The Unsolved Mystery(MN) #2 EPILOGUE PG-74 02/05 - Page 45

Created

Last reply

Replies

595

Views

39.9k

Users

69

Likes

795

Frequent Posters

pinky_5 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago

RECAP:

Real killer finally revealed. Mayank's brother wants to tell him about his past. Mayank's real name is Arjun Bijlaani.

PART 23:

Mayank couldn't speak anything. He stood & kept staring in his brother's eyes. He could feel some pain while staring in his eyes. There was a bond between them. A special bond which he couldn't deny. He had never heard his real name before but still the name felt real'.this name belonged to him. 'Arjun' he repeated softly. My name. But he wanted to know the truth. The entire truth. How did he end up becoming mayank? What is it about his past that he still doesn't know? He wanted true answers. He waited for karan to speak further.

K: woh photo jo tumne abhi dekha'..usme hum dono hai'..aur doosre do humaare mom-dad hai'.woh nanhi si ladki jo maa ki godi mein hai who humaari behan hai'.humaari choti si behen jisse hum princess bulaate the'.yeh photo tabki hai jab hum paanch saal ke the'.humaare 5th birthday ka photo'..humaare parivaar ka aakhri photo. Mujhe aaj bhi woh saare din or raatein yaad hai'..Humaare dukh bhare din the woh....ek hi pal mein humaari poori life ulat-pulat ho gayi. Dad ko business mein bahut bada dhoka mila tha. Hum ek gandi se gali ki choti si chawl mein rehne gaye. Tabse humaari life mein badkismati ke kaale badal chaa gaye. Dad ne bohut koshish ki dubaara upar uthne ki par mom ne kabhi unhe upar uthne nahi diya'..Haan, humaari mom duniya ki sabse giri hui, matlabi maa thi. Usne dad se sirf paise ke liye shaadi ki thi. Aur paiso ke jaati hi uska pyaar bhi chalaa gaya. Dad bhi depression mein jaa rahe the. Mom ko fame aur money chahiye thi. Ussey hum sab bojh lag rahe the. Ussey woh gandi si chawl mein rehna gawaara nahi tha. Isliye usne bagair kissi ko kuch kahe modelling ka kaam shuru kar diya. Ussey glamorous duniya se bahut lagaav tha. Shuru-shuru mein usse 2-3 chotte assignments bhi mil gaye. Aur fir dheere-dheere woh kamyaab ho rahi thi. Jis din papa ko pata chala woh bahut naraaz hue kyunki maa ne ek baar bhi humaare baare mein nahi socha. Par mom ki khushi ke liye papa ne yeh sach bhi accept kiya. Ussney kissi ko nahi bataaya tha ki woh married hai'..usse darr tha married logon ke liye iss industry mein jagah nahi thi. Usne papa ko apna personal assistant banaa rakha tha. Aur fir woh kamyaab hoti gayi. Uskey saare sapney sach ho gaye papa ki madad se. Aur fir woh din aaya jab sab khatam ho gaya. Kissi amir director ka uspar dil aa gaya aur woh hum sab ko chod ke chalegi. Papa ne uski khushi ke liye jitne tyaag diye the sab bhool gayi woh aur challi gayi uss director ke paas. Papa duniya ko shakal nahi dikhaana chahte the. Unhe darr tha log unpar unki bewakoofi aur nakaamyabi par hassege. Isliye unhone suicide kar diya. Uske baad humaari life mein kuch nahi bachaa. Hum chote the. Koi rishtedaar humme rakhna nahi chahte the. Humse humaara ghar cheen liya gaya. Do saal tak hum anaad ashram mein rahe. Humse jitna ho sakta humne princess ko sabhaalne ki koshish ki par ek din hum teeno alag ho gaye.

Mayank stood there listening to every word. He felt some flash backs in his mind. The images he would sometimes see in his dreams but he would ignore them. Today he realized why those dreams haunted him so much. His heart was aching. He felt bad that he never knew about his past. All he remembered was good days of his life & not the bad ones.

K(continued): Ek bade uncle aaye the aur woh tumhe adopt karna chahte the. Wahan ke log bahut khush the kyunki tumhe bahut achaa parivaar milne wala tha. Parivaar jo tumhe paise aur pyaar dono deta. Saat saal ki umar mein tum humse alag ho gaye. Wahi se tumhaare life ki nayi shuruat hui. Tumhe naya naam diya gaya 'MAYANK SHARMA' aur ek nayi pehchaan milli. Tum humme bhul gaye. Tumne kabhi jaan ne ki koshish nahi ki tumhaare bhai-behen kahaa hai. Kuch samay baad princess ko bhi adopt kar diya gaya. Usse bhi ek naya pyaar karnewala parivaar mil gaya. Woh bhi apne bhai ko bhul gayi. Bacha tha toh sirf main. Ek badnaseeb jisse na koi parivaar milla na koi pyaar karnewala yahaan tak ki mujhse pyaar karnewaale bhi mujhse cheen liye gaye. Maine decide kiya main khud hi apni taqdeer banaoga. Apne haath ki rekha ko main khud badlooga. Main anaad ashram se bhaag gaya. Maine tumhe aur princess ko dhoondhne ki bahut koshish ki par tum nahi mille. Maine night school join ki. Din bhar dhaabe par kaam karta aur raat ko padhaai karta. Main padh-likhkar bada aadmi banna chahta tha. Maa ka dhoka, papa ka suicide, humaara bichadna roz mujhe yaad aata. Yeh sab paiso ki wajah se hua. Main jaanta tha paise kamaakar hi khushiyaan mil sakti hai. Isliye maine bahut padhaayi ki. Apna naam banaane ki poori koshish ki.

Aur ek din mere saamne tum aa gaye. Jis bhai ki mujhe talaash thi woh achanak mere saamne tha. Main bhaagkar tumhaare paas aana chahta tha. Tumhe gale lagaana chahta tha. Tumse baat karna chahta tha. Par mere pair ruk gaye. Tum apne doston ke saath the. Tum unke saath has-bol rahe the. Ek badi si gadi thi. Tumne bahut mehenge kapde pehne the. Maine khud ki haalat aaine mein dekhi. Fatte puraane kapde aur joote, Baal uljhe hue. Mujhe lagaa shayad tum toh mujhe pehchaanoge bhi nahi. Tumhaara peecha karke mujhe pata lagaa tum ek bade bunglow mein rehte ho. Tumhaari life puri badal gayi. Tumhe apni peechli zindagi ke baare mein kuch yaad bhi nahi tha. Tum toh apne bhai-behen ko bhul chuke the. Jalan hone lagi thi mujhe. Pata nahi maine kaunsa paap kiya tha ki mujhe pyaar karne waale log nahi mille. Main pyaar ke liye tarasta tha. Fir soniya ke dad mere life mein aaye. Unhone dekha mujhe padhne ka kitna shauk hai aur mujhe padha-likhaakar bada aadmi banaaya. Ushi beech mujhe aur sonia ko pyaar ho gaya. Par mere dimaag mein tumhaare khilaaf jo jalan ka beej paida hua tha woh meri har struggle ke saath badta jaa raha tha. Aur jis din mujhe pata chala tum model ban gaye ho main pagal ho gaya. Mujhe tumse nafrat ho gayi thi. Maa ne modelling ki wajah se humaare saath jo bhi kiya uske baad bhi tum model ban na chahte the. Main jaanta tha tumhe humaari life ke baare mein kuch bhi yaad nahi par kahin na kahin tum mein maa ka khoon hai aur tum mujhe uss aurat ki yaad dilaate the. Tumhaari kamyaabi ke kisse padhkar mujhe tumhe maarne ka mann karta. Mujhe har model ka khoon karna tha. Main duniya se modelling ka naam mitaana chahta tha. Har uss insaan ko maarna chahta tha jo model ban na chahta tha. Mere andar ek bhukh aa gayi thi. Models ko daraane ki bhukh. Modelling bandh karaane ki bhukh. Main logon mein itna darr paida karna chahta tha ki log model ban ne ka sapne mein bhi na soche. Aur iss mein sonia ne meri madad ki. Fir shuru hua ek naya khel. Models ko daraane aur maarne ka khel. Serial killer ka khel. Ek foolproof plan ke saath maine aur sonia ne models ko daraane ki aur fir unhe maarne ki shuruat ki. Ek raat maine nupur ka interview dekha. Tab mujhe pata chala nupur aur tumne ghar basaane ka socha hai. Nupur ne bahut confidence se kahaa ki woh mujhse nahi darti. Uss waqt mujhe apna agla shikaar mil gaya. Nupur ki information nikaalne par mujhe pata chala ki mayank ne MBA chod kar modelling sirf uske kehne par shuru ki. Tabse nupur ke liye mere mann mein bahut nafrat thi aur nafrat se zyaada in dono ke pyaar se mujhe jalan thi. Maine decide kiya main in dono ke pyaar ko khatam kar duga. In dono ke rishte ko aise toduga ki log Mayank-nupur ke pyaar ki misaal dena bandh kardenge. Isliye sonia ke saath milkar maine naya khel shuru kiya. Mayank urf arjun ko fasaane ka. Apne bhai ki shakal paane ka kuch toh use karu. Mera har plan kamyaab hota gaya. Inspector ke mann mein mayank ke khilaaf shak paida hua aur dheere-dheere maine uss shak ko yakeen mein badla. Jaan-bujh kar nupur ko mall mein apni aankh dekhne di jisse usse lage mayank hi killer hai. Har waqt jab main ek khoon karta sonia mayank ko busy rakhti aur dusron ki nazar se gaayab taaki jab shak mayank par jaaye sabko lage ki wohi killer hai. Par nupur mere liye khatra ban rahi thi. Nupur ka pyaar aur vishwaas mayank ko killer maan ne ke liye tayaar hi nahi thi. Maine usse video bheje jisme mayank ka bracelet dikhta hai par fir bhi usse vishwaas nahi hua. Maine mall mein mayank ko nupur ko gift dete hue dekh liya tha aur main jaanta tha isse main apna hathyaar banaa sakta hu. Same waise hi bracelets maine kharidliye. Gunjan ki kidnapping ke time jaan-bujhkar apne footprints chode kyunki hum dono ka shoes number same hai. Mera plan gunjan ko maarna nahi balki uska kidnap karna tha. Tum logon ko yakeen ho jaaye ki gunjan mar chuki hai isliye maine aisi ladki ko maara jiske features, uska skin complexion gunjan se milta ho. Sonia ne washroom mein bahaane se gunjan ke kapde change karwaaye aur fir usse behosh kar diya. Uss ladki ki laash ke paas gunjan ke kapde chod diye aur saath hi mayank ko fasaane ke liye bracelet uske baal mein daal diya. Ladki ka chehra itna bigaad diya tha ki tum logon ko kabhi pata na chale ki woh gunjan ki laash nahi hai aur fir nupur ko daraaya ki gusse mein aakar maine gunjan ko itni bedardi se maara ki uska poora chehra bigad gaya. Sab kuch planned tha aur aaj raat mere plan ka final stage tha. Sonia ne mayank ke kamre mein mera sim card rakh diya aur maine chaalaki se inspector ko phone karke advice di ki mayank ka kamra check kare. Nupur ke room mein woh hidden camera's bhi maine lagaaye the par police ne usse dhoondh liya par nupur yeh nahi jaan paayi ki mere kehne par sonia ne dubaara woh camera's uske kamre mein daal diye. Mera har plan kaamyaab hua yahaan tak ki aaj maine nupur ko yakeen bhi dilla diya tha ki mayank hi serial killer hai. Mayank ka jail jaana mere plan ka hissa tha aur mayank ka jail se bhaagkar yahaan pahunchna bhi mera hi plan tha. Main chahta tha ki jab mayank yahaan pahunche usse nupur ki laash dekhne ko mille aur police ko yakeen ho jaaye ki mayank hi serial killer hai. Maine nupur ke mann mein mayank ke khilaaf aaj raat itni nafrat bhar di ki marte waqt bhi woh mayank se nafrat karke mare. Aur aaj raat main aur sonia bhi yahaan se bhaag jaate aur mayank par serial killer ka tag lag jaata jisse koi nikaal nahi pata. Aur Mr. Mayank Sharma aur Ms. Nupur Bhushan ki story ka The End ho jaata.

S: par tumne gunjan ko kidnap kyu kiya?

K(laughing sarcastically): kyunki mein usse bhi apne saath aaj raat le jaane wala tha'..main chahta tha gunjan sabki nazar mein marri hui saabit ho jaaye'..maine forensic lab mein jaakar reports change kar li aur nayi reports yeh saabit karti thi ki woh ladki gunjan hi hai'..yahaan tak ki woh handwriting test mein bhi maine mayank ke naam par sign kiya taaki inspector ek aur proof mil jaaye ki mayank hi killer hai.

N: par tum gunjan ko apne saath kyu le jaana chahte the?

K: kyunki gunjan hi humaari choti princess hai'.humaari choti behen.

Gunjan looked shocked & so did others.

G: yeh kaise ho sakta hai?

K: tumhaare haath par woh birthmark dekh rahi ho???woh koi birthmark nahi hai'..bachpan mein meri galti ki wajah se tumhe chot aayi thi'.aur woh ajeeb design ban gayi'.jab maine tumhe pehli baar yahaan par dekha mujhe vishwaas nahi hua ki finally meri princess mere saamne hai'.maine tumhaari saari information nikaali aur mujhe pata chala ki tum apne maa-baap ki asli aulaad nahi ho'.tumhe anaad ashram se uthaaya gaya tha'..us hi anaad ashram se jahaan hum bachpan mein the'..main tumhe in logon ke beech chod kar nahi jaana chahta tha'..tum nahi jaanti iss duniya ke log kitne kharaab hai'..main apni behen ko bachaana chahta tha'.tum mere saath chalogi na behen???apne bhai ke saath chalogi na?

*SLAP* Karan received a tight slap across his cheek. Gunjan gave him a tight slap. He looked mad.

G: don't you dare call me sister'..Tum jaisa bhai kissi behen ko na mille'..tum apni behen se bahut pyaar karte ho na???to fir usse uske pyaar ko alag karne ki koshish kaise kar li????kaise socha main samrat ke bina jee paogi??Agar tum sonia se sachaa pyaar karte toh tum mayank ko nupur se aur gunjan ko samrat se alag karne ki koshish kabhi na karte''kitni ladkiyaa tumhaari wajah se marr gayi'.maana mom ne jo kiya woh galat tha par iski sazaa tum begunaah logon ko nahi de sakte'.Main nafrat karte hu tumse'.sirf nafrat'.mera sirf ek bhai hai mayank'.

She hugged mayank & kept crying.

K: theek hai gunjan'..main toh bas apni princess ko khushi dena chahta tha'.usse dusro se bachaana chahta tha'..par shayad tum bahut badi ho gayi ho'..tumhaare paas tumhaara favourite bhai hai isliye tumhe meri zaroorat nahi padhegi'..iss baar bhi tumne mujhe haraa diya mayank'.Main umeed karta hu tum humaari princess ka dhyaan rakhoge'..Aur ab isse zyaada main tumhe jeet ta hua nahi dekh sakta mayank'..bachpan se lekar aaj tak tum sirf jeet te aaye ho aur main har baar sirf haarta'..ab aur nahi'..Apni jeet celebrate karna'..aur jaane se pehle ek aakhri baat kehna chata hu'..mujhe apne kissi bhi kiye par koi pachtaava nahi'.maine logon ko bachaane ki koshish ki hai'..iss modelling ki aag se bachaane ki''jiss tarah tumne apna MBA chod diya nupur ke liye waise hi kitne models ne iss career ke chakkar mein apne maa-baap ko chod diya'..Shayad mera tareeka galat tha par mera maksad nahi'.tumhaare saath maine jo kiya uspe bhi mujhe koi pachtaava nahi'..agar kabhi meri life jeekar dekhoge toh pata chalega kitni takleef aur kitna dard hai''Bas ek aakhri kaam karna hai ab'..

M: kya??

He took a gun & just shot his own head. Sonia shrieked whilst gunjan, nupur & dia screamed in terror. Mayank, Sam, RV looked shocked at what happened. Just in a glimpse karan removed the gun & shot himself. His forehead was bleeding & his dead body lay on the floor. Nupur & gunjan cried while mayank himself felt tears welling up in his eyes for his brother. None of them wanted him dead inspite of what all he had done. Mayank wanted to give second chance to his brother inspite of his deeds & hatred. But alas; fate had different plans. Tonights realities had shooked up life of 4 people mainly; mayank, gunjan, nupur & sonia. The day which everyone dreaded from past 1 month especially nupur finally ended with a death. Manager & the inspector came in the room & were shocked to look at the bleeding body bearing resemblance with mayank. The inspector needed no explainations & understood everything.

In: I'm sorry Mr. Mayank'..humne aapko galat samjha.

Mayank was in grief. He didn't react. He was still looking at the body of his brother. Gunjan hugged samrat & nupur hugged mayank & they kept crying. Sonia caught karan's hand & continued crying.

Manager(to dia & RV): aap log yahaan kya kar rahe hai???neeche show khatam hone wala hai'..aap log show stopper's hai'.aap log upar kaise aaye?

Dia: jab sonia kaafi der tak neeche nahi aayi humme lagaa kuch gadbad hai'.hum upar aa rahe the ki raaste mein gunjan humme milli'.woh bhaag rahi thi aur samrat se takraa gayi'..hum teeno usse dekh kar shocked the'..iske pehle ki hum kuch poochte woh bhaag kar idhar aa gayi nupur ko bachaane'.

In: I'm sorry Ms. Gunjan yeh sahi waqt nahi hai par kya aap mujhe bataa sakte hai aap do din kaha kidnapped thi?

G: saamne waali building mein'..jahaan par store room hai'.jahaa mayank-nupur ki date hui thi bas uske baaju wale kamre mein'.karan itne din se wahi par reh raha tha'..usne bahut chalaaki se apne liye ek khufiyaa room bana liya tha jiska raasta cupboard se ho kar nikal ta hai'.aaj bhagwaan ne saath diya aur bahut mushkil se uss rassi ko kaant kar main bhaag kar wahaa se aa gayi'..

Manager: yeh baatein baad mein bhi ho sakti hai'.abhi RV-Dia ka neeche jaana zaroori hai'.

Dia: yeh show stop zaroor hoga par hum nahi karenge'.Jiska haq hai woh hi karenge'.Mayank-nupur yeh show stop karenge'.

M(speaking for 1st time slowly): nahi'.main kar sakta'..

RV: tumhe yeh karna hoga mayank'.humme duniya ko bataana hai ki tum serial killer nahi ho'.aaj tumhe apni professionalism bataani hogi'.yeh tumhaare liye challenge hai'.apne ghum ko iss roshni ke peeche chupaana hoga'.

Dia: hum sab jaante hai jo hua uske baad tum fir kabhi modelling nahi karoge''yeh last time log Mayank- Nupur ko ramp par dekhege'..aaj tumhe ek sachaa model ban na hai'.tumhe apne fans ke liye yeh last walk karna hoga'.

N: par tumne humaari haalat dekhi???kitna khoon nikal raha hai'..iss halat mein hum stage par nahi jaa sakte'.

G: tumhe jaana hoga'.make up se yeh saare ghaav dhak jaayege'.bhai tumhe jaana hoga'.

Mayank flickered. First time someone called him 'bhai'. He juat gave a small nod.

N: aur tumhe aur sam ko bhi yeh walk karni hogi'.shayad aaj ke baad hum mein se koi model nahi rehna chahega'.tumhe aur samrat ko bhi yeh last walk karni padhegi'.

The show continued & Sajan made their appearance. The crowed cheered in happiness. All the models were shocked to see gunjan alive. Mayank-nupur were dressed & all their wounds were easily hidden behind their make up. They were waiting for their turn to come. Their last walk; their last cheer; last time lights would be falling on them.

N: kya soch rahe ho mayank?

M: yeh modelling bhi kitni ajeeb hai'..dusron ke liye humme apne dukh bhulaane padhte hai aur hassi-hassi iss ramp par jaana padhta hai. Yeh aakhri walk mere liye aaj tak ka sabse difficult walk hoga.

Nupur folded her hands with his to give him strength.

N(kissing his hand): don't worry'.we'll do it.

Finally their turn came. The stage was dark waiting for their arrival. Mayank couldn't move. The manager was biting his nails in tension. Nupur caught mayank's hand. Their eyes met. She gave him the confidence to move. He nodded & slowly set his legs on stage. Lights fell on them. Mayur forgot about all the worries in that 1 moment. They started walking on the ramp hand in hand. Their confidence & smiles back on face. Both looked lavishing in their costumes. Some of them got yet another shock on seeing Mayank on stage. They carried their confidence trying to take in the last flash of camera's, the last appreciations for their modelling, the last cheering.

The designer came on stage & the grand show finally stopped. Mayank could no more control his tears. He fell on stage crying & crying. Nupur also cried with him & hugged him. Other gang members came up on the stage giving their support to mayank. The night finally ended & the mystery troubling everyone was finally solved.

*phew* finally done. Don't know if you all will like or not. Do you all want an epilogue???

ORIGINAL PLOT: (PLEASE READ)

As I told I had made many changes in the storyline for my viewers. Just wanted to share what originally I had thought regarding this ff.

Gunjan was to be killed because I felt that is how reality works but I changed the story & made her mayank's sister .

Mayank was to be the serial killer. I wanted him to suffer from mental disorder 'split personality' & than how mayur fight with this. Some of you had guessed it & had strictly warned me not to show that so repecting your views I changed the story & made this little bollywood type story.

A big sorry to all those who wanted this ff to be real type & I ended up changing the story big time. I hope you all will like this too.😳

NOTE OF THANKS:

A big thankssssss to all my readers who kept giving me encouraging comments & liked my ff. Also a big thanks to my silent readers who though didn't comment but expressed their love towards my ff by voting in ff Nominations. This means really a lot to me. Hoping you all will help me win too.😳

This ff has helped me make really good & many friends around here. So this ff will really be close to my heart. I love you all my friends & readers. Will miss this ff & my readers & their lovely comments. 😭 Hope to see some of you in my new ff.😊

Edited by pinky_5 - 15 years ago
..pebo.. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
hey pinky!!!!!!!!!!!!!!!

the ff is ending😭😭

itni jaldi..........

plz dont do this

this karan was such a ............

oh there story was sooooo emotional re

i loved it

speciall when i got to know that gunjan

is their sister

their princess]


am sad too karan died

coz if he wouldnt die

the story would continue

omg their last walk..........

on the ramp

nahi.........

the orignal plot

gunjan killed

and mayank the serial killer

oh.........

thank good it wasnt that

coz i would be crying double

plz dont end ur ff soo sooon

plz do contine

make a sequel

or atleast an epilogue

love pebbzzyy
Edited by ..pebo.. - 15 years ago
Nishithini thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
hi pinky!! so, the mystery is finally solved!! it was an amazing os. awesome!
and yes, an epilogue will be great. I will be waiting for it.
wind453 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Visit Streak 180 Thumbnail + 7
Posted: 15 years ago
awesome pinky
finally the mystery is solved
loved the way u wrote each and every line
it really touched my heart
..pebo.. thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
edited😛

am first!!!!!!!!!!😃😃😃
tazy_rahul thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 15 years ago
hi pinky........i hav been reading ur ff.............but kbhi reply nhi kiya,..................its an amazing ..ff..i jus loved it dear...............wanna say only 1 thing....publish it as a book dear u 'll earn a lot 😉

hats offf to u rockng ff
abb01 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
kitne sare twist the is story me but bahut hi achhe se present kiya
and thanks for the PM
Naughtynatty thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
ahh it was the best end u culd hav ever given to this ff !!
And yes an epilogue would be great !!
Sumthing on the lines of Mayank completing his MBA !
And how gunjan and mayanks bond went and all and ofcourse Sajan and Mayur's life ahead !!
But seriously it was a pleasure reading this FF thanks for letting all us read such a thrilling FF !!!
Love
Natasha
hazel94 thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
omgshhhh i cant believe this ff is ending
even though it was bollywood type it was still very good
but i loved the original plot more as it is more realistic nd awesome.. different from other ff's
but will continues reading your other ff's
they will surely be as brilliant as this one
keep it up
luv-myur thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
Hi Pinky
Yet another wonderful update. You never dissappoint u'r readers. Totally enjoyed every bit of the ff. This was definately the best ff i have read and stuck to for such a long time n always looked forward for reading it.
Yea the original idea u had in mind was wht i guessed-the split personlity n gunjan death n as i mentioned in my other commments before-i kinda was telling u to keep it real n let it b the way u planned but was reading others comments too---yea if u did that they would all have beed dead angry!😆
But i must say-u changed it n made it a wonderful bollywood story. Like i said b4 u have put in so much of your imagination into the ff n paied attention to the minute details too which makes theis ff perfect and it shows that u r a complete professionalist. Totally think that it would make a nice movie----if someone big really catches this story it would definately b a famous story. Actually like i said b4-it would make an awsome book too. I know u have no such plans but just telling u wht i feel--u should give it a try some time-i mean not like a career but for fun just one book!
Can't say much-kunki jitna bhi bolu kam padjayega.
U r just too awsome! Really!
Love you a lot for this.
Thankyou so much 4 posting u'r imagination n entertaining us completely!
Lots of hugs .🤗

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: dellzcreationz · 4 months ago

COVER BY AISHWARYA (Mystic_Muse) SUMMARY Suzanne Miller , an Indian Origin Canadian Citizen adopted by the Miller family, who goes on a quest to...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".