Part 1
Few hours before marriage_
Sumans room_
Utarti dhoop se kamara surmai ho raha hai aur suman surkh lenghge main taiyar hai , Sharavan comes to meet her for last time .
Sumo... Jaa rahi ho... dekho Tulip lya hoon ( moist eyes)
Par tumne too kaha tha kee mera koi special din hoga tab laoge aur ye keval ek hai
Sumo Tulip ek hee hai . Bahut door hai Mumbai ... hai naa
Haan bahut door ...
Bahut pyari lag rahi ho ...
(Aasoon ke katar lekin koe aavaz nahi... )
Mujhe bata sakti ho
Kuch nahi ... tumhara tulip kitab main rakh leti hoon... ( ab ke hum bhichde to shatad kabhi khawbo main mile jaise sookhe jis tarah sooke phool kitabon main mile)
Etne aansoo kyo
Khushi ke aansoo hai ...
Sach ...
Haan Sach
Kuch chahiye... Kuch bhe ( mera dil etna pareshan kyo hai... Lagta hai jaise main tumko marne ke liye bhej raha hoon. Sharavan pagal mat ban)
Nahi sab kuch mil gaya
(Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle ,
Bahut niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabru hokar tere kuuche se hum nikle)
(haan tumhe sab mil gaya aur mera sab kuch chin gaya)
Sharavan ab kabhi vapas nahi aaoongi ...
Sumo etne aansoo ...
Haan koe nahi chahta kee main yahan rahoon ... tum sach kahte the. Baat kadvi the par sacchi to the naa ...
Sumo mera vo matlab...
Sharavan main bahut khush hoon ab mujhe kisi kee fikr nahi ... Kisi ko mere fikr nahi... dekho sham dal rahi ... bas ye raat aur main sabse door chali jaoogi. ( dam ghut raha hai mera ... aaj dekh loon tumko fir kabhi shayad dekh bhe nahi paaoge. Aaj main apne aansoon nahi rokooge... Mera dil ro raha hai ... aag se gujarna hai ab to ye aansoon hee sahara hain.)
( kuch theek nahi hai. Ye ladti bhe nahi... Kaise jaaoon ... Ek baar tumko choo loon... kuch bhe mango main kar doonga ... tum to dekhti bhe nahi ... Etni naraz ho. Maine hee to tode saare rishte...Aaj ke baad need nahi ... ye raat bahut lambi hogi... )
Sumo dekh tere liye emeralds... Tuje acche lagte hai naa
Sumo hans kyo rahi hoo...
Sharavan dekho naa ye lengha red hai ... ab kuch match hee nahi karega ... kuch bhe nahi sare rang galat ho gaye... mujse peecha chudane kee etni badi keemat... Main aaise he jaa rahi hoon. Etni mehnat dushmano ke liye nahi karte ... jiske apne maa baap usse chor ke chale gaye uske liye itni hamdardi ?
Tum jao Sharavan ...
Sharavan_ Crying bitterly on terrace
(kabhi khud pe, kabhi khud pe kabhi halat pe rona aayabaat nikli to har, ek baat pe rona aaya
hum to samjhe the, ki ham bhul gaye hai unko
hum to samjhe the, hum to samjhe the ki ham bhul gaye hai unko
kya huya aaj, ye kis baat pe rona aaya
kya huya aaj ye, kis baat pe rona aaya
kabhi khud pe, kabhi halat pe rona )
part 1 - (pg 1)
part 2 - (pg 1)