Pankhis...😊
❤️MriAra❤️
Aaj jaane ki zid na karo
Youn hi pehlu mein baithe raho

Aaj jaane ki zid na karo
Haaye mar jaayenge hum to loot jaayenge

Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Tum hi socho zara kyun na roke tumhe

Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum
Tumko apni kasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo

Haaye mar jaayenge hum to loot jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo
Waqt ki qaid mein zindagi hai magar
Chand ghariyaan yehi hain jo aazaad hain
Inko kho kar meri jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho

Aaj jaane ki zid na karo
Haaye mar jaayenge hum to loot jaayenge
Aisi baatein kiya na karo

Aaj jaane zid na karo...