Zindagi kat rahi hai..us tarha nahi jis tarha katne ki ummeed Raj ne ki thi..par jeena toh padta hai..jee raha hai.Kranti ka hona na hona..kyaa fark padta hai?Agar saamne ho toh mushkil..naa ho toh musibat.College k dino ki Kranti,aur aaj ki Kranti..fark hai bhi nahi bhi..
Par ek baat samajhme nahi aa rahi hai..woh hai Kranti ka Raj k Dad ko lagatar blame karna..agar Grewal Saab doshi hain toh ab tak Raj ko bhanak lag jaani thi..maamla bahut pechida hai.Raj kuchh dhoondh raha tha..zaroori kagzat..mil nahi raha tha..achanak se ek chees haath me lagi..ek diary.1994 ki hai..Raj ki toh nahi hai..Raj ne diary ka panna palta aur dekha Kranti ka naam..
Rajveer ne apne Dad ki har baat maan li..is baat se Ranjeet Grewal kaafi khush the..issi lia jab Raj Kranti ko biha kar Grewal House laaya..Grewal Saab ne zyada react nahi kia..Raj ki apni pasand hai..apni zindagi hai..agar Kranti k saath woh khush hai toh theek hai yehi sahi.Ghar ka maahol kuchh theek nahi is baat ka andaza Ranjeet ko bhi hai..par Raj ki neeji zindagi me dakhal dena nahi chaahte Grewal Saab.Barso pahle ..Kranti se mile the woh..Hindu College campus me..ussi din dekh kar samajh gaye the k Kranti Grewal Khandan k laayak nahi hai.Social change k baare me Kranti ki speech Grewal Saab ne bhi sun lia tha...Raj college me kyaa karta hai yehi jaanne k lia achanak se college me gaye the Grewal Saab..aur Kranti ko dekh lia.College k ladke ladkion ki ghup chup baatein bhi Grewal Saab k kaano tak pahoochi..jo Kranti aur Raj ko le kar Hindu College k corridores me aksar hoti rehti thi.
Par jab Kranti college chhod kar gayi..aur ussiki yaad bhula kar Raj bhi taiyyar ho gaya London jaane k lia..tab Grewal Saab ko chain mila..par tab unko andaza bhi nahi tha k Raj waapas aayega ..Kranti k lia..sirf issi ummeed par k Sanjay ki shaadi me Kranti aayegi.. zindagi k iss padav me aakar Grewal Saab ne aur koi baat nahi uthai..Raj k iss faisle par apni razamandi ki mohar laga di.
Par Raj theek nahi hai,yeh baat Grewal Saab samajh sakte hain,Bete ka dukh Baap se kabhi nahi chhupta.Raj laakh koshish kar le nakli muskurahat k aadh me apni maayusi ko chhupane ka..par Grewal Saab mehsoos kar sakte hain k yeh woh Raj nahi raha..woh toh kahin kho gaya hai..Grewal Saab mann hi mann darrte hain..Raj me ek baat hai,Raj ki mohabbat aisi hai jo is pure kaayenath ki nafrat ko apni aghosh me sama le..par Raj agar nafrat karne lage toh kuchh iss tarha k dono jahan ki mohabbat par bhaari padh jaaye.Tab Raj kisiko nahi baksh dega..chaahe koi bhi saamne ho..Raj ko apni manmaani karne se nahi rokna chaahte Grewal Saab,par chinta issi baat ki hai k Kranti k saath Raj ka rishta kis raah par jaa raha hai..woh raah ek aam shadishuda zindagi jaisi toh nahi hai.
Beeta hua waqt waapas nahi aata ,naa hi kamaan se chalaye hue teer ko waapas modha jaa sakta hai.Agar inme se ek bhi baat mumkin hoti toh shaayad Grewal Saab ko aasaani hoti.Kulvindar Singh ko jaan se maarne ka koi irada nahi tha,par woh waqt hi aisa ban gaya,k aur koi rasta nahi bacha.Raj ki Maa se jab pata chala Kranti k baare me,tab ek teer se do nishana lagane k iraade se Hoshiyarpur gaye the Grewal Saab.Business Exapansion karne k lia jo zameen chahie thi,uske lia Chaudhury Kulvindar Singh ko apne haath me rakhna,woh us waqt sahi bhi laga.Par ,Chaudhury Kulvindar Singh toh the Kranti k hi Pitaah,zid aur akad unme bhi kuchh kum toh nahi thi.
"Aaj college ka pehla din tha,achha tha aur bura bhi,ek senior ladke se aamna saamna hua,jo pure college me mashhoor hai,Rajveer naam hai uska,par usse mulakat ka anjaam kuchh achha nahi tha,kaafi baatein sunni padi doosri senior students se..khair,college me hi aisa hoga..yehi waqt hai,aise ghatanon se guzarneka.."
Pahle panne par itna hi likha tha,fir Raj ne panna palta.
"Yeh admi paagal hai kya?Zor zor se mera naam pukaar raha tha,canteen le jaa kar sharbat peelane ki baat kar raha tha,kisi tarha main bach kar aayi,par maamla kuchh theek nahi lag raha hai.In kai dino me jitna jaana hai uske baare me,yeh sab theek nahi, par haan..baat hai is bande me.Par meri manzeel kahin aur hai,bahek jaane ka koi irada nahi hai mera."
"Rajveer alag hai,bheedh se alag nahi,par bheedh me alag.Uske jaise lafange type bande toh bahut ghoomte hain Delhi k college campus me,par isme ek alag si baat hai.Rab ne isko shakal bahut achhi di hai,sab mila kar ,he is very handsome,sab se khubsurat hain Raj ki aankhe,usse aamna saamna naa ho toh hi behtar,uski aankhen bahut khatarnaak hai, uski aankhon me zyada der tak dekhna matlab,apni niyat ko khatre me daalna,shayad college ki saari ladkiyan inhi aankhon par fida hain..hairani ki baat yeh hai k main jitna bhaagti hoon is bande se,yeh utna hi mere peechhe aata hai..aisa kyaa dekha usne mere me?Bahut hi aam ladki hoon,college k baaki students ne already mujhe ek naam dia hai, "Khadi Bhandar." Raj ki type ki main nahi..woh toh Hero hai college ka..handsome and rich bratt..haan,Raees khandan ki main bhi hoon,khaate peete kissan ki Beti hoon,par Raj k muquable main kuchh bhi nahi..his father is a business magnet..aur humari zindagi bahut alag hai..humara rahen sahen,humari soch,humare usool.............khair,in sab baaton ka kuchh matlab nahi,naa hi koi faaida.."
Raj padhta chala gaya..khud ko rokna namumkin hai..
"Blackboard par jis din Raj ne us tarha mere naam se apna naam joda tha,us din baat ko nazar andaaz kia,haalaan ki Professor ne kaafi khilli udhaai meri..par aaj sach me hadh ho gayi..chitthi,aisi ghatiya chitthi,mann kehta hai k yeh harkat Raj ki nahi hai..par ho bhi sakta hai,insaan ki niyat ka koi bharosa nahi..main bhi kahan kum thi..Principal k paas gayi..aur Raj k sar par,maine chappal utne nishane se nahi maara tha..par woh seedhe Raj k sar par jaa kar padegi mujhe kahan malum tha..par dil ko ajeeb sa sukoon mila,is Raj ki wajah se mujhe kaafi taunting jhelni padi..students tak theek tha..ab toh Professor bhi.. achha hai..main Delhi me aai hoon padhne,apni beizzati karane nahi..Raj..bike me ghoomna,logon ko satana aur cigar fookna..iske siva aata kyaa hai usko?Padhai me koi dilchasbi nahi hai is bande ko.. Baap Dada ne jaaidad banayi hai..janaab udha rahe hain.. sharam k maholle se shayad yeh banda guzra bhi nahi.."
Raj hansne laga,Kranti itna sochti thi Raj k baare me?Kaash yeh sab Kranti Raj se khud kehti..
"Breaking news,Raj shareef nikla..yeh harkat Raj ki nahi..kyaa karoon..maine apne lia saza choon toh lia..par darr mujhe bhi hai..agar mere pairon me kuchh choobh gaya toh.. khair,panga jab lia hai..toh peechhe kyun hatoon..par is Raj ko kabhi gaaon k akhade me kisi pahelwan k haathon dhobi pachhad khaate hue dekhoon..toh kaleje veech thand pad jaaye,mann karta hai isko tractor k neeche khuchal doon..kitna bada kameena hai.. blackboard par ussine likha tha..khule aam bol gaya.."
"Insaan kitna bada nautanki ho sakta hai..Raj ko dekh kar pata chalta hai..uski wajah se aaj main nange pair ghoom rahi hoon college me..kameena insaan..aaj sympathy dikhane aaya tha..afsos ho raha hai us din kyun ek hi chappal maara..doosra bhi maarna tha..aaj mann kar raha tha kas k ek thappad maaroon aur uska hoolian bigaad doon..ghatiya
insaan kahin ka.."
Raj ka chehra hans hans kar laal ho gaya...
"Ghar se door ghar mila..Nirmal dost bhi hai aur bahen bhi..Chaijee aur Baojee bade befikar ho gaye meri taraf se..achhe logon k saath hoon..Dariagunj ka yeh ghar,bahut apna apna lagta hai..yehan ki galion se guzarti hoon toh lagta hai apnon k beech me hoon..kabhi kabhi ghar par khana banane nahi deti hoon..hum teeno chale jaate hain baahar khaane..maza aata hai.."
"Ek Raj kya kum tha?Uske saath Sanjay bhi kahan se aa gaya..Nirmal par lattoo ho gaya hai Munda..Rabba..ishque da aisa bukhaar..besharmon ki tarha dono aaye,aur khana bhakos kar gaye..Nirmal bhi na..kyaa zaroorat thi Raj ko bulane ki?Aur Sanjay..usne khud hi daawat lia.. besharam..aur yeh Nirmal bhi..kaise daant nikaal rahi thi Sanjay k saamne.."
"Maine socha tha,election me main hi jeetoongi..par Raj jeet gaya..pata nahi kaise..Raj k jeetne par utna bura nahi lagta agar woh ek sincere contender hota..but woh election me khada hua mujhse bheedhne k lia..GS Election ko ek mazak bana kar rakh dia Rajveer Grewal ne.Jhamela main kar sakti thi..par kyaa faaida ..mujhe kichand se khelne ka koi shaukh nahi.."
"Aaj saabit ho gaya..k main kitni sahi thi..Nirmal humesha kehti thi,k Raj achha hai..par Raj kitna geera hua hai..aaj saabit ho gaya..ghalati meri bhi hai..main uski baaton me aai..uske saath uske ghar gayi..aur apni Party k saamne gaddar saabit hui..college me mujhe kai naam se pukara gaya..main naatak kar rahi thi Raj k against jaane ka..asal me Raj se mera chakkar chal hi raha tha..dogle kisam ki insaan hoon..aur bhi bahut kuchh kaha gaya mujhe..Rajveer kahan gaya..kuchh pata nahi chala..shaayad ghairat hai usme..muh chhupakar baitha hoga kabhi.Mujhse nazre mila kar jhoot bolne ki himmat shaayad usme nahi hai..par main sahi thi yeh baat saabit hote dekh..mujhe khushi kyun nahi hai?"
Hmm..toh yeh baat hai..agar khushi nahi thi toh Raj ka intezar karti..Raj jab uske saamne hota toh usko kharikhoti sunati..par Kranti chali gayi...pal bhar me kai saaloon ka safar kar lia Raj ne..jaise beeta hua kal aur guzra hua waqt ek dum se aankhon k saamne se ek baar fir guzra,jaise kal hi ki baat ho..
"Sab ko laga main Delhi chhod kar gayi humesha k lia,par mujhe final exams k lia wapas aane pada..Baojee ki koshish se mujhe Miranda House me admission mila,final year me.. jaanti hoon..ghalat tareeke se maine yehan admission lia..par main kaise apna saal barbad hone deti?Par Hindu College Campus me dobara kadam toh nahi rakhoongi main.."
Ohh..toh Kranti Miranda House College me thi...ohh no..Delhi me thi..par sab ko yehi pata tha k woh Delhi me nahi thi,ho sakta hai us waqt woh Dariagunj bhi nahi gayi hogi..tabhi.. Raj jab Hoshiyarpur gaya tab Kranti wahan mili nahi..Par sunne me toh yeh aaya tha, Kranti ne bhi bataya tha..k Hindu College chhodne k baad woh Bhopal gayi thi..aur fir Chandigarh..my god..what confusion..!!
"Baojee pareshaan hain..kuchh toh baat hai..par Baojee kuchh batate nahi..zameen se joodi baat hai..sab kuchh kaisa ho gaya..MSW k lia admission toh lia hai..par kuchh theek nahi lag raha hai..kyunki guzra hue kal ka ek hissa aaj achanak mere saamne se guzra..Ranjeet Grewal..Rajveer Grewal ka Business Magnet Baap."
Yehan tak padh kar Raj ko ek jhatka laga..uske baad sirf itna hi likha tha..
"Padhai k lia main aa na saki..par maine der kar di..bahut der..Baojee se aakhri baar baat tak na kar saki..Baojee ko chitaah ko aag dia maine..unki ashtian Kiratpur me baha aai..Baojee ki chitaah ki aag toh boojh gayi..par ek chitaah jo mere dil me,mere pure zahen me jal rahi hai..woh abhi tak jal rahi hai..tab tak jalti rahegi jab tak main aakhri jungh jeet na loon.. Chaijee mere seene se lag kar roti hain..main kahan jaoon?Kahan jaa kar apne ansoon bahaoon?"
Raj apna sar pakad k baith gaya..yeh kyaa majra hai?
Kranti k dil me jo nafrat hai uske lia toh puri duniya ki mohabbat kum hai..aisa kyaa hua?Dad ne kia kyaa?Aur kyun kia?
Sab kuchh sun kar Sanjay hairan hoga ,aisa Raj ne socha tha,par aisa hua nahi..Sanjay ne kaha ,"Is murder me jo naam aate hain,usme do naam aate hain,ek Dayal aur doosre tere Dad..par mushkil yeh hai k un par haath nahi daal sakta,kyunki Dayal hai King Maker,uske gale me fanda pada toh bahut se leading politician ki dhoti utar sakti hai.."
Raj--Tujhe malum tha?
Sanjay--Police agar chaahe toh sab pata kar sakti hai..par kyaa kare..political pressure hai,issi lia toh Kranti itni zyada mehnat kar rahi hai ,Delhi k assembly tak pahoochne ki.. let's face the reallity Raj,your father is a criminal,murder k charges hain..tu tha nahi India me..bahut sara paani beh chuka hai Jamuna se..
Raj--Kranti ka rasta badal nahi sakta?
Sanjay--Tu yeh sawal kar raha hai?Tu?Nahi jaanta tu usse?Raj,us ladki k baare me soch.. jo padhne aai thi..jo student politics k through Delhi k political lobbies tak pahoochna chaahti thi,taa k woh aam insaan k lia kaam kar sake..par uske saath kyaa hua?Kahin na kahin tu bhi zimmedar hai..bhool gaya?GS Election ki baat?Kranti ko kis tarha humiliate kia gaya tha?Uske baad Dayal aur tere Dad,Kriplani..kyaa ummeed rakhta hai tu?Ek fanoos ko aag laga kar tum logone hawa me chhod dia..bas utna hi tum logon k bas me tha..ab tumlogon ki marzi k mutabik woh fanoos apna rookh badal de..yeh kuchh zyada nahi maang rahe ho?
Raj--Lekin Dad?
Sanjay--Ab waqt aa gaya hai..tujhe chunna hoga..ek baar tu Kranti k raaste aaya sirf apne ego k lia..aaj tu uske raste me aayega k nahi..yeh faisla bhi tujhe karna hai..soch samajh kar faisla karna Raj..
Raj--Tu kuchh nahi kar sakta?
Sanjay--Police k kaam me politicians taang adhaate hain..jab main kuchh kar sakta tha,tab maine kuchh kia nahi..ab main kyaa karoon?Tu bata..pahle hi Kranti ki nazar me main geera hua insaan tha,Nirmal ki wajah se woh mujhko bardasht karti hai..
Raj--Jo ho raha hai woh hone doon?
Sanjay--Tere paas aur koi rasta nahi hai..waise ek baat batani thi..
Raj--Kyaa?
Sanjay--Tera Sala..matlab Kunal Kriplani..yaar..usko hua kyaa hai?Apne se umar me badi aurat k saath kyaa kar raha hai aaj kal?
Raj--Kyaa?
Sanjay--Koi upcoming model hai..yeh dekh..uski photo..yeh Delhi ki nahi lagti..
Raj ne dekha...Mona..arre yeh toh Manjeet hai..yeh kyaa chakkar hai?
Sanjay--Kunal ko samhal..Bade Baap ki aulad hai..koi MMS Scam ya sex scam me na fans jaaye..
Raj--Kyaa bak raha hai?
Sanjay--Sahi keh raha hoon...apni aankhon se maine dono ko dekha hai..dono bhajan keertan nahi kar rahe the saath me..Kunal k bistar tak pahooch chuki hai yeh Mona..Kunal aaj kal issi k saath apni raatein beeta raha hai..
Jhatke pe jhatka..Raj puri tarha confused ho gaya..ek taraf Kranti,doosri taraf Kunal,aur ek taraf Dad..Sanjay ki baat..aur Manjeet..itne din baad Mona k roop me uski aisi dramatic entry?Kyaa ho raha hai?
1.6k