Mere Jaan e Jigar Mere Lakht e Jigar Kahan he Tu
Jahan bhi He Rabbe Jaleel ke Qareeb He Tu
Nazron Se Ojhal he Dilon Me Taza He Tu
Hame Gham Nahi Ke Shaheed HE Tu
Raha Bachpan Me Door Ab Bhi Door He Tu
Fasle hen Darmiyan Lekin Dilon me HE Tu
Nagar NAgar Dagar Dagar Tujhe Dhoondoon kese
Oron Ki Soorat Me Teri Soorat Ko Paaoon Kese
Beete Dinon ko Tere Main Bhulaoon Kese
Jahan Bhi He tu Wahan Main Pohchoon Kese
Yaqeen He Mujhe Apne Rabb e Kareem Se
Hoga Wahi Maqam Tera Jo He Rab Ke Wade Se