yaad nahii hai, kyunke itne dino ke baad joh update karr rahii hoon…. Anyway agar dimaak par zor daalthi hoon tho kuch kuch tho zaroor yaad aa raha hai.. tho chaliye ussi kuch, kuch ka zikr kar dethi hoon…. Tho pichle part mein humne yeh dekha kii seher kii zindagi kaisi hai… humne seher ke rishton kii ek jhalak dekhi… humne yeh dekha kii seher ka apne apno ke saath kaise relations hai….. we met veena, prerna, anurag, sneha, muskaan, maan & seher in the previous part… & we also saw that the bond between these people is very special.. they are a close knit family.. lekin ek family hone ke bawajood bhi unke zindagi mein kahiin na kahiin kuch tho kami hai.. everyone misses the presense of one person in their life, lekin koi bhi is baat ko apne zubaan thak nahii le aatha.. we also saw that seher has some sort of depression.. she has sleeping disorder & because of this she is dependent on medicines for sleep… it is something related to her past which is affecting her so much… this was how her life was…. Seher in the previous part also thinks about her past she has memories of agni with her in the childhood.. everything around seher seems to affect her.. but her family is standing by her side & supporting her in the toughest times… seher's family are the garewals who have stood by her side & have been strong pillar of support in the past six years…. Seher has a family, she is happy, she has a life but come what may something is missing in her life.. she knows it & also the people around her are aware of this fact.. but there is nothing much anyone could do about this.. yes in the previous part we also saw that maan & muskaan are a couple & except seher no one is aware of this fact…. Maan is seher's closest friend… seher works with maan.. seher maano jaise zindagi se root gayi hai.. woh bas jeene ke liye jee rahii hai.. kudh ke liye joh jeene kii koi khwaish nahii bachchi hai usmein, bas apno ke liye muskurathi hai aur jeeye jaa rahii hai… yeh thi seher kii zindagi…. Uski zindagi bas katt rahii hai….
So this was what happened in the previous part of the fanfic, chaliye abhi agge badhthe hai towards the third part of HumraahI & we will see how & where the story goes from the present state.. but ya guys let me give all of you a hint, the coming up parts will reveal loads of secrets & it will also show the actual ,pain which agni & seher are going through…. Just be ready for that.. now let us move towards the 3rd part of "HumraahI", hope all of you will like it & hope that it is worth the long wait, I have put you guys through for the update of the fanfic……..


****HumraahI – Part 3 ****

Zindagi bhi badi ajeeb hothi hai….. har kissi ke zindagi mein koi na koi cheez kii kami hothi hii hai.. zindagi mein sabko sab kuch nahii miltha… kehthe hai kuch pane ke liye kuch khona padtha hai…. Aur shayad zindagi ka osool hii yahii hai…. Agar koi kissi cheez ko chahtha hai tho usse pane ke rasthe mein, us shaqs ko kayi qurbaaniyaan deni padthi hai…. Agar zindagi mein sab kuch aasani se mil jaye tho zindagi zindagi nahii kehlaathi…. Zindagi hai tho usmein thode khushi thode ghum hone lazmi hai…. Harr cheez agar bas chahne se mil jaaye tho zindagi mein kuch bhi pane kii khushi nahii hothi.. sachchi khushi tab hasil hothi hai jab hum woh paa lethe hai joh humare sabse khaas hai…. Zindagi se is khushi se badhkar maano jaise kuch bhi nahii hotha… kabhi kabhi tho zindagi bhi us khushi ke saamne kuch nahii hothi…. Yeh hai zindagi… lekin do aise log joh zindagi jeena jaanthe the aaj wohii dono is zindagi se maano jaise roote hue hai…. Seher aur Agni do aise log joh bachpann se apni zindagi khulkarr jeete the, aaj unki zindagi mein koi asli khushi nahii hai… woh dono hii apno ke liye jee rahe hai.. maano jaise woh khud ke liye jeena bhool gaye hai… unka ateet unke khulkar jeene nahii detha.. aur na unhe muskurane detha hai.. che saal se yeh hai agni aur seher kii zindagi… unki zindagi aaj aisi kyun hai yeh tho kudh woh dono bhii nahii jaanthe hai.. woh dono bas itna hii jaanthe the kii jab thak saans chalegi unhe is jeevan ko jeena hai… unhe zindagi se koi umeed nahii hai…. Zindagi se tho unhe koi shikwa gila bhi nahii hai… bas unke liye unka jeevan ek formality hai jahaan woh dono hii apne apno ke liye, apne gharwaalon ke liye chehre par muskaan rakhe hue agge badh rahe hai… woh dono hii jeene kii aas kho chuke hai… chahe woh dono ek dusare se milon durr kyun na ho, lekin unke zindagi mein koi antar nahii tha.. woh dono hii bheed mein rehkar bhi tanhayi kii zindagi beeta rahe hai.. unhe dekhkar maano aisa lagtha hai kii woh dono bheed meinm kahiin kho jaana chahthe hai.. woh duniyaan kii bhaag daud mein kahiin chup jaana chahthe hai…. Apne ghum ko, apne dard ko, apne takleef ko khud ke andar hii dafna dena chahthe hai… seher aur agni do aise naam joh ek dusare se bohat alag hai.. woh do aise log hai joh ek dusare se behad alag hai.. lekin iske bawajood bhi unke jeene mein koi antar (difference) nahii hai… woh dono zindagi se koi umeed nahii rakhthe hai… zindagi ne unko ek aise modh parr laakar khada kar diya jahaan se unhe koi aas ya koi umeed nahii…. Na khud se koi umeed hai unhe na apno se…. lekin kaun jaane zindagi ab agge kaunsa modh legi… kisse patah seher aur agni ke kismat mein kya likha hai… kya patah shayad ab che saal baad kismat koi chamatkaar kar de aur seher aur agni kii zindagi mein umeed hii kiran dubara jaga de.. shayad ab jaakar agni aur seher khulkar muskurana.. khulkar jeena seekh le… kuch bhi ho saktha hai, ajeeb hai zindagi kab kaunsi raah chun le, kab apni manzil ka rukh badal de koi kuch bhi nahii keh saktha…. Aur shayad issi wajah se kehthe hai life is unpredictable….

We See That It Is The 'Utpal Villa' in Dekhi.. It is calm & quiet as always… the birds are chirping on the trees, it is early morning & a thick layer of fog is surrounding all the area…. As we go inside the house no one is there as it is just the wee hours of morning…. As we go to the third floor of the house, a kind of restlessness in the air…. As we enter agni's room we can see that agni is not in the bed sleeping peacefully, but rather he is standing by the window pane, staring out of the window trying to look through the mist & fog that is surrounding the atmosphere.. agni is lost in his own thoughts, it seems like he is trying to get answers for the questions which he has in his heart…. Agni keeps looking at the fog & from time to time to tries to move the fog away, but every single time agni tries to do that, a thick layer of fog again arises & he is unable to get a clear view… agni keeps trying this again & again…. Finally he folds his hands & observes the fog moving away slowly & the sun rising… agni just stares at the sun coming up, he sighs & slowly starts talking:- che saal beet gaye hai lekin aaj bhi zindagi mein kuch bhi nahii badla… meri zindagi aaj bhi wahii hai jahaan aaj se che saal pehle meri zindagi choot gayi thi…. Aisa lagtha hai maano jaise meri zindagi che saal pehle rukh si gayi thi, ab bas meri yeh saansein chal rahii hai…. Mujhe nahii patah kii kya kabhi meri zindagi mein phir se khushiyaan aayengi ya nahii, lekin itna zaroor jaantha hoon joh hua achcha hua… shayad mere naseeb mein yahii likha tha.. shayad main Agni Vashist Garewal, pyaar ke laayak hoon hii nahii…. Shayad meri zindagi mein kabhi pyaar shabd ke liye koi jagah hii nahii…. [he smiles sarcastically & says] pyaar…. Mere liye pyaar tho bas ek dhoka hai, ek dhikawa hai… mere pyaar kii qadar kabhi kissi ne nahii kii.. jab mujhe pyaar hua maine sachche dil se pyaar kiya.. lekin mera pyaar hii jab mera na raha tho main kya karr saktha hoon… mujhe mohabbat hui, lekin jisse mujhe mohabbat hui wohi mujhe beech raah mein chodkar chala gaya.. meri mohabbat ne mujhe nahii samjha tho main kissi aur se kya umeed rakh sakthi hoon.. yeh pyaar, mohabbat sab mere liye tho bani hii nahii hai…. May be I'am not fit for love… shayad main pyaar deserve hii nahii kartha.. lekin joh bhi ho main aaj jaisa bhi hoon khush hoon…. Ab yahii meri zindagi hai… mere dost, mera kaam bas issi ke liye jeer aha hoon… ek waqt tha jab main apne pyaar ke liye jeena chahtha tha lekin aaj na woh pyaar hai aur na hii woh jeene kii aas…. Sab log apni zindagi mein agge badh chuke hai, main bhi badh chukka hoon, lekin phir bhi na jaane kyun mujhe dard hotha hai, takleef hothi hai… aaj bhi jab sochtha hoon kii meri zindagi kaisi hothi agar tum yahaan hothi tho mere dil ko yeh ehsaas hotha hai kii tum mere saath nahii ho… tumne che saal pehle apni raah chuni… aur mujhse durr chali gayi…. Che saal beet gaye iske bawajood bhi na jaane mere dil mein aaj bhi dard kyun hotha hai jab main tumhare bare mein sochtha hoon… sochtha tha kii waqt ke saath harr zakhm bhar jaayega, lekin aaj bhi mere zakhm ke ghaav taaza hai… patah nahii kyun par main khud ko samjha hii nahii patah kii tum ab meri zindagi ka hissa nahii ho… jab bhi sochtha hoon main tumhe apne saath paatha hoon…. Tumse alag hokar bhi main khudko tumse juda hua mehsoos kartha hoon… main nahii jaantha is ehsaas ka nam kya hai…. Ek waqt tha jab main is ehsaas ko pyaar kehtha tha lekin aaj main jaantha hoon kii pyaar kabhi kissi ek ke jazbaat se nahii hotha.. pyaar tho do logon ke dil milne ka prateek hotha hai, aur humare dil tho kabhi nahii mil paaye.. haan shayad mere in ehsaason ko main one sided love ka naam de saktha hoon, because it has always been one sided isn't it…. tum tho apni zindagi mein agge badh gayi aur tumne mujhe aur mere pyaar ko chod diya…. Shayad yahii theek hai, tumhare liye, mere liye aur hum sabke liye.. tho kya hua kii agar aaj tumhare na hone se main adhura hoon, tho kya hua agar mere pariwaar waale mujhse durr hai, tho kya hua agar mera pyaar kabhi poora na hua tho.. mere liye tho bas itna hii kaafi hai kii tum apni zindagi khushi khushi jee rahii ho… mere liye tumhari khushi, tumhari hasi se badhkarr kuch bhi nahii haii… che saal pehle jab main tumse alag hua tha tab main is baat ko saabit karr chukka hoon kii tumse badhkar mere liye kuch bhi nahii hai, yahaan thak kii main bhii nahii…. Tho phir aaj kyun mere dil mein ek ajeeb si chuban hai… why do I have this pain in my heart.. why do I feel I'am incomplete without you.. why do I feel that I'am incompetent… bachpann se hamesha jab bhi mujhe himmat kii zaroorat hothi tho tum hamesha mera saath dethi, mujhse aakar kehthi kii kuch bhi namumkin nahii hai.. bhale hii hum kabhi dost na the lekin phir bhi tum bachpann mein hamesha mujhe support karthi thi, mere saath hamesha rehthi thi….che saal beet gaye aur ab mujhe aisa lagne laga hai kii I'am not worth it…. woh kya hai na agar tum hothi tho tum mere pass aake mera haath pakadthi aur kehthi kii main kitna worth it…… lekin tum nahii ho…. Aur aaj tum kahaan ho, kaisi ho yeh baat maine kabhi jaanne kii bhi koshish nahii kii… shayad aaj tum apne pyaar ke saath khush hogi…. Shayad tumhe tho aaj ka din yaad bhi nahii hoga… yaad bhi kyun ho bhala, tumne thodi na mujhse pyaar kiya tha.. pyaar tho maine tumse kiya tha… tum mere pehla aur akhri pyaar ho… & it will always be one sided love… kyunke tumhare dil ne tho kissi aue ko chaha hai na…. main tumse pyaar karun ya na karun isse koi farq nahii padtha kyunke pyaar mein pehle apne pyaar kii chahat ko poora karna hotha hai.. & that is exactly what I did six years back.. I let you go away from me…. Maine khudko tumhari khushi ke liye tumse alag kar liya & I'am sure you would have forgotten my existence in your life.. this was day I ended my life & gave you a new life.. I let you free for your new life.. but my life has come to a stand still, it still remains at the place where you let me & I think I can never overcome the grief of this day.. because I feel my one sided love is more than enough for me to lead a lifetime with your memories…. Bitter or sweet, memories are only mine & they will always be mine, no one can ever change that…. Nor you neither me….. may be I deserve a life which has to go on the similar manner all the way through… now I think I should get adjusted to this & live with it, moving on, is impossible, if I have to move on may be I'll have to take another birth… is janam mein tumse judi yaadon ko khud se alag karna tho namumkin hai… aisa kabhi nahii hoga.. tum mera pehla aur aakhri pyaar rahogi, koi bhi is sach ko nahii badal saktha… tum chahe mujhse kitni hii durr kyun na raho lekin tumhari yaadein mere dil ke ek kone mein ghar karr gayi hai aur woh yaadein hamesha hamesha ke liye mere dil ke sabse zyada kareeb rahengi…. Tum mujhse durr kyun na ho lekin aaj bhi tum mere liye khaas ho, main chahun bhi tho tumhe bhula nahii saktha.. ab kya karun dil hai kii maantha hii nahii…. Kitni ajeeb baat hai ek waqt tha zindagi mein jab main pyaar par hastha tha, pyaar jaise jazbaat ko kitaabi baatein samajtha tha, lekin jab mujhe pyaar hua tho meri haalat tho woh kitaabon ke hero's se bhi bhattar hua hai… aisa kabhi hoga maine tho socha bhi nahii tha… par ab tho pyaar ho hii gaya hai ab main karr bhi kya saktha hoon, I should just learn to live with it…. yeh baat kehne mein kitna aasan lagtha hai learn to live with it, but sach keh raha hoon it is so difficult to practice it…. kya karein dil ke maamle mein hum kuch karr bhi nahii sakthe.. yeh dil itna ziddi hai kii kissi ki bhi ek bhi baat sunntha hii nahii…. Tum maano ya na maano lekin meri zindagi tumse hii thi, tumse hii hai aur tumse hii rahegi.. hamesha hamesha ke liye… is janam ke liye hii nahii balki mere harr us janam ke liye joh main is dharthi par lene waala hoon… yeh mera waada hai tumse, yeh mera waada hai kudh se, yeh mera waada hai us kudrat se jisne humne naseeb ke khel mein milwaya aur bhi ussi naseeb ke chalthe hum eek dusare se juda karr diya.. aur tum tho jaanthi ho na main kabhi apne wade nahii thodtha… tumse kiya hua waada na main pehle kabhi thoda na ab thodunga… I promise you that.. agar tumhe mujh par yakeen nahii hai tho theek hai lekin tumhe mere pyaar par tho yakeen hai na, aur mere pyaar ke liye harr woh cheez main karne ke liye taiyaar hoon joh aam log karne se jhijhak the hai…. Aisa hai mera pyaar.. tho kya hua agar mera pyaar one sided hai tho, phir bhi mere liye mere pyaar se azeez (special) aur kuch bhi nahii, yeh saansein bhi nahii. Yeh saansein joh chal rahii hai woh bas issi liye chal rahii hai kyunke main ek din tumhe tumhari zindagi mein agge badhkar dekhna chahtha hoon.. main dekhna chahtha hoon kii tum agge badhkar apni zindagi mein kitni khush ho….. kitni ajeeb baat hai na do pyaar karne waale log apne pyaar kii anniversary manathe hai… log apni shaadi kii anniversary celebrate karthe hai…. Lekin aaj mujhe dekho main hum dono kea lag hone ka din celebrate karr raha hoon… aur main is din ko zindagi bhar celebrate karunga… agar koi yeh baat jaanega tho woh sochega kii main kahiin pagal nahii hoon kyunke main tumse alag hone ka din celebrate karr raha hoon, lekin unhe yeh nahii patah hoga kii bhale hii aaj ke din main tumse alag hua hoon lekin maine tumhe tumhari khushi de dii, maine aaj hii ke din che saal pehle tumhe azaad kiya tha…. Aur tumhari khushi ko main celebrate karna chahtha hoon. Bhale hii main kitna hii dukhi kyun na hoon, lekin tumhari muskurahat ke liye maine joh kiya woh sahii kiya… shayad humari kismat ne humara saath bas aaj se che saal pehle tak hii likha tha.. bachpann se lekar saath the, lekin saath chuta, rishthe bhi toote, lekin aaj bhi woh ehsaas zinda hai aur hamesha ke liye zinda rahenge.. main nahii jaantha kii zindagi agge chalkar mujhe kaunsa rang dikhayegi, yeh baat main che saal pehle bhi nahii jaantha tha, aaj bhi kuch nahii badla, sab kismat ke haath hai….. lekin haan main itna zaroor jaantha hoon kii meri zindfagi mein tumse ahem aur kuch bhi nahii hai…. Happy separation day to my one sided love… happy separation day Seher, aaj ke din tumhari aur meri raahein kabhi na milne ke liye alag hogayi thi, aur yeh raahein kabhi nahii mil sakthi, kyunke meri kismat itni bhi achchi ho nahii sakthi…. Separation day, seher aaj ke din maine tumhe talaaq ke kagaz diye the, tumse kaha tha kii tum mere liye koi mayine nahii rakhthi, maine tumse kaha tha kii tum meri zindagi mein ek bhoj ho, ek obligation… main jaantha hoon seher meri unhi baaton ke wajah se tumhe bohat takleef pohanchi hogi, lekin joh baat tum nahii jaanthi woh yeh kii, jitni takleef tumhe hui thi mujhse woh saari baatein sunne mein usse kayi zyada takleef mujhe hui thi seher tumse woh saari baatein kehne main, main aaj bhi kudh ko maaf nahii karr paatha hoon aur issi liye shayad main tumse aur tumhari yaadon se durr bhaagne kii koshish kartha hoon.. seher iska matlab yeh nahii kii mera pyaar tumhare liye kum hogaya hai, aisa kabhi nahii hoga seher, bas main tumhare bare mein sochkar apni takleef badhana nahii chahtha, kyunke main jaantha hoon kii agar main takleef mein hoon tho directly ya phir indirectly takleef tho tumhe bhi hothi hai aur seher main tumhe koi takleef nahii pohanchana chahtha hoon…. Maine tumse joh kaha woh isliye kaha kyunke main chahtha tha kii tum apne pyaar ka haath thaam lo…. Aaj thak main kabhi bhi mumma se, dii se yeh baat nahii pooch paaya hoon kii tum kahaan ho, kaisi ho, mujhe aisa lagtha hai kii agar main unse pooch letha hoon tho mujhe takleef hogi, aur agar main takleef mein hoon tho tumhe takleef hogi aur issi liye main chup hoon… seher tum jaanthi ho main nahii chahtha tha kii mere pariwaar waalon ke nazar mein tumhari izzat kum hojaye, tho bas maine khudko gira liya unke saamne… tumhara atma sammaan mere liye bohat ahem hai seher shayad mere sammaan se kayi gunahh zyada….. seher kitni ajeeb baat hai na aaj tum mere pass nahii ho, hume alag hokar che saal hogaye hai lekin iske bawajood bhi tumhari harr yaad mere dil mein tazaa hai, maano jaise bas kal hii ki baat hai jab humari shaadi hui thi aur hum dheere dheere dost bannne lage the aur mujhe tumse pyaar hone laga tha, saari yaadein mere dil mein zinda hai aur shayad mere marrne ke baad bhi yeh yaadein mere saath rahengi, yeh yaadein hii tho hai joh mujhe jeene kii taaqat dethi hai… seher your memories keep me going….. though you are not with me like my driving force like always, but your memories act like my driving force & keep me going, never let me stop.. I have sweet & bitter memories with you seher, though you are not mine, nor will be mine, but your memories are mine & only mine forever & ever & no one can change that, because I would not allow that… I would never let anyone invade my space of your memories, they belong solely to me.. 'Happy Seperation Day Seher'….. agni closes his eyes & he gets images of his past…. He starts thinking about his childhood time with seher…… we can see that a ten year old boy is playing around with his bicycle, a girl who seems to be a year younger to him is watching him cycling… the boy stops his cycle, while the young girl comes to him & says:- vashuuu… kya tum mujhe apni cycle pe ride le jaaoge…. The boy makes a very irritated face & says:- how many times do I have to tell you my name is agni, & not vashuu.. stop calling me that…. I don't like it….
The girl shows her toothy smile to agni & says:- butt I like your name to be vashuu, it is so nice…. Everyone calls you agni, I call you vashuu because I'am different…..
Agni:- ya right you are different, why not, yes you are different… have you seen yourself in the mirror seher, you & your sister have no similarities you are different yes because you are chashmish, golo molu…. I don't understand how come you are a part of the gujral household… I think avinash uncle is right you are not a part of the house & that is why no one loves you….
Seher:- but vashuuu you love me…… veena aunty, prerna dii, chetan uncle, muski love me…..
Agni:- no, no one loves you…. I don't love you nor does my family… mom, dad, dii, muski are my family, just stay away from them, they only love me…. & stop calling me vashu, I hate that name & I hate you…….
Seher has tears in her eyes, agni sees that, he makes a face at seher & he is about to go away from there when seher pushes agni down, agni gets hurt that is when rewa comes there, rewa seher's elder sister who is ten months elder to her, she is the bully along with agni… she comes to agni's rescue & then later complains to her dad that she pushed agni down on the road, avinash gujral who had no attachment to his second daughter slaps his nine year old daughter across her face… agni who was there at that time did not like it one bit but as a young child he could do anything neither could he understand most of the things which were happening…. Later seher is in her room crying, agni walks to her room… as soon as seher sees agni she tells him to go away & leave her alone.. agni who is not used to people shutting him out, gets angry at seher & he puts a whole bottle of water on seher's head, laughs at her condition & walks out when he hears rewa calling him to play… this leaves seher in more tears…. This was how she was used to being treated, she was ok with it & never complained but still she could not stop her tears from flowing out of her tiny eyes… agni never understood why it hurt him to see seher's tears when he was young, but today he understands it.. but it is too late for any realization that's what agni thought….
Agni comes out of his past thoughts, he says:- kitni ajeeb zindagi hai.. zindagi kab badal jaaye keh bhii nahii sakthe.. bachpann mein jab seher mere saath rehna chahthi thi tab maine usse khudse durr kiya aur aaj jab main chahtha hoon kii tum mere saath chalo, is zindagi ke safar mein meri humraahi banno tho zindagi ne apne khel khele aur tumhe mujhse durr le chala gaya…. Seher tumne mujhse kaha tha na kii tum hamesha mere saath rahogi tho phir tum mujhse durr kyun chali gayi seher.. kyun….. agni ke aankhon mein halki si name aa jaathi hai… he wipes them & says, ab in aasooyon mein bhi tumhari yaadrin basthi hai… aasoo bahane se log jhikhak the hai, lekin main nahii jhijhaktha kyunke in aasooyon se mujhe aisa lagtha hai kii tum mere kareeb ho.. ehsaas mein hii sahii lekin tum mere kareeb ho, mere dil ke sabse kareeb… agni goes back to thinking about his past once again…. This time we see a 17 year old boy, agni sitting in his room, staring at space & nothing inparticular.. he is in white, he has a lot look on his face, when slowly seher a 16 year old girl enters his room, the chubby girl is very upset seeing agni sad…. She does not say anything, she comes inside walks to agni & just sits beside agni…. Agni knows that seher is sitting beside him but he does not react…. Seher observes agni for a while & then slowly she takes agni's hand which is place on his knees she entwines her fingers with agni's fingers in a tight grip.. agni feels the grip & then he in a very low voice says:- golu molu papa mujhe chodkar chale gaye….. unhone yeh bhi nahii socha kii main kitna akela ho jaaunga.. woh mujhe chodkar chale gaye hai…. Tum kyun yahaan aayi ho…. Tum bhi jao yahaan se…. mujhe tumhari zaroorat nahii hai… mujhe kissi ki zaroorat nahii hai.. main akela hii theek hoon.. papa mujhe chodkar chale gaye.. ek din sab chale jaayenge mujhe chodkar.. tum jao yahaan se…. jao… main akela hii theek hoon…. Jao yahaan se tum…..
Seher tightens her grip on agni's hand & she in a very calm & unwavering voice says:- vashuuu main tumhe chodkar kabhi nahii jaaungi…. I promise vashuu chahe kuch bhi ho jaaye lekin tum hamesha mujhe apne saath khada paaoge, main kabhi tumhe akele nahii chodoongi…. Agni looks at seher with teary eyes & he says:- sachchi, tum mujhe kabhi chodkar nahii jaaogi…
Seher smiles, she nods her head & says:- haan baba main apne vashuu ko chodkar kabhi nahii jaaungi…
Agni:- agar main tumhe golo molu bulaun tab bhi nahii jaaogi, agar main tumhe chashmish bulaun tab bhi nahii jaaogi, agar main tumhe kitaabi keeda bulaun tab bhi nahii jaaogi….
Seher:- nahii kabhi nahii……
Agni continues:- agar main tumhare baal kheenchu, agar main tumhari kitaab phaad doon agar main tumhare bare mein avinash uncle se complain kardun tab bhi tum mujhe chodke tho nahii jaaogi na…
Seher:- arre vashuu main tumhe kabhi nahii chodkar jaaogi… just read my lips, I will never leave you alone I promise you that….. agni observes seher, he looks at seher's lips & without any warning he goes close to seher's face & he very slightly brushes his lips on seher's lips…. It was a mere brush of the lips but for seher it was much more than that….. during the kiss agni in a whisper told seher he believes her & seher in a very low voice promised him that she will always keep up her promise….. this was agni & seher's first kiss…. Seher at the age of 16 had been kissed by the guy whom she loved & a crush on since her childhood… while agni never really understood why he kissed seher, he even today thinks why did he lean onto seher for support when he did not even consider her as his friend at that point, all he knew was he needed a support at that stage in life, & seher was the support he received at that point of time… agni comes out of his thoughts of his first kiss, he touches his lips & then says:- agar mujhe mere pyaar ka ehsaas tab hii hogaya hotha tho my first kiss would not have been just a mere support… agni laughs rembering how much he & seher avoided eaqch other after thaqt instance & then after sometime things went back to normal were agni continued to bully seher & seher tolerated all of it…
Agni comes out of his thoughts & says, ek waqt tha jab main tumhe dekhna bhi nahii chahtha tha, seher main bachpann mein isliye tumse nafrat kartha tha kyunke mujhe aisa lagtha tha kii tum mujhse meri family ko durr karr rahii ho… aur issi wajah se shayad main kabhi tumse dosti nahii karr paaya.. lekin aaj is naseeb kii rekhaon ka khel tho dekho, aaj bhi meri family mujhse durr hai, haan woh mujhse durr hai kyunke woh sab mujhe ghalat aur tumhe sahii maanthe hai, lekin is barr unke aisa sochne mein tumhari tho koi bhi ghalthi hii nahii hai, kyunke is bar raise halaat maine hii create kiye hai jahaan unhe tum sahii aur main ghalat nazar aatha hoon… mujhe jis baat ke liye tumse bachpann se nafrat thi, maine ussi baat ko sach karr dii hai, kyunke main jaantha hoon tum mumma, dii, muski se kitna pyaar karthi ho… main nahii chahtha tha kii main tumhe ghalat saabit karun aur tum apna pariwaar kho do.. isse achcha tho yahii than a kii main apne pariwaar se durr rahoon aur tumhe unka pyaar miltha rahe…. Main jaantha hoon seher bachpann se tum uncle aunty ke pyaar ke liye kitni tarsi ho, aur main nahii chahtha tha kii agge bhi tumhare saath waisa ho, tho maine tumhe apne pariwaar ke kareeb kar diya aur khudko alag kar liya, tumse, apne pariwaar se aur khud se… kyun seher yahii sahii tha na…. maine joh kiya sahii kiya na….. agni closes his eyes & he gets a image of a smiling seher, who is holding his hand & giving him a sweet smiling…. As soon as Agni gets the image, the smile on his face widens…. This was the time when agni smiles the most in the present.. the time when he thinks about seher & his memories with her… these are the moments agni lives to the fullest without any worry.. though seher is not with him physically but emotionally she is always with him… in spirit, in thoughts she never leaves him alone.. even agni does not want seher's thoughts to leave him at any time, because that is the time when he smiles the most…. Agni opens his eyes, he sees that it is 7 in the morning…. He sees outside & observes that the sun has come up totally, he looks at the sun & says:- hmm…. Ab aaj kii seher bhi mujhse durr chali gayi hai… the dawn has gone & now it is morning… [what he means to say here is that, seher means dawn, the time when the sun rises & now the sun has come up & the dawn time has passed… agni's continues] jaise harr seher ke baad subaah hothi hai, waise hii kaash mere zindagi ke andheron ko mitane ke liye tum wapas aa jao seher…. Kaash aisa ho paatha.. I just wish I could go back in time & change this day & fill it with happiness… but I know wishes never come true, so it is better to let go…. Agni then smiles to himself & he walks to the cup-board… he takes out a small box which is hidden inside, he takes the key & opens it.. opens agni opens thr box we can see that the box contains some old pictures, it has some childhood pictures of agni, rewa & seher… agni starts looking at the contents of the box one after the other… then he gets a picture in his hand where agni & seher are in their teens & agni is pulling seher's cheeks… then agni comes across a picture where seher & agni are in their wedding outfits, none of them seem to be happy in the picture.. both agni & seher have a straight face in the picture…. Agni runs a finger on seher's face in the wedding pic & he smiles… then agni takes out some papers which are placed at the end in the box…. Agni opens the cover & takes the papers in his hand… he stares at it intently & says:- deed for divorce…. Seher maine aaj se che saal pehle tumhare signatures tho ismein le hii liye the…. Aur tumhare kehne par maine ismein sigh bhi kiya, agni turns the pages where he & seher have signed, the mutual consent for divorce…. Then agni says:- lekin aaj thak main in papers ko submit hii nahii karr paaya…. Seher tum mein itni himmat thi kii tum mujhse durr jaa sako, lekin aaj bhi mujh mein itni himmat nahii hai kii main in papers ko court mein submit karr sakun… aur shayad issi wajah se mujhe aaj bhi yeh ehsaas hai kii tum mera hissa ho… aur shayad main apne us ahem hisse ko khud se durr karna hii nahii chahtha… main jaantha hoon seher aaj tumhari zindagi mein na meri kuch emiyath hogi aur na hii in kagzaat ke.. lekin mere liye yeh bohat mayine rakhthe hai, kyunke in papers mein yeh taaqat hai kii yeh hum dono ko ek dusare se hamesha hamesha ke liye alag kar de.. aur main yeh nahii chahtha… bhale hii tum mujhse durr ho seher, lekin main is rishthe ko khudke liye hamesha zinda rakhna chahtha hoon… main nahii chahtha kii yeh rishtha khatam hojaye….. tumhare liye tho yeh rishtha khatam ho hii chukka hai, lekin mere liye yeh rishtha kal bhi tha, aaj bhi hai aur hamesha hamesha ke liye rahega.. chahe tum apni zindagi mein kitni hii kyun na agge badh jao, lekin mere liye yeh rishtha, ussi modh par hai jahaan se hum dono ne yeh faisla kiya kii hum humari alag raah par chalenge… ek alag manzil kii taraf badenge.. ussi din, ussi pal yeh rishtha, aur meri zindagi maano jaise thum si gayi hai…. Agni again looks at their wedding picture & says:- seher kabhi kabhi tho mujhe aisa lagtha hai kii aakhir kyun aayi tum meri zindagi mein… agar tum apna pyaar nibha nahii sakthi, mujhse kiya hua waada nibha nahii sakthi tho aakhir kyun thama tumne mera haath.. kyun mujhe jhooti umeed di.. kyun mujhe jhoota dilasa diya jab tumhe mere dil ko thodna hii tha…. Kyun seher… kya tumhe lagtha hai kii main kabhi tumhare pyaar ke layak nahii… agar main tumhare pyaar ke laayak nahii that ho kyun tumne sapne dikhaye…. Tum jaanthi ho seher jab sapne tootthe hai tho bohat takleef hothi hai…. Utni takleef tumne mujhe di hai… lekin bhale hii mujhe kitni hii takleef kyun na ho lekin main kabhi kissi se yeh bhii nahii keh saktha kii mujhe takleef ho rahii hai.. mujhe dard ho raha hai… yeh kaisi sazaa di hai tumne mujhe seher.. kya tumse pyaar karne ka yeh sila mil raha hai mujhe… kyun seher kyun kabhi tum mere pyaar ko samaj nahii paayi.. kyun tumhe mere jazbaaton kii qadar nahii karr paayi… kya hai iski wajah seher…. Main jaantha hoon kii jab hum chotte the tab maine kabhi tumhari qadar nahii kii, lekin seher maine kabhi tumhara bura bhi tho nahii chaha na.. tho phir aaj meri is zindagi mein siwayi dukh ke, siwaye dard ke, siwaye aasoo ke parchayi ke aur kuch kyun nahii hai… yeh joh main har pal sazaa paa raha hoon, uski wajah kya hai… kya iski wajah bas yahii hai kii maine tumse pyaar kiya… kya iski wajah yeh hai kii main aaj bhi tumse hii pyaar kartha hoon… kya karun seher maine suna tho tha kii pyaar mein dil par kaboo nahii hotha, lekin aaj jab main kudh pyaar mein hoon tho main is baat kii guarantee le saktha hoon kii jab insaan pyaar mein hotha hai uska kudh par koi kaboo nahii hotha… shayad pyaar ka jadoo isse hii kehthe hai…. Mera pyaar ek tarfa hone ke bawajood bhii aaj bhi pyaar ka jadoo sarr par sawaarr hai, patah nahii tab kya hotha agar mera pyaar do tarfa hotha… kaash main joh seher ke liye mehsoos kartha hoon, woh bhi mere liye kare.. lekin main kyun aisi baatein soch raha hoon, main jaantha hoon main joh soch raha hoon, main joh chahtha hoon woh kabhi nahii hoga… zindagi ab hum dono ko kabhi ek dusare ke saamne nahii laayegi, kyunke chahe main kyun na wohii agni hoon joh che saal pehle tha, lekin I'am sure seher kii zindagi aur woh kudh in che saalon mein badal gayi hogi… shayad jis seher ko main jaantha tha aur ab ke seher mein zameen aasmaan ka antar hoga & it is good for her…. Agar kahiin woh meri tarah peeche rukh jaathi tho her life would have been no better than my life…. Ab maine bhi yeh baat maan li hai kii joh hai, jaisa hai, wahii meri zindagi hai… mere aur seher kii kismat mein joh likha tha wohii hua.. shayad true love mere liye hai hii nahii.. lekin main joh bhi hoon, jaisa bhi hoon main khush hoon…. Bhale hii main kudh ke liye khussh nahii hoon, lekin in che saalon mein, maine apno ke liye khush rehna seekh liya hai… aur shayad yeh theek bhi hai, kyunke main dukhi hoke un apno ko dukh nahii pohancha saktha jinhone har pal, harr kadam par mera saath diya.. aur aaj main unke liye khush rahoonga…. Seher tumne jitni khushi ke pal mere saath bitaye hai, utne hii hadh thak tumne mujhe takleef pohanchayi hai… but still I love you seher.. I have always loved you, I love you & I will love you till eternity…. You will always be the first & last woman in my place, no one can take your place….. [he takes their wedding pic close to his face & kisses on seher's face…..] agni ke aankhon mein dard hai, woh dard joh woh sabse chupaaye rakhtha hai…woh dard jisse agni apne andar hii marr dena chahtha tha…. This was the pain which agni went through when he relived his past in his memories, the pain, the memories of agni are only secluded in agni's private space.. he does not share his worries with his family… agni keeps the picture close to his heart & in a very small & meek voice whispers… chashmish I miss you….. vashuu loves his golu molu very much…… agni is lost in his thoughts & his life with seher…. Seher's memories gives him tears & sometimes it also gives him reasons to smile… the fact that seher is no longer a part of his life, weakens his determination but on the other hand when he just closes his eyes for a second & he sees a encouraging smile from seher motivating him, at that point seher, becomes his strongest strength…… agni is lost in his own thoughts & is surrounded by the valley of thoughts…..

Song In The Background:- [Song For Agni]

"Kaise Batayein,
Kyu Tujh ko Chahe,
Yaara bata na Paaye
Baatein dil o ki,
Dekho Jo Baaki,
Aankhein tujhe Samjhaye
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na
mil ke bhi,
Hum na Mile,
tumse na jaane Kyu,
Milo ke hai Fansle..
Tumse Na jaane kyu
Anjaane Hai SilSile,
Tum Se Na Jaane Kyu,
Sapno hai Palko Tale,
Tum Se Na Jaane Kyu,
Kaise Batayein,
Kyu Tujh ko Chahe,
Yaara bata na Paaye
Baatein dil o ki,
Dekho Jo Baaki,
Aankhein tujhe Samjhaye
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na
Nigahon mein dekho,
jo hai bas gaya,
woh hai milta tumse,
hu ba hu..
Jaane teri Aankhein thi,
ya baatein thi,
Wajah..
hue tum jo,
dil ki aarzoo
hum pass ho ke bhi,
tum aas ho ke bhi,
ehsaas ho ke bhi...
apne nahi..
aise hai hum ko gileh..
tumse najaane kyu..
meelo ke hai fansle
tum se na jaane kyu..
tu jaane na..
tu jaane na..
tu jaane na..
ohh
jaane na.
jaane na, jaane na
tu jaane na..
Khyalon mein laakohn baatein,
yu toh keh gaya,
bola kuch na tere sahmney..
hue na begaane bhi tum hoke,
aur dekho tum mere hi na bane..
afsos hota hai,
dil bhi yeh rota hai
Sapne sanjota hoa..
pagla hua,
soche yeh..
hum the mile
tume se na jaane kyu,
meelo ke hai fansle
tum se na jaane kyu..
anjaane hai silsile,
tumse najaane kyu,
sapne hai palko tale,
tumse najaane kyu..
Kaise Batayein,
Kyu Tujh ko Chahe,
Yaara bata na Paaye
Baatein dil o ki,
Dekho Jo Baaki,
Aankhein tujhe Samjhaye
Tu Jaane Na,
Tu Jaane Na…."

(Courtesy Movie: Ajab Prem Kii Gazab Kahani)

Agni is lost in the thoughts of his past, which has only seher.. if agni looks back at his life all he could see was only seher & no one else at every point of time….. thinking about his past agni starts developing a bad head ache & he just lies back on the bed, with his legs dangling down…. He is just too stressed he wants to come out of his distress, he is looking for ways by which he can make things right, but agni knows the fact very well that, woh kuch bhi nahii karr saktha.. agni yeh baat bohat achche se jaantha tha kii uske haath mein kuch bhi nahii hai.. joh hua sabke achche ke liye hua.. & there is no way he could go back in time & change things as he would want it… agni knew this fact very well kii aaj yeh sochna kii sab kuch badal jaayega, he will be truly happy once again, would just be a farce… agni thinks that he is no kid jisse baaton se behlaaya jaaye… he is a grown up man & he knows to differentiate between fantasy & reality…. This was the main change which could have been seen between the agni who was present six years before & now the agni who is present six years later… che saal pehle ka agni, mein kahiin na kahiin ek bachcha chupa hua tha… lekin aaj ke us agni mein woh bachcha kahiin kho gaya hai, aaj ka agni bas aisa hai joh jeene ke liye apni zindagi jeer aha hai… usse zindagi jeene mein koi interest hii nahii hai… aaj ka agni vashist garewal bas ek pratical businessman hai joh pyaar se durr bhaagtha hai, kyunke woh nahii chahtha kii pyaar karke uske dil ko chot pohanche…. Yeh hai agni vashist garewal, joh bahar kii duniyaan ke liye ek strong dynamic personality hai, lekin apne kamre ke chaar deewaaron ke andar agni ek aisa shaqs hai joh apno ke saath ke liye, pyaar ke liye tarastha hai… agni is holding the divorce papers in one hand & in the other hand he has the picture of his & seher's wedding…. He is clucting to both the things in his hand very tightly…. & then Suddenly agni hears a soft knock on his door… agni who is lost in his thoughts for a few seconds does not realize that someone is knocking at his bedroom door, but when the knock becomes louder, agni comes back to his senses, he gets up sits on the bed, looks at the two things which are present in his either of hands & then in a very sleepy voice answers the person on the door…
Agni:- yes who is it…..
Milind replies from outside:- abe.. who is it ke bachche…. Tabse knock karr raha hoon, kumbhkaran kii neend so raha hai kya… aur is ghar mein rehthe tho bas paanch log hai, aur tu who is it aise pooch raha hai maano jaise tu kahiin ka maharaj ho aur tere fort mein hazaaron log rehthe ho… ab yeh who is it chod aur darwaza khol, tu mujhe aise kitne dair bahar khada rakhega… jaldi aa, warna main is darwaaze ko thodkar andar aajaaunga aur teri privacy ko bhang kar doonga..
Agni smiles even in the distressed state of mind he is in…. he replies:- milsi main bas abhi utta tu jaa aur games room mein bait main bas 10 minute mein aatha hoon……
Milind:- haan theek hai main jaatha hoon.. lekin tum jaldi aana.. kyunke tum jaanthe ho hum sab ka weekend tab thak shuru nahii hotha jab thak hum sab saath mein nahii ho.. tho tu jaldi aa jaa.. hum sab tera intezaar karr rahe hai….
Agni:- haan baba main aa raha hoon.. bas dus minute mein, main neeche aajaaunga.. theek hai…
Milind says ok & he is about to walk off from the door when he stops & says:- agni tu theek hai na…..
Agni:- milsi I'am perfectly alright… don't worry… tu ab jaa main taiyaar hoke aatha hoon… aura b agar tu yahaan se nahii jaayega tho main neeche aaunga nahii aur jab damy aur prachu mujhse poochenge kii main games room mein kyun nahii tha tho main unse keh doonga kii tune mujhe ready hone nahii diya… aur phir tu soch le milsi tera weekend kaise beetega agar maine yeh baat damy aur prachu ko bataya tho…
Milind:- arre jaa raha hoon baba… dhamki kyun de raha hai.. waise haan ek baat yaad rakhna neeche bas meri biwi aur prithvi kii biwi hai, tho tujhe taiyaar hone mein extra care lene kii koi zaroorat nahii, jis din teri biwi aajaayegi na us din tu achche se saj dhaj lena, lekin ab bas jaldi se fresh hoke aajaa… samjha tu meri baat…
Agni:- milsi agar abhi issi waqt tu mere kamre ke bahar se nahii gaya tho main sach mein nahii aaunga…. If you want me to come then just go….
Milind starts walking away & says:- haan, haan jaa raha hoon chilla kyun raha hai…. Saying this milind makes a face & walks off.. while inside the room agni smiles because he can just imagine milind's face… then agni decides to get ready to meet his family…. He keeps the divorce papers, the pics inside the box & he places the box back in it's hide out.. agni gets ready & joins his family in the games room which had all types of games from playing carom, chess to even tennis & squash… the games room was a huge one… agni starts playing squash, while prachi, damini are playing carrom…. During the game agni was smashing the ball with a greater force, seeing this prithvi questions agni through his eyes asking him if everything is alright, agni assures him that yes everything is alright…. Agni, milind, prithvi enjoy their game & then they join prachi & damini playing carrom & arguing with each other as to who will support whom in the game… & finally it would be like prachi, damini, milind, prithvi would be the four players in the game & agni helping both the girls from time to time…. At every point prachi, damini, milind, prithvi also start arguing as to whether girls are better or the guys & this would just go on & on for the whole day… & later the guys are pushed in the kitchen, because it is weekend & guys had to cook for the day irrespective of whether it was breakfast, lunch, evening snack or night dinner the guys were responsible for the kitchen.. this was how the weekend was spent at the utpal villa, though the whole week each one is busy with their work, weekend is only their family time…. Not even a single word of work is spoken.. nor do they get, neither receive ant calls during the weekend… this was their way of life & each one of them was happy with it… they were contended with what life has given them… life has given them such a sweet family, though not related by blood all of them care for each other… their hearts are connected to each other.. though bloos relations are considered to be the strongest but in the utpal villa it was not the blood relations which mattered but what mattered was everyone's feelings, emotions, sentiments… in the utpal villa each one took care of the feelings for the other.. their was a close knit family, a family though not by blood but by conscience, by mind, by feelings & by heart… now let us leave the people of utpal villa & let us move miles away from them…. In the United States, We move to the new beginnings home in California… the restlessness which was hovering the utpal villa back in Delhi seems to hover the new beginnings home too… everything there is calm… it is night time… seher was sitting in her balcony with a book in her hand.. though she had a book in her hand, she did not seem to read it.. not even a percentage of concentration seemed to be on the book… rather seher was staring at the sky above.. she was looking intently at the twinkling stars & the shinning moon in the sky.. she seemed to be looking at the moon & waiting for certain answers.. it seemed like seher's wait for her answers has been going on for long.. but even now she is unable to get answers for the questions she is looking for…. Seher starts thinking that may be this is life were some questions are better off unanswered.. seher is lost in her own world, when she suddenly comes out of her thoughts when she sees that her cell phone is ringing.. seher sees the caller's name flashing on the screen.. seeing the name seher does not want to pick up her call… seher just cuts the call… the person calls again, seher cuts the phone again, the person keeps calling & seher keeps cutting the call again & again… & finally after fifteen minutes when the call does not stop, seher is highly frustrated & she picks up the call & in a very rude tone says:- maine aap se kitni barr kaha hai mujhe aap se baat nahii karni hai.. tho phir aap baar baar mujhe caal kyun karthe hai.. please mujhe akela chod dijiye.. main apni zindagi mein jaisi bhi hoon khush hoon.. mujhe meri zindagi mein aap logon kii zaroorat nahii hai…
On the other side of the phone we hear a very low voice of a lady… she says:- beta.. tum aise kyun keh rahii ho.. tum humari beti ho….. aur tumhari fikar hum nahii karenge tho aur kaun karega….. main tumhari maa hoon bachche aur main bas yeh jaanna chahthi thi kii tum kaisi ho… kya itna bhi hakh nahii hai mujhe….
[Yes it is Suman Gujral, Seher's mother] Seher listens to suman & then in a very sarcastic tone says:- ohh… aapko yaad hai kii main aapki beti hoon…. Aapko yaad hai kii aap meri maa hai, maine tho socha kii aap aur Mr. Gujral yeh baat bhool hii gaye honge.. kyunke aapke liye hamesha hii aapki badi beti hii maayine rakhthi hai na.. main tho aapki zindagi ka hissa bhi nahii hoon…..
Suman:- seher tum aisa kyun keh rahii ho… tum jaanthi ho na kii aisi koi baat nahii hoon.. beta main tumse utna hii pyaar karthi hoon jitna main rewa se karthi hoon… tum dono mere liye khaas ho…
Seher:- mujhe nahii lagtha kii main aapke liye khaas hoon… agar main aapke liye khaas hothi tho shayad aap kabhi mujhe bachpann se lekar aaj thak yun tanha nahii chodthi…. Ek pariwaar ke hothe hue bhi aap mujhe tanhayi mein palne nahii dethi… khair yeh sab tho beeti hui baatein hai, aap batayiye aap ne mujhe phone kyun kiya hai… kyunke main itna tho zaroor jaanthi hoon kii Mr. Gujral, bina kissi baat ke tho aap ko yeh ijazat nahii denge kii aap mujhe call karo… tho batayiye kya kaam tha aapko mujhse..
Suman [hesitates a bit & then says]:- beta woh darasal baat yeh hai kii tumhare papa chahthe hai kii tum… woh actually tumhare papa ne tumhare liye ek ladka chuna hai aur woh chahthe hai kii tum us ladke se mil lo…
Seher is shocked & she says:- kya kaha aap ne Mr. Gujral ne mere liye ek ladka chuna hai aur aap chahthe hai kii main us ladke se milun… kya main yeh jaan sakthi hoon kii aakhir aap kyun chahthe hai kii main us ladke se milun..
Suman:- woh darasal tumhare papa yeh sochthe hai kii jis ladke kounhone chuna hai woh tere liye sahii hoga.. hum chahthe hai kii tum us ladke se shaadi karle…
Seher in a very angry tone says:- what the hell… aap soch samaj kart ho bol rahii hai na.. aur haan shayad aap yeh baat bhool chuki hai lekin main aapko yaad dilathi hoon meri shaadi already ho chuki hai…
Suman:- lekin bte woh divorce….
Seher cuts her in between & says:- rukiye meri baat abhi poori nahii hui hai… maine kaha na aap se meri shaadi ho chuki hai.. aur jahaan thak baat divorce kii aathi hai, mere liye woh divorce papers koi mayine nahii rakhthe kyunke main hamesha se agni se pyaar karthi aayi hoon aur aaj bhi karthi hoon.. bhale hii aaj main aur agni ek dusare se alag hai lekin iska matlab yeh nahii kii main dusari shaadi karlun.. mere dil mein agar koi tha, koi hai aur koi rahega tho woh sirf agni hai… yeh baat aap bhi samaj jaayiye aur Mr. Gujral ko bhi samjha dijiye.. main is bare mein koi aur discussion karna nahii chahthi.. main apni zindagi mein khush hoon.. bas aap mujhe akela chod dijiye, yahii mere liye achcha hoga….
Suman:- seher ek barr us ladke se tho mil le bachche, kya patah tujhe yeh ladka achcha lagne lage…
Seher:- yahaan aap kissi gudde guddi ke khel ke bare mein nahii baat karr rahe hai, yahaan baat aap meri zindagi kii karr rahe hai.. aur yeh baat aap apne zehen se nikaal dijiye kii main shaadi karoongi.. nahii… main ek baar shaadi kar hii chuki hoon woh bhi aap logon ke kehne par…. Ab mujhe apni zindagi mein kya karna hai, kaise jeena hai iska faisla main khud karoongi…. Agar aapko yaad na ho tho main yaad diladun Aap logon ko meri zaroorat nahii thi na kuch saal pehle tho phir aaj aapko meri fikar kaise hogayi… kyun is ladke ke saath bhi koi business deal sign karna chahthe hai kya Mr. Gujral….
Suman:- seher rishtha achcha hai.. woh is rishtedaari ke saath saath business bhi collaborate karna chahthe hai…
Seher:- ohhh tho ab main samjhi… aapko hamesha kii tarah meri fikar nahii hai. You just need a guinea pig, which you can sell for a good looking business deal.. but let me just tell you I'am not interested….
Suman:- lekin seher..
Seher:- dekhiye maine aapse keh diya hai na.. bas mera faisla nahii badlega… aur agar woh rishtha itna hii achcha hai tho aap apni badi beti kii shaadi usse karwa dijiyega but I'am seriously not interested.
Suman: seher, meri baat tho sunn…
Seher:- nahii… maine keh diya hai na ab main aur kuch nahii sunna chahthi hoon.. chahe aap log kuch bhi kaho, is barr mere faisla kabhi nahii badlega….. aur haan agar aapko meri shaadi ke bare mein dubara mujhse baat karna hai tho mujhe call hii matt kijiyega, samjhi aap……

Saying this in a very rude tone seher cuts the call without even listening to what suman was telling her next.. this showed a clear message to suman that seher was not interested & she would never be interested… & now a very tough task lay ahead of suman where she had to handle her husband & explain to him in a proper way that seher has outrightly rejected the idea of her being married once again…
Here back to seher she was feeling all the more lonely & miserable after the call… usko tho jaise samaj mein hii nahii aa raha tha kii aakhir kya karein woh….. she looks at her cell phone, switches it off because she does not want any calls from the gujrals.. sehers just sits there brooding over what has happened in her life, when the clock strikes 12 in the midnight, as soon as the clock strikes 12, seher just mumbles to herself, happy separation day agni…. Aaj ke din tumhe woh milgaya joh tum hamesha se chahthe the, mujhse chutkara… lekin main aaj bhi khudko tumse juda hua mehsoos karthi hoon agni…. Main jaanthi hoon kii tumhari zindagi mein meri koi emiyath nahii, par meri zindagi ka tum kal bhi ahem hissa the, aaj bhi ho aur hamesha rahoge….. yeh mera vaada hai vaashu tumse… aur tum tho jaanthe ho na seher apne vaashu se kiya hua ek bhi waada nahii thodthi…. Vaashu tumne mujhe tanha kyun chodda.. maine tho tumse waada kiya tha kii main kabhi tumhara saath nahii chodoongi, lekin tumne beech raah mein mere saath chod diya… main kabhi kabhi sochthi hoon aaj agar tum mere saath hothe tho meri zindagi kaisi hothi… lekin main yeh baat bhool jaathi hoon kii sochne se koi baat haqueeqat nahii bann jaathi… main tho bhool hii gayi thi kii mujhe sapne dekhne ka bhi ko hakh nahii hai kyunke mere sapne kabhi sach nahii hothe, hamesha toot jaathe hai…. Vaashu tumhare saath joh maine sapne bune the, wohii sapne aaj tootkar mere dil mein chubthe hai… che saal hogaye hai tumhe dekhe hue vaashu phir bhi na jaane kii aaj bhi tumhara ehsaas dil mein hai.. it feels just like yesterday, jab tumne apna faisla sunaya tha aur hum dono kii raahein alag hui thi…. Tumhe patah hai vaashu, bachpann se lekar hum kabhi dost nahii bann paaye… hamesha hum dono ke beech koi na koi kadwahat hothi thi, lekin iske bawajood bhi main hamesha sochthi thi kii kaash humari raahein mil jaaye, hum dost bann jaaye aur humari mamzil ek ho jaaye.. main yeh baat dil se chaha tha, lekin meri yeh chahat kabhi poori hui hii nahii…tumse milon durr rehkar bhii mera dil ek bas tumhe hii jaantha hai, tumhe hii pehchaantha hai aur harr pal, harr ghadi ek tumhe hii mehsoos kartha hai.. vaashu woh Mr. Gujral hai na woh chahthe hai kii main dubara shaadi karlun, lekin woh yeh baat nahii jaanthe na vaashu kii tumse shaadi karne se pehle bhi mere mann mein ek tum hii the jisse main apne pati ke roop mein dekhthi thi…. woh yeh nahii jaanthe kii bhale hii tum aaj meri zindagi mein nahii ho, but your presense is always with me… though you are not here with me in person you are always on my mind… woh log kabhi nahii samjenge vaashu that my heart beats only for you… my heart belongs toyou…. It always has & it will always… the only person my heart cares for is you vaashu, but they never seem to understand.. may be they just don't want to understand….. vaashu agar tum aur main alag nahii hothe tho aaj Mr. Gujral, meri shaadi kii baat hii nahii sochthe… kyun gaye tum mujhe chodke vaashu… kyun…. Love you vaashu…. I miss you….. wish life was not unfair….. but I'am happy vaashu because you are happy… my happiness does not matter all I wanted in the past was your happiness & even now only your happiness matters…… you will always be the sole possessor of my heart vaashu I promise…. Seher then gives a flying kiss in the air & we can see that tears are rolling down her eyes……. Seher is lost in her past thinking about her life……

Song In The Background:-

"pyaar hai ya saja, aai mere dil bata….
tootata kyon nahi dard ka silsila…..
is pyaar mein hon kaise kaise imntihaan….
ye pyaar likhe kaisi kaisi dastaan…..
ya rabba de de koi jaan bhi agar….
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar…..
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar….
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar….
pyaar hai ya saja, aai mere dil bata…..
tootata kyon nahi dard ka silsila….
kaisa hai safar wafa ki manjil ka…..
na hai koi hal dilon ki mushkil ka…
dhadkan dhadkan bikhri ranjishein….
saansein saansein tooti bandishein….
kahi to har lamha honton pe fariyaad hai….
kisi ki duniya chaahat mein barbaad hai…
ya rabba de de koi jaan bhi agar…
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar…..
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar….
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar….
koi na sune sisakati aanhon ko…..
koi na dhare tadapati baahon ko….
aadhi aadhi puri khwaishein….
tooti footi sab farmaaishein….
kahin shak hain kahin nafrat ki deewaar hai….
kahin jeet mein bhi shamil palpal haar hain….
ya rabba de de koi jaan bhi agar….
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar….
ho ya rabba de de koi jaan bhi agar….
dilbar pe ho na, dilbar pe ho na koi asar….
ho o o pyaar hai ya saja, aai mere dil bata…..
tootata kyon nahi dard ka silsila….
ho o o o ho o o o….
na poocho dard bandon se….
hansi kaisi khushi kaisi….
musibat sar pe rehati hain….
kabhi kaisi kabhi kaisi….
ho o o o... rabba, rabba ho o o ho…..
rabba ho o o, ho o ho rabba…"

we see that seher is on her kness crying uncontrollably, she he hugging her kness close & just shedding tears….. this was the way seher's life was with full of pain…….
Nor seher was happy in her neither was agni happy… now the question was will the destiny play it's game once again & take away seher & agni's misery & give them the love which they long for, give them a life which they deserve???

[guys if you are wondering if agni knows that seher is with his family in the US, then no he does not know that….. in these six years never agni has asked about seher to anyone from his family…. & even seher has not asked anyone the where abouts of agni…. I know may be this bit is a little confusing but don't worry as the story moves forward you will understand it better….]

So guys with this ends the 3rd part of 'HumraahI'.. I hope all of you liked the part.. I know this was a sad part but this was necessary for the story to move on… I know most of you must be shocked after reading the shaadi & divorce bit, don't worry the back story of all the happenings will come out soon.. & I hope you will like that too…. Guys I'am really sorry for the delay… I just could not help it… got caught up in work… I hope that this part was worth all the wait… & I also hope that you guys celebrated Ganesh Chaturthi & Eid with great enthusiasm & I also hope your festival went off well…..

Please do send in your comments soon.. I'am waiting to read them very eagerly….. & yaa guys if you have any suggestions or criticsm about the fanfic, please feel free & let me know.. because your comments help me improve as a writer……

Preview For The Next Part:- Woh Bura Nahii Hai… Tumhari Bohat Parwaah Hai Usse… Agar Unhe Meri Parwah Hai Tho Main Kya Karun Khushi Ke Maare Naachun…. A Blast From The Past….

I'll try & post the next part soon… Do comment.. & guys I have not proof read the part so if there are any mistakes sorry for them.. & thank you all so much for the comments you have been giving me, it is very encouraging.. reading your comments I feel like writing better & better…. Thanku once again….

Love
Surya…😊
Edited by Surya.Ravi - 15 years ago
muskanp thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 8
Posted: 15 years ago
musch awaited...thanxs for the PM
very nice
👏👏👏👏
-purnima- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
long waited 4 the part 😆😆😆....... its been quite a long time read humrahi 😊😊............
it felt so good reading it after long time 😃😃.......... specially more coz........... there was more of agni 😳😳😳..............

aawww but agni is so sad 😭😭😭😭..........wanna give him tightest hug ... missing seher 😭😭.......... hope they meet soon ............ 😃😃😃............

good to know seher also still loves agni 😳😳😳.. ...........

& FB scenes were cute 😊😊😊............ aaaw vashu .........oops sorry.... agni such a bully...... 😆😆😆........ & 😲😲............first kiss at 17 😳😳😳.............. so sweet ....... 😊😊😊


overall its been a wonderful part .... njoyed reading it 😃😃........... so now continue soon.........😊😊😊ASAP ............ wud wait 4 next part as wanna see if my guess of agni seher meeting soon turns true 😊😊😊



Edited by Puri_2711 - 15 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Hey Guys... I Have Written A New One Shot Fanfic -'A Crude Criminal & His Unscrupulous Belle'...Take A Look....😊
http://india-forums.com//forum/fan-fictions/1486394/a-crude-criminal-and-his-unscrupulous-belle-os


Love
Surya....😊

swetha10 thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
wow amazing... loved it.. thanx a lot for the pm... do continue soon...
ronojoy_ria thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
hi 😊
the up is really very nice😊😊😊😊😊😊😊
agni aur seher dono he bohot akele haai aapne zindage mein
agni feeling,ehsaas are just so well described really he is lonely in his life aur seher she too but yaar agar yeh dono kitna he pyaar karte the ek dusre se then why did they got separated 😕😕😕😕😕😕
plz clear it up in the coming ups 😊
plz cont soon and do pm me



monikaseth thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
Great , Awesome, Mind Blowing Part Thank You For Pm.
Daebak thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 15 years ago
Hey Nice part !!
Confused that if they were both in love then what made them think that the other wanted to break away from the Rishta?
I hope they meet soon !!
Continue soon !!
Luv,
Vandu
spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
finally u updated.......................a very big sigh......................will read the part and comment................
Sumi_162710 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Ohh...this was a beautiful one....but it was actually painful to see the irony of fate....Agni and Seher both love each other sooooo much...yet they r not together...destiny can be really cruel sumtyms!! However I'm sure sum1 is behind this....I mean Agni does hav a misconception of Seher loving sum1 else....and pata nahi kyun....my doubts r on Seher's parents....huh. Wat kind of parents they r!!! Ek to unhone kabhi uski parwa nahi kii...and now they want her to get married AGAIN....coz of sum dam business deal....so disgusting!!!
But it was still nice to see their never ending love for each other....Agni's flashbaks were really cool....specially the kiss one....hehe....but its funny to knw how Agni used to tease her and was so rude.....then....whereas now he loves her so much that he separated himself from his own family!!
Again....Seher has always been in love wid him only....awweeee....I love these lovers Suri Dii....awesum!!
Oh yes....Agni n Milind's convo was nice as well....cute!!
Pls continue soon......hope u can be regular now.

Related Topics

Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

10 months ago

Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29 Ranveer's unsaid feelings #14 updated Episode 1019 page no 29

Welcome to the new thread of Ranveer's unsaid feelings. Keep enjoying the world of Ishveer. Their unconditional Love, their friendship, their...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: sakshi5050

3 years ago

Ranveer's unsaid feelings #13 updated episode 971 page 155

Welcome you all to the new thread of RANVEER'S UNSAID FEELINGS #13 Keep Travelling in the world of ISHVEER LOVE Warm Regards sakshi ❤️ Index...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: desidillse

9 months ago

PreRish FF ~ Purity Of Souls (ch 6 - page 5)

[NOCOPY] P U R I T Y O F S O U L S T E A S E R "bungle ke piche teri beri ke niche aha re aha....kanta laga!!!" The song was too loud in the...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: SillySoni

2 years ago

Sarang | AarYa FF - Chapter 28 page 24 - 27/1/25 Sarang | AarYa FF - Chapter 28 page 24 - 27/1/25

Hi guys, thanks for loving Dolent!! Here is my new story. As the title suggests this ff is about love and affection 💖 Soon I'll post the first...

Expand ▼
Fan Fictions Thumbnail

Posted by: SillySoni

10 months ago

You're love | AarYa FF • Chapter 8 page 8 • 30/1/25 You're love | AarYa FF • Chapter 8 page 8 • 30/1/25

Hey everyone I'm starting a new ff of AarYa very soon. Whoever is interested in reading can like this post, I'll tag you in upcoming updates

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".