To aakhir didi saheb ke name pe suraiya ki bali chadh hi gayi. Accha hua kala ki sabse wafadar ban rahi thi na ja maar. Kala ne bahut dimag laga ke police police ka drama khela tha. Socha tha ya to aaj leader ka face benaqab hoga ya police ke hath se mara jayega. But jo baar baar maut ko maat de raha ho use kuch hoga kya. Police ki goli to lagi lekin kala ki chahiti suraiya ko. Kala to uski dead boby bhi nahi le ja sakti kidnapped jo hai.
Aaj MJ ka ek or talent saamne aa gaya wo bomb defuse karne me bhi expert hai. But use goli lag gayi or poor tara wo to apne pati ko sambhal bhi nahi paai.
Her baar to kala bade nikamme police wale lati hai but is baar ye tez police wale kaha se aa gaye. Inki tezi to RP ko bhi bhari pad gayi. Or ye to tara pe bhi doubt kar rahe the. Lekin tara ne apna nautanki part khub ada kiya. Police ko bewkoof to bana diya lekin wo kambakhat MJ ka picha hi nahi chor rahe the. Or wo driver 70 ki age hogi or aankhe itni tez khoon ke nishan dekh dekh ke MJ ko dhoondh raha tha.
Nandu ne jaisa dream dekha tha aadi ne waisa hi kiya. But wo kya jane iske piche asal khel kya hai. Jab RP wapus aayega to nandu ko 2 lagayega chabuk se.
Tara kamre me aai to MJ waha tha but itna ghayal hone ke baad bhi wo khidki ke raaste aaya kaise? Jaane do hume to bus isase matlab hai ki wo tara ke paas rahe. MJ ne tara ko kitne pyaar se dekha jab wo ye keh raha tha ki isase jyada safe jagah koi ho hi nahi sakti kyunki yaha tum jo ho. Wow MJ tumhari nigahe sadke jawa. MJ ne jab tara se kaha ki wo goli nikalegi tara kitna ghabra gayi. Are tara samjha karo MJ ki doctor to uski chuhiya hi hai uske chhute hi uska her dard gayab ho jata hai. MJ ko ghayal dekh ke tara ka dimag bhi kaam karna band kar chuka. MJ ne I luv u bola to use laga ki wo nandu ke liye keh raha hai. Are pehle to I luv u sunane ko tarasti thi aaj keh raha hai to uski baat nahi samjhti. Jhalli kahi ki.
Kal Tara Nandu ko dikhane ke liye apna hath cut kar legi. Or hume ek or romantic scene mil jayega. Waise ab MJ kaha jayega uska adda to gaya. Ab to yahi rahega apni chuhiya ke paas. ;-)