MY HEROINE... PUBLISHER ka bohot bharosa tha mujhpar k mai choti kahani bhi likh paunga jaisak mai badi kahani likhta hu par pata tha mujhe ye bohot tough hai kyu isme bohot kam shabdo me ek ek bat ka dhyan rakhte hue likhna parta hai .
life ka har chapter ka pahalu hum kitna bhi samajhneka koshish kare har sawal ka jabab se hum rubaru nahi ho pate.Har aam insaan ki tarah ye koshish maine bhi kiathya par kuch hath na laga.Haste haste apna bohot chahat ka antim kriya karam karna parta hai jaise kabhi maine kia tha.life me udasi or tanhai ka chapter wohi se suru hua.Dukhta dil ka zakham alfazo me utark aya jo pahle kabhi mera manuscript bana phir kuch bohot acche or chahite dostok pressure se kahan
i k kitab me tabdil hua.
Kitab likha ,,dhire dhire parnewale mere kitabok sath,,mere soch k sath sath mujhe bhi chahne lage or mere likhe shabd me khone lage. waise sirf likhnek ilaba mai kuch or bhi karta hu par sayad bina baja usko yaha likhneka zaroorat nahi hai.Filhal to mai apna Delhi k ghar se nikla tha Darjeeling k taraf apne kaam k silsile mai.Par in sab k bichh bhi mujhe mere readers se kia hua waada yaad tha k mai ek choti si koi nayi flavour ki kahani unhe zaroor gift karunga par soch koi nayi chis k liye jaha daurna suru kar raha tha wohi lag raha tha k kya likhu?? kya asa likhu k jo ajtak koi asa na likha ho ,,aree ek bar dimag galti kar gaya ,,ek unique story pata nahi kahase dimag me khil gaya par asa harbar magic mai thori na creat kar paunga!!to yahi sochte sochte maine tai kia,,k kyu na isbar ye kahani mere sahar se is naye sahar k taraf barti hui raho parhi likhi jaye!!kya pata aglee konse naye morr pe koi kahani mera intazar kar raha ho .
kuyk ab tak kahanik bareme socha nahi hai isliye uska character bhi ab tak mere zahan me nahi hai .raja kaisa hoga ?? kaisy hogi uski rani?? kya kya khichri pakegi or banegi ek prem kahani.meri heroine ka age kya hoga??wo atthara baras ki kuwari kali hogi,,jahrno se bhi chanchal,,morni jaise barish me bhigti ,,chamchamati,,yaaa phir koi asi jo zindegi ka mussibat ko jhelte huee or apna zimmedari nibhate huee bas agee ki taraf barte ja rahi hai .AB horoine jaha hogi woha hero to hogahi par abtak wo mere dimag se ubhark mere dil tak akee ,,mere dil ka raftar ko baraya nahi ,,isliye wo bhi abhi ek kona pakark rest kar raha hai,,jab call time ayga usko mere taraf se bulava ajayga.
Mera har story thora women character k upar zada hota hai,,,yu to sabka kahna yahi hai k bhagwan bhi ajtak is aurat ko sahi dhang se nahi pahchan paye to mai pata nahi kaise une samajhta hu ,,unke dhadkan ko pahchanta hu!!story chahe jo bhi ho usme mera heroine ka naam hamesha mai Manvi rakhta hu.wo kya hai na is naam k sath mera kuch purana nata hai,,kuch rista hai,,kuch khas connection hai par jo ab nahi hai wo disconnect ho chuka hai.
Manvi mere life me ek chota sa role play ki thi ,,meri mohabbat thi,,meri junnon thi. 15 days ki ek package tour ki sathi thi.par ab mai tanha hu or is tanha safar mujhe or boriyat k taraf na dhakel de isliye jab tak kuch nahi sujh raha hai to mai thoratime kyuna manvi ke sath bite dino ka recap dekh lu??waise ye manvi thori natghat bhi thi,,thori chanchal bhi,,uska harkat thora ye jatata tha k wo jitni ki dikhti thi utniki thi nahi balk apna umar se to or kamhiki wo lagti thi,,uska nazar to mujhko ghayal karhi dia tha us pandhra dino me par mera bhi jadu uspe chal chuka tha ye bat or hai k wo jitna jaldi chala utnahi jaldi uur bhi gaya tha.Manvi aj bhi mere zindegi me dakhalandazi kar jati hai,,jab jab mai likhne baithta hu wo mujhe direction deti hai k mere naamka character ko thora or strong banao..ase likho waise likho..aj paanch saal bad usko kahi bhi dekhneka koi umeed to mai nahi karta hu par ye nazar ka hi galti hai sayad ,,k wo har jaga Manvi ko khojne lagta ha.
Mere har heroine ka naam jaise mai Manvi rakhta hu thik us tarah har bar hero ka naam mai Virat rakhta hu.kismat ka faisla kuch or tha jinone MANVI K naam k sath kisi orka naam jor dia,,mere ghar ayatha wo shadi ka card ,,par mujhme itna himmat nahi tha k mai uha jau or undonok sath photo khichaun or na janese woha zaroor koi farak nahi para hoga ,, ,,MANVI shadi kark zaroor apne ghar chali gayi hogi or apni zindegi ko nayi morr di hogi.thik isik bad se mai bhi tai kia tha k mai mera har hero ,,heroine ka naam VIRAT OR MANVI rakhunga,kyuk manvi ko khoya hua wo ladka VIRAT mai hi hu or apne kitab me isliye writer k jaga mai sirf apna nahi balk humdonoka naam likhta hu or wo hai VIRMAN.Uska mere pas na honeka ahsas bhi uska honeka ahsas karata hai or kahi na kahi agar likhnewala hath mera hota hai to ussse likhanewala hath manvi ka rahta hai or yahi reason hai k hazar kamo k bicch me bhi mera hath apne aap ye diary or pen k taraf chala jata hai.
siliguri ko piche chorte huee jab mera toy tain Darjeeling k taraf bar raha tha mujhe disturb karne or mera diary ko kholne mujhe phir se majboor ki meri Manvi.
Tab mai 21 yrs ka tha or pahlibar ghar se akele gaya tha sandakfu phalut TRAKING CAMP me. Mera mulakat MANVI SE WOHI HUA THA.pandhra din ka wo tuor me suru ka do din to sabka naam yaad rakhne me gaya..phir or do din alag alag tarike se janne me gaya,,kisika acchai,,kisika burai dhire dhire samne ane laga,or sabko dekhte huee mera man us ladki ke sath dosti karna chaha par dostika ka hath mujhse pahle usnehi barayi.man me sawal aya tha ye mulakat sirf ek mulakat tak rakhna thik hoga ya phir uski mere taraf badte huee hath ko dekhte huee usk sath dosti kar lena sahi hoga.uska chulbulapan ,,uska wo har ada mujhko mujhse dur kar raha tha or wo pahario ka valley area,,snow se bhari huii raste jine chirte huee hum nikal rahethee,,usme bikhre gire huee lal rang ka Rododendron bhi sab jaise fika par raha tha usk agee.
jitna shauk useee traking ka tha sayad usse zada shauk tha apni idhar udhar ki bato se sabka dimag chatneka or do kadam chalte na chalte ruk ruk k photo leneka.koi nazara jaise wo miss nahi karna chati thi par uska ye ruk ruk k chalna un pahari sarko pe bhari par gaaya.sandakfu pahachne me thora or woqt baki tha.hum dono tab KALIPOKHRI tak apayethee.achanak mausam apna rang badlna suru kar diaa.dophar ka ek baj raha tha par lag nela ga rat ho chuka ho suraj ko usdin asman k picche jaise bohot jaldi jana tha par uske janese kya hota ?? wo to kali badlo k piche chup gaya or andhera se gher diaa par chanda ka mood thori hua k wo uska jaga akee lele!!jitne dur dur distance maintain kark hum chal rahe thee ,,wo andhera ka wo daar humdonoko pass pass chalnepe mazboor kia.hum jitna koshish kar rahe thee wo pahari cross kark hum jaldi agee anewale valley k taraf bade jaha rasta thora plain ho ,,kisi hal me wo hum nahi kar pa rahe thee.tufani hawa to raste ka padshani tha hi usk bad asman ko bhi bohot roneka man kiaa or wo ji bhark rone laga.
us barfili barish me hum itna bura fas gaye thee k chahk bhi hum kuch nahi kar pa rahe thee.isk pahle tak sirf wo mere pass hi chal rahi thi par jis tara wo mausam baimani karne laga us tarah sayad hamara man bhi humse baimani karne laga.koi ghar to woha tha nahi jaha humko sahara milta isliye bas ek chota sa hut dikha jo bas sirf uha rest lene k liye bana hua tha hum wohi kisi tarah apna sar chupane chale gaye.
ye bas or baki last teen din ka bat tha ,,or janpahchan k bad ihatak ate ate hum dono nehi apna dil ka bat bina ek dusrese kahe jaise samajh chuke thee par wo time kuch asa tha jab hamara dil ka jasbad humdonoke dil ka deewar tork nikal aya.badalte mausam k sath hum bhi ek dusreme khone lage .uha sirf hum thee or koi nahi tha..ek pal do pal ka mulakat konsa rasta pakarne jaraha hai usk bareme humdonoko tab kuch bhi nahi pata tha par sabkuch bhulake hum bas ek dusreme khote gaye.mere kandhe me wo apna sar rakhk apna sayad future dekhne lagi or mai uska hath tahmk sayad puri dunya mere aj mutthi me hai asa sochne laga tha.dhire dhire hamare bichh ki durya kam ho gayi or wo mujhme samane lagi.uske kapte hotome mera naam arahatha jisse lagne laga wo apne apko mere hath me puri tarah surrender kark bohot satisfied hai. uski kali ghari ankhe mujhe usk orr kareeb janeka ishara de raha tha or mai usme samata ja rAHA THA.