Tara diwaniyo ki tarah apne MJ ko dhoondhe ja rahi thi. Kala ko dekh ke nd wo saiyaa ji song sun ke mujhe kala ki wo entry yaad aa gayi. Kitni dangerous lagti hai wo aise avtar me. Hum tv pe dekh ke itna daar jate hai to tara kitna daar jati hogi. MJ ko tara ki hi parwah thi isliye tara ko phone kar raha tha, lekin tara ko MJ ko le ke itni tension thi ki usne phone disconnect hi kar diya. MJ bechara jaldi se jaldi tara ke paas pahuchna chahta tha isliye kisi or jagah se murti le li.
Kala ne bahut soch samjh ke plan banaya tha. Lekin jagah galat chun li thi. Jaha her tarah bappa hi bappa the waha burai ki jeet kaise ho sakti thi. Tara ne ghabrahat me MJ ki aawaz sune bina sab kuch keh diya or kala ko sab pata chal gaya. Lekin tara usase dari nahi. Phir kala ne tara ko apni kahani batani shuru ki lekin aadhi adhuri. Usne to bataya hi nahi ki usne MJ ko bachaya hi kyu?
Khair chalo usne ye to bata diya ki pari aadi ki beti hai. Tara to pari se pehle se hi pxaar karti thi, ab to use or jyada pyaar degi, badi maa jo hai. To fahim chamcha maara gaya. Accha hua jis huzur ki chamchagiri ke aage use sahi galat tak nahi dikhta tha usi ke haatho maara gaya. Usi FC ne kala ko bhagaya tha jail se jiski wazah se puri family maari gayi. Ja maar ja.
MJ ko kuch sahi nahi lag raha tha isliye wo wapus aa gaya. Aakhir tara ke dil se uska dil juda hai nd jab tara mushkil me ho to MJ ko pata chal hi jata hai. Tara ko kala humesha itna bewkoof kyu samjhti hai? Tara ko pehle se hi khatre ka ehsas tha isliye usne apne ved bhaiya ko bula rakha tha. Police ke aane ki aahat se hi kala ke haath kapne lagte hai, tara ne iska fayda uthaya or kala ki aankho me abeer jhok ke bhag nikali. Bahar hi ved tha nd MJ bhi pahuch gaya. Tara ne unhe kuch nahi bataya lekin uski ghabrahat dekh ke MJ ko doubt ho gaya.
OM jab baba ji ke khilaf bolta hai na mujhe badi khushi hoti hai. Koi to sahi kaam karta hai. Kya scene tha bappa ke sath MJ tara ki entry. Dono ne ghar me ek sath kadam rakha. Tara to kala ko ghoor hi rahi thi MJ bhi use kha jane wali nazro se ghoor raha tha. Lekin bappa ki murti us sanki ne tara ke sath kyu rakhi? Koi nahi bappa ka aashirwad hai tara MJ ke saath koi bhi unke beech me nahi aa sakta. Tara ne KALA ko challenge diya hai ki wo use benkab kar ke rahegi nd kala ne tara ko marne ka plan banaya hai. Kamal hai ghar sanki ka nd khel shekhawats ke.
OMG aag us kidney chor ke back to back operations the pata nahi aaj kitne logo ki kidney nikali hogi.
Kala kal jashn ke mauke pe koi khatrnak plan khelne wali hai. Shekhawat vila me machien gun chalai thi yaha bomb blast, kala kitne khatrnak hathiyar use karti hai. Waise bappa ke din kaha kuch galat hone denge bappa, i m sure ved nd nandu aa jayenge or kala ka plan phir fail.