As I said am back with a new poem on ShraMan's equation with each other 😳
Hope I all like it 😊
FAASLEIN...
Tere mere darmiyaan yeh...
Chand kadmo ke faaslein...
Doori yun toh kuch palo me ho jaaye paar...
Arso puraane zakhmo ke ghamo ne par rokk rakha mere yaar...
Chahe shikvo ko keh na paaye yeh zubaan...
Nazarein toh karti hai har dard ko bayaan..
Sanjoye hain jo yaari ke dhundle pal...
Aaj ho gaye hai humaara beeta kal...
Qaafilein ab bhi teri yaadon ke aankon mein rehte hain...
Mutmayeen shabo mein ashqq ban kar behte hain...
Chashme-E-Nam phir haule se muskuraati hain...
Khushnuma yaadein jab teri hawaon ki bheeni mehek si sehlaati hain...
Roothi nazarein gilo ke lamhe bhi ginwaati hain..
Beete palo se yun rubaroo karwaati hain...
Man karta hain ab har gham bhula dein...
Muskura ke tumhe gale se laga lein...
Pal bhar mein har khamoshi mite dein...
Dil ke shor ko sukoon dila dein...
Jod le tumse apne saare raaste...
Kyonki tum aur hum bane ek duje ke vaaste...
Am hoping u all will give me ur feedback on my first ShraMan poem 😳
Likes, appreciations, n constructive criticisms are welcome 😊
Dictionary 🥱
*Chand = Few
*Zakhmo = wounds
*Shikvo = complaints
*Bayaan = express
*Sanjoye = cherish/treasure
*Mutmayeen = (here) silent
*Shabo = nights
*Ashqq = tears
*Qaafilein = groups/ caravan (here referred to memories)
*Chashme-E-Nam = wet eyes
*Khushnuma = happy
*Bheeni mehek = sweet fragrance
*Gilo/Gile = reproach
*Rubaroo = face to face