Hogi Pyaar Kii Jeet-RajeevAamna FF-New Link-PG:150 - Page 61

Created

Last reply

Replies

1k

Views

115.4k

Users

54

Likes

415

Frequent Posters

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago

Originally posted by: spvd


res
hey dear finally u updated................was waiting for so long for the next part.....................congrats for ur thesis getting approved and good luck for the marks....................and hope u will post the next soon..................in ten days yash realised hes in love with chah and their dosti was very nice and they also shared about their family too..............twas very surprising angad and kripa became friends without eating the others head off and also angad proposed kripa and she accepted....................they were fast......................and these 2 couldnt stand each other for a second before but after their stay in hotel they later on spent all their time with only each other..............agad came with yash to enjoy manali but he didnt spend any of the time with yash but with kripa and yash with chah.......................felt bad for yash when chah didnt accept his proposal...................and chah is also hurting herself...................now u scaring me with the leap and a marriage proposal............hope its yash and chah marriage...................cant wait to know whats gonna happen in the next part.........................now that the flashback is over u better post the next part soon dear............dont take too long gap.......................cont soon dear...................



deepa thanks a ton.. it always gives me immense happiness to read your comments... even i liked the way yash & chah's relations developed.. it developed into such a beautiful relation.. yash & chah's is a indeed pure relation... i'll surely continue soon..😊

Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Silent readers please leave a single line or a single word comment... even if you like the post it will do.. thank you..😊
Edited by sun_423 - 15 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Next Part Coming Up In Five Minutes...😊
Edited by sun_423 - 15 years ago
Surya.Ravi thumbnail
Posted: 15 years ago
Hey People.. I hope all of you are doing good….. As I promised that I would post the next part of 'Hogi Pyaar Kii Jeet' soon, here I'am typing down the next part for all of you… guys thanku so much for you comments… they really boost my confidence & they also encourage me to write better.. I improve my writing because of all of you… guys I have observed that a few regular readers comments have been missing, please do comment or like the post.. if you don't like a certain part feel free to express your view on that too.. this will help me learn from my mistakes…. & guys I can't promise you but atleast for the month of December I'll be posted another two updates after the 17th part… I can't assure you but this is what I want to do by the end of this month… I'll try to the maximum extent & post 'Hogi Pyaar Kii Jeet' till the 20th part by the 1st of January… no promises but I hope I can do this.. so keep your fingers crossed & wish that this does happen.. this is just my target, let us see if I'am able to achieve it without any hindrance… if not anything you guys will surely have one more update by the end of this month… my results are not out yet.. I hope they are good.. otherwise I might become a bit cranky & not write the fanfic for a while.. but let us just hope all goes well… waise guys do you think I'am a chatter box… a friend of mine calls me that.. hehehe.. I love talking… but now let me stop my talking & carry on with the next update of my fanfic… so here is the next part of 'Hogi Pyaar Kii Jeet'… but let us first take a look at the recap & know what actually happened in the previous part of 'Hogi Pyaar Kii Jeet'…. So here is the short glimpse at the recap…

Recap:- well in the last part we saw a lunch date of yash & chah.. not exactly a lunch date, but both of them were having their lunch together & they were also sharing their views on varied things… we also saw that yash chah se dosti karna chahtha hai, but chah who has been very hurt in life does not want to let anyone enter her life… but still yash continues to pursue chah for their friendship… yash realizes that he indeed has feelings for chah.. chah on the other hand is getting attached to yash, but still she wants to remain aloof from him… we also saw that ek taraf jahaan yash aur chah ke dil mein ek dusare ko lekar kayi sawaal uth rahe the wahiin dusari taraf angad & kripa became fast friends… may be the reason for their friendship was there fights… we also saw that the medical camp has been called off & kripa, chah decide to stay in Manali for a week more.. we got to see that yash-chah, angad-kripa go to the disco, where angad, proposes to kripa & kripa agrees.. on the other hand, chah is enjoying her time alone… but her enjoyment does not last longer because some guys come to her & start bothering her… yash teaches those boys a good lesson & takes care of chah, when she is emotional.. & because of this incident yash & chah become friends.. after that the rest of the week yash & chah are forced to give each other company.. not that they mind… but still they have no other choice because angad, kripa were too busy with each other that they could not even spare 10 minutes for chah & yash.. yash & chah got to know each other better, they understood the other person better…. On the 8th day of the stay chah opens up her heart to yash & pours out all her pain & anger in front of him… yash does the same.. & both feel a lot better after doing that… their bond of friendship is seen to be getting stronger & was growing… on the 9th day of thei stay yash keeps surprizing chah, by sending her gifts, note & sms… finally the moment comes when yash proposes to chah & asks her to be his forever.. chah is taken aback.. though she has feelings for yash, she does not want to accept it… she has the feeling that she is not the lucky one in love & she feels she does not deserve anyone's love for that matter… this creates difference of opinion between yash & chah.. on one side there is yash who wants to shower chah with his friendship & love & on the other side there is chah who does not want to love or be loved by anyone… & with these things going on yash & chah part ways on a sad note.. even chah kripa have a argument over the matter & the outcome is not very pleasant… with pain in their hearts yash & chah move on, but a part of their heart is always left behind.. with that the flashback ends… & now let us see what happens in the story on the present day as well as in the future.. so here's presenting the next update of my fanfic 'Hogi Pyaar Kii Jeet'….

*****Hogi Pyaar Kii Jeet – Part 17*****

Present: 2007


We see chah is in her room sitting on the ease chair, in the balcony…. Chah slowly opens her eyes, slight tears flow down from her eyes…. Chah does not wipe away those tears but she looks up at the moon…. Chah ko aise lagtha hai jaise kii chand us par hass raha hai… chah starts talking to the chand:- bohat haasi aa rahii hai na mujh par…. Ek baat kahun mujhe bhi kudh par bohat hassi aa rahii hai…. Tum jaanthe ho mujhe haasi kyun aa rahii hai, mujhe haasi isliye aa rahi hai kyunke meri zindagi mein joh yeh sawaalon ka bhakheda khada hua hai na woh sab sirf aur sirf meri hii wajah se hai… maine kudh meri zindagi ko in sawaalon ka dher bana diya hai.. [& then she adds sarcastically] aur in sab mein jaanthe ho sabse mazedaar baat kya hai, woh yeh hai kii mujhe mere ek bhi sawaal ka jawaab nahii patah… shayad zindagi bhar main yun hii sawaalon se ghiri hui rahoongi aur mere sawaalon ka mujhe kabhi koi bhi jawaab nahii milega… patah hai tumhe mujhe kya lagtha hai, mujhe kabhi kabhi aisa lagtha hai kii main apne in saare sawaalon ko lekar yash ke pass jaaun… kyunke main jaanthi hoon kii mere saare sawaalon ka jawaab sirf aur sirf yash hii hai.. ajeeb baat tho yeh hai kii mere sawaal aur unke jawaab sab ek hii hai aur woh koi aur nahii balki yash hai.. woh yash jisse mein kabka peeche chod aayi… aur agar main usse peeche chod aayi hoon tho aaj bhi mujhe yash ke kudh se durr hone se dard kyun hotha hai.. kyun main apne is dil ko nahii samjha paa rahii hoon kii yash aur mere beech koi waastha nahii.. main joh yash ke saath theen saal pehle kiya tha uske bawajood bhi kyun aaj bhi yash mera intezaar karr raha hai.. kyun yash ko dekhkar mujhe aisa lagtha hai kii woh aaj bhi wahiin hai jahaan main usse aaj se theen saal pehle chod aayi thi… main tho us modh par nahii hoon.. tho phir yash kyun wahaan hai.. jaise main majboor thi agge badhne ke liye, kyun tumne yash ko majboor nahii kiya.. agar woh agge badh chukka hotha tho main shayad kudh ko kasoorvaar nahii maanthi.. lekin aaj jab maine yash ko dekha, usse samjha tho mujhe kyun aisa lag raha hai kii main uski gunegaar hoon… maine kabhi nahii chaha tha kii meri wajah se kissi ko dukh ho… dard ho.. lekin kyun maine dard diya yash ko.. kabhi-kabhi tho mujhe aisa lagtha hai kii agar maine usse us din uske pyaar ke liye na nahii kaha hotha tho aaj woh aisa nahii hotha.. haaan yash khush hai usne apni zindagi mein kamiyaabi haasil kiya hai, lekin joh baat maine aaj uske aankhon mein dekhi, maine yash kii aankhon mein woh sunapann dekha, joh hamesha meri aankhon mein hua kartha hai.. yash ke is sunepann kii wajah sirf aur sirf main hoon.. shayad main hii manhoos hoon.. joh bhi mujhse related hai usse kissi na kissi tarah se dukh mil hii jaatha hai… shayad issi liye mujhe kabhi apne maa papa ka pyaar nahii mila, main apne pariwaar ke liye pareshaani kii wajah hoon, aur yash joh mera dost hua kartha tha joh zindagi ko khulkar jeetha tha uski zindagi ke akelepann kii zimedaar main hii hoon.. mujhe koi hakh nahii banntha kii main, apne apno ke dukh kii wajah banu… lekin main kya karun… mujhe kyun itna dard mil raha hai zindagi se… maine kya kiya.. agar mera saaya kissi ke liye manhoos hai tho yeh manusiyat mujhe tumne dii hai [she tells the chand & is also referring to God..] iska matlab yeh nahii kii tum mujhe is baat kii saza do… maine kya ghalthi kii, kii main in theen saalon mein theek se nahii so paayi hoon.. kya ghalthi hai hai meri.. yash ne mujhse pyaar kiya.. usne mujhse mera dost cheen liya… main yash se issi liye pyaar karna chahthi thi kyunke main jaanthi hoon kii woh kitna achcha hai.. main jaanthi hoon kii he is so true.. & mujhe nahii lagtha kii main yash jaise ladke ko apni zindagi mein deserve karthi hoon.. yash deserves someone better.. far better than me.. main nahii chahthi thi kii main uska saath doon aur usse zindagi bhar yeh sunnne ko mile kii usne ek aisi ladki ka haath thama jiske kudh ke maa-baap usse beshara chod kar chale gaye.. main jaanthi hoon kii yash mujhse pyaar kartha hai, lekin is samaj ke liye tho humara rishtha ttaras keh laatha… aur tum tho jaanthe ho na chand kii main kissi ki taras, sympathy nahii chahthi… shayad main pyaar ke liye bani hii nahii hoon.. pyaar aur mera shayad durr durr thak koi waastha nahii hai.. main kya karun agar mujhe itne ghaav mile hai jiske wajah se aaj bhi main pyaar par yakeen nahii karr paa rahii hoon.. tum jaanthe ho chand mere dil mein hamesha yeh baat aathi hai kii agar maine yash ka haath thaam liya hotha aur agge chalkar woh mujhe chod detha tho… yeh sawaal mujhe hamesha daraa dethi hai.. maine yash kii aankhon mein hamesha apne liye pyaar dekha, lekin main us pyaar kii haqdaar nahii hoon.. us pyaar kii haqdaar woh shaqs hai joh yash ko sabse zyada pyaar degi aur ghum ko uske aas-pass kabhi bhi kissi bhi keemat par aane hii nahii degi.. aur main woh nahii hoon aur nah ii kabhi main woh bann sakthi hoon.. because I have given so much of pain to him which will last a life time… chand jii please aap meri baat maanlo aur yash kii zindagi mein ek aisi ladki ko le aao joh uske saare dard durr kar de aur usse bepanaha mohabbat kare… itna tho aap karr hii sakthe hai na chand jii.. waise bhi main kudh ke liye tho aapse kabhi kuch nahii maangthi hoon tho I hope kii aap meri yeh request ko zaroor consider karenge… chah smiles but her pain & the turmoil she is going through is visible on her face.. chah is about to turn the other way round & walk away.. when she hears a voice from behind:- chah tum keh rahii ho kii yash kii zindagi mein koi aur ladki aa jaaye… lekin chah kyat um yeh baat bardhast kar paaogi.. dekh paaogi apne yash ko.. apne pehle pyaar ko kissi aur ke saath.. kissi aur kii baahon mein..
Chah looks back she sees no one is there… lekin she hears the question again:- bolo chah kya dekh paaogi yash ko kissi aur ke sath.. kissi aur kii baahon mein… chah for a second is unable to understand what is going on, when suddenly she looks up at the moon again.. & she sees that it is the moon which is asking her this question.. [actually it is not the moon but the confusion going on between chah's heart & mind.. but chah imagines it to be the moon…]
The moon repeats the question:- maine tumse kuch poocha chah.. kya dekh paaogi tum yash ko kissi aur ke saath.. agar tum kahogi kit um dekh paaogi tho main zaroor tumhari baat ko consider karunga aur yash kii zindagi mein kissi aur ko bhej doonga, joh usse pyaar de… bolo chah..
With the thought of somebody else being close to yash, either than her, chah feels a pain in her heart.. a pain which she cannot express to anyone in this world.. a pain which she cannot accept or express to herself too.. but chah who has been a master in hiding her pains all these years succeeds once again.. & she answers back:- haan main chahthi hoon kii yash kii zindagi mein koi aisa ho joh usse samjhe, usse pyaar kare.. na kii meri tarah usse sirf dard de.. main jaanthi hoon kii joh main chahthi hoon waisa kabhi nahii ho saktha.. agar main ek pal ke liye yeh bhi chahun kii main yeh kii hamesha ke liye ho jaaun tab bhi shayad mera dil mujhe iski razamandi de de, lekin mera dimaak mujhe kabhi razamandi nahii dega.. aur mere khayal se ek faisla lene ke liye dil aur dimaak kii razamandi ka hona bohat zaroori hai… main tho yash ko pyaar nahii de sakthi.. main chahthi hoon kii kumsekum yash ko uske hisse ka pyaar mil jaye.. mujhe tho mere hisse ka pyaar kabhi nahii mila, lekin please joh mere hisse ka pyaar hai woh bhi aap yash ko hii de dena.. kyunke mujhse zyada is pyaar kii zaroorat yash ko hai..
The moon:- lekin kyat um jee paaogi yash ke bina.. kya tum is ehsaas ke saath jee sakogi kii yash kii zindagi mein uski humsafar tum nahii balki koi aur hai.. kyat um yeh nahii chahthi kii log tumhe 'chah yah garewal' ke naam se jaane.. kyat um kabhi nahii chahthi kii tumhara naam yash ke saath jude…
Chah:- mere chahne ya na chahne se kuch bhi nahii hone waala… yash apni zindagi mein mujh jaisi ladki ko deserve nahii kartha.. aur bas issi liy faisla hogaya hai main, mera dil joh bhi chahe woh mere liye maayine nahii rakhtha… bas main itna jaanthi hoon kii yash kii khushiyaan mere saath nahii hai.. woh mere saath kabhi bhi khush nahii reh paayega…
The moon:- yash khush hai ya nahii is baat ka faisla karne waali tum kaun hothi ho.. tumhe yeh haq kisne diya kii tum yash ke bare tay karo kii uske liye kya sahii hai aur kya ghalat.. shayad joh tumhare hisaab se yash ke liye sahii hai, woh sahi mayino mein ghalat ho.. tum tho kudh ke liye koi faisla nahii ke paa rahii ho.. tho tum doosron ke liye kaise koi faisla le paaogi…
Chah:- main theek hoon… lekin yash theek nahii hai.. aur yash ne mujhe yeh haq diya hai kii main uske faisle le sakoon.. main uski dost hoon aur ek dost hone ke naate itna tho main karr hii sakthi hoon..
The moon:- sirf dost..
Chah gets irritated & says :- ab bohat hua… main tumhare harr baat ka jawaab dena zaroori nahii samajthi.. samjhe… chah points her finger at the moon but she realizes that it was just her figment of imagination that the moon is talking to her.. she also realizes that it is just the confusion which is going on with in herself that has caused all these things..
Chah just sighs to herself… she goes inside her room, sits on her bed & thinks:- shayad un cheezon ko ek baar dekhne se mere dil ko raahat mil jaayegi… chah thinks whether she should do it or shouldn't, finally she decides that she should do it… she takes small steps towards her cup-board opens it & then from one of the end she takes out a small box… chah holds that box tightly in her hands.. she clutches to the box as if it was very precious to her.. she looks at it once & then takes it along with her & sits on the bed, opens the box & starts looking at the contents of the box..
We can see that the box has many photos of yash & chah in Manali… along with the pics there was letter in that box… chah takes the the letter out & starts reading it again, as she does it every time she is guilty..

The Letter:

Dear , is dear ke agge kuch nahii likha kyunke ab chah kahun ya chah jii kahun ya phir my best friend chah kahun, ya love of my life chah kaun meri samaj mein nahii aaya, issi liye bas dear… & jaisa yeh shabd hai dear you are indeed very dear to me.. you have always been dear to me, you are even now & I promise you are the only one who will always be dear to me… main jaantha hoon shayad tum yeh letter panda bhii nahii chahogi lekin main kudh ko rokh nahii paaya issi liye yeh kucj hum dono kii tasveerein aur yeh letter tum thak kripa ke haathon pohancha raha hoon.. agar waqt mile tho is letter ko padh lena.. chah in kuch dino mein mujhe aisa laga kii meri zindagi bilkul badal gayi hai.. sahii padha tumne… Manali mein tumse mulaqaat ke baad meri zindagi badal gayi… mera zindagi ko dekhne ka nazariya badal gaya hai… yeh joh bhii hua hai sirf tumhari wajah se hua hai.. jab hum pehli baa mile tab maine tumhari taraf ek anjaana sa khichaav mehsoos kiya tha.. aaj bhi itna sab kuch humare beech mein hone ke bawajood main humare beech ka kheechaav mehsoos karr raha hoon.. mere khayal se tho yeh khichaav hamesha hii rahega bhale hii hum mile ya na mile.. tab pehli baar main is khichaav ko samaj nahii paaya.. aur tumse ladh baita.. sorry for that.. main tumse kuch aisi baatein bol baita joh mujhe bolni nahii chahiye thi… yaad hai maine tumse kaha kii tum sirf ek student trainee ho aur koi doctor nahii, main aaj tumse kehtha hoon tum ek na ek din zaroor hot shot badi doctor banogi.. uske liye All The Best.. chah maine tum mein apna woh dost paaya jiski taalash jaane mujhe kabse thi.. tum meri woh dost bani jisne mere bina kahe hii mujhe samaj liya… kabhi mujhe tumhare saamne kuch kehne kii hii zaroorat nahii padi, kyunke tum hamesha apne is dost ke dil ka haal aankhon se samaj lethi thi.. kabhi kabhi tho mujhe aisa lagtha hai kii kaash tum mujhe pehle hii mili hothi… tho na hii meri life itni boring hothi aur na tumhari life itni monotonous.. I'am sure agar hum dono dost pehle hii bann gaya hothe na tho humari dosti would have surely made a difference in our lives… lekin haan yeh matt samaj na kii main yeh kehne kii koshish karr raha hoon kii tumhare saath dus din kii dosti made no difference.. tum aur main yeh baat mane ya na mane but yeh kuch paalon kii dosti has made a whole lot of difference in our lives.. min jaantha hoon chah shayad tum yeh maanthi ho kii yeh din joh humne ek dusare ke saath guzare the woh bas kuch pal ka saath hai… lekin mere liye yeh kuch din meri zindagi ke sabse haseen yaadein hai.. joh pal maine tumhare saath guzara hai usse main kabhi nahii bhula saktha aur main bhoolana bhi nahii chahtha hoon.. chah shayad main yeh baat hamesha se hii jaantha tha kii agar main tumse apne dil kii baat kahoonga tho tum mujhse saare naathe thod dogi.. mujhe is baat ka ehsaas tha.. lekin main is dil ka kuch nahii karr paaya… main kya karoon usse tumse pehli nazar mein hii pyaar hogaya… deewana sa hogaya tha main tumse milne ke baad.. tumhare liye mujhe yeh bhi manzoor hai… main chahtha tha kii tum yeh baat jaano kii aakhir mere dil mein tumhare liye kya feelings hai, mere dil mein yeh umeed thi kii tum mere dil kii baat ko samjogi aur mujhse pyaar ka ikraar karogi.. lekin aisa nahii ho paaya.. main jaantha hoon chah tum kabhi mujhe hurt nahii karna chahogi.. bas us pal haalaat hii kuch aise the kii na tum kuch kar paayi aur na main.. I just could not help but tell you the truth that I love you… chah agar main chahtha tha main apne pyaar ka izhaar tumse kabhi nahii kartha, lekin maine socha kii agar mera pyaar sachcha hai tho tum mujhe chod kar kabhi nahii jaaogi.. main yeh samajtha tha kii mere dil mein kya ha usse jaan ne ka tumhe poora hakh hai… isliye main is dil ko rokh nahii paaya aur maine tumse apni dil kii saari baatein keh di.. you know what chah tumse apni dil kii baat kehne se pehle maine yeh socha tha kii tum mere proposal ko either haan kahogi ya mujhe thappad marogi… lekin maine yeh kabhi nahii socha tha kii mere un jazbaat kii wajah se tumhe dard hoga, tumhe takleef hogi… maine sapne mein bhi aisa kabhi nahii chaha tha… main tumhari khushiyon kii wajah bann na chahtha tha, lekin anjaane mein hii sahii main aaj tumhare dard kii wajah bann gaya hoon.. agar yeh mere haath mein hotha kii main tumhara dard mita doon tho main zaroor usse mita deha, bhale hii chahe uske liye mujhe aur mere dil ko kitne hii ghaav kyun na mile lekin main tumhare liye yeh zaroor kartha… tum tho jaanthi ho na kii main tumse kabhi jhoot nahii boloonga.. jab hum dono ek dusare se mile tho maine yeh kabhi nahii socha tha kii main tumse itna pyaar karunga kii mere liye kudh se zyada important tum ho jaaogi… lekin aaj jab tum mere liye itni khaas hogayi ho tab main kuch nahii karr saktha.. main apne dil ke haathon majboor hoon… jab maine tumse mere dil kii baat kahii tab bhi main dil ke haathon majboor tha… main tumse hamesha pyaar karunga chahe mujhe badle mein tumhara pyaar mile ya phir na mile tum jaanthi hogi kyun.. lekin phir bhi main tumhe batatha hoon kyunke main apne dil ke haathon majboor hoon… main shayad tumhe kabhi bhi samaj nahii paaya tha.. mera dil bas yeh jaantha tha kii main tumse pyaar kartha hoon.. kuch aur dekhne aur samaj na tho durr main eek baar bhi yeh nahii socha kii mere confession ke baad tumhara kya hoga…. Maine tumse apni dil kii baat tho keh dii, tum wahaan se mujhe chod kar chal dii na mujhe tumhe samjha ne ka waqt mila aur na hii sorry bolne ka waqt mila… tum chali gayi wahaan se, mujhse mere dost aur pyaar ko bhi cheen le gayi.. lekin I cannot blame you.. kyunke tum tho mujhse pyaar hii nahii karthi na… tho phir mujhe tumse koi umeed nahii honi chahiye.. iske bawajood bhi na jaane mujhe aisa kyun lagtha hai kii tumhari aankhein kuch keh rahii thi aur zubaan kuch aur… us din maine tumhari aankhon mein woh dard dekha joh aaj se pehle kabhi nahii tha… aur main jaantha hoon kii tumhare is dard kii wajah sirf aur sirf main tha… mera yakeen maano chah main kabhi nahii chahtha kii tumhe ko bhi takleef ho, woh bhi meri taraf se kabhi nahii… phir bhi main tumhari takleef kii wajah bann gaya.. chah jab tum yeh letter padh rahii hogi shayad tum mujhse nafrat karr rahii hogi, aur main is baat se khush hoon, jaanthi ho kyun chah, woh isliye kyunke pyaar na sahii tum mujhse nafrat tho karthi ho na… aur isse achchi baat mere liye kuch nahii ho sakthi.. shayad main tumhare nafrat ke hii kaabil hoon, tumhe maine itna rulaya joh hai.. main jaantha hoon bhale hii tum meri baat ko kitna hii kyun na jhutla do lekin tum jab bhi tum yeh letter padogi tumhari aankhon se meri yaad mein aasoo behenge.. ek kadwi yaad bannkar hii sahii lekin main hamesha hii tumhare saath rahunga.. chah bhale hii tumne mere pyaar ko tukhra diya ho lekin iske bawajood bhi mera dil yeh maanne ko hii taiyaar nahii hai kii tumhe mujhse pyaar nahii hai.. I know it is foolish on my part to feel that way… par kya karun dil hai kii maantha nahii… thoda zyada flimy hogaya na… waise tum hii tho kehthi thi kii main bohat flimy hoon.. tho bas socha kii uski ek jhalak yaad dila dun tumhe.. warna zindagi ke is bheed mein tum is kuch palon ke dost ko bhool jaaogi… agar tum mujhe bhool bhi gayi na tab bhi mujhe tumse koi shikayat nahii hogi, koi gila nahii hoga, you know why because I'll think that this is the best way things could have turned for you… maine jab tumhe mujhse durr jaathe dekha tho main chahtha tha kii main tumhe rokh lun.. zabardasti hii sahii lekin tumhe kabhi bhi kudh se durr na jaane doon… lekin us pal mujhe ek khayal aaya aur woh yeh kii 'yash chah tumhare bina khush hai jis din woh tere saath khush hogi us din woh tere saath hogi, zabardasti koi rishtha nahii judtha' bas mere mann mein yeh khayal aaya aur maine tumhe jaane diya… waise is dil se tho main tumhe kabhi jaane nahii dene waala hoon…. Yaad rakhna meri baat ko… agar tum aaj se mujhe dus, bees saal ke baad milogi na tab bhi tum mujhe yun akela hii paaogi aur main aaj bhi tumhara intezaar karr raha hoon, kal bhi karoonga, mere harr din, harr pak mein tum aur mera tumhare liye intezaar shamil hoga.. meri roz kii subaah ab se issi khayal se hogi kii kaash aaj woh din ho jis din mera intezaar khatam ho sake.. aur jab us aaj ke khatam hone ka waqt aayega main tab bhi yahii umeed karoonga kii aaj na sahii ko kal hii sahii mera intezaar khatam ho.. shayad aaj khatam ho jaaye, kal khatam ho jaaye, meri yeh saansein tumhare intezaar mein thum jaaye phir bhi mera intezaar kabhi nahii khatam hoga.. yeh mera waada hai tumse… tum jab bhi mujhse milogi tum mujhe wahiin paaogi jis raah par tum mujhe chod gayi thi… aur jaanthi ho main kya maantha hoon, main yeh maantha hoon kii 'agar tumhara pyaar jaana chahe tho usse jaane do, agar woh laut kar aaye tho woh tumhara hai' mujhe yakeen hai kii tum ek na ek din mere pass, mere liye lautogi… bhale hii woh ek pal, ek minute, ek din ya zindagi bhar ka saath hii kyun na ho, lekin tum zaroor aaogi, meri bann kar.. itna yakeen tho aaj bhi hai mere dil ko mere pyaar par.. chah main jaantha hoon kii tumhare dil ke kahiin kissi kone mein mere liye pyaar hai.. yeh alag baat hai kii tum us pyaar ka na izhaar karna chahthi ho aur na hii us pyaar ko mehsoos karna chahthi ho.. main yeh baat jaantha hoon.. maine is baat ka ehsaas tab kiya jab maine tumhari aankhon mein aasoo dekhe jab main tumse apni dil ki baat kahii.. tum bhale hii mujhse kuch na boli ho lekin tumhari aasoyon ne sab kuch bayaan kar diya… maine is baat ko mehsoos kiya hai kii tum mujhse pyaar karthi ho.. if life gives me another chance at love main zaroor tumhare dil mein chupe pyaar ko, jabzaat ko bahar le aaunga… that is if life is kind enough to me & I get to see you again in this life time… chah zindagi bohat hii chotti hai, aur zindagi mein joh khushiyaan hothi hai woh unse bhi choti hai… humein chote-chote baaton mein khushi dhoond ni padthi hai, main tumhare khushi kii wajah bann na chahtha hoon chah.. maine hamesha tumse kaha hai aur aaj bhi keh raha hoon zindagi ko khulkar jeeyo, aise jeeyo jaise kii 'there is no tomorrow', life is short enjoy every moment, live every moment because life is not meantr to cry & crib all the time.. life is meant to love & live life to the fullest.. tum khulkar nahii jeethi ho chah, main eek koshish kii thi tumhe tumhare ghum se bahar nikal ne kii.. lekin main ismein na kamiyaab raha… chah agar agge chalkar tumhari zindagi mein koi ladka aaye, jisse dekhkar tumhe aisa laga kii shayad yeh sahii shaqs hai mere liye, shyad yeh woh shaqs hai jiske saath main apni zindagi guzaarna chahun, tab tum please kudh ko matt rokhna bejhijhak agge bhadna.. kyunke main chahtha hoon kii tumhe tumhari zindagi mein tumhare hisse ka pyaar mile, woh pyaar joh tumhe mujh mein nazar nahii aaya… aur chah main jaantha kii I don't mean anything to you lekin phir bhi main tumse keh raha hoon jab tum apne pyaar kii taraf agge badhogi na tab tum ek pal ke liye bhi yeh matt sochna kii mera kya hoga.. hamesha ek baat yaad rakhna chah, meri khushiyaan tumse hai, tum khush ho tho mujhe is zindagi se kuch bhi nahii chahiye… tho is liye tum jahaan rehna chahthi ho raho lekin hamesha khush rehna.. hamesha yaad rakhna kii agar tum mujhe khush dekhna chahthi ho tho tum khush raho, kyunke meri khushiyaan tumhari khushiyon kii moutaaj hai.. tum khush ho tho main khush hoon.. yeh baat alag hai kii shayad tum mujhe bhula dogi, lekin phir bhi maine yeh baat kahii kyunke shayad ab bhi mere dil mein yeh umeed hai kii tumhare dil mein mere liye kuch tho feelings hai… yeh alag baat hai kii main jaantha hoon tum mujhse pyaar nahii karthi.. lekin tumhari aankhein tumhari dil ka aaina hai… tum meri ho sakthi ho yeh umeed mere dil mein ghar karr gayi hai aur jab thak main hoon, meri saansein hai yeh umeed rahegi.... aur shayad uske baad bhi rahegi… chah maine tumse kuch waqt maangatha is letter ke shuru mein aur kaha tha kii agar tumhare pass waqt ho tho tum is letter ko padh lena, ab shayad mera yeh letter bohat bada hogaya hai… agar main aise hii likhtha chala jaaunga tho kabhi is letter ka anth hii nahii hoga.. aur main jaantha hoon kii tum busy rehthi ho, aur khaas karke mere liye tho tumhare pass waqt hii nahii hai.. is liye ab main kuch bhi zyada nahii bolunga.. bas ek aakhri baat keh raha hoon, chah tum kabhi bhi kudh ko meri gunegaar nahii manna.. yeh baat hamesha yaad rakhna kii tumne kuch bhi nahii kiya.. pyaar maine tumse kiya… aur tumhara poora hakh banntha hai kii haan ya na kehthi.. mera dil toota yeh meri ghalthi hai.. tumne kuch nahii kiya… main nahii chahtha kii kabhi bhi tum kudh ko mere dard ke liye zimedaar maano, kyunke tum zimedaar nahii ho.. joh hua bas meri hii wajah se hua…… mujhe tumse pyaar hogaya aur main kuch nahii kar paaya.. main tumse yeh nahii kehtha kii tumse pyaar karna meri ghalthi thi.. it was my luckiest day when I fell in love with you… & I'll always continue to love you it does not matter if you love me or not, all I know is I love you from the bottom of my heart.. tum mujhse pyaar nahii karthi yeh tumhari ghalthi nahii balki meri ghalthi hai kyunke main tumhare dil mein mere liye pyaar ka ehsaas nahii jaga paaya… shayad mere hii pyaar mein kahiin na kahiin koi tho kami rahii hogi, issi liye tumne mujhse kaha kii tum mujhse pyaar nahii karthi.. mujhe tumse pyaar hai aur rahega, mujhe tumhara intezaar hai aur rahega yeh meri problem hai.. tumhari nahii.. chah agar tum kudh ko mere haal ka zimedaar maanogi tho mujhse bura koi nahii hoga.. samjhi tum.. aur tum tho jaanthi ho na kii tumhari takleef se mujhe takleef hothi hai, tho in simple words mere dard ko bhoj kudh par matt lo, iske wajah se mujhe hii aur zyada dard hone lagega.. aur agar yeh dard hadh se zyada badh jaye tho main shayad kabhi kudh ko sambhal nahii paaonga… tho bas yeh baat apne dil aur dimaak mein register kar do kii 'Tum mere dard ke liye zimedaar nahii ho.. tumhari koi ghalthi nahii'.. aur haan ek aur baat sorry maine tumhari dosti ka haath nahii thama kyunke main nahii chahtha tha kii hum dono hii ek aadha adhura rishtha jiye, jabki hum dono ek dusare kii dil kii baat ko bakhoobi jaanthe hai.. kyunke us aadhe adhura rishthe se hum dono ko hii takleef hothi.. aur tumhe koi takleef ho, woh bhi meri wajah se, kya main aisa kabhi hone de saktha hoon bhala? Anyway phir shayad hum mile na mile main is chitti ke saath hum dono kii kuch tasveerein bhej raha hoon tumhe.. yeh tasveerein tum rakh lena… lekin tumhare saath beeti hui harr yaad mere dil mein hamesha rahegi… meri taraf se yeh tasveerein tumhare liye.. lekin tumhari yaadein sirf meri hai… apna khayal rakhna.. phir shayad kabhi hum ek dusare se na baat kare aur nah ii mil paaye… so this may be our final good-bye.. kyunke kya patah kal ho na ho.. byee… ek baat hamesha yaad rakhna tumhara mujh par hamesha se haq tha, hai aur rahega… keep smiling where ever you are because your happiness means a lot to me & that is all I want from life…… tumhara kuch palon ka dost… your ex- friend….. Yash…

P.S: I love you.. & I will always do so…

Chah touches the letter where yash has written I love you, the place is dried wih yash's tears.. chah knows & feels what yash must have gone through while writing this letter… she takes the photos & starts looking at each of them.. each is a cherished memory for her.. a memory without which she will find herself alone even in the crowd.. chah ko aaj bhi yaad hai three years back when she came back from her medical camp she used to be subdued.. quiet.. one day when she was at her university, kripa handed her this box saying it was her's.. more than that kripa never spoke to her… their friendship strained in all the happenings.. kripa found new friends & a partner in angad… chah remembers the time that very day when kripa gave her the box, she had come back home & with a restless mind & heart she had checked the contents of the box.. the first time she read yash's letter it took her almost a day to calm herself & get back to her monotonous life… chah holds the letter tightly in her fingers… she walks to her shelf & gets out the shawl which she never had a chance to return to yash.. she holds the shawl & feels as if yash is close to her… chah starts seeing yash at every nook & corner of her room.. she tries to move the image away from her thoughts but is unable too… she puts the box with the contents back in the cuo- board… then chah goes to her bed she lies down, covers herself with yash's shawl 7 realizes that she has not yet kept yash's letter back in the box.. chah decides to go & put it back, but as always she starts reading the whole letter again.. this was what she always did.. whenever she felt her pain was unbearable she used to read yash's letter & relive the memories & always remind herself that the pain she is suffering is nothing compared to the pain she has given a person who loved her truly with all his heart & soul..
Chah reading the letter again sleeps doing it… in one hand she is holding the shawl & in the other she is clucting the letter.. chah falls into deep slumber may be because she feels yash close to her…

In Shimla yash is lost in his past memories… he smiles thinking of chah… & then he sees the moon imagines chah's face in the moon & he says:- 'Tanha tanha jeeya jaayena.. Pal pal yun marra jaaye na… Ab tho laut aao meri zibdagi mein.. Bin tere raha jaayena'…
Yash smiles & says:- tum ek na ek din zaroor meri hogi chah… yeh mera kudh se us aasmaan se chand se mere dil se waada hai.. main jaantha hoon tum zaroor aaogi meri zindagi mein, meri zindagi bannkar.. bas uske liye mujhe thoda sa intezaar karna hoga.. I'am sure is intezaar ke baad sab kuch theek ho jaayega.. tum aur main se hum dono 'Hum' bann jaayenge.. bas kuch waqt kii zaroorat hai… kyun sahii kaha na maine.. chand… yash imagines that the moon is showing him thumbs up… seeing this yash smiles to himself… woh apne dil par haath rakhtha hai aur kehtha hai:- thank you chand.. waise bhi mujhe mere pyaar par aur meri chah par itna yakeen tho hai… main jaantha hoon kii mera pyaar zaroor laut kar aayega.. aaj nahii tho kal , kal nahii tho parsun, parsun nahii tho tarsun, tarsun nahii tho kabhi na kabhi tho chah aa hii jaayegi.. woh apne pyaar ke haathon mein majboor hogi… yash then sees the time & he tells himself:- chal beta yash.. ghar chalo… warna agar ghar waalon ko patah chal gaya kii main abhi thak ghar par nahii hoon tho I'am sure dida, mumma aur chichi ghar ko sarr par uta lengi.. chal ghar chal… yash walks to his car & then drives back home… though his past has a scaring memory, he is still happy because he knows his love is true & he believes that whatever is happening is just a test of time..

On the other hand back in Delhi chah is sleeping peacefully…. But she has forgetten to switch off the light of her room.. she falls asleep even without her knowledge.. sneha who is in her room gets up to get some water when she sees that the light in chah's room is on.. sneha wonders if chah is still awake.. sneha enters the roon.. she smiles seeing that chah is sleeping peacefully… sneha thinks that chah is always special.. she is a sister who everyone would wish for.. sneha feels that though they are cousins still he relation is stronger than any other bond.. sneha smiles to herself with the thout that they don't know what they will do without chah.. as they are not able to stay even a day away from her.. sneha walks to the lamp to switch the light when two things catch her attention… the first thing that sneha sees is that there are dried tears on chah's face.. this makes sneha worried… & the other thing which catches sneha's attention was the letter which chah was holding in her hand….
Seeing the letter chah thinks:- arre yeh letter chah ke haath mein kyun hai.. aur chah kii aankhon mein aasoo kyun hai.. sneha goes close to chah, she slowly tries to take the letter from chah's hands… but as sneha tries to remove the letter she feels that chah's grip on the letter tightens.. but sneha tries harder & finally she takes the letter away from chah's hand…. Sneha is just about to keep the letter on the side table.. when her eyes observe the last line of the letter P.S: I love you.. & I will always do so… seeing this sneha is confused & she understands that the best way to clear her confusion is too read the letter.. sneha looks at chah once.. she switches off the lamp & walks out of the room with the letter..
Sneha walks back to her room.. she sees that kajal is sleeping on her bed.. sneha sits on her bed & slowly starts reading the letter.. as she reads the letter things start getting clear for her… she understands that chah had somebody in her life whom she met three years back during her medical camp as a student trainee.. she then remembers her previous conversation which she & kajal had with chah regarding if chah loved somebody… sneha ko yaad aatha hai kii chah ne kaha tha kii "main is pyaar-vyaar ke bare mein tho kuch zyada nahii jaanthi hoon.. lekin haan main itna jaanthi hoon kii humein hamesha us insaan kii qadar honi chahiye jisse humari qadar hai… aur jinko humari qadar nahii hothi na humein unke bare mein sochna nahii chahiye… kyunke main ek insaan ko dekha hai joh us shaqs kii qadar kartha hai joh uski koi qadar nahii karthi lekin phir bhi woh usse pyaar kartha hai aur maine us shaqs ka dard dekha hai… main nahii chahthi kii tum dono us dard se guzron issi liye main tumse keh rahii hoon kii hamesha uski qadar karo joh tumhari parwaah kartha hai".. things start making sense to sneha… she gets the point that chah when talking to her & kajal was referring to her & yash… sneha also realizes that chah has that guilt of leaving yash in such a state.. ' sneha reads the whole letter & uski aankhein num hothi hai, she realizes the extent of pain yash must be going through.. & she also understands that how difficult it might have been for chah to stay strong, happy in front of everyone when she feels so much of pain in her heart.. sneha ko tho jaise samaj mein hii nahii aa raha hotha hai kii woh aakhir kya kare… finally she decides to wake kajal up & share her thoughts, confusion with her… sneha wakes kajal.. at first kajal is very sleepy, then when she sees sneha teary, she gets worried & starts asking sneha what's wrong… in reply to her question sneha hands over the letter to kajal.. kajal is confused, but still she starts reading the letter.. with each line which kajal is reading, she is getting shocks of her life.. because even in her wildest imagination, kajal never imagined such a thing to happen… she was taken by shock just like sneha… after finishing the reading of the letter… kajal looks up at sneha, having a lot of questions which are running in her mind…
Kajal:- Ohhhh My God….. yeh sab kya hai.. sneha tumhe yeh letter kahaan se mila..
Sneha:- kajal jab maine yeh letter padha tho mere bhi kuch samaj mein nahii aa raha tha… mujhe yeh letter chah ke haathon mein mila tha.. mere tho kuch samaj mein hii nahii aa raha hai kajal.. agar yeh letter sach hai tho iska matlab yeh hua kii chah kii zindagi mein yash naam ka koi shaqs tha.. jisse chah ne kudh se durr kiya hai… lekin mere khayal se chah ne yash ko kudh se durr ussi ke khushi ke liye kiya hai.. jahaan thak main chah ko jaanthi hoon woh kabhi kissi ko dard dena nahii chahegi, phir bhi usne yash ke pyaar ko tukhraya…
Kajal:- tum is letter ka matlab samaj rahii ho sneha… is matlab yeh hai kii dii ne apne dil mein apna ghum chupa liya hai.. agar jaise yash ne kaha hai kii usne yeh baat mehsoos kii hai kii chah usse mohabbat karthi hai, iska matlab yeh hua kii dii apne dil kii mohabbat ko marr karr jee rahii hai.. woh bas hum sabke saamne khush hone ka dikhawa karr rahii hai.. na jaane dii ne kudh ko kaise sambhala hoga… lekin sneha kya hum is baat ko sach maan kar cahl sakthe hai kii dii yash naam ke kissi insaan se pyaar karthi thi… hum sirf is ek letter ke hothe kaise is nateeje par pohanch sakthe hai..
Sneha:- kajal tu joh keh rahii hai sahii tho hai.. lekin kajal tum mujhe ek baat batao kyat um kabhi ek aise insaan ke liye aasoo bahaogi joh tumhare liye koi mayine nahii rakhtha..
Kajal:- nahii kabhi nahii.. main kyun ek aise insaan ke liye aasoo bahaun… I don't waste my tears on unnecessary people..
Sneha:- kya agar tumhe kabhi koi insaan jiski tum bilkul qadar nahii karthi ho, aisi ek chitti bhejega tho kya tum usse apne pass kuch is tarah rakhogi jaise tumhari zindagi us par nirbhar ho..
Kajal:- nahiii… main bhala aisa kyun karungi… jab woh shaqs mere liye koi mayine nahii rakhtha ho main uski chitti ko apne pass sambhal kar kya karungi.. agar koi shaqs jiski main qadar nahii karthi mujhe aisi chitti detha tho main usse foran phaad dethi… shayad usse kabhi padhthi bhi nahii… sneha tum mujhe aise sawaal kyun pooch rahii ho.. in sab sawaalon ka kya matlb.. mere tho kuch bhi samaj mein nahii aa raha hai… saying this kajal looks at sneha.. at that points kajal ko sneha ka point samaj mein aa jaatha hai.. it clicks to her..
& she says:- sneha tumhare kehne ka yeh matlab hai kii..
Sneha:- exactly main wohii keh rahii hoon joh tum soch rahii ho… main jab chah ke kamre mein gayi thi tho maine uske aankhon mein aasoo dekhe… woh so rahii thi lekin uske aasoo ne uske dard ko bayaan kar diya.. tum jaanthi ho kajal jab maine chah ke haath se yeh chitti lene kii koshish kii tab usne us chitti ko itna khaskar pakda tha jaise kii yeh uski zindagi hai.. tab main samaj gayi kii yeh chitti uske liye kitna mayine rakhthi hai… yaad hai kajal chah ne humse kaha tha kii usne ek aise shaqs ka dard dekha hai, joh bina kissi shart ke pyaar kartha hai.. woh tab bhi pyaar kartha hai jab usse badle mein pyaar nahii miltha…. Tab chah yash kii baat karr rahii thi.. woh yash ke baare mein keh rahii thi… aur woh shaqs jisne yash ke pyaar kii qadar nahii kii woh chah kudh hai.. bhale hii yash ne is chitti mein chah se yeh kaha ho kii chah kudh ko kabhi bhi yash ke dard ka zimedaar na mane lekin phir bhi chah ko aaj bhi yeh guilt hai kii usne yash ko takleef pohanchayi.. tu bol kajal agar yeh khat, yash chah ke ke liye itna mayine nahii rakhtha tho kyun woh kyun yash ke dard ke liye kudh ko zimedaar maanthi hai, kyun woh yash ke liye aasoo bahathi hai, kyun yash ka likha yeh khat uske liye itna zaroori hai…
Kajal is lost in the questions & she says:- sneha shayad tum sahii keh rahii ho.. shayad yash, dii kii zindagi mein bohat emiyath rakhtha hai.. sneha agar aisi hii baat hai tho phir dii kyun kudh ko aur yash ko pyaar karne kii sazaa de rahii hai.. pyaar karna koi ghalthi thodi na hai.. pyaar tho pyaar hotha hai… pyaar se khoobsurat ehsaas bhi tho koi aur nahii hotha.. tho phir kyun dii is ehsaas se durr bhaag rahii hai..
Sneha:- kajal main maanthi hoon tumhari baat ko… lekin shayad humein yeh baat nahii bhool ni chahiye kii hum chah kii baat karr rahe hai… kajal yeh tum bhi jaanthi ho aur main bhii kii chah ka bachpann kaise tha.. usse na chetan chachu ka pyaar mila aur nah ii trishna chachi ka apnapann… woh hamesha apne maa- papa ke pyaar se durr rahii.. main yeh nahii keh rahii hoon kii kii mom, dad ne chah ke liye koi kami rakhi, par kajal apne maa papa ka pyaar paana ek alag baat hothi hai… hum yeh bhi jaanthe hai kii yahii woh wajah hai jiski wajah se chah hamesha pyaar se bhaaghthi rahii hai.. usne apne mann mein ek baat le lii hai kii 'I don't deserve love' aur yahii baat joh uske mann mein ghar karr gayi hai is the culprit of all the problems.. dekh kajal humein chah kii soch ko bhi samaj na hii hoga.. yash se pyaar karne ke bawajood, usne kudh ko yash se alag kiya hum tho chah ke dard ka andaza bhi nahii laga sakthe hai.
Kajal:- haan sneha.. tum sahii keh rahii ho.. aura b jab humein yeh sach patah hai kii dii kii zindagi mein yash naam ka koi shaqs tha, humein humari taraf se poori koshish karni hogi kii hum dii ke dil mein chupe pyaar ko bahar laa sake.. jiski wajah se unke aur yash ke beech kii dooriyaan mitt jaayengi..
Sneha:- baat tho sahii hai kajal.. lekin kya tumhe lagtha hai kii yash aaj bhi ussi modh par chah ka intezaar karr raha hoga.. kahiin hum chah ke dil mein woh pyaar jaga na de aur humein phir patah chale kii yash agge badh chukka hai… agar aisa hua tho bohat problem ho jaayegi..
Kajal:- sneha itna tho chance humko lena hii hoga.. waise bhi is letter mein likha hai na kii 'jab bhi dii aayegi yash ussi modh par unka intezaar karr raha hoga' tho bas humein issi baat ko sach maan kar chalna hoga…
Sneha agrees to what kajal has told… then kajal says:- sneha tum yeh batao kii dii Manali kitne baar gayi hai…
Sneha:- jahaan thak mujhe yaad hai chah Manali sirf do hii baar gayi hai….
Kajal:- aur yeh do baar kab the..
Sneha:- ek baar tab jab chah 13 years kii thi.. hum sab hii gaye the na Manali chutti manane ke liye.. bhool gayi kya..
Kajal:- right.. aur doosri baar dii Manali kab gayi thi?
Sneha:- chah Manali aaj se theen saal pehle gayi thi.. woh medical training camp attend karne… iska matlab..
Kajal:- iska matlab yeh hua kii dii, yash se theen saal pehle mili thi.. aur is letter mein likha bhi hai kii yash met chah as a student trainee… is baat se yeh tho patah chaltha hai kii dii yash se kab mili.. lekin sawaal yeh uththa hai kii hum ab is yash ko kaise dhoonde… shayad woh bhi Manali mein chuttiyaan manane aaya hoga.… aur sawaal yeh uththa hai kii hum dii aur yash ko ek dusare ke aamne- saamne kaise laaye… kaise milaye unhe…
Sneha:- hmmm… sochne waali baat tho hai kajal.. I think humein is letter ke bare mein armaan se baat karni chahiye.. uska dimaak in baaton mein bohat hii achchi tarah se chaltha hai…
Kajal:- tho is naik kaam mein dheri kyun.. lijiye main abhi call karthi hoon usse..
Sneha:- arre par kajal woh so raha hoga…
Even before sneha could finish what she was trying to say, kajal ne already armaan ko phone mila dita hotha hai… she seems very excited… armaan wahaan in his apartment in Shimla does not understand kii kajal usse itni raat ke time kyun call karr rahii hai… once he picks up the call.. after the initial hii, hello's sneha, kajal put the one on speaker & tell him what they found out today.. & they also explain to him the findings which they have reached on.. armaan joh kii was in deep sleep, uski tho maano jaise saari neend hii ud jaathi hai.. at first when sneha, kajal ask him his help, he is reluctant because he is always very protective of chah.. he does not want chah to be someone life partner who claimed to love her.. after expressing his views armaan gets a good amount of lecture from sneha & kajal.. they tell him that what if chah really loved yash, what if chah still does, now atleast if they try something they will have the tasalli that they did something for chah… sneha aur kajal kii yeh baat makes sense for armaan.. he starts thinking on the lines that may be chag really loves yash… now all the three of them start talking & giving their ideas in between.. they decide that their first step is to kniow where exactly does this person named yash stay.. they start discussing for ideas how they should know… it suddenly strikes armaan that may be chah will know where does yash live..
Armaan:- sneha, kajal suno ek idea hai kyun na hum chah se hii pooche kii yash kahaan rehtha hai…
Sneha:- armaan Shimla ke thand ne tumhare dimaak ko bhi thanda karr diya hai kya…. Please koi dhung ka idea socho..
Armaan:- kyun mere idea mein kya burayi hai.. mujhe tho lagtha hai kii mera idea bohat achcha hai..
Kajal:- armaan tumhare idea mein yeh kharabi hai kii hum agar directly jaakar dii se yash ke bare mein poochenge na, tho woh humein kabhi nahii batayegi.. utla humari baat ko taaal degi…
Sneha:- exactly.. aur armaan tum ho kii humein aise waste ideas de rahe ho.. please humne tumhe aise waste ideas ke liye phone nahii kiya..
Armaan:- sneha, kajal, tum dono ko kisne keh diya kii tum jaakar chah se yash ke bare mein directly pooch… maine tho nahii kaha na…
Kajal & Sneha look at each other they both are confused & they together ask:- kya matlab… hum kuch samjhe nahii..
Armaan:- main samjhatha hoon.. main yeh baat jaantha hoon kii agar hum chah se yeh baat karenge tho woh humein kabhi kuch nahii batayegi…
Kajal:- wohii tho hum keh rahe hai…
Armaan:- kajal chup.. aur meri baat suno… tho ab agar directly baat nahii bannthi hai.. tho indirectly tho baat bann hi sakthi hai na.. agar ghee seedhi ungli se nahii nikalthi tho ungli ko thodi si thedi karne kii zaroorat hothi hai…
Sneha:- tum kehna kya chahthe ho armaan.. saaf-saaf kaho.. yun pehaliyaan mutt bhujao..
Armaan:- well main bas itna hii kehna chahtha hoon kii humein chah se yash kii information indirectly nikalwani hogi..
Kajal:- indirectly… idea tho achcha hai.. lekin kare kya woh bhi tho batao..
Armaan:- hmm.. well abhi mere dimaak mein ek flimy idea aa raha hai…
Sneha:- kya idea..
Armaan:- yaad karo woh Dharma Productions kii hit movie 'Kuch Kuch Hotha Hai' us mein jab chotti Anjali chahthi thi uske papa apni best friend badi Anjali ko yaad kare, tab woh kya karthi hai..
Kajal:- woh tho woh 'The Neelam Show' khelthi hai uske papa ke saath.. tho hum kya kare.. [kajal realizes what armaan is trying to say & she says] wait a minute tum yeh kehna chahthe ho kii hum bhi chah ke saath woh game khele.. yash ke bare mein pooche.. aur is tarah humein uske bare mein thodi aur jaankari mil sake..
Armaan:- absolutely right.. my dear sisters..
Sneha:- well.. yeh tho aasaan hai.. kal main aur kajal chah ke saath yeh rapid questions zaroor khelenge… aur phir agar humein koi information milthi hai tho main tumko phone karoongi.. achcha theek hai ab good night phone rakho.. mujhe aur kajal ko rapid fire questions decide karne honge aur humein sona bhii hai.. tumhare jaise raat-raat bhar jaagthe nahii rehthe hai hum log.. humein humari neend bohat pyaari hai.. [sneha tells this teasing armaan]
Armaan:- oyeee hello.. tum dono ne mujhko call kiya.. yaad rakhiyo.. ajeeb baat hai.. ulta chor kothwaal ko daante… waah kya baat hai.. theek hai waise bhi main ab sona chahtha hoon issi liye good night….
Sneha, kajal smile wish him good night & promise to keep him informed about all the happenings & their findings…. After bidding goodbye they cut the phone.. armaan on one side goes back to sleep.. while here kajal & sneha decide the questions they should be asking chah in the rapid fire… after a while of discussion even they go to sleep.. but they are determined to get chah out of her shell & make her be happy to the fullest…

The next day morning dawns… both kajal & sneha are nervous thinking about what will they do… they are nervous & feeling that kahiin they don't fumble in front of chah.. in the morning when sneha gets up, she walks into chah's room & sees that chah is still asleep.. sneha just takes the letter & keeps it near chah's hand.. praying that chah does not get up.. sneha's prayers are answered as chah is in deep slumber & she does not realize that someone was there beside her…
After a while chah gets up & she sees the state she is in.. she realizes that the previous night she has fallen asleep reading the letter & crying.. chah suddenly gets worried kii kahiin kissi ne us letter ko dekh na liya ho.. but the next minute she is relaxed as she sees the letter near her pillow.. she has a sigh of relief.. chah does not feel like going to her hospital so she decides to stay at home…. Chah securely keeps the letter inside.. & then she gets ready & starts reading a novel just to change her mood & mind… meanwhile kajal & sneha walk into her room casually.. they try & behave as normally as possible… chah is the same with them.. she does not show a inch of pain on her face.. it just has smile plastered… if sneha had not seen chah the earlier night then even she would not have believed that the previous night chah put herself to sleep with the tears…
Sneha & kajal have similar thoughts going on in their mind kii kaise chah apna ghum har baar doosron se chupa lethi hai.. apne hii andar ghum ko daba dethi hai.. & this gives her more pain.. sneha, kajal look at each other woh ek dusare ko ishara karthe hai… aur phir kajal, sneha start talking to chah… aur baaton – baaton mein kajal chah se kehthi hai kii she wants to play a rapid fire game with chah.. chah at first refuses saying that she is not in a mood.. but when even sneha joins with kajal to plead with chah, chah agrees.. & now sneha & kajal start the question round with chah.. at first the questions are very simple, whose answers are known.. slowly & steadily sneha, kajal move towards the main questions about yash… kajal asks about friendship.. chah says it is zindagi bhar ka saath… sneha asks about love.. chah says love is selfless.. now kajal asks:- selfless..
Chah even without waiting for anything just says:- yash…. Chah realizes what she said she immediately keeps quite…
Sneha, kajal talk in isheare that they have got atleast some information what they wanted…. Now evn before chah could tell the two of them it is enough… sneha asks the next question, she says:- yash….
Chah even this time without realizing what she is saying says:- Shimla…
Kajal & sneha smile at each other.. because now they know where does yash live…
Because it should not look planned kajal asks the next question:- zindagi…
Chah smiles & says:- hum…
After this both sneha & kajal tell chah that, she has won a prize for answering the questions so well.. sneha, kajal go out of the room & then come back with a huge sized pooh bear stuffed toy.. chah smiles seeing that.. sneha & kajal give it to her as a gift for her replies… [actually sne & kajal had gone shopping in the morning & decided to gift something to chah just in order to cheer her up..]
Chah is happy seeing that… after some more talking sneha, kajal leave chah & go to their room.. they call armaan.. & armaan was waiting for their call restlessly because before going to chah's room & starting the rapid fire they had informed him about it…
As soon as armaan picks up the call he starts asking questions & says:- kya hua.. baat hui tumhari chah se.. koi information mila kya… kya humein ab yeh patah hai kii aakhir yeh yash kaun hai…
Kajal:- armaan apne sawaalon par zara break marro.. haan chah dii se baat hogayi hai… aur jitni humein information chahiye thi utni information humare pass hai..
Armaan:- good.. tho bolo kya information hai humare pass..
Sneha:- well hum yeh jaanthe hai kii chah ke liye yash kii dosti bohat mayine rakhthi hai, hum yeh jaanthe hai kii chah ke dil mein yash ke liye ek special jagah hai.. shayad us special feeling ko hum aam taur par pyaar keh sakthe hai… aur humein yeh bhi patah hai kii yash kahaan rehtha hai…
Armaan:- wowwww.. yaar… yeh tho bohat achcha hai.. humein umeed se kuch zyada hii information mili hai… waise mujhe batao kii tum is conclusion par kaise pohanche..
Then kajal & sneha go on to explain to him how they asked about friendship, love, selflessness, yash… & they also tell him about chah's answers.. & they say that with all these things there is only one thing rather one person who clears all the confusion & that was none other than yash…
Armaan:- good work girls… ab jaldi se mujhe yeh batao kii yash rehtha kahaan hai.. please jaldi batao.. woh jahaan kahiin bhi hai main usse dhoond kar nikaloonga.. bolo.. jaldi se.. [armaan starts getting excited with the things around him..]
Kajal:- armaan tumhe kahiin jaane kii zaroorat nahii hai… jab humne dii se rapid fire questions mein yash bola tho woh jhat se boli Shimla..
Armaan:- iska matlab yeh ho saktha hai kii chah ka yash yahaan Shimla mein ho saktha hai…
Sneha:- dekho armaan hum is baat par sure tho nahii ho sakhthe.. lekin chah ne tho Shimla hii kaha.. tho shayads yash ko wahiin Shimla mein hii hona chahiye.. dekho is baat kii koi guarantee tho nahii hai but still humko aisa lagtha hai kii we can take our chances.. aur phir shayad yeh bhi ho saktha hai kii yash aaj Shimla mein nahii rehtha ho.. shayad aaj se theen saal pehle raha kartha tha.. shayad aaj woh zindagi mein agge badh gaya ho.. hum in sab ke bare mein kuch nahii jaanthe hai yash.. issi liye main tumhe yeh baatein abhi se bata rahii hoon.. taaki you keep all the options open.. main nahii chahthi hoon kii hum log humari umeedein kuch zyada hii kar le.. aur haan ek aur baat jab thak hum is yash ke bare mein sure nahii ho jaathe hum mein se koi bhi is baat ka zikr ghalthi se bhi chah ke saamne nahii karega.. main nahii chahthi kii hum chah ko koi takleef de.. samaj rahe ho na tum dono meri baat ko..
Armaan:- haan baba.. hum samaj rahe hai tum kya kehne kii koshish karr rahii ho.. kyun kajal samaj rahe hai na hum…
Kajal:- haan armaan.. aisa kabhi ho saktha hai kii hum sneha kii baat ko nahii samaj paaye… armaan & kajal laugh..
While sneha says:- hahahaha… very funny… but I don't find it funny.. and maine joh bhi kaha i'am very serious about it…
Both armaan & kajal agree.. & then they decide their next step of action… they decide that since armaan is staying in Shimla it will be easier for him to get information about yash.. armaan agrees to that.. & now they decide all they have to do is check if any person by the name yash travelled to Manali three years back.. & then they also need to find out if yash still lived in Shimla..
Armaan after talking to his sisters gets tyo work.. he starts checking the internet for people in Shimla with the name yash… armaan even calls his friends & asks them to find out in total how many yash live in Shimla… while looking through the net armaan comes acroos the name 'Yash Garewal' MD of Garewal Industries.. as soon as armaan reads that armaan ko ridhimma kii yaad aathi hai.. not once does it strike to him that Yash Carewal might be the same yash who has a soft corner in his sisters heart.. armaan's friends call him after sometime & tell him that jahaan thak they know there are only about 20 people by the nae yash in Shimla.. they also tell him that they will mail him the address of the 20 people with information regarding them… armaan waits for their mail.. he receives it in 10 minutes & then he starts checking the information.. when he checks the information he sees that in the list of 20 people about five of them are small kids… 3 of them are teenagers, 4 of them are in between the age of 18 to 20… & again three of them are in their 30's & late 30's.. so armaan zeros down five people.. ek baar phir while checking the name of the five people armaan comes across the name 'Yash Garewal' but armaan does not give it a thought… now armaan decides that he will visit these people at their home or take their contact number & contact them.. armaan starts off with his work… he checks the first home.. here a person called Yash Sharma lives… armaan talks to the person.. & gets to know from him that he has never been to Manali.. next armaan goes to the next address armaan feels that may be this may be right as the second person Yash Sinha is a doctor.. armaan's gut feel was telling him that may be this is the person… armaan reaches the hospital where Yash Sinha works, once armaan meets him all his gut feel are far away.. & he realizes that this person has been to Manali five years back… that too with his wife… he was married when he was 20… that was when he went to Manali with his wife.. now armaan decides to meet the third person… armaan reaches at Yash Arora's home… & he rings the bell.. even here armaan does not get any information… because he gets to know that Yash Arora is a NRI who has come to India only six months back.. now armaan was getting angry that his friends could not do a good job.. but still he decides to have a check on the fourth person by the name of yash.. & this was Yash Ahuja… when armaan reaches there he gets to know that Yash Ahuja who is in his late twenties lives with his daughter & he is a divorcee… & this was it armaan had, had enough for the day he felt.. he kept scolding his friends… armaan realizes that he has checked everone whom he was supposed to… armaan is just about to throw away the paper ib anger when he sees 'Yash Garewal's' name on the list… armaan though does not want to have a check on yash but still does not want to leave any stone unturned in searching for chah's yash… so armaan decides that he has to check on yash also.. but he thinks that it is better if he first confirms it from ridhimma & then asks yash for any further clarification.. so in a fraction of second armaan calls ridhimma & ask her to meet him in the grounds of the university with an hour.. ridhimma agrees.. & armaan goes to the university… he waits for ridhimma for a while.. & then ridhimma comes there.. she is a bit late because she her class went up late.. here armaan who was getting restless by each passing by minutes is very irritated…. as soon as ridhimma comes there.. she is in a good mood… she sees armaan & says:- hii armaan… tum aaj university kyun nahii aaye.. aaj kal bohat classes miss karne lage ho tum… kahiin kissi aur ladki ke saath tho nahii ghoom rahe ho na.. [ridhimma yeh baat mazaak mein kehthi hai… lekin armaan who is already very irritated looses his cool.. & says..]
Armaan:- what nonsense ridhimma… tumhe patah bhi hai kii tum kya keh rahii ho…
Ridhimma is a bit taken aback & she says:- armaan kya hua.. main tho bas aise hii mazaak karr rahii thi.. tum kyun itne serious ho rahe ho..
Armaan:- mazaak kii bhi ek hadh hothi hai ridhimma.. aur yeh zaroori tho nahii na kii tumhare liye joh mazaak ho woh mere liye bhi mazaak ho..
Ridhimma:- tume ho kya gaya hai.. itna ghussa kyun ho rahe ho.. agar tumhe mera mazaak pasand nahii tho bol do.. lekin tumhe koi zaroorat nahii hai armaan itne rude hone kii..
Armaan:- ridhimma chodo tum nahii samjogi.. tum kabhi bhi meri baat ko nahii samajthi ho.. hamesha tumhare liye ek tum hii sahii hothi ho.. aur koi tumhare liye sahii nahii hotha..
Ridhimma:- armaan tum jaanthe bhi ho tum kya keh rahe ho.. main tho sirf mazaak karr rahii thi.. agar tum mere mazaak ko, meri baaton ko bardhast nahii karr sakthe tho kyun bulaya tumne mujhe yahaan.. & you know what armaan mujhe lagtha hai kii tumhe rest kii zaroorat hai.. tho tum apne ghar jao aur rest karo… aur jab tum sahii tarah se baat karne ke mood mein raho tab tum mujhe call kar lena.. ab main yahaan rukh kar apna mood spoil nahii karna chahthi.. samjhe tum.. yeh kehkar ridhimma wahaan se ghusse mein chali jaathi hai.. & armaan realizes thathe avtually goofed it up.. he was just getting restless aur us irritation ko usne ridhimma par nikaal diya.. armaan yeh baat jaantha tha kii right now she had to pacify ridhimma warna agar woh ghussa hogayi tho uski shaamat aa jaayegi.. armaan knew this pretty well.. & now without looking anywhere armaan began running behind ridhimma.. telling her he is very sorry….
Ridhimma does not listen to him but keeps walking away.. when finally armaan holds ridhimma, stops her, & says:- sorry ridsy.. woh darasal main tumhara wait karr raha tha kyunke mujhe tumse ek important baat karni thi.. auir tum late aayi issi liye mujhe ghussa aa gaya.. sorry.. I did not mean to be rude…. Please mujhe maaf kar do.. I promise aaj ke baad kabhi aisa nahii karunga.. aur agar maine aisa kiya tho tum mujhe ek thappad marrna jisse mujhe is baat ka ehsaas ho jaye kii main kya karr raha hoon.. dekho yaar it is a fair deal.. ab tho maan jao.. pleaseeee… agar tum chaho tho ab bhi mujhe thappad marr sakthi ho.. aur main uff thak nahii karunga I promise… marr lo mujhe thappad.. [yeh kehkar armaan apne gaal agge kartha hai..] seeing this ridhimma ke chehre par automatically smile aa jaathi hai..
Ridhimma:- chalo ab nautanki bund karo.. maine tumhe maaf kiya.. lekin haan agar agli baar tum mujhe tung karoge tho main zaroor tumhe thappad marrne waali hoon.. yaad rakhna tum.. abhi se keh dethi hoon.. [ridhimma tells him this in a threatening tone but with a smile which shows she is just joking around..]
Armaan:- yaad rakhoonga… thank you…. Ab yeh batao kii tum aaj late kyun hui….
Ridhimma:- armaan woh darasal aaj humari class thodi late se shuru hui, issi wajah se who Mr. Bijlani students ko jaane nahii de rahe the… jaise hii class khatam hua main tumhare pass aagayi.. aur tum the kii mujhse bina baat ke hii ladd rahe hai.. [saying this ridhimma makes a face at armaan..]
Armaan:- arre.. baba.. kaha na I'am sorry..
Ridhimma:- theek hai.. lekin mujhe yeh batao kii tum mujhse milna kyun chahthe the… aur tumne aaj classes kyun attend nahii ki…..
Armaan:- haan woh main kuch kaam karr raha tha.. aur ussi kaam ke silsile mein main tumse milna chahtha tha.. mujhe tumse ek bohat hii zaroori baat poochni hai….
Ridhimma:- ohhhh.. tho iska matlab tumne tumhari zaroori baat poochne ke liye mujhe milne ko bulaya… maine tho socha kii shayad tum mujhe miss karr rahe the issi liye tumne mujhe milne ko bulaya.. lekin main is baat ko tho bhool hii baiti thi kii meri aisi kismat kahan.. [ridhimma says all this with a tinge of shararthipann.. even armaan yeh baat jaantha tha kii ridhimma bas usse chidane ke liye aisa keh rahii hai..]
Armaan:- ridsy dekho tum bhi yeh baat jaanthi ho kii aisa nahii hai.. woh actually mujhe tumse ek baat clarify karni thi.. us baat par chah kii zindagi nirbhar hai.. issi liye maine tumhe itni jaldi mein milne bulaya..
Ridhimma:- chah dii kii zindagi ka sawaal hai.. tho poocho armaan kya poochna chahthe ho…
Armaan:- ridhimma joh sawaal main tumse poochna chah raha hoon shayad woh tumhe kuch ajeeb lage.. lekin please tum meri baaton ka jawaab do.. uske baad I promise main tumhare har sawaal ka jawaab doonga…
Ridhimma agrees & armaan starts asking her…
Armaan:- ridsy kya kabhi yash bhai Manali gaye hai.. kabhi bhi…
Ridhimma wonders kii yahaan baat tho chah kii ho rahii hai tho is baat mein zikr yash ka kyun ho raha hai, but still she says:- haan Big-B Manali gaye hai.. us jagah se na jaane unka kya lagaav hai.. hamesha jab free hothe, ek din ke liye kyun na sahii lekin Manali jaathe hai woh..
Armaan:- tumne kabhi poocha nahii kii us jagah mein unko aisa kya pasand hai…
Ridhimma:- main eek baar poocha tha… tab unhone mujhse kaha tha kii kuch lagaav hothe hai… kyunke kuch jagahon se, logon se dil ka lagaav hotha hai.. lekin aaj thak main Big-B kii baat ko nahii samaj paayi hoon.. aur uske baad maine unhe kabhi is bare mein nahii poocha…
Armaan:- theek hai.. ab yeh batao kii bhai kitne time pehle Manali gaye the… aur unka yeh Manali ke prati lagaav kab se hai…
Ridhimma:- well theen saal pehle bhai angad I mean bhai ke dost ke saath chutti manane Manali gaye the… aur uske baad na jaane unhe wahaan aisa kya mil gaya kii woh har saal wahaan jaathe hai..
Armaan hopes start to raise hearing to all these… but armaan still wants to confirm & he asks ridhimma..
Armaan:- ridsy yeh batao kya yash bhai aise kissi ladki ko jaanthe hai jiska naam kripa hai…
Ridhimma thinks for two seconds & she says:- haan main ek aisi ladki ko jaanthi hoon jiska naam kripa hai… kripa khanna hai unka naam..
Armaan feels that he knows chah's friend to be kripa Sharma & nor kripa khanna.. but still armaan asks ridhimma about kripa..
Ridhimma:- woh Big-B ke bohat achche dost kii wife hai.. main Angad ka naam liya na Kripa Angad kii wife hai.. lekin haan sorry.. ex-wife hai..
Armaan:- ex-wife… main kuch samjha nahii..
Ridhimma:- haan bohat pehle Big-B ne baaton-baaton mein bataya kii unka divorce ho gaya hai.. uske baad angad abroad chala gaya.. aur kripa Sharma kahaan hai main nahii jaanthi hoon..
Armaan:- whattttt Kripa Sharma….
Ridhimma:- haan woh unka naam tha shaddi se pehle.. kyun ismein itni hairani kii kya baat hai..
Now things start making sense to armaan.. he realizes that may be Yash Garewal is Chah first love.. he then remembers the two of them the previous evening at the party.. & he remembers how they both were supposed to be strangers but were not exactly acting like strangers… armaan gets things.. & things get more clear for him… as soon as things get clear for him.. he picks up his call.. he calls kajal & tells her that he wants to meet her & sneha urgently.. he tells that if possible they should take next day morning flight to Shimla & meet him here.. kajal agrees as she does not know what is the matter..kajal tries asking him but armaan just says he wants to meet them.. kajal knows that armaan would never be calling them there without a reason.. after bidding good-bye.. kajal looks for sneha & tells her about armaan wants to meet them urgently..
Sneha and kajal decide that they will make some excuse to meet armaan.. & then they will go meet armaan & come…
Yahaan in Shimla ridhimma is wondering kii yeh aakhir ho kya raha hai.. after ending his call armaan looks at ridhimma.. he sees that she is staring at him… ridhimma says:- armaan yeh kya ho raha hai.. mujhe yeh bhi poochna padega… Big-B, Chah dii, Kajal, Sneha, Manali…. kya connection hai in sab mein..
Armaan:- ridsy ek baat batao mujhe.. kya kabhie bhai ko kissi se pyaar hua hai..
Ridhimma:- Big-B ko pyaar…. Aisa sawaal kyun..
Armaan:- bas haan ya na ridsy..
Ridhimma:- haan shayad kabhi Big-B kii zindagi mein koi tha.. shayad Big-B ne apne kissi kareeb se shaqs ko khoya hai.. main nahii jaanthi kii woh kaun hai.. lekin itna zaroor jaanthi hoon kii koi tho tha unki zindagi mein jisko khone ka dard, ghum unhe aaj bhi hai..
Armaan:- jaan na chahthi ho kii woh shaqs kaun hai jisse khone ka ghum bhai ko aaj bhi hai…
Ridhimma:- haan.. jaan na chahthi hoon main..
Armaan:- main yakeen se tho nahii keh saktha.. lekin jahaan thak mujhe patah chala hai woh shaqs koi aur nahii balki Chah hai..
Ridhimma is shocked.. & she says:- whatttttttttt..
Armaan then nods his head & then goes onto explain to her what all he has found from the previous night.. by the time armaan finishes the story ridhimma is just open-mouthed speechless.. usse samaj mein nahii aatha kii woh kya bole.. she keeps staring at armaan even without blinking her eyes..

So guys with that the 17th part of "Hogi Pyaar Kii Jeet" ends.. I hope all of you like it… I hope I wrote the part well.. hope all of you enjoy reading it… please do send in your comment.. & even if you can't comment if you like the part do like the post….

Preview For The Next Part:- Little Bit In The Present….A Meeting…. Developing Love Stories… Blank Calls At Nights.. Gifts & What Not..A leap…Two Marriage Proposals… One Accepted & The Other Rejected….

Ab yeh jaane ke liye kii kahani agge kaunsa modh legi.. yash aur chah kii zindagi mein agge kya hotha hai.. kya kabhi un dono ke beech kii yeh dooriyaan nazdeekiyaan mein badlengi… kya inki zindagi aage chalkar khush-haal hogi.. swayam kya karega… sab logon kii zindagi mein kya koi naya modh aane waala hai… kya akshat, rishi, armaan, ridhimma, sneha, kajal milkar yash aur chah ko ek sunhera anjaam de paayenge…. Un sabki mulaqat kya rang laayegi….. yeh.. aur etc etc… kayi aur sawaalon ke liye wait kijiye "Hogi Pyaar Kii Jeet" ke next part ka…

Hope all of you liked the part.. I'll be eagerly waiting for your comments, suggestions.. & even if you have something to criticize please feel free to do so.. your comments help me improve as a writer.. sorry could not include the previous parts preview in this part.. but this part was very important because all had to know the truth… next part you will surely see what all I have written in the preview…

I'll surely try & post the next part soon.. waiting for your comments damn eagerly….. I have written about 13,173 words hope it was worth it….

Love
Surya..😊
Edited by sun_423 - 15 years ago
goodkashish thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago

hi suri ...it was really wonderful part...i really enjoyed it....i am sorry for late and short commet...next time i will write bigger with my details.....ple ple ple continue soon...i will waiting for chah n yash reunion ....thanks for pm...👏...keep wriitng

love
kashish
Edited by goodkashish - 15 years ago
Iqbal Neha1 thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 15 years ago

Amazing part

I really liked the way u described the confusion between chahs heart and mind and the way she was talking to the moon was amazingly described.It seems chah is not willing to accept her love but she still wants yash to be happy.The way u potrayed chah's heartache was really good it actually showed how guilty she feels by not accepting yash's love.Sneha,kaajal and armaan are really good detectives cause they really come up with good ideas to find out were yash is i really liked the game that they played with chah.Armaan and ridz scene was really good cant wait to read how the gang will get chah and yash together.
Edited by Iqbal Neha1 - 15 years ago
spvd thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Trailblazer Thumbnail + 4
Posted: 15 years ago
hello dear u updated quick this time very good be like this always..............and hope u will be able to update till part 20 this month as u have planned..............keeping my fingers crossed..................this time the recap was in english........................in ur ff my hindi has grown stronger.............very continuous lines and its almost 99% in hindi this time english was also there..................yash ne itna lambiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii letter chah ko likha....................but twas filled with full of emotions..................and this time sneha and kajal have come to know and also armaan has found out that yash garewal is chah's yash...................good good very good...............hope they all meet and do something to make yash and chah come closer...............ur precap is scary..........2 proposals with one rejection.......................oh cant wait to read the next part................and what happened between angad and kripa????????????? y r they divorced????????????????hope they too get together again.....................cont soon dear.......................
cute_samrah thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 15 years ago
wowwww lovely part.........................iska matlab chah yash se pyaar karti hai lekin apne past ki wajah se kehti nai................................happy ke Sneha, Kajal, Armaan ko pata chal gya...........................
plz con't sooon
rmanu7382 thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 15 years ago
lo main aagayi 😊
wahi ho gaya.. tumne pukara aur hum chale aaye,.. ok ok back to the point.. the story is toooo GOOD 😉
Hats of to you Suri and like I said.. subah se pehle mera comment apki story par pakka se hoga..
I really loved the way Raj wrote the letter to Chah... simple letter but it poured in all the feelings he had for her.
and u always do this.. stop the story at the point where I want to hear more 😃
par par.. I knw I knw ..
And I love your story and my my there is not a single point of critisism as everything is perfect.. and m loving it.. I just hope tht out of 2 proposals the one for Raj is agreeded and selected.. bolo aisa hoga na.. Suriiiiiiiiiiiiiiii

Love u dear and post the next part soon and then the next part and the next .. and and ..............
ummmmmmmmmmmmmm love ya
Edited by rmanu7382 - 15 years ago
tanu.g thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 15 years ago
surriii !!!! sab se phele to sry itne dino baad comment kerne ke liye .....
but dear superb part really nice ....... plzzzz cont soonnn .....

Related Topics

Fan Fictions thumbnail

Posted by: zajedno · 2 months ago

new morning, new day. what does the new day bring us. what will the morning be like after the storm that rages in my heart all night. What is...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: Aleyamma47 · 3 months ago

Intro: Rudra fakes a relationship with his best friend Soumya to impress glamorous Bhavya-but ends up falling for the one girl who truly knew...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: desidillse · 5 months ago

ArShi OS : Pyaar Ka Naghma {Completed}

[NOCOPY] P Y A A R. K A. N A G H M A. "Friends?" a little boy extended his hand towards a girl which she responded. They smiled and embraced...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: heavenlybliss · 6 months ago

Hello everyone! I will be posting my 5 one-shots over here which I sent in for the Pyaar Ka Trope-fest contest. They are all standalones and...

Expand ▼
Fan Fictions thumbnail

Posted by: MidnightLibrary · 11 months ago

Rishtey the Bond of marriage (new chapter)

Chapter : Melodious Encounter https://www.indiaforums.com/fanfiction/chapter/52348

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".