Part 13
The next day arrives and everyone one is doing some last minute packing. At the Bhushan house the bus has arrived carrying the Singh's. With a last Bye to Chachaji. All of them head to Samrat's house where they pick Samrat, Benji, Chako and Annie. The last stop is Mayank's house where MM and Mayank join the others.
The seating arrangement was such. Gunjan and Samrat were sitting together, Mayur were together too. Benji and Uday were sitting together, Annie and Chako, Dia and Karan. Whereas behind MM, Dad and Raj were discussing something important.
With Sajan
Samrat – Are chashmish aaj koi book nahi laayi kya
Gunjan – Nahi Samrat laayi hoon na par bus ke liye nahi. Aur vaise bhi tumhare hote hue mujhe aur kuch zyaada entertain kar sakta hai kya.
Samrat – Hai!! Bahut sahi kaha vaise mujhe laga tha ki tum Karan ke saath baithne vaali thi par kya kare mera luck zyaada acha hai usse.
flashback
Samrat, Benji, Chako and Annie had just entered the bus. Raj and Karan were out keeping the luggage in the compartment. After everyone entered the bus Karan seeing Samrat walking towards Gunjan rushed forward and was just about to sit when…..
Dia – Oh Karan
Karan turning – Yea Dia kuch chahiye
Dia – Tum hamesha toh Gunjan ke saath baith te ho aaj toh mere saath baitho.
Looking at Gunjan and Samrat
Karan – Thik hai.
Walking past Samrat
Karan – Aaj tumhari baari enjoy.
present
Gunjan – Haan varna tum toh aaj Dia ke bagal main baithe hote. Kitna maza aata na
Samrat – Shayad par tumse zyaada I don't think so.
With Mayur
Mayank – Nupur bus chale hue kaafi time hua hai. Ab toh puja karna chodo.
Nupur – By God Mayank maine tumhe kabhi kaha hai ki tum hamesha padhte kyun rehte ho. Nahi na. Toh har cheez par tum apni taang kyun adate ho
Suddenly Benji
Benji – Aaah!!! Haa!!!
Everyone turns to see
Nupur and Gunjan are the only ones who rush to him
Nupur – Kya hua Benji
She lifts Uday and sits next to Benji
Nupur – Are tum toh aise lagte ho ki bimaar ho gaye ho. Chalo leto.
Benji – Ok and he lies on her lap
Nupur – Are…Nupur Bichaara kitna bimaar lagta hai abhi sahi vakt nahi hai hala machaane ka. Acha ab apni aankhein band karo.
Gunjan – Ek minute main tumhare liye coffee laati hoon.
She goes to get coffee. And then helps him to drink it.
Gunjan – Vaise tum itne der se jaag kar kya kar rahe the
Benji – Voh Samrat ne kaha tha
Samrat – Benji!!!
Gunjan – Samrat chup raho tum bolo Benji
Benji – Haan toh Samrat ne farm house ke liye kuch kaam ka list banane diya tha aur kaha ki main tab tak so nahi sakta jab tak voh list complete nahi hota.
Gunjan – KYA!! Samrat!!
Samrat – Voh Gunjan aisa kuch nahi hai maine toh mazak main keh diya yeh toh….
Benji – Jab dost itna pyaar se kehta hai toh kaise mana karu hai na Gunjan
Gunjan – Mujhe pata hai Benji tum Samrat ko apne bhai ki tarah maante ho par itna nahi karna chahiye
Saying this she started feeding him something and ruffled his hai. Benji was enjoying the attention and Samrat's glare
Benji – Aur pata hai Nupur jab maine Samrat ko kaha ki Mayank ko kehna toh voh keh raha tha ki Mayank nahi maanega
Mayank – Nahi aisa….
Nupur – Mujhe pata tha Mayank hi is problem ka jad hai. Padhai ke liye raat bhar jaaga rehta hai par dost ke liye NO!! Chalo tum so jao.
Benji – Tumhare lap pe chalega
Nupur – Haan
Benji – Gunjan tum mere baal sehlaogi feels Good
Gunjan – Kyun nahi
Saying this they both ignored Samrat and Mayank. There Samrat and Mayank depicting in Benji's voice
Mayank - Tumhare lap pe chalega Nupur. HUH!!! Kya samajhta hai
Samrat - Gunjan tum mere baal sehlaogi feels Good. Baad main main feel good karvata hoon.
Mayank – Abe teri vaali aur meri vaali tere dost ka kitna khayal rakhti hai
Samrat – Haan yaar meri vaali use coffee pila rahi hai aur teri vaali ko toh pillow ki tarah use kar raha hai.
Mayank – Meri vaali ne kabhi mujhe apni lap pe sone nahi diya.
Samrat – Aur meri vaali ne kabhi mujhe apni haathon se coffee nahi pilaya.
Mayank – Meri vaali ne kabhi apne kissi ache dost ke samne meri tareef nahi ki
Samrat – Meri vaali ne kabhi mere liye kissi achi dost se jhagda nahi kiya
Mayank – Fir Benji …
Samrat – Haan apna Benji jisse main zero kehta tha…
Mayank – Usne ek ko nahi dono ko le liya.
Samrat – Mayank maine kapde toh thik pehne hai na
Mayank – Haan mere baal toh thik hai na. Maine kaha tha maa ko ki baal mat chuo nikalne se pehle dekho kya hogaya. Vaise Nupur ke lap main sona kaisa hota hoga.
Samrat – Mujhe kya pata main uske lap main soya thodi hoon. Vaise Gunjan jab chuthi hai toh kaisa lagta hai. Voh toh mujhe use chune bhi nahi deti
Mayank – Mujhe kya….Nahi yeh mujhe pata hai.
Samrat – Matlab…
Mayank – Are voh Samrat jisske paas ladkiyaan makhi ki tarah chipakti hai usne Gunjan ko chua tak nahi hai.
Samrat – Nahi yaar vaise nahi dekh kitne pyaar se voh Benji ke baal sehla rahi hai.
Mayank – Are voh check kar rahi hai ki use temperature hai ki nahi
Samrat – TOH KYA MUJHE NAHI KIYA!!!
Gunjan – SAMRAT shh!! Benji so raha hai. Pehle toh galti karte ho fir shor machete ho
Nupur – By God tum Mayank ke sangat main reh kar bigaad gaye ho Samrat.
Mayank – Maine….
Nupur – Haan tum hi ho basic culprit. Tumhari vajah se Benji ki yeh haalat hai. Tumhe toh aadat hai na raat bhar jaagne ki toh voh kaam nahi kar sakte the. By God
Mayank – Dekha humpe baras gayi. Dekh kaise baal sehla rahi hai.
Samrat – Voh bhi temperature check kar rahi hai.
Mayank – Nahi baal sehla rahi hai
Samrat – Oho jab Gunjan kar rahi thi toh temperature aur jab Nupur kar rahi hai toh sehlana
Mayank – sehlana
Samrat – temperature
Mayank – Sehlana
Samrat – Temperature
Mayank – SEHLANA!
Samrat – TEMPERATURE!
Mayank – SEHLANA!!
Samrat – TEMPERATURE!!
Nupur and Gunjan – SHHH!!!!!!!!!! Jaakar apni jaga par baitho
Mayank – Thik hai par tum ab use apne lap se utha sakte ho
Samrat – Haan aur chashmish aur zyaada haath pakadna aur baal sehlaane ki zaroorat nahi hai
They go and sit in their places
Dia – Inhe ho kya gaya hai
Karan – pyaar…
Dia – Huh
Karan - Kuch nahi tum so jao na
After some time everything becomes all right and Gunur return to their places to see a very sad and angry Samrat and Mayank.
Gunjan – Kya hua
Samrat – Tum mujhpe chila rahi thi voh bhi sab ke samne us Benji ke liye
Gunjan – Haan toh
Samrat – Mujhpe……Benji ke liye
Gunjan – Oho Samrat galti ki hai toh sudharni toh padega tumhe ya mujhe kya faraq padhta hai
Nupur – Monkey ko aaj kya hua hai
Mayank – Itni jor se toh maa ne bhi nahi chilaya
Nupur – Oho toh yeh baat hai main abhi aunty ko bolti hoon ki tumpar chilaye. Au…
Mayank – baat voh nahi hai……Tumne us Benji ke liye mujhpe chilaya.
Nupur – Haan bechara
Mayank – haan main bechara
Nupur – Tum nahi Benji
Mayank – kya
Samrat – Aur tum usko khila pila kyun rahi thi uske haath main thodi hi dard tha aur baal ko kyun chu rahi thi mere baal ko toh kabhi nahi chua
Gunjan – Hmm baat toh tumne sahi kahi Benji hai hi itna pyaara ki dil karta hai
Samrat – KYA!!! Aur main pyaara nahi hoon kya
Gunjan – Ho par utne nahi
Mayank – Aur voh tumhare lap pe kyun so raha tha.
Nupur – Oh voh bechara thak gaya tha toh maine sone diya. Koi problem
Mayank – haan main kabhi nahi soya hoon tumhare lap par……..I mean koi aur nahi soya hai.
Nupur – Haan Benji ko tum kabhi na bol sakte hi nahi ho voh itna pyaara jo hai.
Mayank – Main pyaara nahi hoon
Nupur – Nahi utne nahi
Mayank and Samrat – HUH!!!! Pyaara nahi hoon!!!
Suddenly Uday starts up.
Uday – Chalo guy's bahut bore ho raha hai picture dekhte hai
Dia – DODO!!
Uday – Kya Di
Dia – What a lovely idea!!!!
Uday – Huh!!!
Dia – Chalo guys apne partner's ke saath movie dekho
Now the bus looked like a regular bus from the outside but from the inside it had a tv on each pair of seats.
Uday – Chal hum Dostana dekhte hai
Benji – KYA!!! KYUN!!!
Uday – Oho usme itne hot log hain
Getting up from the chair
Benji – Mujhe tera irada sahi nahi lagta.
Uday – Kyun Priyanka ko dekhne main kya burai aur vaise bhi Di nahi hai
Benji – Oh Priyanka toh aise bolna chahiye tha na
Uday – haan toh tujhe kya laga. Oho shuru hogaya kya beach hai, kya ladkiyan, hai kya Shilpa hai
With Dia and Karan
Dia – chalo Karan hum Love Story 2050 dekhte hai
Karan – What voh toh flop picture thi
Dia – Toh usme Harman kitna cute lag raha tha
Karan – No way hum Rock on dekhenge
Dia – please mere liye
Karan – Fine….
They start watching the movie Dia has put her head on Karan's shoulder and watching the movie whereas Karan is sleeping
With Annie and Chako
Annie – Hum kya dekhe
Chako – Roadside Romeo
Annie – No Fashion
Chako – No Annie voh adults picture hai.
Annie – Right chalo Roadside Romeo hi dekhte hai.
With Mayur
Mayank – Chalo koi sci-fi film dekhte hai.
Nupur – No way yahan koi Sharukh ya Ranbir ki nahi hai kya
Mayank – Thank God!!!
Nupur – BY GOD!!! Sharukh nahi Ranveer nahi toh Saif toh hai hum Hum tum dekhte hai
Mayank – Kya!!
Looking at Nupur's pleading eyes
Mayank – Ok
While watching the movie
Nupur – Mayank yeh Bilkul hamari kahani batata hai.
Mayank – Haan sivai ki tum Rani nahi ho…
Nupur – Kya matla…..
Mayank – Tum toh meri Madhuri ho. Hai na
On hearing Meri from Mayank she blushed and hid her face by resting her head on his shoulder.
Mayank – Is film main Saif idiot hoga par main nahi hoon main tumhe kissi ke paas nahi jaane doonga I promise
Nupur – Tumne kuch kaha
Mayank – Nahi….
The movie when reaches the sad part where Saif tries to get Rani out of her heartache Nupur is in tears.
Nupur – Mayank agar mere saath aisa kuch hua toh kya tum mujhe khush karne ki koshish karoge
Mayank – Nahi
Nupur – Nahi!!!
Now she is crying. This Mayank can't see and turns her face to look at him. Wipes her tears and then says
Mayank – Kyunki main tumhare saath aisa hone hi nahi doonga.
Nupur – Sachi…
Mayank – Sachi…
Nupur hugs Mayank
Mayank – Kyunki main tumhe har mushkil se dur rakhoonga
Nupur – Uhm Mayank
Mayank – Haan
Nupur – tum Benji se zyaada cute ho aur agar tumhe meri lap ki zaroorat pade kabhi toh puch lena
Saying this she quickly turns back to see the movie and hide her blush whereas she also didn't see Mayank smirking. She also didn't see Mayank moving closer to her and whispering in her ear
Mayank – Abhi chahiye
Nupur turned suddenly and saw Mayank very close to her. She couldn't hide her blush now.
Nupur – Mayank abhi sab dekh rahe hai
Mayank – Benji ke time bhi toh sab dekh rahe the…
Nupur – Haan par tumhare liye special …..Main dekh ke aati hoon aunty ko kuch chahiye ki nahi.
She gets up but Mayank holds her hand and pulls her back on the seat
Mayank – Maa ko kuch chahiye hoga toh voh Raj aur uncle ko keh degi. Tum kya keh rahi thi
Nupur was stuck suddenly she saw the movie
Nupur – Oho last part bahut cute hai dekho Mayank
Mayank – Main jaanta hoon ki tum kya kehne vaali thi par kab tak chupaogi
With Sajan
Samrat – Toh chashmish hum kya dekhe
Gunjan – Kuch bhi
Samrat – Kuch bhi great toh yaha koi basketball ka film hai kya
Gunjan – NAHI!!! Basketball nahi kuch aur. Jahan dekho vahan basketball. College se chuti li hai aur basketball se bhi. Hum yeh dekhte hain.
Samrat – Vivah yucks yeh bhi koi film hai.
Gunjan – Haan bahut achi film hai after all Shahid jo hai….matlab chote sheher ka jo hai
Samrat – Shahid….matlab
Gunjan – Dekho Samrat kissi ko kehna mat Di ko bhi nahi pata mujhe Shahid bahut cute lagta hai
Samrat – KYA!!!
Gunjan – Haan
Samrat – gunjan tumhari tabiyat toh theek hai aaj tumhe mere siva sare ladke cute lag rahe hai
Gunjan – Mazak mat karo Samrat
Samrat – Mazak…Acha Shahid main kya hai jo mujh main nahi hai.
Gunjan – Voh dance bahut acha karta hai
Samrat – Main bhi karta hoon
Gunjan – Voh guitar bajaata hai
Samrat – Main bhi bajaata hoon
Gunjan – Voh basketball nahi khelta
Samrat – Main bhi nahi…..Main khelta hoon
Gunjan – Dekha hua na tumse alag ab chalo picture dekho
While watching the picture Gunjan couldn't get over smiling and leaning more and more into Samrat. And Samrat couldn't stop watching Gunjan smiling and being close to her.
Gunjan – Pata hai Samrat yeh jo scene aa raha hai na yeh mera favourite hai
Samrat – Terrace vala
Gunjan – Haan kitne pyaar se bol raha hai na Shahid.
Samrat – Haan main bhi toh kitne pyaar se keh raha hoon Gunjan.
Gunjan – Samrat tum kya kar rahe ho.
Samrat – Tumse baat…… ab Shahid toh tumse milne nahi aa paya toh usne apne duplicate ko bhej diya jo basketball khelta hai.
Gunjan – Samrat….Yeh dono aise lagte hai jaise ek doosre ke liye bane ho au….
Samrat – Shh….Shayad unki tarah……hum bhi ho.
Gunjan – Main dekh kar aati hoon ki hum pahunche ki nahi
Samrat – Hum jab pahunchenge toh sab batayenge ab….
Gunjan – Samrat scene shuru ho gaya…Concentrate. Aur ek aur baat sorry tumpe cheekhne ke liye.
Then she ruffles his hair
Samrat – Concentrate toh kar raha hoon par us Shahid par nahi balki tumpe aur main jaanta hoon ki tum bhi mujhse pyaar karti ho par darti ho jaise Talent parade ke vakt thi. But don't forget tab bhi guru Samrat tha aur ab bhi. Aur Samrat tumse naraaz reh hi nahi sakta aur chalta hai ki tum Benji ko itna support kar rahi ho. Hone vaali bhabhi jo ho.
With MM, Dad and Raj
Dad – Hmm toh in charo ko milaane ka plan soncha tum dono ne ya machar maar rahe ho
MM – Itna interest hai toh khud kar lo
Dad – Tum…
MM – Tum…
Raj – AAP……
Both glare at him
Raj – Aap dono time kyun waste kar rahe hai. Yahan main picture dekh raha hoon
MM & Dad – HUH!! Kaunsi hum bhi dekhe
Raj – Sure front vaali dekhni hai ya back vaali
MM – Matlab
Raj – Vahan dekhiye
Pointing to Mayur
Raj – Aur vahan
Pointing to Sajan
Dad – Yeh toh humare umeed se bhi aage nikal gaye. Chalo Megha pata nahi time kyun waste kiya. Hum movie dekhte hain.
MM – Haan chalo
Raj – Aur main
Dad – Tum yahan double film dekho aur khabar dete raho. Ladko ko apne had main rehna chahiye.
MM – Mera beta tumhaari tarah nahi hai
Dad – acha thik hai chalo film dekhe
After a long time they reach the farm house.
Dad – Chalo bacho uttar jao yeh humara farm house hai
______________________________________________
That's the end of this extremely long update. The countdown has begun for the days left for new year. Let's see what happens. Do give your feedback guys.
44