kash kabhi aesa bhi ho,,,
khamoshi or tanhai main
Tere sath chalte huwe
Her lumha ruk jaye
Waqt thehar sa jaye
Lekin yeh to tab hoga
Jab tu mere saath hoga
Per phir mere
Khayal ke moti
Yon mera dil ko be qarar
Kerte hain
Jese
tere khyal ki lehar
Mujhko madhosh karjaye
lekin
tere soch ki lehre
Betaab mujhe karti hooo,,,
barish ki naram thandi,,
bhoondain,,,
tere marmari badan ko chuti hon,,,
Aur lazzat ehsas say
ankhain meri band ho rahi hon,,,
Aur jab jab khud ko aiene main dekhon,,,
khudh main tu nazar aye,,
hath apne chahre par pheron,,,
or mom ki tarhan tujh ko
phighalta hua dekhon,,,
kisi werane main akele chalte,,,
Ehsas ki lehar tere wajood ko,,,
mere sath sath rakhe,,,
Aur kash kabi aesa ho,,
tere milne ki ghari main...
chodhwin ka chand apni
naram ghanni roshni luta raha ho,,
to tera hath mere hathon main
mazbooti se jakda ho,,,
tab mere machalte huwe lamhe
mere dil ki dharkan ki tarhan
samma main raag ragini gayain,,,
Aur
wo sab meri khamoshi ki zuban ban jayain,,,
tere badan ki khushboo,,,
se meri ankhain mehekti huwi,,
band hoti jayain ,,,
Aur
mera wajood teri aagosh main beh jaye
kash woh mulaqat ka din
hur lamhe main ik zindghi samo ly,,
wo lamhe
kabhi khatam na hon,,,
wo lamhe kabhi khatam na hon,,,
Umeed kerti hoon pasand ayega