Patidev ko pitate dekh tara ka bhai wala avtaar jaag gaya or kya dande lagaye gundo ko. Khair wo to the hi nikamme. Lekin jab sab MJ ko maar rahe the tara use bachane ke liye khud maar khane aa gayi MJ to dekhta reh gaya. Soch raha hoga ye mere liye itna maar kha sakti hai to kal ko agar mujhse koi galti ho gayi to meri dhulai bhi kar sakti hai.
Ye radha ko kyu itna bura lag raha tha ye soch kar ki tara MJ se pyaar karti hai. Churail kahi ki jis kaam ke liye aai ho wo kar or dafa ho ja MJ ki life se. MJ pe sirf tara ka haque hai jyada idhar udhar ki na to tara teri bhi dhulai kar degi samjhi.
Is radha churail ko kitni pyaas lagti hai jab bhi MJ pani lata hai pura pani wahi pi jati hai. Kitne janamo ki pyaasi hai.
Aaj MJ ko apni wife ka asli roop dikh gaya kis haad tak dangerous ho sakti hai wo. Baar baar ruk ke gundo ko pitne me lagi thi bechara MJ baar baar use pakad pakad ke la raha tha.
Aaj to MJ ko pata chal gaya hoga ki do aurato ka saath kitna bura hota hai. Kabhi radha ko sambhalta tha kabhi tara ko. Tara to khud ko sambhal bhi le rahi thi but ye radha churail to musibat hai. Use to MJ or tara ko hi sambhalna hai. But i luv MJ today radha ko to sambhal hi raha tha per tara ko bhi apne sath le kar chal raha tha. Or last scene me to jab tara kala ki taraf jaa rahi thi MJ ne use rok ke apne piche chupa liya or jab tara ke uper gun ne gun point rakh di to MJ ne kaha 'use kuch mat karna' oh i luv this dialog and MJ emotion itna ki maine dialog khud pura kar diya 'use kuch mat karna chahe radha ke baal noch ke use takali bana do per meri tara ko kuch mat karna'
choro kal us radha churail ki wazah se sab phir se kala ke jaal me phas gaye. Ab kaun bachayega unhe.
*yaha to saari duniya ko galatfehmi hai ki MJ radha ko pyaar karta hai. ye sab MJ ki khamoshi ki wazah se hua hai. Uski khamoshi ko pyaar samjh liya sabne. Waise puri duniya ek tarah to ye manti hai ki MJ radha se pyaar karta tha to phir usi radha ke rape ka ilzam laga diya uspe. Sab satak gaye hai kya? Pyaar karne wala aisa karta hai kya?