Jab Swarna rotay rotay enter hoi aur Ranaji k gallay lag gai, I started crying too...OMG! She was so so so hurt...Dukh toh hona hi tha akhir uski Gayatri jo thi...WO Gayatri jis ko Swarna apni behen se bhi zada pyaar karti thi...Hayyy Swarna ko aisay dekh kar mujhe toh bilkul bhi acha nahi laga...
Ranaji: "Rani Bhabhi kia hoa?"
Swarna: "Gayatriii..."
Ranaji: "Kia hoa Gayatri ko?"
Swarna started crying hard...
Ranaji: "Rani Bhabhi Gayatri ko kia hoa? Haan?!?!? Gayatri kahan hai? Rajmata Gayatri kahan hai?"
And Rajmata told Ranaji everything...Ranaji becharay toh shock hi hogae, zahir hai hona hi tha akhir unki Gayatri thi koi aur thori...Main Kunwarji ka expression check kar rahi thi, he was shocked too...Lagta hai BRM nay Kunwarji ko kuch bhi nahi btaya, btati bhi kia yeh toh bara hi unexpected scene tha likin jahan tak maine Rajmata aur Gayatri ko jaanti hoon meray khyaal se unhain pehlay se pta tha keh yeh sub honay wala hai...
Ranaji: "Nahi aisa nahi ho sakta...Rani Bhabhi aisa nahi hai na? Bolye aap hum se maazaaq kar rahay hain? Humari Gayatri kahan hai? Gayatri...?!?"
And then the sevaks enter with Gayatri's body, Ranaji Gayatri ko dekhtay hi toot gae aur neechay beth kar kehnay lagay "Gayatri...Gayatri uthyee please uthyeee...Aap humain chor k nahi ja saktii...Uth jayeee...Gayatri jab hum apko khamoosh honay ko kehtay hain toh aap bolti jaati hain aur ab aap chup kyun hain? Uth kyun nahi rahiiin? Haan? Rajmata Gayatri ko bolyee na wo apki baat maanti hai usay kahay na uthnay k liye...Rajmata bolyee na aap kuch...Aap kuch bol kyun nahi rahiiin...Rani Bhabhi Gayatri toh apki saheli hai na aap kahiye na usay keh wo uth jae...Aap kuch boltay kyun? KOI KUCH BOL KYUN NAHI RAHA? Kunwarji aap kahyee na usay uthnay k liye...Koi kuch bol kyun nahi raha...BRM aap kahyee na Gayatri ko uthnay k liye...Koi kuch bol kyun nahi raha...
Gayatri pleease...Aap humain maaf kardijiye...(And he remembers his time with Gayatri and then he shouts...) GAYATRIII..." And starts crying, I was like "OMG! Ranaji becharay inhain toh kuch pta hi nahi keh chal kia raha hai...Becharay toh buray tareeqay se toot chukain hain Ranaji please aap himat rakhiyee...Aaap jaantay hain na keh apki Gayatri aapko chor k kabhi nahi jae gi...Bas bharoosa rakhyeee sub theek hojae ga...Jab Ranaji Rajmata keh paas aye toh Rajmata ka face dekhnay wala tha bechari unki shakal se lag raha tha keh wo btana chaa rahiin hain keh 'aap pareeshan na hoon Indra Gayatri zinda hai usko kuch nahi hoa' likin wo bechari bhi majboor thi kyunkay yeh saali budhi BRM nay sara kaam jo bigaar daaala, kasam se uski shakal dekh k toh ab mujhe...Mujhe...Mujhe...Itna ghussa aata hai keh dil karta hai usko uski wheelchair samait phenk doon well main nahi ocean main...Ranaji jab Kunwarji k paas aye toh pta nahi kyun likin Kunwarji ka face bhi mujhe sad types laga jaisay wo khud bhi hairaan hogae hoon Gayatri ka sunkay...Pta nahi ab ismain bhi kitni suchai ho...Ho bhi ya nahi pta nahi...Likin Swarna bechari k paas toh koi alfaaz hi nahi thay jab Ranaji unkay paas aye poochnay...Bechari khud hi itni dukhi thi keh Ranaji ko bhi kia kehti...Aur yeh budhi BRM saali...Iskay paas jaanay ki kia zarorat thi Ranaji? Issi budhi nay toh apko apki Gayatri se door kiya...Pakar kar maar do iss budhi ko...Pleeease but don't cry...Can't see you like this...Jab aap nay zorr se Gayatri kaha...Mera toh dil hi bahir nikal aaya...Becharay kitnay toot gae thay..." Ranaji please be strong...Abhi toh aapnay bahut kuch face karna hai yeh toh kuch bhi nahi...Kuch bhi nahi...!!!
Then came Ranaji ka faisla wala scene, everyone was sad, Wilkinson bhi agaya mehel, uff jab wo enter hoa I was like "Agaya jallay pe namak chiraknay..."
Then I heard Damyanti's voice saying "GAYATRII...GAYATRIII...MERI BACHI..."
I was like "Oh! Shit...Yeh toh Gayatri ki Maa bhi agaiiin...Yeh acha nahi hoa bechari ko yeh sub nahi pta chalna chaye tha...Likin uskay father nazar nahi arahay...Pta nahi kahan hain? Ab isay important aur ho bhi kia sakta tha keh wo idher bhi nahi aye...Strange CVs aap nay Seth Govind ko nahi dikhaya...Jab Damyanti aakay Gayatri k paas aakay ronay lagi toh I noticed her expression phir mujhe strike hoa 'OMG! OMG! She's alive...She's alive...You should all see that scene again...Jab uski Maa usay aa kay liptiii saaf lag raha tha keh bechari nay bari hi muskil se apnay aap ko ronay aur bolnay se control kiya hai...Bechari Gayatri btana chaa rahi thi keh main zinda hoon likin btaa nahi paiii...Poor thing...Hate you budhi..."
Rajmata bechari bhi dukhi thi lag raha tha unkay face se keh wo bhi unn logoon ko btana chahti hain jo sincere hain Gayatri k saath but majboor hain btaa nahi sakti kyunkay BRM ko harana bhi toh hai...
Phir jab Rajmata nay Ranaji ko Gayatri ko sindoor laganay ka kaha, hayy becharay ki shakal dekhnay wali thi bahut hi sad thay...Pta nahi kyun iss waqt bilkul iss waqt mujhe hoa tha keh Ranaji bolain gain "MAA yeh kia hogaya...? Kaisay hogaya?" Instead of saying Rajmata, I wanted him to say MAA...Pta nahi kyun likin wo scene ko aur khoobsurat kardaita, acting aur bhi flawless hojaati...Likin khair iskay beghair bhi sahi hai...
Ranaji nay jab Gayatri ko sindoor lagaya I was like "Aww..."
Phir itnay main BRM k khaansnay ki awaaz i, I was like "Haan khaans khaans k marr ja budhi tu...Marr ja..." I think she gave a signal to the lady who was sitting there with the others to start saying something which could hurt Ranaji's feelings and she did say bad...About kundali and all, keh pehlay wali bhi marr gai thi aur dosri bhi shaid unki kundali ka kasoor hai...I was like "Jootay khaanay hain mujhse toh tyaar hojaaa..."
Rajmata flashback main chaliiin gai aur unhain yaad aaya keh haan unki Guruji nay toh kaha tha sub but unho nay yaqeen nahi kiya tab hi toh inho nay kaha "Hum nahi jaantay thay keh aisa kuch hojae ga..."
Then BRM jaan k sub k saamnay uss lady ko chup karatiiin hain apna impression acha karnay k liye I was like "Budhi basss basss kar bahut hogai nautanki..."
Phir jab Ranaji nay kaha keh "Sahi toh keh rahi wo lady...Ismain humara hi kasoor hai...Agar humari lambi umer k liye paratna karnay na jaatiiin toh aisa kabhi na hota..."
Rajmata: "Ismain apki koi ghalti nahi hai..."
Ranaji: "Ghaltyaan humnay itni kiii hain keh waqt gintay gintay khtam hojae ga likin gintiyaan khtam nahi hogiin...Humnay Gayatri ko diya hi kia hai?"
I was like "Ranaji sahi kahoon toh aap sahi keh rahay hain...Jitna Gayatri nay aapko diya utna abhi aapnay Gayatri ko nahi diya likin subse buri baat mujhe yeh lagti hai jab log guzar jaatay hain toh unkay guzarnay k baad unhain pachtawaa hota keh kaash humnay aisa na kiya hota waisa na kiya hota...Koi unhain jaa k btay keh jo waqt hai wo abhi hai...Uss waqt ko enjoy karna seekhain jis main wo apkay saath hain kyunkay wo waqt dobara lautay ga nahi...Likin Ranaji abhi bhi kuch bigra nahi...BRM ki suchai sab k saamnay laanay k liye Gayatri ka saath day kar aap yeh apnay iss guilt ko khtam kar saktain hain..."
Rajmata: "Aap agar toot gae toh Ameerkot ki parajja ko kaun sambhaalay ga?"
Ranaji: "Aap sahi keh rahiin hain Rajmata...Par such toh yeh hai keh humnay pati ka dharam nahi nibhaya...Aur ab hum iska paraischit karain gain...(Then he goes to Kunwarji and say) Gayatri ko khoo kar hum sub khoo chukay hain ab toh humain apni saansain bi booj lag rahiin hain toh hum yeh siyasan kaisay sambhaalay gain...Kunwar Chachaji hum par aur Ameerkot par ek ehsaan kijiye Ameerkot k sayhasan pe beth jaaye...Ameerkot k nay Raja bunn jayeee..."
I was like "Basss yeh sunna baaki reh gaya tha..."
Kunwarji nay foran BRM ko murrh k dekha...BRM toh khud bhi shock hogaiiin thi yeh sub sunkay...Expect hi nahi kiya tha unho nay keh Ranaji aisa kuch keh dain gain...
Rajmata bhi hairaan hogai aur aisa lag raha tha jaisay abhi kahain gi keh yeh kia keh gae aap Ranaji...
BRM: "Yeh asambhav hai Rani Gayatri k chalay jaanay se dukh toh subko hoa hai...Likin kisi k chalay jaany se jeevan toh nahi rukh jaata...Aapnay apna sihaasan aisay nahi chor saktay..."
Rajmata's reaction was like as if abhi yeh bolain giin "Bas kijiye BRM aur kitnay number bananay ki koshish karain giii? Apka jee abhi tak nahi bhara hai kia?"
Kunwarji's reaction was like as if abhi yeh bolain gain "BRM yeh aap kia keh rahiin hain...Jab Ranaji khud humain Raja banana chaa rahay hain toh aap beech main yeh sub kia bolay ja rahi hain..."
Ranaji: "Gayatri ko toh sihaasan chaye hi nahi tha...Usay toh ek seedhi saadhi zindagi chayeee thi...Jo hum unhain nahi day sakay...Par unkay adhooray sapnay ko hum pooora karain gain...Hum ek aam zindagi jeeye gain...Hum wapas vilayat jain gain..."
I was like "Phir se Ranaji phir se aap kyun inn subse bhaag rahay hain? Kyun aap reality ko accept karkay situation ko handle nahi kartay? Kyun Ranaji? Kia Gayatri k saath se aap nay kuch nahi seekha? WO hoti toh yeh kabhi na chahti...Aur budhi toh chup ray...Sub jaanti hoon tumhari chaalain kia karna chaa rahi hai...I bari..."
Ranaji: "Gayatri k adhooray sapnay ko hum poora karain gain..."
I was like "Ranaji...Aap achay se jaanta ho na jab aap dono yeh mehel chornay walay thay toh Gayatri nay hi apko roka tha keh parajja ko apki zarorat hai toh phir aap kis sapnay ki baat kar rahay ho...Jab k Gayatri ka har sapna Ameerkot aur aap se hi jura hai toh isko chornay ka faisla sub se ghalat hoga..."
Ranaji: "Mr.Wilkinson! Nay Raja ki taajpooshi k liye kal ka kal hi intezaam hojanay chaye...Kyunkay hum Gayatri ki bina ek pal bhi iss mehel main nahi rehna chahtay..."
I was like"Uff...Nahi Ranaji nahi...Kia hogaya hai aapko..."
Rajmata then covers Gayatri's face...
BRM: "Yeh toh bazi bari asaani se haath main agai par hum abhi khushi nahi manay gain...Ek baar Gayatri ka untimsanskaar hojae phir uskay baad hum apni jeet ka jashn banay gain..."
I was like "Bhool ja budhi bhool ja...Tujhe yeh din dekhna kabhi naseeb nahi hoga...Likh lay meri yeh baat..."
Then came the Gayatri's fake untimsanskaar wala scene, yes, you saw that right...It is fake though bahut hi real tareeqay se sari vidhyaan hoi likin phir bhi I know it's fake kyunkay Rajmata nay jab khud apnay haathoon se Gayatri k mooh pe chaadar daali main khud hi samaj gai keh yeh pakka koi jhoot body ko jalla rahay hain...Gayatri ko nahi...Pta nahi Ranaji ko pta hai bhi keh nahi...Kaash pta chal jae toh iss khel main aur bhi maza ajae...š³š³š³
Ranaji ko har waqt apni Gayatri k saath hi sara waqt yaad araha tha becharay zahir hai Gayatri ko khoo kar dukhi toh hoon gain hi...Likin jab Gayatri ki fake death ka pta chalay ga toh pta nahi kia reaction hoga unka...Acha hi hoga...Uff subse fake baat mujhe ismain kia lagi pta hai dostoon? Kunwarji ka Ranaji k kanday pe haath rakhna...Uff yeh throne kaisay kaisay logoon k rang hi badal daita hai aur BRM budhi saali binoculars se sub dekh rahi thiiin keh saari cheezain achay se poori hogaiii keh nahi...Ufff mujhe toh itna ghussa araha tha unki evil smile dekh kar k dil kar raha tha keh yahin se apna mobile utha k inkay mooh pe maaroon...Phir hoa iss gadhi k liye main apna mobile kyun kharaab karoon...Pta nahi meray mobile ko choonay se meray mobile k unddur bi kia kia kuch nikal k kharaab karday budhiii...Kuch pta nahi...!!!š³š³š³
And then came Ranaji ka Gayatri ko yaad karnay wala scene, hayy ek ek pal jo unho nay saath guzara unho nay sub yaad kiya, the bedroom scene, the dance scene and so on aur phir jo bangle unho nay Gayatri ko diya tha usko dekh kar aur chaand ko dekh kar jab wo bolay keh "Taaroon se larh kar laut aaayeee..."
I was like "Aww ajae gi Ranaji ajae gi...Bas thora intezaar phir saari khushiyaan aapki aur Gayatri k naseeb main hi hogiin aur iss baar koi uski taqdeer ko kharaab nahi kar pae ga...KOI BHI NAHI...MATLAB...KOI BHI NAHI...!!!"š³š³š³
And lastly, the Kunwarji-Lakshraj-BRM crown wala scene and Ranaji-Rajmata wala scene, when Kunwarji after wearing that taaj asked Lakshraj "Hum iss taaj main kaisay lag rahay hain? Lag rahain hain na Maharaj..."
I was like "Maharaj...š¤£š¤£š¤£...Maharaj nahi...CARTOON lag rahay hain...Nahi nahi balkay cartoon bhi acha hota hai...Aap toh usay bhi kaiii zada gae guzray lag rahay hain taaj pehen k...Aur yeh bhi koi taaj hoa...Iss taaj ko dekh k aisay lag raha hai keh pta nahi abhi aap kisi fancy dress competition main part lainay walay hain...Aye baray Raja bannay...Jab baat achi karni na aye na toh mooh apna bunnd hi rakhna chaye Kunwarji warna kis waqt kaun aapka joke banna k rakh day kuch pta nahi..."š¤£š¤£š¤£
Aur phir jab BRM i kaha "Jinhoon nay aapko yahan tak pohanchaya unkay bina hi jashn bananay lag gae Kunwarji?" And she shocks Kunwarji by standing...OMG!! Apnay betay tak ko nahi btaya tha keh wo theek hain toh iska matlab Gayatri jo bhi kar rahi hai sahi kar rahi hai...Hmmm ab samjhi main...!!!
Jab Rajmata nay Ranaji ko ishara kiya aur kaha "Wahan dekhiyee kia horaha hai..."
I was like "Haan aur beth khulam khula sub k saamnay duffer Kunwarji...Itni chaalain chalnay k baad bhi dufferness toh gai hi nahi...AB itna obvio karo gay toh sub hi dekhain gain na kia chal raha hai...Aur Rajmata nay sahi time pe entry maar kar Ranaji ko dikhaa diya...I hope yehi Kunwarji wala part hi dikhaya ho..."
Kunwarji: "Apka sapna poora hogaya BRM...Taaj humaray sir pe hai..."
BRM by taking off that TAAJ from Kunwarji: "Taajpooshi aj nahi kal hai Kunwarji..."
I was like "Lo g ab yeh budhi kahin pehnnay k chakar main na ho crown ko...Aur precap dekhnay k baad wohi hoa jo maine abhi kaha..."ššš
As far as the precap is concerned, my reaction is this only..."š"...
Do share your thoughts guysš³š³š³
Thank you so muchš¤š¤š¤